Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ek taazaa ghazal..................gulab ka rang
Old
  (#1)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
ek taazaa ghazal..................gulab ka rang - 8th May 2005, 01:28 AM

Salaam

ahl-e-mehfil ko Safiya ka aadaab,

ek aur taazaa ghazal aap ki khidmat me pesh kar rahi hoon, umeed karti hooN ke aap humesha ki tarah is pe bhi apni nazr-e-inayat karke ise izzat baqshenge.

Ye ghazal meyne apne ek bhai ki mushkil hal karne ke liye likhi thi ab ye un sabhi bhaiiyoN ke liye kaam aa sakti haiy, jinhe kisi se mohabbat ho gayi haiy magar iz`haar nahi kar paa rahe`N hain.

ishq ka iz`haar karna zara mushkil hota haiy, is baat me koee shak nahi. to mey aapko bhi vohi mashvaraa doongi jo meyne apne bhaii ko diya, ke dil ki baat ghazal ki shaql me bhej do, phir dekho ke alfaazoN ki nakkashi kya kamaal dikhaati hai.



teri furqat me tere khwaab ka rang
ek chehraa bana gulaab ka rang

koee jachta nahi haiy aankhoN me
jab se dekha tere shabaab ka rang

taaj bhi tujh ko dekh sharmaaye
sang-e-marmar sa aabtaab ka rang

aayii shehraa me phoolOn ki khoosbu
zarre zarre pe tha saraab ka rang

zulf khoolne se shaam hone lagii
dhal gayaa jeyse aaftaab ka rang

haay ye parda-nasheeno ki hansee
khilkhilaata huva naqaab ka rang

meyne baDkar jo haath thaam liya
surkh sa ho gaya janaab ka rang

bas yehi dar mere sawaaloN ko
keysa hoga tere jawaab ka rang

in andheroN ko alvida keh dooN
mujhko mil jaaye maahtaab ka rang

bin peeye mey nashe me rehtaa hooN
teri ulfat haiy ya sharaab ka rang

teri khaamoshi se nahi shikvaa
dikh raha haiy tere hijaab ka rang

aaj bhar dooN mey maang taaro se
ishq mera nahi hubaab ka rang

mauj-e-darya ne le liya aakhir
ek thehre huve taalaab ka rang

kyun "shamaa" roz roz jaltii ho
shaam kyun bangayi aazaab ka rang

aapki aasaani ke liye kuch maayine:

FURQAT= JUDAAII, TAAJ= TAAJMAHAL,AAB-TAAB= beauty elegance
SARAAB=MIRAGE, AAFTAAB= SUN, MAAHTAAB= MOON,
HUBAAB= BUBBLE.

aap sab ki aaraa ka be-sabri se intezaar rahegaa

aapki apni

SAFIYA..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
8th May 2005, 10:50 AM

Adaab Safiya Ji,

Maan gaye Safiya Ji, aaj toh bohot hi sunahri mehfil sajaayi hai aapne. Ha shayad aksar pyar ki kahaniya adhuri reh jaati hai kyu ke aashiq izhaar ki himmat nahi juta paate. Yeh lines shayad un ki sab se badi kamzori ka izhaar karti hai:

bas yehi dar mere sawaaloN ko
keysa hoga tere jawaab ka rang

Bohot khoob. Har baar ki tarha ek bilkul hi umda kalaam.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
8th May 2005, 12:36 PM

Quote:
Originally posted by candyboy
Adaab Safiya Ji,

Maan gaye Safiya Ji, aaj toh bohot hi sunahri mehfil sajaayi hai aapne. Ha shayad aksar pyar ki kahaniya adhuri reh jaati hai kyu ke aashiq izhaar ki himmat nahi juta paate. Yeh lines shayad un ki sab se badi kamzori ka izhaar karti hai:

bas yehi dar mere sawaaloN ko
keysa hoga tere jawaab ka rang

Bohot khoob. Har baar ki tarha ek bilkul hi umda kalaam.
Salim sahab,

mehfil bhi aapki aur isme rang bhi aap hi se sajtaa haiy. ab agar ye ghazal yahaan paRi rahe aur ise koee na dekhe to phir aap hi bataayeN ki kya acchi aur kyaa buri.
to jeyse shayer ghazal ko roop detaa haiy veyse hi sunne waale aur samajhne waale isme jaan phoonk kar ise be-jaan se jaandaar banaa deteN hain.

ji aapne bajaa farmaaya ki ghazal ka ye sheyr aashikoN ki kamzori ko dhyaan me rakh kar hi likha haiy, kyunki iz`haar na kar paane ki asal vajah yehi hoti haiy ke jawaab ka dar hota haiy.
lekin ye ghazal jinke liye likhi gayee thi unhone to ise paRne ke baad "haaN" me jawaab diyaa haiy aur bhai hain ke bas phoole nahi samaa rahe.
to ab yakeen ho chala haiy ki koee bhi laRki apni itni taareef aur kisi ka ye haal sun kar naa nahi kahegi, dar-asal hume HUSN ki kamzori ka bhi accha khaasa andaaza haiy, aakhir hum usi qaom se hain.

ghazal ki taareef ke liye bohot bohot shukriya

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
8th May 2005, 12:56 PM

bas yehi dar mere sawaaloN ko
keysa hoga tere jawaab ka rang

in andheroN ko alvida keh dooN
mujhko mil jaaye maahtaab ka rang


Kya Baat hai Safiya jee...!

Bahot khuub! Lutf aa gaya aapki yeh nazm padhkar....lol hmmn...aap tau husn kee kamzori ko khuub samajhti hain...isi tarah dil fareyb kalaam hamare saamne laati rahein...

daad kabuul farmaayein...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
8th May 2005, 01:03 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
bas yehi dar mere sawaaloN ko
keysa hoga tere jawaab ka rang

in andheroN ko alvida keh dooN
mujhko mil jaaye maahtaab ka rang


Kya Baat hai Safiya jee...!

Bahot khuub! Lutf aa gaya aapki yeh nazm padhkar....lol hmmn...aap tau husn kee kamzori ko khuub samajhti hain...isi tarah dil fareyb kalaam hamare saamne laati rahein...

daad kabuul farmaayein...

paras
pyaari pyaari Paras

aapka jawaab dekh kar humesha hi baRi khushi hoti haiy, ghazal aapko pasand aayee samjheN mehnat vasool ho gayee,

ab aap kahengi ke ghazal likhne me bhalaa kya mehnat lagti hogi, haan amooman to eysaa nahi hota magar peechle 4 maheene se tabiyat zaraa naa-saaz haiy, slip-disc ki shaiqayat haiy, isi vajah se ziyada der beythna bohot mushkil saabit hota haiy. aur hume aadat haiy ki hum pc per beth kar hi likhteN hain.

lekin aap logon se ye pyaar bhari taareef ki umeed hi hume baar baar yahaan kheench laati hai, aur dard bhi dard nahi laghta.

aapki behad mamnoon
Safiya...
   
Reply With Quote
Re: ek taazaa ghazal..................gulab ka rang
Old
  (#6)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
Re: ek taazaa ghazal..................gulab ka rang - 8th May 2005, 01:06 PM


teri furqat me tere khwaab ka rang
ek chehraa bana gulaab ka rang

koee jachta nahi haiy aankhoN me
jab se dekha tere shabaab ka rang


Bahut khoob....

taaj bhi tujh ko dekh sharmaaye
sang-e-marmar sa aabtaab ka rang

aayii shehraa me phoolOn ki khoosbu
zarre zarre pe tha saraab ka rang


wah kya baat hai

zulf khoolne se shaam hone lagii
dhal gayaa jeyse aaftaab ka rang

haay ye parda-nasheeno ki hansee
khilkhilaata huva naqaab ka rang


kya baat hai....good one...

meyne baDkar jo haath thaam liya
surkh sa ho gaya janaab ka rang

bas yehi dar mere sawaaloN ko
keysa hoga tere jawaab ka rang


oye....hoyye.....kya baat hai....

in andheroN ko alvida keh dooN
mujhko mil jaaye maahtaab ka rang

bin peeye mey nashe me rehtaa hooN
teri ulfat haiy ya sharaab ka rang


wah wah.....ab to rang chadhne laga hai aapki likhavat ka...

teri khaamoshi se nahi shikvaa
dikh raha haiy tere hijaab ka rang

aaj bhar dooN mey maang taaro se
ishq mera nahi hubaab ka rang


Wah wah....

mauj-e-darya ne le liya aakhir
ek thehre huve taalaab ka rang

kyun "shamaa" roz roz jaltii ho
shaam kyun bangayi aazaab ka rang


Uff.....wah....kya baat hai...

Safiya ji,

Bahut khoob likha hai aapne...
Yahan to kai ladke isko padhne ke baad.....soch rahe honge....hai meine kyon nahi likha aisa....apni mehbooba ke liye.... (Vaise un mien mein bhi shamil hoon.....)

Really very beautiful....

Keep writing....
Take Care
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Re: Re: ek taazaa ghazal..................gulab ka rang
Old
  (#7)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
Re: Re: ek taazaa ghazal..................gulab ka rang - 9th May 2005, 09:57 AM

Quote:
Originally posted by Rohin

teri furqat me tere khwaab ka rang
ek chehraa bana gulaab ka rang

koee jachta nahi haiy aankhoN me
jab se dekha tere shabaab ka rang


Bahut khoob....

taaj bhi tujh ko dekh sharmaaye
sang-e-marmar sa aabtaab ka rang

aayii shehraa me phoolOn ki khoosbu
zarre zarre pe tha saraab ka rang


wah kya baat hai

zulf khoolne se shaam hone lagii
dhal gayaa jeyse aaftaab ka rang

haay ye parda-nasheeno ki hansee
khilkhilaata huva naqaab ka rang


kya baat hai....good one...

meyne baDkar jo haath thaam liya
surkh sa ho gaya janaab ka rang

bas yehi dar mere sawaaloN ko
keysa hoga tere jawaab ka rang


oye....hoyye.....kya baat hai....

in andheroN ko alvida keh dooN
mujhko mil jaaye maahtaab ka rang

bin peeye mey nashe me rehtaa hooN
teri ulfat haiy ya sharaab ka rang


wah wah.....ab to rang chadhne laga hai aapki likhavat ka...

teri khaamoshi se nahi shikvaa
dikh raha haiy tere hijaab ka rang

aaj bhar dooN mey maang taaro se
ishq mera nahi hubaab ka rang


Wah wah....

mauj-e-darya ne le liya aakhir
ek thehre huve taalaab ka rang

kyun "shamaa" roz roz jaltii ho
shaam kyun bangayi aazaab ka rang


Uff.....wah....kya baat hai...

Safiya ji,

Bahut khoob likha hai aapne...
Yahan to kai ladke isko padhne ke baad.....soch rahe honge....hai meine kyon nahi likha aisa....apni mehbooba ke liye.... (Vaise un mien mein bhi shamil hoon.....)

Really very beautiful....

Keep writing....
Take Care
Rohin
Rohin bhai

bohot bohot shukriya, itna waqt nikaal kar ek ek sheyr par daad di haiy aapne, mey aapki behad manoon hoon.

ab to aap bhi mere bhaai hain, yuN samajh leN ki aapke liye hi likhi haiy, aap bhi ise apni mehbooba ke liye istemaal kar sakteN hain,, aur beshak hume credit bhi na deN , Aapka kaam ban jaaye yehi credit kaafi hoga.

once again thankz a lot
Safiya
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Aaj Ki Taazaa Khabar......! pooja_d Chit-Chat & General Discussion Forum 598 6th June 2010 08:29 PM
Rang Do Muujhko Apne Pyar Ke Rang Mein........ ranju bhatia Shayri-e-Ishq 3 14th March 2006 07:55 AM
ek taazaa ghazal............... gulaab ka rang Safiya Aapki Shayri 9 9th May 2005 09:29 PM
ek ghazal .......................gulaab ka rang Safiya Ghazal Section 0 8th May 2005 01:31 AM
teraa dar ho - ek taazaa ghazal Feroz Aapki Shayri 2 18th October 2002 06:49 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com