Mere Mehboob Tujhe Meree Mohabbat Kee Kasam -2
Phir Mujhe Nargisee Aankhon Kaa Sahaaraa De De
Meraa Khoyaa Huyaa Rangeen Nazaaraa De De
Aye Mere Khwaab Kee Taabeer Meree Jaan-E-Gazal
Zindegee Meree Tujhe Yaad Kiye Jaatee Hain
Raat Din Mujh Ko Sataataa Hai Tasavvur Teraa
Dil Kee Dhadkan Tujhe Aawaaz Diye Jaatee Hain
Aa Mujhe Aapnee Sadaaon Kaa Sahaaraa De De
Bhool Saktee Nahee Aankhein Woh Suhaanaa Manzar
Jab Teraa Husn Mere Ishq Se Taqraayaa Thaa
Aaur Phir Raah Mein Bikhre Thhe Hazaaron Nagmein
Main Woh Nagmein Teree Aawaaz Ko De Aayaa Thaa
Saaz-E-Dil Ko Un Hee Geeton Kaa Sahaaraa De De
Yaad Hain Mujhko Meree Umr Kee Pehlee Woh Ghadee
Teree Aankhon Se Kayee Jaam Piyaa Thaa Maine
Meree Rag Rag Mein Koyee Barq See Lehraayee Thhee
Jab Tere Marmaree Haathon Ko Chhooyaa Thaa Maine
Aa Mujhe Phir Un Hee Haathon Kaa Sahaaraa De De
Maine Ek Baar Teree Ek Jhalak Dekhee Hai
Meree Hasrat Hain Ke Main Phir Teraa Deedaar Karuun
Tere Saaye Ko Samajh Kar Main Haseen Taaj Mahal
Chaandnee Raat Mein Nazron Se Tujhe Pyaar Karuun
Aapnee Mehkee Huyee Zulfon Kaa Sahaaraa De De
Dhoondhtaa Huun Tujhe Harr Raah Mein Harr Mehfil Mein
Thak Gaye Hain Meree Majboor Tamannaa Ke Kadam
Aaj Kaa Din Meree Ummeed Kaa Hain Aakhree Din
Kal Naa Jaane Main Kahaan Aaur Kahaan Tu Ho Sanam
Do Ghadee Aapnee Nigaahon Kaa Sahaaraa De De
Saamne Aaake Zaraa Pardaa Uthhaa De Rukh Se
Ek Yehee Meraa Ilaaj-e-Gham-e-Tanhaayee Hai
Teree Furqat Ne Pareshaan Kiyaa Hain Mujhko
Ab To Mil Jaa Ke Meree Jaan Pe Ban Aayee Hai
Dil Ko Bhoolee Huyee Yaadon Kaa Sahaaraa De De
*Singer: Mohammad Rafi Jee

**
*Film: Mere Mehboob

**
Song No. 2

**
Mere Mehboob Mein Kya Nahee-Kyaa Nahee

?
Mere Mehboob Mein Kya Nahee,
Wo Hain Laakhon Mein Ek Haseen-Ek Haseen

**
Mere Mehboob Mein Kyaa Nahee
*Film: Mere Mehboob

**