Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Main...aur meri tanhai...
Old
  (#1)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
Main...aur meri tanhai... - 27th January 2006, 11:50 AM

Dosto maaf karna bade dino baad idher aana ho paya...aur is masroofiyat me ham kisi k kalaam per bhi shirkat na kar paye...aaj thora likhne ki koshish ki hai...na jaane pasand aayega ya nahi...apne vichaar dijiyega pls...



Tanhai k maile hai...duniya me ham akele hai..
chahat unki badhti hi jaati hai..syah na-umeedi k ghere hai..

chhitakti sooraz ki roshni bhi..na hamko raas aati hai..
jalaati hai mere jakhmo ko...jab unki yaad aati hai..

na laati hai ye(roshni) koi umeed...na koi aas bandhati hai..
main niraashao k andhero main...aur ye mujh per hi muskurati hai...

mere masoom dil sambhal....na koi yaha tera saathi hai..
jaha.n ki berukhi ki daulat hi...kyu e dil tere pehlu me aati hai

khamosh lab kyu sisakte hai baar - baar, har baar...
rukhsaaro pe tere kyu udaasi khail jaati hai...

bas dosto aaj bas itna hi...ab izazet

gam-e-lashkar
   
Reply With Quote
Re: Main...aur meri tanhai...
Old
  (#2)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Main...aur meri tanhai... - 27th January 2006, 12:02 PM

Tanhai k maile hai...duniya me ham akele hai..
chahat unki badhti hi jaati hai..syah na-umeedi k ghere hai..

khamosh lab kyu sisakte hai baar - baar, har baar...
rukhsaaro pe tere kyu udaasi khail jaati hai...

priye gam e lashkar ji
bahooot khooob,,,!!! yun to saari rachana hi kaabile tareeef hai,,magar in 2 sheron mein na jane kaisi maasusi jhalak rahi hai,,,jo dil ko chooo gayi.....meri daad kuboool kijiye
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
27th January 2006, 12:07 PM

wah kya khoob likha hai aapne janab.ye status to ,mera hai par likha aapne.bas sach kehta hoon.dil khush ho gaya. aapko padh kar.

GHAYAL



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#4)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
31st January 2006, 12:20 PM

hai manoj ji...

sorry resp. thora late ho gaya..

thanks aap yaha aaye...aur hamar hausla afjaahi ki...aur sahi pehchaana...aapne hamari maayuusiyat ko... lol do lines yaad aa gayi....

DIL KI TANHAAIYO.N KO AAWAAZ BANA LETE HAI..
DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETE HAI...

OK bye...thanks again for coming.....be continue..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
31st January 2006, 12:23 PM

helo ghayal sahab....

thanks aap yaha aaye..hame lag raha tha ki aap yaha zaroor aayenge...vo kehte hai na...jo baate dil ko choo jati hai unhe aap chah kar b nazer-andaaz nahi kar sakte...aur hm bakhubi jaante hai ki aapka hamara taste milta julta hai...means aap bi isi type ka likhte hai..aur ham b kuch u hi likha karte hai..

any way..thanks for coming...be continue...

ok bye...t/c
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
31st January 2006, 01:49 PM

mere azeez lashkar sahab....

bahaut hi accha likkha hai aapne...ise padhke mere zubaan se bhi bas yahi baat nikli hai ik aah ke saath ki "mein aur meri tanhaai...."
kaash yeh dard na hota ...yeh mayoosi na hoti...yeh ranj aur dard ki deeware toot ke bikhar gayi hoti...
kaash...!
apna khyaal rakhiyega.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#7)
mehul jain
haatho se haath milte rah
mehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the rough
 
mehul jain's Avatar
 
Offline
Posts: 1,429
Join Date: Feb 2005
Location: mumbai
Rep Power: 23
31st January 2006, 01:54 PM

kamal kar diya lashkar bhai aapne
Tanhai k maile hai...duniya me ham akele hai..
chahat unki badhti hi jaati hai..syah na-umeedi k ghere hai..
wah wah!!!!!!! maza aa gaya

keep coming and do posting like that


meri har chahat se pehle ek chahat hogi
wo chahat hamesha tum hogi
ab to chahna hi reh gaya hai zindagi main
na jane yeh chahat kab puri hogi
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
main aur meri tanhai dikumar2000 Anjuman-e-Shayri 96 1st September 2010 12:07 AM
Main aur meri tanhai... rastogi Shayri-e-Mashahoor Shayar 3 31st March 2010 11:07 AM
meri tanhai lovely_c Shayri-e-Dard 4 23rd August 2006 05:10 PM
Mai aur meri tanhai.. Bijay.Sinha Humourous Shayri 4 22nd March 2006 10:31 AM
Meri tanhai hi meri aawaz hai Diggaj_Dave Shayri-e-Ishq 3 24th September 2005 12:32 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com