Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
bunyaadi haq
Old
  (#1)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
bunyaadi haq - 15th November 2010, 07:23 PM

aadaab
mod saahbaan

mujhe apni ghazal pe ek do jagah edit karnaa thaa magar main na kar sakaa kiun ki edit option yahaan nazar hi nahi aa rahaa thaa kisee se maaloom huwaa ki ham sirf 40 minut tak apne edit ke haq ko istemaal kar sakte hain us ke baad mod ki madad lenee hogee
main is maamile me uljhan ka shikaar hun ki aayaa apnee takhleqaat me tarmeem o tsarruf ka ikhtiyaar kisee ko diyaa jaye yaa na
jabki doosree jaanib meree shakhsi anaa is baat se bhi majrooh ho rahee hai ki main bazaate khud apnee takhleeqaat pe tasarruf ka bunyaadi haq kho dun ....... kiyaa aisaa meraa zameer gawaara kare gaa .......jabki main ne apnee takhleeqaat ko kisee ke haathon farokht to kiyaa nahi hai
aap hazraat is maamile ko dekhen to badee nawaazish hogee
doaan ke saath
masood hassas
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Smile 16th November 2010, 12:09 AM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post
aadaab
mod saahbaan

mujhe apni ghazal pe ek do jagah edit karnaa thaa magar main na kar sakaa kiun ki edit option yahaan nazar hi nahi aa rahaa thaa kisee se maaloom huwaa ki ham sirf 40 minut tak apne edit ke haq ko istemaal kar sakte hain us ke baad mod ki madad lenee hogee
main is maamile me uljhan ka shikaar hun ki aayaa apnee takhleqaat me tarmeem o tsarruf ka ikhtiyaar kisee ko diyaa jaye yaa na
jabki doosree jaanib meree shakhsi anaa is baat se bhi majrooh ho rahee hai ki main bazaate khud apnee takhleeqaat pe tasarruf ka bunyaadi haq kho dun ....... kiyaa aisaa meraa zameer gawaara kare gaa .......jabki main ne apnee takhleeqaat ko kisee ke haathon farokht to kiyaa nahi hai
aap hazraat is maamile ko dekhen to badee nawaazish hogee
doaan ke saath
masood hassas

mai Hassaas sahab ki baat se ittefaaq rakhti hu... plz is baat pe zaroor gaur kiya jaaye....
shukriya.....


"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Old
  (#3)
anaarhi
Talib-e-ilm
anaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 23
16th November 2010, 05:24 PM

Sahibaan,
mere vichaar se ek baar jo post ker diya wo printing material ki tareh non editable hona chahiye, kyonki isse baar baar editing ko badawa milega aur zinhone pehle us post ko padh ke reply ker diya hai un ke saath zyadti hogi. is ka ek example yei thread
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=71393
hai. is par editing ko le ker garma garam bahes ho chukee hai.
magar jaise ke proof reading hoti hai usee tareh yahan post kerte waqt kuch typing mistakes bhee ho jaati hain jin per baar baar padne ke baad bhi dyaan nahin jaata kyoki sab apna likha hota hai aur aabmi flow mein theek padta jaata hai. is liye 40 min ka samay editing ke liye hona kam hai isko badha ke 24 ghante kiya jaana chahiye aur is dauraan jo replies aayen editing ke baad un replies par automatic report honi chahiye editing ki.
aur ek baat jab bhi koi member login kerke apni post khole to sabse last post sabse ooper honi chahiye by default (Jaise post reply kerne ke samay hoti hai).


regards
Anaarhi
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com