Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
neelam ho raha hai koi !
Old
  (#1)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
neelam ho raha hai koi ! - 2nd November 2004, 06:10 PM

Dear friends
Fir se aap sabhi ke liye apni ek nai rachna pesh kar raha hun yun to kai dino se likhne ke liye kuchh tha hee nahi ab kuchh likh paya to aap sabhi kee najar karta hun sujhaw pane ke haq ke saath jo aapne hee diya hai mujhe …


Fana kee dhool se ijaad ho raha hai koi !
Kyun ye lagta hai ke aagaaz ho raha hai koi !

Tum is ada se ghar se bahar nikalte ho
Khabar nahi hai tumhe barbaad ho raha hai koi !

Kyun nahi sochte ijjat kharidne waale…
Ke unke ghar ka hee neelam ho raha hai koi !

Wo jo kahni thee tumse baat mukhtsar see hai ..
Tumhare ishq mai nakaam ho raha hai koi !

Na bedakhl kar rishta chahe nafrat ka hee rakh
Hamare dil pe to ahsaan ho raha hai koi !

Wo bekhabar hain jinse bepnaah mohabbat kee
Yanha pe khamkha badnaam ho raha hai koi !

Mere marne pe “Anish” tum na ashk chhalkana ..
Jindgi kaid thee ajaad ho raha hai koi !


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
2nd November 2004, 08:34 PM

anish
ek shyaar
kaise ho yaar?
tumhare khiyalat koparha...dekha or samjhne ki koshish ki
acha likha hay bhai.....har sher aik apni hikahani byan karta hay
aik sher jis ne inspire kiya jis ki soch ne khaincha

Kyun nahi sochte ijjat kharidne waale…
Ke unke ghar ka hee neelam ho raha hai koi

is sher ki soch shyad har kisi ko samjh nhai aye...magar aik dahkti hui wsoch liye hwe hay apne ander...
bohat khub yar
apna khiyal rkahna..likhte rehna..
khan
   
Reply With Quote
thnx
Old
  (#3)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
Thumbs up thnx - 3rd November 2004, 08:28 AM

dear khan bhi
jo mai apne shero ke andar samet laya tha or jise jahir karna chahta tha aap samjh gaye to mera samjhana safal ho gaya gazal sher rubai ye sabhi tabhi safal hain jab unke andar jo kahne kee koshish kee gai hai wo dusra samajh jaye jin line ko aapne saraha pahle to iske liye shukriya ada karta hun or fir khana chahta hun kee agar unka matlab har dil samjh le to shayad ye duniya kuchh had tak or sundar ho jaya hai na aapne kaha wo apne andar dahkti hui soch liye hai to janab aisi suchai aksar dahkti hui hoti hain jinhe such mai hur dil mai dahkna hee chahiye ek baar fir se aapka shukr gujar hun kee aapne apna samay meri rachna ko diya or uske baare mai apni ray dee thanks 1s again
apka dost kuchh jana pahchana kuchh ajnabi


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd November 2004, 09:00 AM

Anish...

Apke yeh sher tau kamaal ke rahe!

Kyun nahi sochte ijjat kharidne waale…
Ke unke ghar ka hee neelam ho raha hai koi !

Na bedakhl kar rishta chahe nafrat ka hee rakh
Hamare dil pe to ahsaan ho raha hai koi !

Mere marne pe “Anish” tum na ashk chhalkana ..
Jindgi kaid thee ajaad ho raha hai koi !


na bedakhl kar rishta...yahan dewaangi bakhubi bayaan kee hai aapne...aur haan gham-e-hayaat se azaad hone mein kaisa gham aur aansoo kyun...? bahut khuub! hamari or se bhi daad kabuul kijiiey


paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
3rd November 2004, 11:20 AM

ANISH JI....

Bahut hi lazawad likha hai apne...... har ek sher apne mein kutch bayan kar raha hai.....

ye sher hume kheench sa gaya hai....

Kyun nahi sochte ijjat kharidne waale…
Ke unke ghar ka hee neelam ho raha hai koi !

Mere marne pe “Anish” tum na ashk chhalkana ..
Jindgi kaid thee ajaad ho raha hai koi !


Socha reply karoon kuch sher e saath... lekin new post ki hai
" Barbaad ho raha hai koi"



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#6)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
3rd November 2004, 11:24 AM

Hi Anish Ji,

Wakayi mein ek bohot hi umda kalaam likha hai aapne. Yeh do sher to behud pasand aaye:

Tum is ada se ghar se bahar nikalte ho
Khabar nahi hai tumhe barbaad ho raha hai koi !

Kyun nahi sochte ijjat kharidne waale…
Ke unke ghar ka hee neelam ho raha hai koi !

Humari dili daad qabool kare.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Re: neelam ho raha hai koi !
Old
  (#7)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: neelam ho raha hai koi ! - 3rd November 2004, 11:56 AM

hi anish
kaise ho dost...? ek arse baad tumhe yahan dekh kar mat pucho kitni khushi hui...umeed karta hoon ab tum poori tarah se sehatmand hoge...apni khairiyat ki khabar jaroor dena.


Tum is ada se ghar se bahar nikalte ho
Khabar nahi hai tumhe barbaad ho raha hai koi !

bahooot khooob!!!

Kyun nahi sochte ijjat kharidne waale…
Ke unke ghar ka hee neelam ho raha hai koi !

yeh sher bahoot gehra kaha hai aapne....sach kahun to aapne in do misron mein hazaar pannon ki baat samet di...bahoot bahooot khoob...daad kubool kijiye.

Wo jo kahni thee tumse baat mukhtsar see hai ..
Tumhare ishq mai nakaam ho raha hai koi !

bahoot khoob..jaajawab!!


Wo bekhabar hain jinse bepnaah mohabbat kee
Yanha pe khamkha badnaam ho raha hai koi !

bahoot ache..

Mere marne pe “Anish” tum na ashk chhalkana ..
Jindgi kaid thee ajaad ho raha hai koi !

bahoot khoob!! anish bhai...aapka koi jawab nahin....dil jeet liya aapki gazal ne...itne dinon baad aapko padh kar dil khush ho gaya...bahoot muqammal gazal pesh ki hai aapne...meri dil se nikli daad kubool kijiye....isi khubsurati se likhte rahiye....aapke laut aane se jaise is mehfil mein raunak laut aayi hai...take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#8)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
4th November 2004, 10:33 AM

dear Parastaar jee

aapki daad se to dil or khush ho gaya waise hum is kabil nahi par aap or manoj jee jaise umda shayaron kee daad milna yun hee to nahi hai na jaroor mere alfaajon mai kuchh to raha hoga ab mahsoos ho raha hai warna to maine ye gajal dil kee kuchh ansuni baaton ko baya karne ke liye likhi thee aapne in sheron kee gahrai ko bakhubi samjha or samjaya aap yanha aai to yahi mere liye kafi tha or aapka reply to mujhe dil se khush kar gaya jald hee apni nai kalam ke saath hazir hounga tab tak ke liye kuda hafiz

--------

dear aman jee
aap yanha aaye mujhe meri rachna ke liye saraha khushi hui aap jaise rahi yanha aate rahe to or kya chahiye mujh jaise naacheez ko aapki daad ke liye dil se shukriya kabool kijiye


------------
dear candyboy
apne apne is adna se dost ko is kabil samjha ke aapki daad mile iske liye dil se shukrgujar hun apne meri rachna ko saraha iske liye aaki parkhi najar ka shukriya mujhe bhi to ada karna chahiye na to shukriya kabool kijiye

-------------

dear manoj jee
aapka to tareef karne kee ada bhi shayarana hai aap jaise bade shayaron ke samne such mai mai kuchh bhi nahi mujhe to dil kee baat alfajo mai baya karne ke liye bhi das baar sochna padta hai kya kare itna achha likh nahi pata agar aapki kalam se yahi likha hota to mai janta hun wo kuchh or jadu bhikherta mai to bas yun hee kabhi kabhi ...khair ab mai kafi had tak achha hun or ye sab aap doston kee duaon ka asar hai janta hun , yanha waise to roj ata tha par kya karta kuchh tha hee nahi jise post karta abhi pichle dino udas jee ne kaha kee mai yanha apni nai rachna bheju to kuchh likha tha bhej diya par kya janta tha kee wo itna asar liye hogi ke aap jaise dosto kee najar is par padegi ok ab apka dost apni nai gajal ke sath jald hee aayega ye wada raha khuda hafij


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
6th November 2004, 08:27 AM

hi friends
aap sabhi ke reply ke liye thanx.


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
.....
Old
  (#10)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
..... - 29th November 2005, 11:30 PM

Hello Bro...

Its Just Outstanding.

"Wo jo kahni thee tumse baat mukhtsar see hai ..
Tumhare ishq mai nakaam ho raha hai koi !"

Warm Ragards


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
29th November 2005, 11:37 PM

dear Dard-e-sush sahab
shukriya ke aapne hamari is rachana ko tareef ke kaabil jana thnx for reply


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
:)
Old
  (#12)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
:) - 5th January 2006, 07:44 AM

Aadab Dear Anish Jee, Hope You Are Well Aapko Parhkar Dil Ko Achchha Laga...Khoub Likhte Hain Aap~*~Deewana To Deewangi Se Hi Pehchan Jaa Sakti Hain..Baas Wo Aankhein Hona Zarouri Hain..,Shayaad..**Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher-o-Dher Saare Phoul_Shukriya_Daad **Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**God bless You.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
sandhaya
Registered User
sandhaya will become famous soon enoughsandhaya will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 233
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
5th January 2006, 10:39 AM

Anish Ji ...........kya kahun sab ne itna keh diya hai ........ki mere liye sabad hi nahi bache..............sirf itna kehna chahungi .....ki aapki ye gazal dil ko chuu gai .........aur pata hai nahi chala ki isse kitni baar padhti chai gai main.......likhte rahiyega......

Tere Har Sabad Ne Dil Pe Kuch Aisa Asar Kiya hai
Humne Thama Khudko Badi Muskhil Se Sabar Kiya Hai
   
Reply With Quote
Re: neelam ho raha hai koi !
Old
  (#14)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
Re: neelam ho raha hai koi ! - 5th January 2006, 01:08 PM

Quote:
Originally posted by anish_ekshayar
Dear friends
Fir se aap sabhi ke liye apni ek nai rachna pesh kar raha hun yun to kai dino se likhne ke liye kuchh tha hee nahi ab kuchh likh paya to aap sabhi kee najar karta hun sujhaw pane ke haq ke saath jo aapne hee diya hai mujhe …


Fana kee dhool se ijaad ho raha hai koi !
Kyun ye lagta hai ke aagaaz ho raha hai koi !

Tum is ada se ghar se bahar nikalte ho
Khabar nahi hai tumhe barbaad ho raha hai koi !

Kyun nahi sochte ijjat kharidne waale…
Ke unke ghar ka hee neelam ho raha hai koi !

Wo jo kahni thee tumse baat mukhtsar see hai ..
Tumhare ishq mai nakaam ho raha hai koi !

Na bedakhl kar rishta chahe nafrat ka hee rakh
Hamare dil pe to ahsaan ho raha hai koi !

Wo bekhabar hain jinse bepnaah mohabbat kee
Yanha pe khamkha badnaam ho raha hai koi !

Mere marne pe “Anish” tum na ashk chhalkana ..
Jindgi kaid thee ajaad ho raha hai koi !
dard ko bhi khoobsoorati se sajaana sach me shayro se seekhe koi... behad umda likha hai aapne anish ji aur aakhiri ashaar to bass kya kahe hum.. bahut khoob.. achha laga aapko padh ke.. likhte rahiyega


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
9th January 2006, 12:15 AM

hi palavi

shukriya ke tumhe mera likha pasand aaya jankar khushi hui nis rachna ko aapne saraha to ye rachna sarthak ho gai thnx again


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
9th January 2006, 12:28 AM

anish ji

Yun to ye kavis kayi arse pehle hi padh li thi maine.. par waqt ne pal bhar ki fursat na di reply karne ki... khair ab mauka bhi hai waqt bhi.. to aapko batata chalun aapka har ek sher mujhe behad pasand aaya .. aap yahaN aate raha kariye... hum bhi kuch taro taza padhte rahnege

aapk mubarak ho ye kalaam

aapka apna

Kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#17)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
9th January 2006, 01:52 PM

Wo bekhabar hain jinse bepnaah mohabbat kee
Yanha pe khamkha badnaam ho raha hai koi !




Poori ghazal behtreen...per ye sher,....laa jawaab.

YooNhi likhte rahiye

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
maiN tujhe PAATA raha, KHOTA raha...!! Taish Shayri-e-Dard 14 25th June 2010 01:25 PM
ayena hansta raha kuch sawal puchta raha koi to ho Shayri-e-Ishq 8 15th April 2007 08:41 PM
bhook ke bazar me neelam imaan ho gaya.... san04 Shayri-e-Dard 11 28th January 2005 01:14 PM
Fashle Tay Karta Raha Yaro Men Chlta Raha aftab_killar Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 22nd April 2002 04:52 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com