Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

View Poll Results: Please critique this ghazal
correct wazan 2 100.00%
correct anything else 0 0%
Voters: 2. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Pehli baar ki post
Old
  (#1)
M Rafiq Sethi
Guest
 
Posts: n/a
Pehli baar ki post - 26th December 2002, 05:27 AM

nigaar khana-e-yay duniya maiN akayla bun k

--------------------------------------------------------------------------------

--------------------------------------------------------------------------------
By mohammed rafiq sethi on Sunday, December 25, 2002 - 5:52 pm:

Pehlee bar is mehfil maiN haazir ho raha hooN. Darkhaast karta hooN ki tanqeed aur hausla afzaa'ai say mustafeed farmaiN gay. Roman bi nahiN likh sakta aur na hee typing aati hay. Ma'a zarat chahta hooN. Arz karta hooN


nigaar khana-e-yay duniya maiN akayla bun k
tum ko maiN yaad kiya karta hooN tunHa bun k

kone si raH thhi aisi jahaN dhhoNda na tumhaiN
ab to rusta bhi tthHer jaata hay saHra bun k

dhhonNdta hooN maiN tassawwur k saraabooN tumhaiN
maiN nay paani naheeN dhhoNda kabhhi tashna bun k

maarna chaaha bhi duniya nay to maiN mar na saka
maiN to mar mar k bhi jeeta raHa zinda bun k

na shanasa mujHay peHchan k kyooN buntay ho
jab k rehtay ho meray dil maiN shanasa bun k

mosamay gul bhi khizaaN bun k guzar jaata hay
kya mila dil ko meray baagh-e-tammanna bun k

jalti hay bazm-e-hareefaaN main to jalnay do uSay
jaan to shamm'a pay maiN dooNga patanga bun k

jab kabhi goonji hay bhaNwray ki sada gulshan maiN
phool sharma gayay israaray tammanna bun k

meri weeraan si baahoN maiN samaa kar deykHo
yay milan ttheHray ga donoN ka sahaara bun k

zindagi beet chuki phir bi na gHabra aiy RAFIQ
sub guzartay haiN kisi roz janaaza bun k
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
26th December 2002, 06:10 AM

Rafiq sahab,
Aapki ghazal bilkul Wah Wah ke layak hai!
Aur haan, aapka is dard-e-mehfil mein swaaghat hai..

The use of words is worth praising as well, but not more than the images you've created from your words..

Likhte rahiye,
Aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Khush amded
Old
  (#3)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Khush amded - 26th December 2002, 04:06 PM

Janab Sethi Sahab

Mahfil meN aap kaa Khair.maqdam kartaa huuN. YahaaN aap jaise shayroN ki bohat zaroorat hai. Umeed hai ab yahaN bhi aapki aamad hoti rahegi.

Aapki ye ghazal pehle bhi kisii aur site par dekh chuka hooN. Aur yahaN bhi isey dekh kar badi khushii huii. Iski zameen jitni achchii hai utnii hi mushkil bhi. Aur us par aapne achche sher kahe hain.

Achche khayalaat se bharpoor is ghazal ke mutalliq aapse tafseel se ba'ad meiN baat karooNga. Filhaal abhii khaas maqsad tha aapko khush amded kehna aur aik achchii shuruaat par daad dena. Aate rahiiye.

khaaksaar
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#4)
SMAH
Registered User
SMAH will become famous soon enoughSMAH will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 61
Join Date: Aug 2002
Location: Usa, florida
Rep Power: 23
3rd January 2003, 01:30 AM

assalaam to u

sethi sahab badi khoob ghazal likhi hai aapne.
bohut mazaa aaya padhke. got a good glimpse of how the pros do it. wah.
how ever there were 4 things i wanted to clear up.
the second sher i dont understand its meaning(my fault) and i cant find the meaning of hareefan anywhere. and how would murda in the place of zinda be in the fourth sher and it should be mousam-e-gul instead of mosamay gul in the sixth sher.

i dont want to be all technical but by being a critic or critical.

thanx for posting this ghazal.


Fail afTer trYing But Dont bE DooMeD bY Not tryinG
   
Reply With Quote
Bahut hi Khoob!
Old
  (#5)
Mahek
Registered User
Mahek will become famous soon enoughMahek will become famous soon enough
 
Mahek's Avatar
 
Offline
Posts: 166
Join Date: May 2002
Location: US
Rep Power: 23
Bahut hi Khoob! - 9th January 2003, 01:34 AM

adaab Sethi jee - aapki gahzl padhi aur jitni samajhme aayi utni achchi lagi! - humari urdu itni achchi nahi ki hum saare sheron ka mazaa le sake - agar aap humari usme kuch madad kar sakte hain to aap hume un lafzon ka matlab batayiyega jinpe humne * kiya hain - Mahek

nigaar* khana-e-yay* duniya maiN akayla bun k
tum ko maiN yaad kiya karta hooN tunHa bun k

kone* si raH thhi aisi jahaN dhhoNda na tumhaiN
ab to rusta bhi tthHer jaata hay saHra* bun k

dhhonNdta hooN maiN tassawwur* k saraabooN* tumhaiN
maiN nay paani naheeN dhhoNda kabhhi tashna* bun k

maarna chaaha bhi duniya nay to maiN mar na saka
maiN to mar mar k bhi jeeta raHa zinda bun k
- wah wah!

na shanasa* mujHay peHchan k kyooN buntay ho
jab k rehtay ho meray dil maiN shanasa* bun k

mosamay gul bhi khizaaN* bun k guzar jaata hay
kya mila dil ko meray baagh-e-tammanna bun k

jalti hay bazm-e-hareefaaN* main to jalnay do uSay
jaan to shamm'a pay maiN dooNga patanga* bun k

jab kabhi goonji hay bhaNwray ki sada gulshan maiN
phool sharma gayay israaray tammanna bun k
- wah wah!

meri weeraan si baahoN maiN samaa kar deykHo
yay milan ttheHray ga donoN ka sahaara bun k
- bahut khoob!

zindagi beet chuki phir bi na gHabra aiy RAFIQ
sub guzartay haiN kisi roz janaaza bun k
- wah, bahut khoob!


zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein

surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri

aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri
  Send a message via Yahoo to Mahek  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Pehli Pehli Baar Mohabbat Ki Hai Sandhya1 Hindi/Urdu Lyrics 0 16th January 2008 10:57 AM
Pehli Baar sify_universal Shayri-e-Sharaab 0 10th July 2007 11:14 AM
Pehli baar minus Shayri-e-Ishq 3 23rd February 2006 12:35 PM
Pehli baar shaela Khan Chit-Chat & General Discussion Forum 4 5th June 2005 02:04 PM
pehli baar maryam Shayri-e-Ishq 0 6th March 2002 02:16 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com