Rait Par Likh Ke Mera Naam Mitaya Na Karo -
8th July 2010, 04:35 PM
Rait Par Likh Ke Mera Naam Mitaya Na Karo
Aankhen Sach Bolti Hain, Pyaar Chupaya Na Karo
Log Har Baat Ka Afsana Bana Lete Hain
Sab Ko Haalaat Ki Rudaad Sunaya Na Karo
Hashr tak band rahengi yeh hamari aankhe
Tum kabhi khwab me.n aajao to jaya na karo
Ye Zaroori Nahin Har Shakhs Masiha Hi Ho
Pyaar Ke Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo
Shahar-E-Ehsaas Mein Pattharaav Bahut Hai “Mohsin”
Dil Ko Shiishe Ke Jharonkhon Mein Sajaaya Na Karo
(Mohsin Naqvi)
"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"
Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.
|