Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
teraa dar ho - ek taazaa ghazal
Old
  (#1)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
teraa dar ho - ek taazaa ghazal - 10th October 2002, 09:53 AM

dosto

Sept 28 ko kahii ek ghazal haazir hai.. mere khyaal se mainey itnii muKhtsar bahr meiN pahley kabhii ghazal nahiiN kahii.. mulaahizaa ho

teraa dar ho
meraa sar ho

noor ho aisaa
jo ghar-ghar ho

zakhm ho gahraa
aur andar ho

jhoNkaa hai ya
tum baahar ho.

phir se chchalko
tum saaGhar ho

khushboo ho,
mere andar ho

pighal bhii jao!
kyaa paththar ho?

geet ho,merey
hoNTo par ho

dil joDo gar
shiishaagar ho.
_*_*_*_*_**__*_*

mere khyaal meiN aur bhii sher kahey jaa saktey they.. lekin maiNey yahiiN khatam karnaa munaasib samjhaa.
aap kii aaraa kaa intezaar rahegaa.. khaas taur pe is liiye taaqiid kar rahaa huuN ki mainey pahlii baar muKhtasir bahr meiN koshish kii hai..
shukria

Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Old
  (#2)
ZaraSuniye
Umda Shayara
ZaraSuniye is on a distinguished road
 
ZaraSuniye's Avatar
 
Offline
Posts: 34
Join Date: Dec 2001
Location: AZ, USA
Rep Power: 0
11th October 2002, 09:03 AM

Feroz jee:

vaise to aapki kahi har ghazal dil choo leti hai lekin yeh zara hat ke thii. Itni mukhtsar bahr mein kehne waala andaaz bahut achchaa laga. Yuun lagta hai jaise is andaaz ne ghazal ko ek masoomiyat si de di, jaise kise chote bache ke chehre pe nazar aati hai. Yakeen maaniye, ghazal bahut hi dilnasheen aur pyaari lagi.

Khaas kar ke yeh do sher bahut pasand aaye

phir se chchalko
tum saaGhar ho
wah! kitne kam lafzoN mein kitni badi baat keh di

pighal bhii jao!
kyaa paththar ho?
is andaaz-e-shikaayat ke to kya kehne!

Khuda kare aapke qalaam paDne ko milta rahe.

Rab rakhaa


Aapki shayari ki qaayal
- Zara Suniye


Khushk maidaan mein yeh kashtiyaan yuhi to nahi
Yakeenan yaha koi sailaab aaya hoga
  Send a message via Yahoo to ZaraSuniye Send a message via AIM to ZaraSuniye  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
18th October 2002, 06:49 AM

zara suniye
shukria aap kaa
kii aap ne yahaaN aa kar merii ghazal ko paDhney par waqt sarf kiiyaa aur phir hauslaa afzaai bhii kii .. ye ghazal itnii jaldii ban gayii ki maiN khud hairaan huuN. baharhaal aap kaa shukria..aaiNdaa bhiii isii tarah karam famaatii rahiyegaa...

Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai acharya_mj Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 29th May 2009 09:37 AM
ek taazaa ghazal............... gulaab ka rang Safiya Aapki Shayri 9 9th May 2005 09:29 PM
ek taazaa ghazal..................gulab ka rang Safiya Shayri-e-Ishq 6 9th May 2005 09:57 AM
teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai smack_07078 Shayri-e-Ishq 2 7th August 2004 05:56 PM
teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai Neha Haroon Shayri-e-Dard 0 30th April 2003 12:12 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com