Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Husn kamsin hai magar jaaneman
Old
  (#1)
aadi
Registered User
aadi is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 15
Join Date: Nov 2005
Location: hearts
Rep Power: 0
Husn kamsin hai magar jaaneman - 5th April 2006, 05:06 PM

Husn kamsin hai magar


Husn kamsin hai magar jaanemann
Na banaao tum khwaabon ka mahal
Ye wo sheesha hain jo subha ke hote
Tuqdo tuqdo me bikhar jayega
tumhare he seene me gad jayega
husn kamsin hai magar yaad rahe
oss ki shakl me subha ke aansoo
her sahar phoolon pe jhilmilate hain
khawaab kitne bhi dil-nashi dekho
subha hote he bichadh jaate hain
laakhon armaan ujad jaate hain
husn kamsin hai to phir yaad rahe
khwaabon se koi vaasta na rahe
zindgi raat he hai jaanemann
ishq vishq baat he hai jaanemann
ye wo duniya hai jahaan per koi
kissi per bhi fida nahi hota
butkado me bhi jhooth palta hai
koi pather khuda nahi hota
zindgi he buri shai hai jaana
verna kuch bhi bura nahi hota
husn kamsin hai issliye jaana
na banaao tum khwaabon ka mahal
jitney tuqdo me khwaab bikhrega
utne he jakhm badan per honge


Aadi_the begining
  Send a message via Yahoo to aadi  
Reply With Quote
Old
  (#2)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
7th April 2006, 12:02 PM

ye wo duniya hai jahaan per koi
kissi per bhi fida nahi hota
butkado me bhi jhooth palta hai
koi pather khuda nahi hota
zindgi he buri shai hai jaana
verna kuch bhi bura nahi hota



waaah!

aadi ji........

bahut badhiya......
waise maiN yahaN ghazals ke siwa aur kuch nahi padhti lekin ye sach me ek alag ehsaas hai......

lekin aap mujhe 'kamsin' ka matlab bataa dijiye....
baaki sab samajh me aa gaya......


achcha chalti hooN,
bye,
KasaK..........


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Woh itne kamsin nazar aate hain HARSH "fakir" Shayri-e-Ishq 3 5th April 2008 12:44 PM
Jaaneman, filhaal ek sawaal hai... itschahat Shayri-e-Ishq 0 17th July 2007 11:37 AM
Jaaneman, filhaal ek sawaal hai... itschahat Shayri-e-Ishq 0 16th July 2007 02:07 PM
Ai kamsin kali.... sajidtalha Humourous Shayri 0 16th November 2005 08:43 PM
husn......... hasan_javed Aapki Shayri 0 31st May 2004 07:37 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com