Dushayant sahab ki behtareen gazal -
18th February 2007, 12:44 AM
Yahan main aap logon se apne pasandeeda shayar Dushyant
kumar ji ki ek gazal share kar raha hoon:
Kahan to tay tha chirangan har ek ghar ke liye,
kahan chirag mayassar nahin sahar ke liye|
yahan darakhton ke saye main bhi doop lagti hai,
chalo yahan se chalen aur umra bhar ke liye|
na ho kameez to panvo se pet dhank lenge,
ye log kitne munasib hain is safar ke liye|
khuda na sahi, aadmi ka khyab sahi,
koi hasin nazara to ho nazar ke liye|
ve mumtain hain ki patthar pighal nahin sakta,
main bekrar hoo aawaz main asar ke liye|
Tera nizaam hai sil de juban shayar ki,
ye etihaat jaroori hai is bahar ke liye|
Jiyen to apne bageeche main gulmohar ke tale,
Maren to gair ki galiyon main gulmohar ke liye ||
- Dushyant Kumar
Kaun kahta hai ki aasman main soorakh nahin ho sakta
Ek patthar to tabiyat se uchhalo yaron.
-Dushyant Kumar
|