Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
kab se hooN, kya bataaooN - Ghalib
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
Love kab se hooN, kya bataaooN - Ghalib - 18th October 2013, 03:37 PM

Hum Ghalib saab ke iis ghazal ko yahaa'n iis liye pesh kar rahe hain, kyun ki iis me Ghalib saab ka ek alag andaaz dekhne ko milta hai.

Bahot se ustaadon ne matla-e-avval aur husn-e-matle ka bayaan kiya hai, magar bahut kam shayr hain jinho ne iss ka sahi maaiine me istemal kiya ho.

Ye qalaam usee ki misaal hai...
Dekhne ki baat ye bhi hai ke ye ghazal matla-e-avval se nahi par log husn-e-matla se pechante hai.

miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN

kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

taa fir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar
aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN

qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN

jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN?

maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN

hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN

woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN..

~Mirza Ghalib

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
18th October 2013, 03:44 PM

Aadeil saahab aadaab.. kyaa besh keemti tohfaa lekar aayehain aap mehfil me.. waahhhhh tareef shaayad kamm pad jaaye is nayaab kareegarii ke liye...

is ghazal ke kai aashar ne mujhe mutassir kiyaa hai magar sabse zyaada ye sher mujhe raas aaya hai... waah kya takhayyul aur bayaani hai..

qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

Ghalib saahab ko allah bakshe aur jannat me aala muqaam de.. aameen

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
18th October 2013, 04:27 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Ghalib saahab ko allah bakshe aur jannat me aala muqaam de.. aameen

Shaad...
Janaab Shaad,
Aapki iis dua pe Ghalib saab ke hi vichar bayaan karta huun. Aapko shaayad pataa na ho par Ghalib saab ilm se alag the. Unhon ne ek baar kahaa tha ki --
Jannat me mujhe sahar hote sharaab to mil jayegi, par raat ko wo dost kahaan milenge jo mere saath dagmaae? Wahaan gar khazaan nahi hai to bahaar kaise aayegi? Gar whaa husn pari hi hai to wo masukaa kaise milegi jo dil tod kar bhaag jayegi?

-- Ek alag soch rakhte the wo. To dua yun karte hai ki wahan bhi unhe wo aish mile jo unhon ne yahaan payee thi

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
18th October 2013, 04:31 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post

hahahahhaha..... durust hai durust hai.. chaliye yahi sahiiii....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
18th October 2013, 05:34 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

Shaad...
Ye qalaam aalaa hai. Aur GHaliib saab ke andaaz ko dekhiye. gar gaur kare'n to ye shaayad behr ke baahar hai, Mere khayaal me Jaise maine bataayaa, me koee master nahi huun

Unkee philosophy ko iis sheyr ke zariye bayaan karna chahunga. Shaayad ghazal bhi ban jaaye!?

Arz hai...
aisA nahi'n ki duniyA me tera wajud nahi'n
phirtA hU'n liye tasvIr terI gUmrAh jaHAn hai

~Aadeil

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
18th October 2013, 08:43 PM

Is azeem shayar ki ye azeem ghazal ko pesh karne ka shukriya Aadeil ji
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
12th March 2014, 12:45 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
Ye qalaam aalaa hai. Aur GHaliib saab ke andaaz ko dekhiye. gar gaur kare'n to ye shaayad behr ke baahar hai, Mere khayaal me Jaise maine bataayaa, me koee master nahi huun

~Aadeil
Main apne alfaaz waapas lenaa chahunga.... aur behad shamindgee bhee mehsoos karta hoon............ jaise jaise taqti aur beher kee samajh aatee gayee to ye bayaan pe khud se zillat huee....

so I am really really sorry on such a comment

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th March 2014, 12:55 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
main apne alfaaz waapas lenaa chahunga.... Aur behad shamindgee bhee mehsoos karta hoon............ Jaise jaise taqti aur beher kee samajh aatee gayee to ye bayaan pe khud se zillat huee....

So i am really really sorry on such a comment
.................................................. ...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
28th March 2014, 02:22 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
.................................................. ...
Sameerbhai,

Main zidd bhai, Mishraji aur aap jaise faazil dostoN ka shukra guzaar hooN. Aap logoN se hi hamne ghazal kaise likhee jaati hai wo jaana hai

sach men yahaaN aane se pehle hum kuch bhee likh dete the aur use ek ghazal samajh lete the. ab hum dhire dhire kuch samajhne lage hai aur hum chahenge ki aap hamaare qalaam pe bhee tabdeer kareN.

isee ummeed ke saath........... Adil ka salaam.

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th March 2014, 02:38 PM

jee janaab.... main poori koshish karunga..... shukriyaa izzat afzaai k liye.

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Masoom Pyar
Registered User
Masoom Pyar has a spectacular aura aboutMasoom Pyar has a spectacular aura aboutMasoom Pyar has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 519
Join Date: Dec 2013
Rep Power: 0
3rd April 2014, 11:06 AM

waah waaah bahot umdaa ghazal....zabardast peskas.aadeil ji......dil se daad.............................!!!
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
3rd April 2014, 11:35 AM

Quote:
Originally Posted by Masoom Pyar View Post
waah waaah bahot umdaa ghazal....zabardast peskas.aadeil ji......dil se daad.............................!!!
bahot bahot shukriya aapka, Sudhirji.......
aate rahiye.....

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com