Quote:
Originally Posted by Gyan Saxena
Dil ke Veeran shahar se jab yaadon ki barat guzarti hai....
Palkon ke niche se tab ruk kar barsat guzarti hai..
Ghar ke andar mujh per har waqt ki pahredari hai
Dewaron ke saye mein ab poori raat guzarti hai...
Tanhai mein kuch sunta hun, kuch kahta hun tanhai mein..
Dil se kuch baat nikalti hai, dil per kuch baat guzarti hai...
Sab khone ke jo baad mila, sab lutne ke jo baad bacha..
Bachi hui apni bhi ab bus uske saath guzarti hai...
|
Waaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh.............. ...........
Waaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh.............. ...........
Kya baat hai, Gyanji........................................
Bahot hi khub...................
Bahot hi umda likha hai aapne....................................
Daad.......................... Adil...........