Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

View Poll Results: GHAZAL OF THE MONTH "FEB 2010" IS....
AankhoN hi aankhoN meiN salaam ho jaye 6 27.27%
Itna hua mushkil, ke ab aasaa.N nahi hota 12 54.55%
Majbooriyaa.N woh apni Chhipaane lage hain 9 40.91%
Aya ek paigam aaj hamein 4 18.18%
Mere Mehboob 4 18.18%
Door jate bhi nahi.n saamne aate bhi nahi.n 6 27.27%
Multiple Choice Poll. Voters: 22. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal Of The Month "Feb 2010"
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up Ghazal Of The Month "Feb 2010" - 1st March 2010, 10:34 AM

Mehfil ko Zainy ka salaam,

DostoN is mahine hameiN 4 ghazaleiN aur 2 nazmeiN mili haiN.....is baar bohat hi tough competition lag raha hai, sabhi ne ek se badhker ek likha hai..maiN sab se pahle un dostoN ki shukr-guzaar huuN jinhone 'Ghazal of the month' meiN hissa liya aur apnii ghazaleiN aur nazmeiN hameiN bheji hai...

Aayiye dostoN in ghazaloN aur nazmoN ko ab aap mazeY se padhiye aur voting karke inki hausla afzaai kijiye..

P.S:...Sabhi participants se meri guzarish hai ke woH apni ghazal ka ya nazm ka zikr kisi se bhi na kareiN..........

All the best to all the participants...

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2010 at 11:05 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st March 2010, 10:38 AM

AankhoN hi aankhoN meiN salaam ho jaye
Hamaari har saans misl e kalaam ho jaye

Mere mehbuub teri zulfoN ke saaye meiN
Meri subha meri har shaam ho jaye

Tere lab mere naam se tarr hoN jaise
Ek phool pe shabnam ka jaam ho jaye

Meri ruuh tujh meiN samaa jaye iss tarah
Tere saath mera jeevan tamaam ho jaye

Kuch khauf nahi zamaane ka mujhay naaseh*
Hai khawish mera naam tere naam ho jaye

naaseh:nasihat/advice dene wala

  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st March 2010, 10:40 AM

Itna hua mushkil, ke ab aasaa.N nahi hota
Mehboob mera mujhse, bayaa.N nahi hota

Shikwa kare na koi, na koi kare shikayat
Woh jaise huye mere, koi aisa nahi hota

Socha unhe bataye, woh meri zarurat hai
Apni ana ko lekin, hausla nahi hota

Uljhi rahe hamesha, uljhano me ghar ki
Jo na baste woh sath mere, basera nahi hota

Kabhi Mehboob kabhi Maa kabhi Beti kabhi Bahu
Har roop me haseen, ek chehra nahi hota

Na mutmaeen huuN maiN, Na aaye tum bezaar
Dhalti umar me humsa, koi jawaa.N nahi hota

Itna hua mushkil, ke ab aasaa.N nahi hota
Mehbob mera mujhse, bayaa.N nahi hota
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st March 2010, 10:41 AM

Majbooriyaa.N woh apni Chhipaane lage hain
Naa jaane kyon nazren Churaane lage hain

Kaunsa dard chhupa hai unke dil me
Ki sharm se garden Jhukaane lage hain

Apne honton par faili woh feeki muskurahat
Badi shiddat se yeh raaz Samjhaane lage hain

Unke chehre ka rang badalne laga hai
Woh sahme sahme se nazar Aane lage hain

Palkon pe aa jaate hai ashk jo unke
Palluu se apne Mitaane lage hain

Kaise jhanku.N main dil me unke
Yeh dard ab mujhe Sataane lage hain

  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#5)

1st March 2010, 10:42 AM

Aya ek paigam aaj hamein
Ek gazal ki guzarish thi usmein..
Kya likhe hum, Socha Hamne..
Ki Mere Pas Shadbd Hi Nahi The....

Ek Gazal Likhi Thi Kabhi Hamne
Pyar ka Iqraar Unse Kiya Tha Hamne...
Par Kya kahein Us Gazal Ki Numaish Ho Gayi..
Aur Hamari Jag Hasai Ho Gayi...

Socha Kya hua ek Nakami Se...
Chalo Phir se Koshish Karte Hain..

Phir Uthayi Kalam aur Ek Kagaz Hamne
Zindagi Ke kuch Panne Jald Hi Utar Diye Hamne
Kuch Ehsaaso Ko Pirone Ki Koshish Ki Thi
Aur socha is bar hamne koshish Mukkamal Ki thi

Nahi jante the ki khusi hamare mei naseeb mei nahi
Shayad is kalam ko mujhse hi bair hai
Jo Likha use padh ke khud hi ro pade
Aur Jo unhone isse padha to woh mujhse door ho gaye

Kaha unhone acha yeh kya likha hai tumne
To Tum Mujhse itna jalti ho
Kyunki Main bhi likhta hu
Isliye tum mere sath mukabla karti ho

Kya kehna chahti ho akhir tum mujhse
Ki mujhse behtar likh sakti ho
To Thik Hai Jao Likho Jitna likhna chahti ho
Ab Main tumhe nahi tokunga
Mere Jane ke bad to gum mei aur behtar likh paogi...

Tut Gaye Mere Sare Sapne
Woh Bhi Na Rahe Mere Apne
Vishwas Kiya tha unka sath pane Ka
Aur Mujhse Rooth Gaye Mere Apne..

Bas Yahi Meri Kahani Hai Dosto
Is Kalam Ki Mai Gulam Hoo Dosto
Jis Rukh Chahe Mujhe Chala Deti Hai....
Nahi Mili Mujhe Is Gulami Se Azadi Doston
Nahi Mili Mujhe Is Gulami Se Azadi Doston........

  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#6)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st March 2010, 10:44 AM

Mere Mehboob,

sochta tha main kayee baar waqt-e-faarig mein,
koi hoga jo mujhe dil se ruuh se pyaar karein,
mere hunar ko meri khaamiyoN ko bhi samjhe,
hum apne aap ko ek duuje main shumaar karein.

* waqt-e-faariq=free time.
* shumaar=include.

woh agar aayegi ghar choR ke mere ghar mein,
tau ghar se zyaada mein dil mein use basaaonga,
khushi ho ghum ho, kam-o-besh, sehet, bimaari,
**Ke Jabb "Qabool" kahaa hai tau sabb nibhaaoonga.

kam-o-besh= less or more.
** Refers to uttering the word (Qabool) at the time of Nikaah.

Ya khuda kaunsa Sawaab mere kaam aayaa,
ke mere naam se juDne sanam ka naam aayaa,
woh jab se aaya hai tau zindagi ne karwaT li,
mere kiss kaam ka itna haseen daam aayaa?

Rakhoon khayaal iss tarha "Mere Mehboob" tera,
Ke mujhe aur mere hone ko tu pyaar kare.
na maange tu mere Ghar se dafaa hone ki duaa,
Mere Ghar lauT ke aane ka intezaar kare.

Mere mehboob teri baat titleeyoN jaisee,
Mere mehboob tera jism chaman jaisa hai.
Teri muskaan jo maathe ke bal miTaaye tau,
Tera roothna bhi meethi chubhan jaisa hai.

Mere Mehboob BuDhaapa hamaara aayega,
Milaake haath jawaani se muskuraayega,
Jawaani duurr talak yaad humko aayegi,
Hamaara pyaar magar JaavidaaN kehlaayega.

Meri Hasrat hai tujhse pehle khuda se milkar,
Tere aane se pehle saara intezaam karoon,
ke jaise khalq mera tune khusgawaar kiya.
main bhi koshish koi choti si tau na-kaam karoon.

Khalq=world.
khushgawaar=pleasent/happy.

  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#7)

1st March 2010, 10:45 AM

Door jate bhi nahi.n saamne aate bhi nahi.n
Munh dikhate bhi nahi.n munh ko chhipate bhi nahi.n

Mere mehboob kabhi ankh milate bhi nahi.n
Yeh alag baat hai nazron ko churate bhi nahi.n

Raat ke waqt chiragho.n ko jalate bhi nahi.n
Subha ho jaye to woh shamme.n bujhate bhi nahi.n

Unko barish se to lagta hai bahot dar lekin
Bheeg jate hai.n to kapdo.n ko sukhate bhi nahi.n

Woh sahem jate hai.n ik aag ki chingari se
Aag jo dil mei.n lagi ho to bujhate bhi nahi.n

Jam paimane mei.n laate to hai.n woh bharke magar
Khud woh peete bhi nahi.n humko pilate bhi nahi.n

Unke jazbaat samajhna nahi.n hota aasaa.n
Muskurate bhi nahi.n ashk bahate bhi nahi.n
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#8)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
1st March 2010, 01:08 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Door jate bhi nahi.n saamne aate bhi nahi.n
Munh dikhate bhi nahi.n munh ko chhipate bhi nahi.n

Mere mehboob kabhi ankh milate bhi nahi.n
Yeh alag baat hai nazron ko churate bhi nahi.n

Raat ke waqt chiragho.n ko jalate bhi nahi.n
Subha ho jaye to woh shamme.n bujhate bhi nahi.n

Unko barish se to lagta hai bahot dar lekin
Bheeg jate hai.n to kapdo.n ko sukhate bhi nahi.n

Woh sahem jate hai.n ik aag ki chingari se
Aag jo dil mei.n lagi ho to bujhate bhi nahi.n

Jam paimane mei.n laate to hai.n woh bharke magar
Khud woh peete bhi nahi.n humko pilate bhi nahi.n

Unke jazbaat samajhna nahi.n hota aasaa.n
Muskurate bhi nahi.n ashk bahate bhi nahi.n

matle ka ulaa misraa bahut accha laga

aur maqta khas accha laga......

baarish wala sher sahab/saahiba zaraa backana laga

pine -pilaane wala sher bhi kya________tha.

apko mera vote isliye ki ye mere favourite beher me hai
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
2nd March 2010, 07:33 AM

Sabse Pehle GTM me hissa lene wale Sabhi Shayar Dosto ko Aadaab ! aur Mubaraqbad ! sabhi ne Ghazal / Nazm Mere Mehboob Subject par acha likhne ki koshish ki hai......jaisa Naazneen Ji ne kaha hai.....is subject par aur bhi behtar likha ja sakta tha....main unki baat se sehmat hu.....phir bhi sabne apni taraf se acha likha hai......isse inkaar nahi kiya jaa sakta.....mujhe GTM me Do Ghazal bahut pasand aai....jinki bhi hai......Badhai ! aur Daad ! ...Mera vote aap dono ke liye...

Itna hua mushkil, ke ab aasaa.N nahi hota ....

Majbooriyaa.N woh apni Chhipaane lage hain ...

Aakhir me Sabke liye......Kamiyaab ho.....Safal ho.... !

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----

Last edited by naresh_mehra110; 2nd March 2010 at 08:10 AM..
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
2nd March 2010, 10:51 PM

GTM meiN hissaa lene waale sabhee dostoN ko bahot bahot mubaaraqbaad.. sabhee ki koShiSheN bahot Khoob hay!

Parivaar ke sabhee sadasyoN se guzaariSh hay ki we VOTE zaruur kareN apni pasaNdeedaa koShiSh ko!

ShuKriyaaH

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
3rd March 2010, 12:55 PM

A very plausible attempts by all the participants...Almost all the creations does have a part to be impressed by.. but my personal Fav is "Itna hua mushkil ke abb AsaaN nahi hota"..Keep writing..

Thanx

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#12)
rajinderseep
Registered User
rajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud of
 
Offline
Posts: 748
Join Date: Oct 2009
Location: new york U.S.A.
Rep Power: 28
5th March 2010, 12:55 AM

Vote tou zaroor karni hai lekin kisay..............abhi yeh raaz rahega.
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Ek Ehsaas
Couldn't Care Less
Ek Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud of
 
Ek Ehsaas's Avatar
 
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
5th March 2010, 01:16 PM

"Aya ek paigam aaj hamein",,, sacha laga yaar.......

Who Cares.....
  Send a message via Yahoo to Ek Ehsaas  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Radhika_2
RooH Se RooH Tak
Radhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Radhika_2's Avatar
 
Offline
Posts: 1,247
Join Date: Feb 2010
Location: Delhi
Rep Power: 53
8th March 2010, 01:41 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post

Majbooriyaa.N woh apni Chhipaane lage hain
Naa jaane kyon nazren Churaane lage hain

Kaunsa dard chhupa hai unke dil me
Ki sharm se garden Jhukaane lage hain

Apne honton par faili woh feeki muskurahat
Badi shiddat se yeh raaz Samjhaane lage hain

Unke chehre ka rang badalne laga hai
Woh sahme sahme se nazar Aane lage hain

Palkon pe aa jaate hai ashk jo unke
Palluu se apne Mitaane lage hain

Kaise jhanku.N main dil me unke
Yeh dard ab mujhe Sataane lage hain
ji maine yaha sabhi ki ghazal aur nazam padi,sabne bhaut aacha lekha hai,lekin mujhe ye ghazal auro se better lagi.......................jin sahab ya sahiba ki hai unko meri shubhkamna.

aur sabko bhi..............meri taraf se shubhkamnayen.

Radhika

Seene Me Zakham Utarey Chale Gaye
Jo Humpe Guzari Guzarey Chale Gaye

Woh Aayega Ek Din Milne Humse
Naam Uska Hi Pukarey Chale Gaye

E-mail : radhika.nm2@gmail.com

Last edited by Radhika_2; 8th March 2010 at 01:45 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
8th March 2010, 03:25 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Mere Mehboob,

sochta tha main kayee baar waqt-e-faarig mein,
koi hoga jo mujhe dil se ruuh se pyaar karein,
mere hunar ko meri khaamiyoN ko bhi samjhe,
hum apne aap ko ek duuje main shumaar karein.

* waqt-e-faariq=free time.
* shumaar=include.

woh agar aayegi ghar choR ke mere ghar mein,
tau ghar se zyaada mein dil mein use basaaonga,
khushi ho ghum ho, kam-o-besh, sehet, bimaari,
**Ke Jabb "Qabool" kahaa hai tau sabb nibhaaoonga.

kam-o-besh= less or more.
** Refers to uttering the word (Qabool) at the time of Nikaah.

Ya khuda kaunsa Sawaab mere kaam aayaa,
ke mere naam se juDne sanam ka naam aayaa,
woh jab se aaya hai tau zindagi ne karwaT li,
mere kiss kaam ka itna haseen daam aayaa?

Rakhoon khayaal iss tarha "Mere Mehboob" tera,
Ke mujhe aur mere hone ko tu pyaar kare.
na maange tu mere Ghar se dafaa hone ki duaa,
Mere Ghar lauT ke aane ka intezaar kare.

Mere mehboob teri baat titleeyoN jaisee,
Mere mehboob tera jism chaman jaisa hai.
Teri muskaan jo maathe ke bal miTaaye tau,
Tera roothna bhi meethi chubhan jaisa hai.

Mere Mehboob BuDhaapa hamaara aayega,
Milaake haath jawaani se muskuraayega,
Jawaani duurr talak yaad humko aayegi,
Hamaara pyaar magar JaavidaaN kehlaayega.

Meri Hasrat hai tujhse pehle khuda se milkar,
Tere aane se pehle saara intezaam karoon,
ke jaise khalq mera tune khusgawaar kiya.
main bhi koshish koi choti si tau na-kaam karoon.

Khalq=world.
khushgawaar=pleasent/happy.

Hatss offfffffffffffffff
to u

plz ise baad mai fir se post karna
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
all d best
Old
  (#16)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up all d best - 8th March 2010, 04:08 PM

hmmm..............kya khoob likha hai sabne, hume to sabke ahsaas bahut acche lage, mahboob ki baat ho aur ahsaasoN ki kami rah jaye aisa kaise ho sakta hai.
hamara vote jata hai
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
abhi naam nahi batauNgi
dil to kar raha hai sabko hi vote kar dooN NAAZ ki tarah, par........!

sabhi participants ko hamari shub-kaamnaye
duaon ke saath

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#17)
noor_noor
Registered User
noor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 545
Join Date: Feb 2009
Rep Power: 25
9th March 2010, 02:46 PM

is baar saari ghzlon ke matle bhut hi shaandaar hain phir bhi jo mujhse sabse acha laga usko vote kia hai, mashallah se sabhi ne bhut acha likha hai, best of luck to all participants

aslam

you.n na samjhoge kinare pe khade rehkar tum
behta dariya hu.n mujhy haath se choo kar daikho
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
rajinderseep
Registered User
rajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud of
 
Offline
Posts: 748
Join Date: Oct 2009
Location: new york U.S.A.
Rep Power: 28
11th March 2010, 06:29 AM

GazleiN sab ki achi hein.sab ne kafi mehnat ki lagta hai.maine dekha kuch dostoN ne multiple voting ki hai unki apni rai hai.main tou kisi ek ko hi vote karna behtar samjhta hoon.sab writers behtar hein Bhagwan sab ko buland karay.
haan mujhe jo sab se adhik pasand aai hai usay vote hazir hai.jisne bhi yeh gazal likhi hai usay bahut bahut shubhkaamnai.Gazal ka pehla hi sher bahut badia hai.

( originally posted by Zainy ji )
Majbooriyaa.N woh apni Chhipaane lage hain
Naa jaane kyon nazren Churaane lage hain.

good luck
rajinderseep
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
12th March 2010, 06:31 PM

VOTES PLZZZZZZZZZZZZZZZ...............................

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com