woh mazaar dhundhti hun... -
20th May 2003, 05:07 PM
aaj phir haazir hain aap sabhi liye ek aur ghazal.meri ghaltiyaan mujhe zarur bataiyega.
Dil ko jala jala kar tera pyaar dhundhti hun,
Bechain zindagi hai karaar dhundhti hun,
Loota mere chaman ko mere hi apno ne,
Lagkar gale khizake mein bahar dhundhti hun,
Kabhi saath saath dono chale the jahan se,
Baki ho shayad kahin woh nishan dhundhti hun,
Saye mein jiske beete the kabhi jo dilkash lamhe,
Yaadon ke safar ki woh khyaal dhundhti hun,
Meri toh zindagi ab bujhti hui shama hai,
Jaha dafan hui meri chahat woh mazaar dhundhti hun.
"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."
**~*FaRhAnA*~**
Last edited by farhana; 20th May 2003 at 05:10 PM..
|