Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
>> har insaan ko insaan ka pyar nahi milata..
Old
  (#1)
heart_killer
अंदाज़-ए-बयां शायराना है
heart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud of
 
heart_killer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,173
Join Date: Mar 2009
Location: Bilaspur
Rep Power: 28
>> har insaan ko insaan ka pyar nahi milata.. - 21st June 2009, 02:38 PM

Har raat ko chand ka sringar nahi milata
Har dali ko phooloN ka pyar nahi milata

Armaan bahut hoote hain iss dil meiN par
Har kisi ko man chaha sansar nahi milata

KashtiyaN to bahut phirti haiN lehroN meiN
Har kashti ko kinarooN ka pyar nahi milata

AshiyaN bikhar jate haiN halke jhokooN se
Har kisi ko chin sa atut deewar nahi milata

Ye jeeavan khatooN se bhara ek gulab haiN
Yaha har gale ko phooloN ka haar nahi milata

Geet bahut hote hain hontooN par jeevan ke
Har geet ko mukmmal saaz or dhar nahi milata

himmat tut jati hain,fariyad tukra dii jati hain
yaha har kisi ko Bhagwan ka dawar nahi milata

Ye zindagi chhalawa haiN, ek dikhawa haiN
Yaha kabi kisi ko ek sachaa yaar nahi milata

Humne bhi yehi soch kar sabr kar liya haiN OMi
k yaha har insaan ko insaan ka pyar nahi milata

bY-- OMi


Ek InteZaar si ban gayi hai Zindagi,
Har pal tere aane ki Aash mein.......

Last edited by heart_killer; 21st June 2009 at 02:43 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
khanak
Registered User
khanak has a spectacular aura aboutkhanak has a spectacular aura aboutkhanak has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 310
Join Date: Mar 2009
Location: gujrat
Rep Power: 0
21st June 2009, 07:21 PM

wow omi.................. kyaa likha hai tussi ne........ dil khush kar ditta
mazaa aa gayi......... very nice
keep up ur work
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
heart_killer
अंदाज़-ए-बयां शायराना है
heart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud of
 
heart_killer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,173
Join Date: Mar 2009
Location: Bilaspur
Rep Power: 28
22nd June 2009, 01:14 AM

thx alot gal...

tumhari tareef dekh k energy aa jati hai..lol
keep doing job of Glucose..the energy drink.. haha..lol

well.. thx again..swetieee..

Quote:
Originally Posted by khanak View Post
wow omi.................. kyaa likha hai tussi ne........ dil khush kar ditta
mazaa aa gayi......... very nice
keep up ur work


Ek InteZaar si ban gayi hai Zindagi,
Har pal tere aane ki Aash mein.......
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
rohit.rks9986
rks
rohit.rks9986 is on a distinguished road
 
rohit.rks9986's Avatar
 
Offline
Posts: 42
Join Date: Jun 2009
Location: pune
Rep Power: 0
23rd June 2009, 05:35 PM

Hey bhai..

wow... u wrote awesumly.... gr8 man... u hav done superb jOb..
i really love it.. keep it up my bro..

ur the best...


i m Rohit...


   
Reply With Quote
Old
  (#5)
pinki patel
Registered User
pinki patel is on a distinguished road
 
pinki patel's Avatar
 
Offline
Posts: 7
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 0
23rd June 2009, 06:37 PM

Har kisi ko man chaha sansar nahi milata
omi, aapne sahi kahaa he...
yahaa har kisiko apni chaaht ka kaha kuchh miltaahe
jo milataahe use hi chaahat banana padtahe.


Aakhen kholu to chehra tumhara ho,
Band karu to sapna tumhara ho,
Maar bhi jau to koi gam nahi,
Agar kafan ke badle parchhae tumhari ho.
...............pinki


patel...

Last edited by pinki patel; 23rd June 2009 at 06:39 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
23rd June 2009, 10:47 PM

Hey Bhai how are you?

Kya Baat hai Omi Bhai chupke se aate ho aur gazal post kerke nikal jate ho...
Chalte chalte dekha to socha kuch main hi mutalba ker lun is kalam ka....

yeh meri Rai hai bura na lage isliye pahele hi bata raha huN.....

Har raat ko chand ka sringar nahi milata
Har dali ko phooloN ka pyar nahi milata

Bhaiyeh sher ke maynii hi sahi nahi bante..........
mere khayal se har raat ko chand ka sringar milta hai aur shayad kuch kuch hi raaten aisi hogi jisko chand naseb nahi hota...
Aur dusrii line bhi gala hui mere khayal se......
kyunki shayad hi jahan mein aisa koi ped ho jis per koi phool hi nahi khilta ho... may be ek adh ho sakta hai but sabhi nahi.........

Armaan bahut hoote hain iss dil meiN par
Har kisi ko man chaha sansar nahi milata
SuperB bahut achcha laga............

KashtiyaN to bahut phirti haiN lehroN meiN
Har kashti ko kinarooN ka pyar nahi milata

Sher phir galat hua hai may be agar aap yahan sabhi bhi use karte to baat nahi banti coz sabhi kashtiyan kinaoon se hi lehron per jaate hai...

AshiyaN bikhar jate haiN halke jhokooN se
Har kisi ko chin sa atut deewar nahi milata

Achcha hai thoda aur achcha ho sakta tha...

Ye jeeavan khatooN se bhara ek gulab haiN
Yaha har gale ko phooloN ka haar nahi milata

Kya baat hai bahut khoob daad..........

Geet bahut hote hain hontooN par jeevan ke
Har geet ko mukmmal saaz or dhar nahi milata

First line thik hai but second wali mein gadbad... geet ko saaz aur taal main to tolte hua dekha hai but dhar mein paheli baar aur aisa tola bhi jata hai paa nahi..

himmat tut jati hain,fariyad tukra dii jati hain
yaha har kisi ko Bhagwan ka dawar nahi milata

BHai Bhagwan ka dwar har kisi ke liye khula hai aur shayad Bhagwan se mangne ke liye Bhagwan ke dwar jana itna bhi zaruri nahi hai......

Ye zindagi chhalawa haiN, ek dikhawa haiN
Yaha kabi kisi ko ek sachaa yaar nahi milata

Bhai yahan dono bhi baaton se sehmat hun, but yeh to taqdeer ki baat hai..

Humne bhi yehi soch kar sabr kar liya haiN OMi
k yaha har insaan ko insaan ka pyar nahi milata

Hmm Bhai yeh to shayad munkin bhi nahi ke har insaan ko insaan ka pyar mile bhi...

To Bhai aapki puri post ka jawab to aap dekh chuke Bhai main bus yehi kehna chahata hun ke koyibhi sher likho to usko reality main bhi tolo ke woh kina sahi hai...

Bus aur kya kahun.. aage se dhyan rakhana...

Apna khayal rakhana.....
Khuda Hafez..


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#7)
heart_killer
अंदाज़-ए-बयां शायराना है
heart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud of
 
heart_killer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,173
Join Date: Mar 2009
Location: Bilaspur
Rep Power: 28
24th June 2009, 03:11 PM

hey sameer...

dude, m really glad 2 hav ur comment... y shud i feel bad yaar..
tumhare comment dekh k lagta haiN..tumne bahut dhyan se pada hai ye..

chalo kisi ne to real commet add kiya... wo bi bIna tarifoo k..

i really like it dude..

and yeh... i really like to answers ur crities bt later..

1st i wud like to ask u One que..\

ek word "Sansar " ka meaning kya hain... i mean
wot do u undersatnd by dis word.. ?


Ek InteZaar si ban gayi hai Zindagi,
Har pal tere aane ki Aash mein.......
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
24th June 2009, 03:57 PM

Quote:
Originally Posted by heart_killer View Post
hey sameer...

dude, m really glad 2 hav ur comment... y shud i feel bad yaar..
tumhare comment dekh k lagta haiN..tumne bahut dhyan se pada hai ye..

chalo kisi ne to real commet add kiya... wo bi bIna tarifoo k..

i really like it dude..

and yeh... i really like to answers ur crities bt later..

1st i wud like to ask u One que..\

ek word "Sansar " ka meaning kya hain... i mean
wot do u undersatnd by dis word.. ?
Hey Dear don't get tension.......shayad main tariff to kiya hun tum dekhe nahi ho..

Ok "Sansar" ke meaning ab main kya batauN bhai........
Yeh word hi aisa hai jisme har zara sama jata hai.........
Choti soch walon ke liye yeh kewal apni ghar grahsti hi usi ko woh sansaar manta hai... but usse jyad sonchne wala apni soch se pruthvi ko sansar kahenga....

But ek shayar ki soch main Sansar agar kahun to har cheez zameen aasman, chand tare,
suraj sayaare sabhi sansar ka hissa hai avaM......... Shayar manav danav Bhagwan ko bhi sansar ka hissa bana leta hai.................

Aab aapki soch kya kehti hai isper aapka sansar nirbhar hai........

Waise aapke is sawal ka raaz main thada late jana hun agar aap aapki is post per jo main khamiyan nikali hai uske mutabik jaanne chahte hai to phir bhai aapka yeh sawal hi galat hai........ kyunki main aapke sansar main khami nahi dikayi hai aapke bayan karne main khami dikhayi hai.......

Ok dude chill out.... don't think about that if you think it's wroung.......
Waise bhi kabhi kisi ki soch ek si nahi hoti...


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#9)
heart_killer
अंदाज़-ए-बयां शायराना है
heart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud of
 
heart_killer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,173
Join Date: Mar 2009
Location: Bilaspur
Rep Power: 28
Smile 26th June 2009, 11:18 PM

Naa naa buddy... y shud i ???
tension aur mera koi connection nahi hain.. lolzz
actully tension tum ne leli..

anyways... same as be4, i wud lyk 2 say thx 2 u.. for dis real comment..

" TariFe insaaN ko kamiYa chupaNe ka mauka deti haiN, aur critics inSaan ko kamiya pehchaan k aage badne Ka "

so it was really nice 2 hav ur comment..


Quote:
Originally Posted by kwahish View Post
Hey Dear don't get tension.......shayad main tariff to kiya hun tum dekhe nahi ho..

Ok "Sansar" ke meaning ab main kya batauN bhai........
Yeh word hi aisa hai jisme har zara sama jata hai.........
Choti soch walon ke liye yeh kewal apni ghar grahsti hi usi ko woh sansaar manta hai... but usse jyad sonchne wala apni soch se pruthvi ko sansar kahenga....

But ek shayar ki soch main Sansar agar kahun to har cheez zameen aasman, chand tare,
suraj sayaare sabhi sansar ka hissa hai avaM......... Shayar manav danav Bhagwan ko bhi sansar ka hissa bana leta hai.................

Aab aapki soch kya kehti hai isper aapka sansar nirbhar hai........

Waise aapke is sawal ka raaz main thada late jana hun agar aap aapki is post per jo main khamiyan nikali hai uske mutabik jaanne chahte hai to phir bhai aapka yeh sawal hi galat hai........ kyunki main aapke sansar main khami nahi dikayi hai aapke bayan karne main khami dikhayi hai.......

Ok dude chill out.... don't think about that if you think it's wroung.......
Waise bhi kabhi kisi ki soch ek si nahi hoti...


Ek InteZaar si ban gayi hai Zindagi,
Har pal tere aane ki Aash mein.......
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
heart_killer
अंदाज़-ए-बयां शायराना है
heart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud of
 
heart_killer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,173
Join Date: Mar 2009
Location: Bilaspur
Rep Power: 28
26th June 2009, 11:54 PM

Hey Sameer,
now its tym 2 ans ur thots..

Quote:
Bhaiyeh sher ke maynii hi sahi nahi bante.......... mere khayal se har raat ko chand ka sringar milta hai aur shayad kuch kuch hi raaten aisi hogi jisko chand naseb nahi hota... Aur dusrii line bhi gala hui mere khayal se...... kyunki shayad hi jahan mein aisa koi ped ho jis per koi phool hi nahi khilta ho... may be ek adh ho sakta hai but sabhi nahi.........


yaar baat to tumne ek dam pate ki kahi.. bt ek baat kaho..

"Glass meiN half paNi hain aur glass half khali meiN kya farkh haiN ?? "
nothing naa..

soo
Har raat ko chand ka sringar nahi milata aur kuch raat ko chand ka sringar nahi milata mein kya farkh haiN ??
may 75% nyts was lighted by moon bt nt all naa ?? der is 25% possibilty naa ..soo wots da game buddy ???

same for the next line.. waha bi yehi hain..

Quote:
Sher phir galat hua hai may be agar aap yahan sabhi bhi use karte to baat nahi banti coz sabhi kashtiyan kinaoon se hi lehron per jaate hai...


Dost jara gaur se padiye.. maine kaha hain.. kastiyaan to bahut phirati hain leharooN mein, par har kasti ko kinarooN ka pyar nahi miltaa..

yeh unn kastiyOOn k liye thaa jo samundar meiN chale too jate haiN bt aapni mazeel ka pata nahi dund paati.. i meant joo beech rastooN meiN khoo jate haiN..


Quote:
First line thik hai but second wali mein gadbad... geet ko saaz aur taal main to tolte hua dekha hai but dhar mein paheli baar aur aisa tola bhi jata hai pata nahi..


Mere dosT... lagta haiN aapne kuch jayda hi gaur se pad liya..
here dhar means to ek mukmmal " lay aur aawaz " .. jaise ki paani ki bhi dhar hoti hain dat is " Flow " aur yaha dhar ka use flow k liye hi hua tha.. joo aap samjh nahi paaye..

Quote:
BHai Bhagwan ka dwar har kisi ke liye khula hai aur shayad Bhagwan se mangne ke liye Bhagwan ke dwar jana itna bhi zaruri nahi hai......
Mere pyare doSt.. kahi to aapne baat pate ki..bt shayd aap k critics meiN and sawalon mein kuch condradiction hain..
maine yaha " dwar " word ka use as a " Fulfillment " kiya haiN..
bhagwan k dwar ka matlab hota haiN..insaan Ki har ikchha puri karne wali jagah.. dats wot i meant here..

Quote:
Bhai yahan dono bhi baaton se sehmat hun, but yeh to taqdeer ki baat hai..
Dost..iss dunIya meiN insaan ek dusare k sath sirf aapne matlab k liye hain..
har kisi ko ek dusare k jaroorat haiN..
yaha koi bhi cheez ek dusare k sath bIna matlab k nahi hain.. jara gaur karke dekho..

So dost.. i hope tum meri batooN ka bura nahi manoge.. i was only trying to clear myself.. ki maine kin baatooN ko dhyan mein rakh kar yeh sab likh tha..

anyways.. it was my pleasure to hav ur words..

take care..

-- OMI


Ek InteZaar si ban gayi hai Zindagi,
Har pal tere aane ki Aash mein.......

Last edited by heart_killer; 26th June 2009 at 11:59 PM..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com