Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
maqaam.e.ishq meiN yeh dil rahaa aashuftah.Khoo barsoN!
Old
  (#1)
Sarwar A. Raz
Registered User
Sarwar A. Raz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 70
Join Date: Dec 2002
Location: Fort Worth, TX, U.S.A.
Rep Power: 22
maqaam.e.ishq meiN yeh dil rahaa aashuftah.Khoo barsoN! - 3rd February 2004, 12:26 AM

yaaraan.e.meHfil: tasleemaat!

Hazrat Ameer Meenaa'ee kaa aik misra' hai:

:isee ghar meiN jalaayaa hai chiraaGh.e.aarzoo barsoN:

Haal hee meiN Khaaksaar ne iss zameen aur beHr meiN Ghazal kehne kee koshish kee hai jo aaj Haazir.e.Khidmat hai. radeef :barsoN: ne mazaameen per saKht paabandee aa'id kar rakhee hai jo Ghazal se saaf zaahir hai. phir bhee chooN.k yeh zameen mujh ko aik dilchasp :lalkaar: (challenge) lagee, maiN ne apnee see fikr kee hai. aap kay tabsire aur be'laag raa'e kaa intizaar rahe gaa. ummeed hai k maayoos naheeN kareN ge. shukriya!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
================================================== ===

GHAZAL:

maqaam.e.ishq meiN yeh dil rahaa aashuftah.Khoo barsoN
pareshaaN.Haal.o.sar'gardaaN phiraa hai koo.ba.koo barsoN!

khulee be'qeematee uss kee baRee mushkil se muddat meiN
rahee jiss chaak.e.daamaaN kee hameN fikr.e.rafoo barsoN!

samajh meiN aa gayaa ahl.e.muHabbat ko ghaRee bhar meiN
udhar ahl.e.Khirad karte rahe bus haa'e.o.hoo barsoN!

kahaaN suntaa hai apne saamne voh baat dunyaa kee?
rahee kyaa kyaa na iss dil se hamaaree guftugoo barsoN!

Khudaa iss ishq ko samjhe, paRey Khaak iss muHabbat per!
rakhaa jiss ne hameN be.KhaanamaaN, be.aabroo barsoN!

jhukaa ker sar jo dekhaa to voh apne dil meiN beThaa thaa!
nigaaheN DhooNDtee theeN jiss ko her dum chaar'soo barsoN

yehee dil hai jahaaN shaam.o.saHar ab Khaak uRtee hai
:isee ghar meiN jalaayaa hai chiraaGh.e.aarzoo barsoN: (1)

tiree her baat :Sarwar: saaree dunyaa se niraalee hai
vohee ik aarzoo her pal, vohee ik justujoo barsoN!
---------------------
(1) Ameer Meenaa'ee
---------------------
Sarwar A. Raz :Sarwar:


"Raz" se mil ke aap Khush hoNge
aadmee hai baRee muHabbat kaa

(Raz Chandpuri)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
3rd February 2004, 12:57 AM

maqaam.e.ishq meiN yeh dil rahaa aashuftah.Khoo barsoN
pareshaaN.Haal.o.sar'gardaaN phiraa hai koo.ba.koo barsoN!
Wah, bohot khub.......
khulee be'qeematee uss kee baRee mushkil se muddat meiN
rahee jiss chaak.e.daamaaN kee hameN fikr.e.rafoo barsoN!
Wah.......
samajh meiN aa gayaa ahl.e.muHabbat ko ghaRee bhar meiN
udhar ahl.e.Khirad karte rahe bus haa'e.o.hoo barsoN!
Aaha, khub kaha hein.......
kahaaN suntaa hai apne saamne voh baat dunyaa kee?
rahee kyaa kyaa na iss dil se hamaaree guftugoo barsoN!
Are wah, keya baat hein bohot khub.......
Khudaa iss ishq ko samjhe, paRey Khaak iss muHabbat per!
rakhaa jiss ne hameN be.KhaanamaaN, be.aabroo barsoN!
Aaha, yeh bhi bohot khub thi.......
jhukaa ker sar jo dekhaa to voh apne dil meiN beThaa thaa!
nigaaheN DhooNDtee theeN jiss ko her dum chaar'soo barsoN
Chale achhi baat hein. Hota hein kuch ish tarha hi.......
yehee dil hai jahaaN shaam.o.saHar ab Khaak uRtee hai
:isee ghar meiN jalaayaa hai chiraaGh.e.aarzoo barsoN: (1)
Wah, bohot khubsurat. Waise dono lines toh nehi hein?.......
tiree her baat :Sarwar: saaree dunyaa se niraalee hai
vohee ik aarzoo her pal, vohee ik justujoo barsoN!
Wah wah, bohot khub.......
Salam,
Dear Sarwar Jee, Keise hein aap? bohot hi khubsurat & behtarin sa Gazal likhhe hein aapne. Wah wah ki qabil hein. Lafhj nehi milti hein ke keise bataon ke kitna achha likhte hein aap. Dilpe utarti jaati hein, baas yehi kehsakungi. Tahe dilse shukriya kabool kijiyega. By the way, aapne Bulleh Shah Jee ka kalam toh padi hein, hein na? Mashahoor shayar page par aaj mein post kee hein, agar chahe toh jakar padlijiyega. Yunhi likhte rahiyega. Aapna khayal rakhiyega. God bless you. Allah Hafiz.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
HEY
Old
  (#3)
puneetgrover
Registered User
puneetgrover is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 75
Join Date: Jan 2004
Location: delhi,pitam pura
Rep Power: 21
HEY - 3rd February 2004, 01:11 AM

tiree her baat :Sarwar: saaree dunyaa se niraalee hai
vohee ik aarzoo her pal, vohee ik justujoo barsoN!

SARWAR JI, bahut khub likha hai dil ka har kona tarif karta hai.... shayad mein abhi is kabil bhi nahi k dat de sakun magar phir bhi Kehna chahuga yeh gazal dil ko chugayi AUR aapki har bat sahi mein nirali hai... aapse pehle bhi contact karne ki koshish ki hai magar kissi karan ho na paya... sarwar ji mein INDIA mein rehta hun mera koi jann ne wala shayar nahi hai yaha bahut logo se maddad mangi hai aapse bhi ek guzarish hai k mujhe kuch tips chahaia aapni shayri k bare mein agar aapke pass thoda sa waqt ho to plz meri gazal padiyega jo mene SHAYRI-E-SHARAB mein likhi hai aur uske bare mein bataiye k mein kaha galti karata hun AUR EK bat aur k mujhe urdu bahut kam aati hai isliye kam aalfaz likh pata hun....
shukriya
ALLAH AAFIZ
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Sarwar A. Raz
Registered User
Sarwar A. Raz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 70
Join Date: Dec 2002
Location: Fort Worth, TX, U.S.A.
Rep Power: 22
3rd February 2004, 12:09 PM

Shimul jee: aadaab

aap se mulaaqaat hee naheeN ho paa rahee hai! yeh dar.asl England aur USA ke vaqt meiN farq hone kee vajh se hai. chaliye kisee din mil leN ge.

Ghazal pasand karne aur uss per daad dene ke liye maiN aap kaa bohat hee shukr.guzaar hooN. aap hamesha hee mujh ko aChhe alfaaz se yaad kartee haiN. yeh aap kee mehrbaanee hai.

Sarwar A. Raz :Sarwar:


"Raz" se mil ke aap Khush hoNge
aadmee hai baRee muHabbat kaa

(Raz Chandpuri)
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Sarwar A. Raz
Registered User
Sarwar A. Raz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 70
Join Date: Dec 2002
Location: Fort Worth, TX, U.S.A.
Rep Power: 22
3rd February 2004, 12:14 PM

Puneet jee: namaste!

aap India meiN kahaaN haiN? maiN Aligarh se hooN aur aksar vahaaN jaataa rehtaa hooN.

yeh jaan kar bohat hee Khushee hu'ee k aap ko shaa'iree kaa shauq hai. Urdu aap ko kam aatee hai lekin uss kaa itnaa shauq hai to yeh to bohat hee aChhee baat hai. maiN jo madad kar saktaa hooN zaroor karooN gaa. aap jab chaaheN mujh ko email kar sakte haiN. <sarwarazi@yahoo.com> meraa address hai.

maiN do aik din meiN aap kee Ghazal dekhooN gaa aur aap ko likhooN gaa. aap itmeenaan rakheN. agar bhool jaa'ooN to yaad dilaa deN, ok?

meree Ghazal ko pasand karne ke liye maiN aap kaa bohat aabhaaree hooN!

Sarwar A. Raz :Sarwar:


"Raz" se mil ke aap Khush hoNge
aadmee hai baRee muHabbat kaa

(Raz Chandpuri)
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
3rd February 2004, 06:01 PM

Aadaab,
Dear Sarwar Jee, keise hein aap? Haan, shayad yehi baat hogi. Meherbani? Chale koi baat nehi hein. Shukriya. Aapna khayal rakhiyega. God bless you. Allah Hafiz.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
salam
Old
  (#7)
nomi
Registered User
nomi is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 13
Join Date: Jan 2004
Location: karachi
Rep Power: 0
salam - 4th March 2004, 11:19 AM

salam
Attached Images
File Type: jpg nomi1.jpg (142.9 KB, 121 views)
   
Reply With Quote
Adaab Kabool Kijiye
Old
  (#8)
salman shaikh
Ek Anjaan Shaks...
salman shaikh has a spectacular aura aboutsalman shaikh has a spectacular aura about
 
salman shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 497
Join Date: May 2002
Location: London (UK)
Rep Power: 23
Adaab Kabool Kijiye - 4th March 2004, 01:10 PM

Salam Janab Muhtrhaam Sarwar Sahab....Janab Ek dafa phir apne is kubhsuraat kalaam ke liye is nacheez ki daad kabool kijiye aur is umeed ke sath apse ijazat talaab karte hain inshallah agey bhi apki kalaam hamari nazar-e-haya main ayeinge inshallah...Shukriya....Kudha Hafiz...


EK ANJAAN SA SHAKS...
SALMAN SHAIKH...


Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....

______________________

Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
  Send a message via Yahoo to salman shaikh Send a message via AIM to salman shaikh Send a message via MSN to salman shaikh  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Vo har maqaam se pehle vo har ... zishan107 Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 18th July 2009 03:52 AM
*Shahar Mein Dhound Rahaa Houn.......** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 12 1st June 2008 05:15 PM
khoo-e-mohabbat...................ek nazm Safiya Aapki Shayri 5 21st April 2005 10:26 AM
dil aise mat khoo jaana tu karan q Shayri-e-Dard 0 3rd June 2004 06:11 PM
tu na rahaa kuchh na rahaa wo khuda tha wo khuda rahaa ghaafil Shayri-e-Dard 1 30th March 2003 05:39 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com