Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Basheer Badr and Ahmed Faraaz
Old
  (#1)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
Basheer Badr and Ahmed Faraaz - 3rd May 2005, 08:34 PM

Aadaab,

Hum bhi dariya hai hamein apna hunar maloom hai
Jahaan bhi chal pade raasta ho jayega

The above sher is written by Basheer Badr. Agar aap ko basheer badr ji ke aur sher pata ho to yahan post kijiyega. Badi khushi hogi. Aur saath hi saath ahmed faraaz ke sher bhi post kare to behtar.

I think, this forum of Shayri - E - Mashhoor - shayar should be categorized by various shayars.

Regards,
AJO.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
faraz...
Old
  (#2)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
faraz... - 20th May 2005, 03:40 PM

faraz sahab ka ek sher jo mujhe behad pasand hai woh hai....

abke jo bichade to phir khwabon mein mile
jaise bikhare hue phool kitabon mein mile...


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Nice :)**
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Nice :)** - 8th June 2005, 10:15 PM

Aadab, Hope You are well Great Poets **

Suna hain deen ko usse titlian satati hain
Suna hain raat ko jagnoo thahr ke dekhte hain
Ab usske shahr mein thehrain ke kuchh kar jaayen
"Faraaz" aaon sitaare safar ke dekhte hain

Writer: Ahmed Faraaz Jee**

Aur haan, (My Favourite)Mehdi Hasaan Jee Ki Aawaaz Mein wo jo Amaan Jee Likhhe Hain_thodi si change hogi shayaad_Bura Na Maniyega:

Ab Ke Ham Bichhde Tou Shayaad Kabhi Khwabon Mein Mile
Jiss Tarah Sukhhe Houe Phoul Kitaabon Mein Mile

Singer: Mehdi Hassan Jee**
And Of Course, Writer: Ahmed Faraaz Jee**

Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**Take Care**God bless You.

Keep smilling.......**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Hope you like...:)
Old
  (#4)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
Hope you like...:) - 9th June 2005, 03:14 AM

Ahmad Faraaz Ji

Souna hai log ousse ankh bhar ke dekhte hein

Souna hai log ousse ankh bhar ke dekhte hein
so ouss ke shahar main kouch din thahar ke dekhte hein

Souna hai rabt hai ouss ko kharaab haalon se
so apne aap ko barbaad karke dekhte hein

Souna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk ouss ki
so hum bhi ouss ki gali se guzar kar dekhte hein

Souna hai ouss ko bhi hai sher o shayri se shagaf
so hum bhi mojaze apne hunar ke dekhte hein

Souna hai bole to baaton se phoul jhaDate hein
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hein

Souna hai raat ousse chaand taktaa rehta hai
sitare baam e falak se outar kar dekhte hein

Souna hai hashr hein ouss ki gazaal si ankhein
souna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hein

Souna hai din ko ousse titliyan sataati hein
souna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hein

Souna hai raat se baDh kar hein kaakulein ouss ki
souna hai shaam ko saaye gouzar ke dekhte hein

Souna hai ouss ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so ouss ko surmafarosh ankh bhar ke dekhte hein

Souna hai ouss ke labhon se goulaab jalte hein
so hum bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hein

Souna hai aainaa tamasaal hai jabin ouss ka
jo sada dil hein ban sanwar ke dekhte hein

Souna hai jab se hamaail hein ouss ki gardan main
mizaaj aur hi laal o gauhar ke dekhte hein

Souna hai chashm e tasavvur se dasht e imkaan main
palang zaave ouss ki kamar ke dekhte hein

Souna hai ouss ke badan ke taraash eisse hein
ke phoul apni qabaayein katar ke dekhte hein

Wo sarv-qad hai magar be gul e muraad nahin
ke ouss shajar pe shagoufe samar ke dekhte hein

bas ek nigaah se loutataa hai qaafilaa dil ka
so rah_ravaan e tamanna bhi dar ke dekhte hein

Souna hai ouss ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makiin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hein

Rouke to gardishein ouss ka tavaaf karti hein
chale to ouss ko zamaane thahar ke dekhte hein

Kiss naseeb ke be pairahan ousse dekhe
kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hein

Kahaniyaan hin sahi sab mubaalage hi sahi
agar wo Khwaab hai taabeer kar ke dekhte hein

Ab ouss ke shahar main thehrein ki kouch kar jaayein
“Faraaz" aao sitare safar ke dekhte hein…

Amanush...



Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Old
  (#5)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
9th June 2005, 09:42 AM

kyaa baaat hai Amanush ji, shimul ji.
Bahur din baad kuch replies aaye aur woh bhi itne laajawaab ke main bas padhta hi reh gaya.


Bahut bahut Shukriya.

AJO
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
shimul........
Old
  (#6)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
shimul........ - 9th June 2005, 05:30 PM

shukriya ke aapne meri galati ko sudhar diya.....woh sher darasal "sukhe hue phool hi hai.." shukriya..


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Khwaab martay haiN- Ahmed faraaz Brijinder Aapki Shayri 0 22nd May 2007 07:59 AM
hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye - by Basheer Badr Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 7 12th September 2006 04:35 PM
sar jhukaa-oge to patthar devata ho jayega - by Basheer Badr Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 19th April 2005 10:45 PM
gazal by faraaz sahab... sagar29in Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 9th January 2002 10:01 PM
gazal by faraaz sagar29in Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 8th December 2001 12:50 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com