Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
*Kuchh To Ehsaas~~~Nasir Kazmi Jee**
Old
  (#1)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
*Kuchh To Ehsaas~~~Nasir Kazmi Jee** - 18th January 2006, 04:36 AM

Kuchh To Ehsaas-e-ZiyaaN Thaa Pehle
Dil Kaa Ye Haal KahaaN Thaa Pehle

Ab To Manzil Bhii Hain Khud Garm-e-Safar
Harr Qadam Sang-e-NishaaN Thaa Pehle

Safar-e-Shauq Ke Far_Sang Na Pouchh
Waqt Beqaid-e-MakaaN Thaa Pehle

Ye Alag Baat Ki Gham Raas Hain Ab
Iss Mein Andeshaa-e-JaaN Thaa Pehle

YouN Na Ghabraaye Houe Phirte Thhe
Dil Ajab Kunj-e-AmaaN Thaa Pehle

Ab Bhii Tuu Paas Nahiin Hai Lekin
Iss Qadar Dour KahaaN Thaa Pehle

Dere Daale Hain Bagolon Ne JahaaN
Uss Taraf Chashm-e-RavaaN Thaa Pehle

Ab Woh Dariyaa Na Bastii Na Wo Log
Keyaa Khabar Kaun KahaaN Thaa Pehle

Harr Kharaabaa Ye Sadaa Detaa Hai
Main Bhii Aabaad MakaaN Thaa Pehle

Keyaa Se Keyaa Ho Gayi Duniyaa Pyaare
Tuu Wahiin Par Hai JahaaN Thaa Pehle

Ham Ne Aabaad Kiyaa Mulk-e-SuKhan
Kaisaa Soun-Saan SamaaN Thaa Pehle

Ham Ne BaKhshii Hai Khamoshii Ko ZubaaN
Dard Majbuur-e-FuGaaN Thaa Pehle

Ham Ne Rowshan Kiyaa Maamor-e-Gham
Warnaa Harr Simt Dhouyaan Thaa Pehle


Gham Ne Phir Dil Ko Jagaayaa "Nasir"
Khaanaa_Barbaad KahaaN Thaa Pehle


*Writer: Nasir Kazmi Jee**


*Keep Smilling.......**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
18th January 2006, 08:22 AM

shukria shimul.. is gajal se parichit karwane k liye
   
Reply With Quote
:) @};-
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
:) @};- - 19th January 2006, 03:45 AM

Quote:
Originally posted by meena chheda
shukria shimul.. is gajal se parichit karwane k liye
Dear Meena, Hope You Are Well Der Se Aane Ki Mafhi Chahoungi...**Dil Ki Gehraaion Se Dher-o-Dher Saare Phoul_Shukriya **My Pleasure **Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**Take Care...**God bless You.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
.. :)**
Old
  (#4)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Post .. :)** - 8th March 2011, 04:53 PM

Kaun Iss Raah Se Guzarta Hai
Dil Yuun Hee Intazaar Karta Hai

Dekh Kar Bhi Na Dekhne Waale
Dil Tujhe Dekh-Dekh Darta Hai

Shahar-e-Gul Mein Kati Hai Sari Raat
Dekhiye Din Kahan Guzarta Hai

Dhiyan Kee Sideeyo.n Pe Pichhle Paher
Koyi Chup Ke Se Paao.n Dharta Hai

Dil To Mera Udaas Hai “Nasir”
Shaher Kyun Saaye-Saaye Karta Hai



*Writer: Nasir Qazmi Jee **


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
8th March 2011, 08:18 PM

Quote:
Originally Posted by Shimul View Post
Kaun Iss Raah Se Guzarta Hai
Dil Yuun Hee Intazaar Karta Hai

Dekh Kar Bhi Na Dekhne Waale
Dil Tujhe Dekh-Dekh Darta Hai

Shahar-e-Gul Mein Kati Hai Sari Raat
Dekhiye Din Kahan Guzarta Hai

Dhiyan Kee Sideeyo.n Pe Pichhle Paher
Koyi Chup Ke Se Paao.n Dharta Hai

Dil To Mera Udaas Hai “Nasir”
Shaher Kyun Saaye-Saaye Karta Hai



*Writer: Nasir Qazmi Jee **
Nice ghazal


Thanks for sharing Shimul ji...........................




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#6)
mittal_pali
Webeater
mittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to behold
 
mittal_pali's Avatar
 
Offline
Posts: 716
Join Date: Jun 2010
Location: Bathinda-Punjab-India
Rep Power: 20
19th July 2011, 01:35 PM

Nice shayari............................


Pali Mittal
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Nasir Kazmi Ki Ghazal naresh_mehra110 Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 17th December 2009 11:46 PM
*Tum Sar-e-Aam~*~Zameer Kazmi Jee** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 23rd January 2006 06:37 PM
kuchh ehsaas garima Shayri-e-Dard 14 10th January 2006 10:19 AM
Nasir Kazmi-Dil mein ik lahar sii uThii hai abhii farhana Ghazal Section 6 5th November 2005 08:46 AM
wo dilnawaz hai laikin nazar-shanaas nahin - Nasir Kazmi Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 27th March 2003 09:11 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com