Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ab dawa be asar guzarti hai
Old
  (#1)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
ab dawa be asar guzarti hai - 3rd February 2019, 11:36 PM

Jab dawa be asar guzarti hai
To dua apna kaam karti hai

Saamne aane ko oh darti hai
Han magar mujh se pyar karti hai

Aisi naadani mat karo yaaro
Dub ke kashti nahin ubharti hai

Jab dilon men hi palti hai nafrat
To muhabbat kahan nikharti hai

Us ka deedaar hai nahin mumkin
Kyun taqaza nigah karti hai

Tum na insaaN bano sitamgar sa
Is se khoob zindegi sanwarti hai

Hai nahin hijr aag se khali
Aaja kyun tanha ghumti phirti hai

Dil mera khush bohut hota hai jab
Facebook men oh chat karti hai

mubtala badgumani men mat ho
isse chahat ki shaan girti hai

Is se Parwaaz bakhabar ho ja
Teri seerat pe oh bhi marti hai


By Mujeeb Parwaaz

Last edited by mujib66; 3rd February 2019 at 11:40 PM.. Reason: Spelling mistake
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com