Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > English/Hindi/Other Languages Poetry > Hindi Kavitayen

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 4.67 average. Display Modes
Muhabbat mustakil gham hai..
Old
  (#41)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Muhabbat mustakil gham hai.. - 25th December 2008, 10:13 PM


Muhabbat dard ka sehra....
Muhabbat mustakil gham hai...
Muhabbat aik pachhtawa...
Muhabbat mustakil gham hai...

wohi dard e aashna aankhain
wohi betaab se aansoo...
wohi ik hijr ka darya....
Muhabbat mustakil gham hai...

wohi hai aabla e dil
wohi paon ke chhalay hain...
wohi kaanton bhara rasta....
Muhabbat mustakil gham hai...

wohi sargoshiyan gham ki
wohi rutt ruttjagon waali...
abhi tak kuch nahi badla...
Muhabbat mustakil gham hai...

wohi ham log deewane
wohi hai dard ka rasta
Muhabbat ka wohi soda....
Muhabbat mustakil gham hai...

Muhabbat dard hai jab....
dard dil main aan basta hai....
to phir dil se nahi jata.....
Muhabbat mustakil gham hai...

wohi dil dard ka tukda...
wohi shaam e judai hai....
kahin bhi kuch nahi badla....
Muhabbat mustakil gham hai...


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Dil sheeshey sa nazuk hota hai
Old
  (#42)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Dil sheeshey sa nazuk hota hai - 25th December 2008, 10:14 PM


Mat todne wali baat karo,
Dil sheeshey sa nazuk hota hai.

Ek thes lagi aur toot jata hai,
dil sheeshey sa nazuk hota hai.

Yaadein hain basi hoti is mein,
khwaabo ka ghar bhi hota hai,

Kuch gam se gamgeen hota hai,
kuch chahat ka asar bhi hota hai.

Ye phoolon sa jharh jata hai
Dil sheeshey sa naazuk hota hai.

Ahsaas hai dewaanepan ka,
Dil mein chupi har dhadkan ka.

Ek dil ki khaatir dhadkta hai,
Kya sajni ka kya sajan ka.

Choor choor ho jata hai
Dil sheeshey sa naazuk hota hai.

Iss dil ko chupa ke rakhna hai.
Seeney se laga ke rakhna hai.

Kahi tod na dein duniya waley,
Logo se bacha ke rakhna hai.

Ek thokar se bikhar jata hai
Dil sheeshey sa naazuk hota hai.



Divakar kumar

   
Reply With Quote
dekh lo khawab.
Old
  (#43)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love dekh lo khawab. - 25th December 2008, 10:15 PM


dekh lo khawab magar khawab ka charcha na karo
log jal jaayenge suraj ki tamanna na karo

vaqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo

kirchiyaan tuutay huwe aks ki chubh jaayengi
aur kuch roz abhi aaina dekha na karo

ajnabi lagne lagay khud tumhain apna hi wajood
apne din raat ko itna bhi akelaa na karo

khawab bachchon k khilonu ki tarha hote hain
khawab dekha na karo khawab dikhaya na karo

be_khayali main kabhi ungliyaan jal jaayengi
raakh guzre hue lamhon ki kureda na karo

mom k rishte hain garmi se pighal jaayenge
dhoop k shehar main ye tamasha na karo


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Koi ehsaas mehka sa meri saanson mein rehta hai.
Old
  (#44)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Koi ehsaas mehka sa meri saanson mein rehta hai. - 25th December 2008, 10:16 PM

Koi dhundla sa ek chehra meri aankhon mein rehta hai,

Koi bhatka sa ek Jugnu mere khawabon mein rehta hai..


..Ek masoom si awaz mujhe sone nahi deti,

Koi uljha sa ek jumla meri yaadon mein rehta hai..


..Hai kiske shabnami anchal ki khushboo ab talak mujh mein,

Koi ehsaas mehka sa meri saanson mein rehta hai..


..Mujhe khud par nahi kabu na main kuch bol sakta hu,

Ashar yeh kiske lafzon ka meri baaton mein rehta hai..


..December ki khunak raatain mujhe bechain rakhti hai,

Lamas ka ek haath ab tak meri socho mein rehta hai..


..Hai dil bhi muztarib, ehsaas bhi, socho ki uljhan bhi,

Yeh kis ki aankh ka aansoo meri aankhon mein rehta hai..


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Muhabbat gumm (Lost) nahi hoti
Old
  (#45)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Muhabbat gumm (Lost) nahi hoti - 26th December 2008, 10:15 AM


Muhabbat gumm nahi hoti
Yeh bas shaklain badalti hai
Kabhi ghairon se hoti hai
Kabhi apnon se hoti hai
Kabhi maanoos chehron se
Kabhi sapnon se hoti hai

Kabhi mehboob se aur phir
Kabhi weraan raahon se
Kabhi ujde hue lamhon ki bahon se
Kabhi basti, mohalle aur gaon se
Kabhi pattjhad kabhi sawan
Kabhi phir dhoop, chhaaon se

Kabhi apne azizon se
Kabhi ghar main rakhi bejaan cheezon se
Kabhi rangeen khawbon se
Kabhi bekal khayalon se
Kabhi mehboob ke saare hawalon se

Kabhi laila
Kabhi sheereen
Kabhi sassi ki moorat main
Kabhi majnoo
Kabhi farhaad
Kabhi punnoo ki soorat main
Kabhi ye saath chalti hai
Kabhi raste badalti hai
Magar phir bhi…
Muhabbat gumm nahi hoti

Kabhi dil main samati hai
Kabhi har soo yakayak phail jati hai
Yeh har mosam…..har lamha….
Hamare gird hi mojood rehti hai

Kabhi pal main simat-ti hai
Kabhi sadyon main dhalti hai
Muhabbat gumm nahi hoti
Yeh bas shaklain badalti hai…….



Divakar kumar

   
Reply With Quote
Möhäßßät
Old
  (#46)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Möhäßßät - 26th December 2008, 10:18 AM

mohabbat tark kii main ne garebaan sii liyaa main ne
zamaane ab to Khush ho zahar ye bhii pii liyaa main ne



abhii zindaa huunlekin sochataa rahataa huun Khalvat mei
ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jii liyaa main ne



unhei apanaa nahiin sakataa magar itanaa bhii kyaa kam hai
ki kuchh muddat hasiin Khvaabon mei kho kar jii liyaa main ne



bas ab to daaman-e-dil chhor o bekaar ummiido
bahut dukh sah liye main ne bahut din jii liyaa main ne


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Mäïn Tö Möhäßßät Höön !
Old
  (#47)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Mäïn Tö Möhäßßät Höön ! - 26th December 2008, 10:20 AM

Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Khwab,ibaarat, hawa ki tarah
Chand,boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay .......
MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN !!!


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Muhabbat zaat hoti hai
Old
  (#48)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Muhabbat zaat hoti hai - 26th December 2008, 10:21 AM


Muhabbat zaat hoti hai....
Muhabbat zaat ki takmeel hoti hai
Koi jangal main ja thehre
kisi basti main bas jae
Muhabbat saath hoti hai

Muabbat khushbuon ki mae
Muhabbat mosmon ki dhunn
Muhabbat gulshanon ka dhann
Muhabbat aabsharon ke nikharte paanion ka mann
Muhabbat jangalon main raks karti morni ka tann
Muhabbat barf padti sardiyon main dhoop banti hai

Muhabbat chalchalaate garm sehraon main thandi chhaon ki manind
Muhabbat ajnabi dunya main apne gaon ki manind
Muhabbat DIL
Muhabbat Jaan
Muahabbat rooh ka darmaan

Muhabbat moorti hai......
aur......... ..
jo kabi dil ke mandir main kahin per toot jae to......
Muhabbat kaanch ki gudia.
Fizaon main kisi ke haath se ghir kr toot jae to........
Muhabbat aabla hai karb ka.
aur phoot jae to.

Muhabbat rog hoti hai
Muhabbat sog hoti hai
Muhabbat shaam hoti hai
Muhabbat raat hoti hai
Muhabbat jhilmilati aankh main barsaat hoti hai

Muhabbat neend ki rutt main........
Haseen khawbon ke raste per....
Sullagte jaan ko aate.....
Ruttjagon ki ghaat hoti hai
Muhabbat jeet hoti hai
Muhabbat maat hoti hai
Muhabbat zaat hoti hai.........


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Tum bhi zamanay walay ho
Old
  (#49)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Tum bhi zamanay walay ho - 26th December 2008, 10:23 AM

Is say pehlay keh main derwaza kholoon, kuch boloon
Afwaahon ki gard main liptay
Zeher alood mohabbat naamay liye huay tum
Udhray huay rishton kay jaalay siye huay tum
Mujh main aan samaaye
Main rehnay kay liye bana hoon
Jo bhi aaye mujh main reh jaye
Mujhay sajaye
Jitna pyar karay utna sukh paaye
Tum say pehlay bhi kuch log yunhi aaye thay
Apnay andar mujh main tabdeeli kay khuab saja laye thay
Aur phir jis nay bhi jo ehd kia wo tor dia
Jis nay bhi jo baat ki wo rud ker di
Lekin tum nay to hud ker di
Meray din weeran huay hain
Meri subh kay chehray per kai rutoon kay zakhm lagay hain
Meri sham udaas khari hai
Meray ufaq pe sooraj lahoolahan para hai
Darwazon say mera aik aik raaz afsha hai
Meray sehen main dushmanon ki sazish ruqsaan hai
Suna hai ab is haal main
Mujh ko chor ke tum janay walay ho
Meray bahir beth ker
Meri yaad ka ghum khanay walay ho
Tum say aur umeed bhi kia thi
Tum bhi zamanay walay ho
Jub tuk ishq say ishq nahin milta
Tunha dukh sehna hai
Ghar ki fikr to us ko ho gi
Jis ko ghar main rehna hai.


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
Old
  (#50)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch - 27th December 2008, 11:38 AM


kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch !
dil se nikli hui honto mein dabi baat na pooch !
vo kis ada se mere saamne se guzra abhi
kis tarah maine sambhale mere jazbaat na pooch !
waqt jo badle toh insan badal jaate hai
kya kya nahin dikhlaate ye ... gardish-e-haalat na pooch !
vo kisi ka ho bhi gaya aur mujhe khabar na hui
kis tarah ussne chudaya hai mujhse haath na pooch !
iss tarah pal mein mujhe begana kar diya uss ne
kis tarah apno se khayi hai maine maat na pooch !
ab tera pyar nahin hai toh sanam kuch bhi nahin
kitni mushkil se bani thi dil ki qaynaat na pooch !


Divakar kumar

   
Reply With Quote
tujhse bicchaR ke
Old
  (#51)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love tujhse bicchaR ke - 27th December 2008, 11:40 AM


tujhse bicchaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye
phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye


phir yuN hu’aa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa
andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye


kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the
ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye


ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye


samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar
phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye


ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham
ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye


rote ho ek jaziira-e-jaaN ko “Faraz” tum
dekho to kitne shah’r samandar ke ho gaye



Divakar kumar

   
Reply With Quote
thoRii duur saath chalo
Old
  (#52)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love thoRii duur saath chalo - 27th December 2008, 11:41 AM

kaThin hai raahguzar thoRii duur saath chalo
bahut kaRaa hai safar thoRii duur saath chaalo


tamaam umr kahaaN ko’ii saath detaa hai
maiN jaantaa huuN magar thoRii duur saath chalo


nashe meN chuur huuN maiN bhii tumheN bhii hosh nahiiN
baRaa mazaa ho agar thoRii duur saath chalo


ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ghaniimat hai
kise hai kal kii Khabar, thoRii duur saath chalo


abhii to jaag rahe haiN chiraaGh raahoN ke
abhii hai duur sahar thoRii duur saath chalo


tavaaf-e-manzil- e-jaanaaN hameN bhii karnaa hai
“Faraz” tum bhii agar thoRii duur saath chalo



Divakar kumar

   
Reply With Quote
Jinhe dhoondte hain sapno main
Old
  (#53)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Jinhe dhoondte hain sapno main - 27th December 2008, 11:43 AM


Woh haqeeqat main nahi hai

Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai

Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain

Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Ek Pal Me Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhiye,
Old
  (#54)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Ek Pal Me Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhiye, - 27th December 2008, 11:44 AM



“Ek Pal Me Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhiye,
Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Poochhiye,

Bhule Hai Rafta Rafta…. Unhe Muddato Mai Hum,
Kisto me Khud Kushi Ka Maza Hum Se Poochhiye,

Agaz-E-Ashiqui Ka Maza Aap Jaaniye,
Anjam-E-Ashiqui Ka Maza Hum Se Poochhiye,

Hasne Ka Sauqh Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarha,
Hansiye Magar Hansi Ka Maza Hum Se Poochhiye,

Woh Jaan Hi Gaye K Humein Un Se “PYAR” Hai,
Phir bhi Aankho Chupane Ka Maza Hum Se Poochhiye”


Divakar kumar

   
Reply With Quote
कल आने की कहकर चल पड़े थे उस दिन चुपचाप
Old
  (#55)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love कल आने की कहकर चल पड़े थे उस दिन चुपचाप - 27th December 2008, 11:37 PM

कल आने की कहकर चल पड़े थे उस दिन चुपचाप
बरसो बीत गए है उस वादे को आज
आज भी कान उतने ही सतर्क है बरसो बाद
इंतज़ार करते कब हो दरवाज़े पे दस्तक की आवाज़
थक चुकी हैं आँखे रास्ता दूर तक देखकर
पर दिल नहीं थका गिनते एक एक पल प्यार
कितनी बसंत आई खिलाई अनेक बहार
पर फुल हमेशा रहा ग़मगीन गिनते इंतज़ार के पल
अनेक भवरोने लुभाना चाहा सुनाकर प्यारका दुलार
असमर्थ रहे वोह लाने फुल पे बहार की मुस्कान
पतझड़ के मौसम में बिखर गए पत्ते हज़ार
फुल ने सिमटकर संभाला अपना दामन
निर्जन पत्तो के बीच रही फुल की जान अडग
प्यार के अंकुर पे ना आने दी उसने कभी आंच
कहते है एहसास नहीं बुझते हो बसंत या पतझड़
चाहे बीते एक पल या सेंकडो पल बिन साथ
शायद इसीलिए लुभा ना पाए उसे भवरे हज़ार
ना ही बुझा पायी पतझड़ प्यार की लौ एक भी बार


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Jalaate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Old
  (#56)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Jalaate hai hum apne dil ko diye ki tarah - 28th December 2008, 05:18 PM

Jalaate hai hum apne dil ko diye ki tarah..
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye.
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale..
Teri Rahon main phool bhichane ke liye.

Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
Toot jaaye agar to judna mushkil hota hain.
Kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
Lekin dard ish cheez ka be-panah hota hain.

Aansu ko bahout samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Itne logo me apko tanha paate hai,
Isliye saath nibhane ko chale aate hai!

Darta hun kahin main pagal na ban jaaaun,
Teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban Jaaun,
Ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
Kuch der to oojhal ho jaya karo nazro se,
warna kahin main shayar na ban jaoin.

Palkon ke kinare humne bhigoye hi nahi,
Woh sochte hai ki hum roye hi nahi.
Woh poochte hai khwabon me kise dekhte ho,
Aur ek hum hai ki ek umr se soye hi nahi.



Divakar kumar

   
Reply With Quote
Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha.
Old
  (#57)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha. - 28th December 2008, 05:19 PM

Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha
Ho k juda bhi tu meri tanhaiyun main tha

Deewangee ko meri ishq mantay hain sab,
Ruswa tu bhi saath meri ruswaiyun main tha..

Ankhon say ansu'on k sath arman nikal gaye,
Yeh kaisa dard aaj in shehnaiyun main tha..

Tujh ko Pa k dil ko kabhi chain na mill saka,
Kitna sakoon haye un judaiyun main tha..

Fursat milay to dekh kabhi meri simt bhi,
Aasra tha tujh pay, teri khudaiyun pay tha..

Ban kay deewana aaj jo phirta hai darbadar,
Hai yaad kya tujhe tere shaidaiyun main tha..

Raton say main daron k neendon main a na jaye,
Subah bhi meri dhoop ki parchaiyun main tha..

Tu jis ka naam dill main basaye hai,
Badnaam wo gali gali harjaiyun main tha..


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Sunno
Old
  (#58)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Sunno - 28th December 2008, 05:20 PM


Sunno !



Aeysa nahin kartay

Jis dil may rehtay hain

Ussay tora nahin kartay

Bina jis kay na jee paiye

Ussay chora nahin kartay



Sunno !



Kuch dair rukh jao

Koi tadbeer kar laye gay

Jo saray khowaab dekhay hain

Unhay tabeer kar laye gay

Bina tere yeh jeewan hum

Kaho kaisay bitayain gay



Sunno !



Tum yaad aao gay

Tou bohat khud ko rulain gay



Sunno !



Jab dard hoga tou

Tarap kar mar hi jaye gay



Sunno !



Kuch dair rukh jao



Sunno !



Tum ab nahin jao


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Main sab kuch bhool jaungi
Old
  (#59)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Main sab kuch bhool jaungi - 28th December 2008, 05:22 PM

Suno!
Ye raaten aj kal kuch zyada hi lambi hen
Musalsal jagte rehna bada dushwar hai lekin
Na jane kyun neend aksar mujh se rooth jati hai.
Ye ratjage musalsal azaab hain
Lekin!
Jab tum milo ge main sab kuch bhool jaungi.

Suno!
Itna bara ye din, bahut heelay bahano se bhi kat paata nahi mujh se
Main bekal si kabhi is or kabhi us or phirti hoon
Bahut masroof rakhti hoon main khud ko
Magar tera tasawwar mujhy ghere hi rakhta hai.
Bahut dushwar hai jana'n ye din rat ka chakkar.
Magar!
Jab tum milo ge main sab kuch bhool jaungi.


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Jab Tu Paida Huwa
Old
  (#60)
dikumar2000
Divakar Kumar
dikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the roughdikumar2000 is a jewel in the rough
 
dikumar2000's Avatar
 
Offline
Posts: 425
Join Date: Apr 2007
Location: Ahmedabad, Gujarat
Rep Power: 20
Love Jab Tu Paida Huwa - 28th December 2008, 05:25 PM

b Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Soch Se Bhi Dur Tha...

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na They
Teri Ankhon Mein Duniya Ke Sapney Na They...

Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha...

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri...

Maa Ke Saaye Mein Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badhne Laga...

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya...

Zor-e- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga

Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga...

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayi
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi...

Ab Farayez Se Tu Dur Honay Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Boney Laga...

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulaney Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalaney Laga...

Baat Be Baat Unn Se Tu Ladney Laga
sabakh ek Naya Tu Phir Padhnay Laga...

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha ek Din
Ab Humara Guzara Nahin Tere Bin...

Sunn Ke Yeh Baat Tu Tayesh Mein Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya...


Josh Mein Aake Tu Ne Ye Maa Se Kaha
Mein Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha...

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chhod Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do...

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro...

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Huwa Na Asar...

Ek Din Baap tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar...

Phir Woh Bhi Bas kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi...

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya...

Ashk Ankhon Mein They Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi...

Ek Sukoon Us ke Chehre Pe Chhaney Laga
Phir Tu Maiyyat Ko Uski Sajaney Laga...

Muddatain Ho Gayi Aaj Boodha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe PaDa Bora Hai Tu...

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi...
Dard Mein Tu Pukare Ke "O MERI MAA"


TERE DAM SE HI ROSHAN THE DONO JAHAN...

Waqt Chalta Rehta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi...

Bann Ke Ibrat Ka Tu Ab Nishaan Reh Gaya
Dhoondh ab Zor Tera Kahan Reh Gaya...

Tu EHKAAM-E-RAB Bhulata Raha
APNE MAA-BAAP KO TU SATATA RAHA...
Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo...

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga...

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi...

Tu Jo Khaanse To Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe...

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Ban Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par...

QADAR MAA BAAP KI GAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE...

Aur Leta Rahe Woh BaDaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami KHUDA...

Yaad Rakhna har aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na REHMAT KI BARSAT Ko..........Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Soch Se Bhi Dur Tha...

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na They
Teri Ankhon Mein Duniya Ke Sapney Na They...

Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha...

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri...

Maa Ke Saaye Mein Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badhne Laga...

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya...

Zor-e- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga

Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga...

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayi
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi...

Ab Farayez Se Tu Dur Honay Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Boney Laga...

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulaney Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalaney Laga...

Baat Be Baat Unn Se Tu Ladney Laga
sabakh ek Naya Tu Phir Padhnay Laga...

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha ek Din
Ab Humara Guzara Nahin Tere Bin...

Sunn Ke Yeh Baat Tu Tayesh Mein Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya...


Josh Mein Aake Tu Ne Ye Maa Se Kaha
Mein Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha...

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chhod Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do...

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro...

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Huwa Na Asar...

Ek Din Baap tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar...

Phir Woh Bhi Bas kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi...

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya...

Ashk Ankhon Mein They Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi...

Ek Sukoon Us ke Chehre Pe Chhaney Laga
Phir Tu Maiyyat Ko Uski Sajaney Laga...

Muddatain Ho Gayi Aaj Boodha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe PaDa Bora Hai Tu...

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi...
Dard Mein Tu Pukare Ke "O MERI MAA"


TERE DAM SE HI ROSHAN THE DONO JAHAN...

Waqt Chalta Rehta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi...

Bann Ke Ibrat Ka Tu Ab Nishaan Reh Gaya
Dhoondh ab Zor Tera Kahan Reh Gaya...

Tu EHKAAM-E-RAB Bhulata Raha
APNE MAA-BAAP KO TU SATATA RAHA...
Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo...

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga...

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi...

Tu Jo Khaanse To Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe...

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Ban Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par...

QADAR MAA BAAP KI GAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE...

Aur Leta Rahe Woh BaDaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami KHUDA...

Yaad Rakhna har aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na REHMAT KI BARSAT Ko..........


Divakar kumar

   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
un main hee jeete rahenge raat din un main hee marte rahenge raat din masoomshayer Shayri-e-Dard 14 28th April 2006 07:41 AM
Tumhare khat mein anil_tantia Ghazal Section 0 9th January 2004 11:20 PM
Tumhare khat mein anil_tantia Ghazal Section 0 9th January 2004 11:14 PM
aasmaa(n) ko teri shaan mein jhukaa doonga main sher_e_yusuf Shayri-e-Ishq 2 16th January 2002 10:25 PM
tumhare khat mein sagar29in Shayri-e-Dard 2 16th July 2001 03:22 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com