Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
har jagah hai numaaiish
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
har jagah hai numaaiish - 17th October 2014, 11:36 AM

har jagah hai numaaiish to kya kiijiye
aap bhii kuchh tamaashaa kiyaa kiijiye

pyaas hoTHoN se kya aur hinaa hi kya
laal may bhii lahuu bhii piyaa kiijiye

ashk kii de laDii bose ruKHsaar per
zaKHm dhaagoN se unke siyaa kiijiye

humne chehraa jo dekhaa pareshaan kyuN
aap pardaa giira kar hayaa kiijiye

Gum jo dete rahe pyaar bhii diijiye
kuchh duaa kiijiye kuchh dayaa kiijiye

haal apnaa muhabbat meN parvaanoN saa
lutf jalne meN aise liyaa kiijiye

hai fareb aur kyaa zaat insaaniyat
jazb-e-iimaan* to be-riyaa** kiijiye

(*commitment of belief, conviction; **without malice, sincere)

ishq jazbaat aur uskii fariyaad aur
aap us ke liye kyaa se kyaa kiijiye

jii ke marne ko kehte agar zindagii
to Safiir aap mar mar jiyaa kiijiye


-------------- (X) --------------

हर जगह है नुमाईश तो क्या कीजिए
आप भी कुछ तमाशा किया कीजिए

प्यास होठों से क्या और हिना ही क्या
लाल मय भी लहू भी पिया कीजिए

अश्क़ की दे लड़ी बोसे रुख़्सार पर
ज़ख़्म धागों से उनके सिया कीजिए

हमने चेहरा जो देखा परेशान क्यूं
आप पर्दा गीरा कर हया कीजिए

ग़म जो देते रहे प्यार भी दीजिये
कुछ दुआ कीजिए कुछ दया कीजिए

हाल अपना मुहब्बत में परवानों सा
लुत्फ़ जलने में ऐसे लिया कीजिए

है फ़रेब और क्या ज़ात इंसानियत
जज़्ब-ए-ईमान तो बे-रिया कीजिए

इश्क़ जज़्बात और उसकी फ़रियाद और
आप उस के लिए क्या से क्या कीजिए

जी के मरने को कहते अगर ज़िंदगी
तो सफ़ीर आप मर मर जिया कीजिए

Adil 'Safiir'



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
17th October 2014, 02:23 PM

Aadeil bhai....bahut umda kahi hai aapne, sabhi sher bahut khoobsurti se aapne pesh kiye hai...aik sher jo hame behad khaas lga, wo yeh hai:

Gum jo dete rahe pyaar bhii diijiye
kuchh duaa kiijiye kuchh dayaa kiijiye




~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
17th October 2014, 03:22 PM

bhai kyaa ho tum...... insaan ho ya sher chaapne ki machine....

aur sher bhi aise ke bas qatl......

pyaas hoTHoN se kya aur hinaa hi kya
laal may bhii lahuu bhii piyaa kiijiye

is sher ne meraa dil jeet iyaa yaar.... likhte rahiye.... khoob khush rahiye... aate rahiye

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
17th October 2014, 03:46 PM

.

....superb aadeil ji...........


.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
20th October 2014, 09:50 AM

Sunita di, Shoaibbhai & Madhuji..
aap logoN kaa bahot bahot shukriya... daad ke liye....



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Thumbs up 20th October 2014, 10:03 AM

ishq jazbaat aur uskii fariyaad aur
aap us ke liye kyaa se kyaa kiijiye


wahh! waah! Adil bhai..

Masha Allah.... kia kehne janab..
bohat umdaH ghazal tarteeb dii hai...
waqai aap yeh munfarid kaawish dherooN daad ki mustahiq hai.
to hamari taraf se bohat sii daad qabool kejiye...

Aise hi humeN mehzooz karte rahiye,

Regards,


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
21st October 2014, 01:45 AM


Aadil Sahaab Aadaab ... !

Janab badi hi baa kamaal aur be misaal kalaam bazm ko ataa kii hai ... behad umdaa aur laa jawaab sher huye haiN sabhi ...

Bade hi gehre khayaaloN kii laa jawaab takmil kii hai aapne ...
Is dilkash kalaam par meri hazaaroN hazaaroN dili daad kabul kijiye...

Likhte rahiye ... aise khoobsurat kalaamoN se nawaazte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez ...



  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#8)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
24th October 2014, 06:09 PM

Wwwaaahhhh !!!! Zabardast ghazal kahi Aadeil sahab !! Lutf zauq masti fiqr soch naseehat .... kya kya naheen mila ek hi ghazal mein !!! Dheron daad aur beshumaar mubaarakbaad aap ko !!

Duaon ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
vinaydahiya
Registered User
vinaydahiya will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 79
Join Date: Apr 2003
Location: delhi
Rep Power: 21
Smile 24th October 2014, 07:00 PM


har jagah hai numaaiish to kya kiijiye
aap bhii kuchh tamaashaa kiyaa kiijiye

Bahut khub....daad kabool kijiye..
Aur yunhi magil ko rosan rakhiye



mera kya hai main to deewana hu
kya bataoo tumko baare mein apne
mein to khud se hi begaana hu

...................vinaydahiya
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
28th October 2014, 12:31 PM

Quote:
Originally Posted by vinaydahiya View Post

har jagah hai numaaiish to kya kiijiye
aap bhii kuchh tamaashaa kiyaa kiijiye

Bahut khub....daad kabool kijiye..
Aur yunhi magil ko rosan rakhiye
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Wwwaaahhhh !!!! Zabardast ghazal kahi Aadeil sahab !! Lutf zauq masti fiqr soch naseehat .... kya kya naheen mila ek hi ghazal mein !!! Dheron daad aur beshumaar mubaarakbaad aap ko !!

Duaon ke saath
Zarraa
Quote:
Originally Posted by kwahish View Post

Aadil Sahaab Aadaab ... !

Janab badi hi baa kamaal aur be misaal kalaam bazm ko ataa kii hai ... behad umdaa aur laa jawaab sher huye haiN sabhi ...

Bade hi gehre khayaaloN kii laa jawaab takmil kii hai aapne ...
Is dilkash kalaam par meri hazaaroN hazaaroN dili daad kabul kijiye...

Likhte rahiye ... aise khoobsurat kalaamoN se nawaazte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez ...

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
ishq jazbaat aur uskii fariyaad aur
aap us ke liye kyaa se kyaa kiijiye


wahh! waah! Adil bhai..

Masha Allah.... kia kehne janab..
bohat umdaH ghazal tarteeb dii hai...
waqai aap yeh munfarid kaawish dherooN daad ki mustahiq hai.
to hamari taraf se bohat sii daad qabool kejiye...

Aise hi humeN mehzooz karte rahiye,

Regards,
aap sabhii kaa teh-e-dil shukriyaa......



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com