Quote:
Originally Posted by anish_ekshayar
Doston bahut dino baad kuchh likha tha to aaj bahut dino baad is mahfil main pesh kar raha hun aap sabhi doston ke samne ummid ke saath kee apko ye koshish bhi pasand aayegi
Bahut se faaslen aise hain jinko kam nahi karta
Main tumko chahta to hun magar jahir nahi karta
Simat jaata hun chahe main andheron ke shikanje main
Tumhari yaadon kee lao ko kabhi maddham nahi karta
Khijayen, bijliyan tufaan sab kismet kee baaten hain
Gharon ko todne ka kaam koi mausam nahi karta
Mujhe bhaane lagi aei jindgi pecheedagi teri
Tujhe uljha to leta hun magar fir hal nahi karta
|
wah bohat zaberdast janab tamam ashaar dil ko chu gaye keep writing