Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 3.67 average. Display Modes
Some~ Javed Akhtar ~collection
Old
  (#1)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
Some~ Javed Akhtar ~collection - 14th August 2008, 01:21 PM

Dear frnds ...kuchh Javed Akhtar ji ke Gazal,Nazm humne collect kiye hain ...sayad aap sab ko pasand aaye .........
aik mohray ka safar (nazm)
jab woh kam umr hi tha
usne yeh jan lia tha k agar jeena hai
bari chalaki say jeena hoga
aankh ki aakhri had tak hai basat-e-hasti
aur woh m'amooli sa aik mohra hai
aik ik khana bohat soch k chalna hoga
bazi aasan nahin thi uski
door tak charoN taraf phailay thay mohray
jallas, nayahat saffaak, sakht bay reham , bohat hi chalaak
apne qabzay maiN liye poori basaat
uske hisay maiN faqat mat hi mat
woh jidhar jata usay milta
har naya khana, nai ghaat liye
woh magar bachta raha, chalta raha
aik ghar , doosra ghar, teesra ghar
pas aya kabhi auroN k kabhi door hua
go k m'amooli sa mohra tha magar jeet gaya
yooN woh ik roz bara mohra bana
ab woh mehfooz hai ik khanay maiN
itna mehfooz k dushman to alag
dost bhi pas nahiN aa saktay
uske ik hath maiN hai jeet uski
doosray hath maiN tanhai hai!

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
bayghar (nazm)
Old
  (#2)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
bayghar (nazm) - 14th August 2008, 01:22 PM

sham honay ko hai
lal sooraj samandar maiN khonay ko hai
aur uske paray kuch parinday
qataraiN banaye huwe
unhi jangloN ko chalay
jin k pairoN ki shakhoN pe haiN ghonslay
yeh parinday
waheeN lot kar jayeN gay
aur so jayeN gay
hum hi hairan haiN
is makanoN k jangal maiN apna kahiN bhi thikana nahiN
sham honay ko hai
hum kahaN jayeN gay?

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
dard apnata hai.. (ghazal)
Old
  (#3)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
dard apnata hai.. (ghazal) - 14th August 2008, 01:23 PM

dard apnata hai paraye kon
kon sunata hai aur sunaye kon

kon dohraye woh purani bat
gham bhi soya hai jagaye kon

ab sukh hai to bhulanay maiN haiN
lekin us shakhs ko bhulaye kon

aaj phir dil hai kuch udas udas
daikhiye aaj yad aaye kon

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
dil k phool (ghazal)
Old
  (#4)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
dil k phool (ghazal) - 14th August 2008, 01:24 PM

dil k phool bhi khiltay haiN bikhar jatay haiN
zahkm kaisay bhi hoN kuch roz maiN bhar jatay haiN

us dareechay maiN bhi ab koi nahiN aur hum bhi
sar jhukaye huwe chup chaap guzar jatay haiN

raasta rokay khari hai yehi uljhan kab say
koi poochay to kahaiN kia haiN, kidhar jatay haiN

narm aawaz, bhali bataiN, muhazzab lehjay
pehli barish maiN hi yeh rang utar jatay haiN

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
gud yaar
Old
  (#5)
dr.raj
Registered User
dr.raj is just really nicedr.raj is just really nicedr.raj is just really nicedr.raj is just really nice
 
dr.raj's Avatar
 
Offline
Posts: 450
Join Date: Jul 2008
Location: udaipur
Rep Power: 19
Smile gud yaar - 14th August 2008, 01:55 PM

gud work...diyaaaaaaaaaa.....
humesha ki tarah....as usual...keep it going on.....
   
Reply With Quote
fasaad k b'ad (nazm)
Old
  (#6)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
fasaad k b'ad (nazm) - 14th August 2008, 01:57 PM

gehra sannata hai
kuch makanoN say khamosh uthta hua gaarha kala dhuwaN
mail dil maiN liye har taraf door tak phailta jata hai
gehra sannata hai
lash ki tarah bay jan hai raasta
aik toota hua thaila ulta para apne pahiye hawa maiN uthaye huwe
aasmanoN ko hairat say takta hai
jaisay jo bhi hua, uska ab tak yaqeeN usko aaya nahiN
aik ujri dukaN, cheekh k b'ad munh khula to khula reh gaya
apne tootay kawaroN say woh
door tak phailay choori k tukroN ko hairat zada nazroN say daikhti hai
k kal tak to yehi sheeshay is poplay munh maiN so rang k dant thay
gehra sannata hai
gehary sannatay ne apne manzar say yooN bat ki
sun lay ujri dukaN
ay sulagtay makaN
tootay thailay, tumhi bas nahiN ho akailay
yahaN aur bhi haiN jo ghaarat huwe
hum unka bhi maatam karaiN gay magar
pehlay unko to ro laiN
k jo lootnay aye aur khud lut gaye
kia luta iski unko khabar hi nahiN
kam nazar haiN k sadiyoN ki tehzeeb par
in baicharoN ki koi nazar hi nahiN!

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
har khushi maiN koi kami si hai(Ghazal)
Old
  (#7)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
har khushi maiN koi kami si hai(Ghazal) - 14th August 2008, 02:24 PM

har khushi maiN koi kami si hai
hansti aankhoN maiN bhi nami si hai

din bhi chup chaap sar jhukaye tha
rat ki nabz bhi thami si hai

kis ko samjhayeN kis ki bat nahiN
zehn aur dil maiN phir thani si hai

khab tha ya ghubar tha koi
gard in palkoN pe jami si hai

hasrataiN rakh ho gayeeN lekin
aag ab bhi kahiN dabi si hai

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
jatay jatay woh mujhe(Ghazal)
Old
  (#8)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
jatay jatay woh mujhe(Ghazal) - 14th August 2008, 02:32 PM

jatay jatay woh mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraoN ga, aisi kahani day gaya

us say maiN kuch pa sakooN aisi kahaN umeed thi
gham bhi woh shayad baraye meharbani day gaya

khair maiN piyasa raha par usne itna to kia
meri palkoN ki qitaroN ko woh pani day gaya

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#9)

16th August 2008, 07:00 PM

kin lafzoN maiN itni karwi, itni kaseeli bat likhoN
sh'air ki maiN tehzeeb nibhaoN ya apne haalat likhooN

gham nahiN likhooN kia maiN gham ko? jashn likhooN kia maatam ko?
jo daikhay haiN maiN ne janazay kia unko baarat likhooN?

kaisay likhooN chand k qissay, kaisay likhooN phool ki bat
rait uraye garm hawa to kaisay maiN barsaat likhooN?

apni apni taareeki ko log ujala kehtay haiN
tareeki k nam likhooN to qaumaiN, firqay, zat likhooN

janay kaisa dor hai jismaiN yeh jurrat bhi mushkil hai
din ho gar to usko likhooN, rat agar ho rat likhooN

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
20th August 2008, 08:52 PM

tumako dekhaa to ye Khayaal aayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa

aaj phir dil ne ek tamannaa kii
aaj phir dil ko hamane samajhaayaa

tum chale jaaoge to soche.nge
hamane kyaa khoyaa, hamane kyaa paayaa

ham jise gunagunaa nahii.n sakate
vaqt ne aisaa giit kyuu.N gaayaa

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Bahot Khoob... Diya
Old
  (#11)
Zakhmi_Dil
Registered User
Zakhmi_Dil will become famous soon enoughZakhmi_Dil will become famous soon enough
 
Zakhmi_Dil's Avatar
 
Offline
Posts: 24
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 0
Thumbs up Bahot Khoob... Diya - 21st August 2008, 05:14 PM

Wah! Diya Bahot Khoob... Hume Ye Sab Ghazalein Aur Nazm Padhkar Acchi Lagi... Aisi Hi Javed Akhtar Sahab Ki Likhi Hui Ghazalein Aur Nazm Se Hume Humesha Ru-ba-Ru Karwate Rahiyega...

Woh "Dil" kahan se laaoN jo teri yaad bhula de...
MujH ko yaad aane waale tu hi koi raasta bata de.
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
Thumbs up 26th September 2008, 12:03 PM

Quote:
Originally Posted by Diya_Jale View Post
jatay jatay woh mujhe achi nishani day gaya

umr bhar dohraoN ga, aisi kahani day gaya

us say maiN kuch pa sakooN aisi kahaN umeed thi
gham bhi woh shayad baraye meharbani day gaya

khair maiN piyasa raha par usne itna to kia

meri palkoN ki qitaroN ko woh pani day gaya
Nice collection diya ji bahut achi shayri pesh ki aapne javed Akhtar sahab ki aur yeh jo gazal hai ismen do sher kam hai woh yeh hai puri gazal

jaate jaate vo mujhe acchi nishaanii de gayaa
umr bhar doharaauuNgaa aisii kahanii de gayaa

us se main kuchh paa sakuuN aisii kahaaN ummiid thii
Gam bhii vo shaayad baraae meharabaanii de gayaa

sab havaayeN le gayaa mere samandar kii koii
aur mujh ko ek kashti baadabaanii de gayaa

Khair main pyaasaa rahaa par us ne itanaa to kiyaa
merii palakon kii kataaron ko vo paanii de gayaa

"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"

Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.

  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
26th September 2008, 05:38 PM

Quote:
Originally Posted by Mohammad Kashif View Post
Nice collection diya ji bahut achi shayri pesh ki aapne javed Akhtar sahab ki aur yeh jo gazal hai ismen do sher kam hai woh yeh hai puri gazal

jaate jaate vo mujhe acchi nishaanii de gayaa
umr bhar doharaauuNgaa aisii kahanii de gayaa

us se main kuchh paa sakuuN aisii kahaaN ummiid thii
Gam bhii vo shaayad baraae meharabaanii de gayaa

sab havaayeN le gayaa mere samandar kii koii
aur mujh ko ek kashti baadabaanii de gayaa

Khair main pyaasaa rahaa par us ne itanaa to kiyaa
merii palakon kii kataaron ko vo paanii de gayaa

Bahot Bahot sukriya kashif ji ...... aapke wajay se puri gazal padh ne ko mili ....khus rahiye younhi saath dete rahiye

Diya

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
kabhi yooN bhi to ho...(Nazm)
Old
  (#14)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
kabhi yooN bhi to ho...(Nazm) - 24th October 2008, 05:59 PM

kabhi yooN bhi to ho
darya ka sahil ho
pooray chand ki rat ho
aur tum aao

kabhi yooN bhi to ho
pariyoN ki koi mehfil ho
koi tumhari bat ho
aur tum aao

kabhi yooN bhi to ho
yeh narm mulayem thandi hawayeN
jab ghar say tumharay guzraiN
tumhari khusbu churayeN
mere ghar lay aayeN

kabhi yooN bhi to ho
sooni har manzil ho
koi na mere sath ho
aur tum aao

kabhi yooN bhi to ho
yeh badal aisa toot k barsay
mere dil ki tarah milnay ko
tumhara dil bhi tarsay
tum ghar say niklo

kabhi yooN bhi to
tanhai ho, dil ho
boondaiN hoN, barsaat ho
aur tum aao
kabhi yooN bhi to ho!

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
zishan107
Registered User
zishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 449
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 25
25th October 2008, 12:35 AM

Wow!!! Buy one get 10 ...

Nice collection

Wahi hai markaz'e'Kaaba wahi hai rah'e'buthaana...
Jahaan diwaane do milkar sanam ki baat karte hain..
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
avinashp
Registered User
avinashp is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 3
Join Date: Apr 2010
Location: New delhi
Rep Power: 0
30th April 2010, 02:47 PM

Quote:
Originally Posted by Diya_Jale View Post
dil k phool bhi khiltay haiN bikhar jatay haiN
zahkm kaisay bhi hoN kuch roz maiN bhar jatay haiN

Kindly make correction. it is not "Dil ke phool". It is "Dard ke phool"

dard ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain,
zakhm kaise bhi hon, kuchh roz me bhar jaate hain.
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Javed Akhtar..An Introduction gjgjgj Shayri-e-Mashahoor Shayar 7 24th September 2011 04:51 PM
Duswari....by javed akhtar mausam Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 1st July 2007 01:43 PM
Ghazal by Javed Akhtar Parul Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 7th December 2006 05:36 PM
Khalish by Javed Akhtar anil_tantia Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 27th October 2006 02:21 PM
A Poems By Javed Akhtar.. vijen Shayri-e-Dard 6 10th January 2005 10:51 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com