uss bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte -
22nd May 2010, 02:03 PM
hum apni wafa yaad dila bhi nahi sakte
uss bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte
baheta hua har ashq ye kehta hai na jaao
khaamosh neegahon ki kasam laut bhi aao
hum apni zuba se bula bhi nahi sakte
uss bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte
dil jalta hai chupchaap na shola na dhua hai
hai dard magar kis ko bataye ke kaha hai
yeh zakham-e-mohabbat hai dikha bhi nahi sakte
uss bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte
hum apni wafa yaad dila bhi nahi sakte
uss bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte
_______________________________________________ PRANEETA
Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
|