janab bashir badr sahab -
7th July 2006, 05:52 PM
# koi pathar nahin hun ki jis shakl main, mujhko chaho banya bijada karo,
bhul jane ki koshish to ki thi magar, yaad tum aa gaye bhulte-bhulte,
* ankhain aansu bhari palkien bojhal ghani jaise jheelien bhi hoon narm saye bhi hoon,
woh to kahiye unhain kuch hansi aa gayi bach gaye aaj hum dubte-dubte,
* dil main jo teer hain apne hi teer hain apni janjeer se paba janjeer hain,
sangrajon(pathar) ko hum ne khuda kar diya aakhrish pujte-pujte.
# adab ki had main hun main be adab nahin hata,
tumhara tejkira(charcha) ab rojoshab(dinraat) nahin hota,
* kabhi-kabhi to chalak padti hain yun hi aankahin ,
udas hone ka koi sabab nahin hota.
|