Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Badappan
Old
  (#1)
@kaash
Registered User
@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 249
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 22
Badappan - 6th April 2011, 03:27 PM

Hamara nazariya hi hamari zindagi ka hota hai darpan
khud me khaami doosre me khoobi dekhna kahlata badappan

Badappan

Khud ke hi banaye manakon me khud ko upar uthakar
doosre ke uttam manakon me use girakar santushti ka aawran

Badappan

mengayi sahi aur atyachaar vyabhichaar par bhi chup rahi
par jashn ke mahaul me bholi janta ka kaisa bhola hai samarpan

Badappan

Ameer-e-shahar ne ahmiyat ki khatir har churahe pe gadde banavaye
jab jab log giren apas me bhiden zulm hai veheshipan hai ya ladakpan

Badappan

Dost vo bhi hote dost hain jo faqat maqsad ke lie jodte judte hain
Dost aise bhi hote jinki qitaab me matlab ka nahi koi bandhan

Badappan

Aur phir lazimi hai zulf par bhi husn par bhi kuch likha jaye
shayar ko khoobsoorat lagti hain aakbhen jinme hota hai bachpan

Badappan

Shak jitna khud par hota utna insaan doosron par hai karta
Bharosa auron pe karne se aadmi badhata khud se apnapan

Badappan

Sansarik kuch bhi na saath jayega rohaani kuch na chhoot payega
agyaan ka samaapt hone se khudbakhud khilta gyaan ka yauvan

Badappan


Quality is not an act,it is a habit.
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com