i have posted this same shayri in another forum too and i am posting it here also.......this one is for a friend of mine..i wrote this on her.....
chahte hain tumhe bahut
par kabhi keh na payenge
marte hain tumhi pe
tumhare bina jee na payenge
sochte hain tumhe hi har ghadi
par kabhi bayaan na kar payenge
baatein karte hain bas tumhari
par tumhe kabhi bata na payenge
chahte hain ki izhaar tum karo
tumhare izhaar ko hum inkaar na kar payenge
hamari nazarein to dil ka haal bayaan karti hai
par kya kabhi aap inhe padh payenge
sapno main bhi paate hain bas tumhi ko
par kya ye kabhi saakar ho payenge
mann main hamesha ye sawaal rehte hain
kya inke jawaab hamein kabhi mil payenge??