Maa Jagdamba ki kripa ka na paar paya
Maa ki kripa se Maa ka tyohaar paya
Hey Maa Ambike tu hai para shakti
teri karuna hi humne tera saar paya
Bhawaani apne charano me prem de
tujhse wikumh khud ko na sawaar paya
Navraatra swayam apne aap me phal
Sadhak ne saadhna me hi sansaar paya
Bhakti se saargarbhit kuch nahi kuch nahi
Brahmanand ne premanand me pyaar paya
Tu gunateet tu warnateet tu bhawmochni
Apni kripa se hi tune apna awtaar paya
Tu parmaehswari tu anaadi tu ajanma,avikaari
Sabhi devtaon se tune shradhha ka haar paya
Jai Durga Jai Ambe Jai Rama Jai Uma
Ohm Shree Durgaiye Namah