Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Jisee Dushman Samajhta hoon
Old
  (#1)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
Thumbs up Jisee Dushman Samajhta hoon - 26th August 2003, 06:51 PM

aap sabhi hazraat ko mera salaam...doston yeh ghazal ek barr phir munavvar rana sahab ki hai...jo ke mujhe pasand aayee to meine socha aap logon ki nazarr karoon...nazrr-e-karam..farmaiiye



Jise dushman samajhta hoon wohi aapna nikalta hai,
ke har patthar ka mere sar se kuch rishta nikalta hai.

Zara sa chuhtputa jate hi chupp jataa hai suraj bhi,
magr ek chand hai jo shabb mein bhi tanha nikalta hai.

kisi ke pass aate hai, to darya sookh jata hai,
kisi ki edhiyon se ret mein chasma nikalta hai.

jise tum jurm-e-gaddari mein aksarr qatL karte ho,
ussi ki jebb se kyoon mulq ka jhanda nikalta hai.

fiza mein ghol di hai naftaren ehel sihasat ne,
magar pani kuenn se aaj tak mitha nikalta hai.

duaen MAA ki pohchaane ko milo-mil jati hai,
ke jab pardesh jane ke liye beta nikalta hai.





ummid hai pasand aayi hogi...yeh ghazal


Allah hafiz..


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Re: Jisee Dushman Samajhta hoon
Old
  (#2)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Jisee Dushman Samajhta hoon - 26th August 2003, 07:11 PM

Jise dushman samajhta hoon wohi aapna nikalta hai,
ke har patthar ka mere sar se kuch rishta nikalta hai.

jise tum jurm-e-gaddari mein aksarr qatL karte ho,
ussi ki jebb se kyoon mulq ka jhanda nikalta hai.

fiza mein ghol di hai naftaren ehel sihasat ne,
magar pani kuenn se aaj tak mitha nikalta hai.

duaen MAA ki pohchaane ko milo-mil jati hai,
ke jab pardesh jane ke liye beta nikalta hai.


wah talib bhai
kya kehne....ek baar phir apne aap ko roke nahi saka "wah wah" kehne se...kya khoob gehrayee bayan ki hai shayar ne,,kuch waqt laga goya nikalne mein. aap ka shukriya ki ek baar phir aap ne itna umda kalaam hamare saath baata...
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
manoj ji
Old
  (#3)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
manoj ji - 26th August 2003, 08:01 PM

ji haan kafi khoobsurat kalaam hai ...aur bhi kayee ghazal likhi huee hai iss kitaab mein "badan saray" naame hai iss kitab ka...lekin kuch chuninda ghazal pasand aaye mujhe..to aap logon ke kidhmat mein pesh kardi basss....batware ke shikar hai yeh shayar "munavvar rana" inki kitab ka saransh padhe layak hai..aap koshish karen agar kahi mil jaye to...ek nazar dalne ke layak hai yeh kitab....


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Re: manoj ji
Old
  (#4)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: manoj ji - 26th August 2003, 08:12 PM

shukriya talib bhai..

shaayar aur unki kitaab ke baare mein aap se bataya...mein jaroor yeh kitaab khojunga...parantu ek baat bataiyee yeh kitaab kis language mein hai..? agar urdu mein hai to hamen to urdu padhni nahin aati...agar hindi yaa english mein hi to bahot acha hai..

-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
manoj jee
Old
  (#5)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
manoj jee - 26th August 2003, 08:45 PM

janaab urdu to mujhe bhi nahi aati...yeh kitaab urdu aur hindi dono zabano mein maujood hai.....meine hindi copy kharidi thi....ek dost ko di thi..unhone wapass nahi lautayee.....aap padhna zaroor


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#6)
khushiii
Registered User
khushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura about
 
khushiii's Avatar
 
Offline
Posts: 934
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 23
23rd September 2003, 01:17 PM

Assalam u alaikum
Aapki pasand waqai lajawab hai Talib bhai.Apni pasand yun hi share kerte rahiye.
Allah hafiz


~~~~~~~Khushiii~~~~~~~
smile n make others also smile

those sparkling eyes
A 100 watt smile
the majestic walk
the cheerful talk
truly charming personality
Guess,thats enough abt me :D
   
Reply With Quote
Khushi Jee
Old
  (#7)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
Khushi Jee - 23rd September 2003, 01:31 PM

Khushi jee..

Khushii ko hamari pasand, pasand aaye yeh jaan ke Khushi huee...Rafta qayam rahe iss umeed ke saath....Allah Hafiz.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kisi ke dard ko koi yaha kitna samajhta hai... naresh_mehra110 Shayri-e-Dard 18 13th September 2009 06:53 AM
From dushman (Dil Se) dushman Mazaakiya SMS Shayri 0 30th July 2007 02:06 AM
Dushman maut ko kehta hoon !!! Vipinbox Shayri-e-Dard 8 7th January 2006 02:05 PM
woh samajhta nahi.... Fanah.... Shayri-e-Dard 4 20th April 2003 06:41 PM
koyi kisi ko nahi samajhta yaaro is duniya mein,chod dete hai dil ka ghar jo rehte>> shayri12345 Shayri-e-Dard 3 15th December 2002 03:03 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com