Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Bazm-e-ghazal
Old
  (#1)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Bazm-e-ghazal - 11th November 2014, 11:32 PM

DostoN,

Main aapka is mehfil mein tahe dil se isteqbaal karta hooN. Aaj ki yeh mehfil ka agaaz aap jaise umdaa shayaron ki gehraayi se waakfiyat ko zehan mein rakh kar karne jaa raha hooN.

Yun to yaha har shaqs yahan apne aap mein ek nayaab taur se apni pehchaan bana chuka hai albattah yahan koshish apko kuch padh kar uspar apne tasawwur ko bayaan karne ki hogi

Is bazm mein aapko har 15 dino mein ek mukhtasar si daastaan se waaqif karwaaya jaayega aur aapko mukhtalif tareekon se apne dil ke haalaton ko ghazal mein bayaan karna hai

Ghazal likhne ki hadd aur dayro.n mein rehkar aapko is bazm mein shirkat karni hogi.

Is bazm ko dayro.n se aapko waaqif karwaa deta hoon:

1. Matla, Maqta ,Radeef aur Kafiya hona zaroori hai
2. Aap ek tarz par ek se jyaada ghazal bhi likh sakte hai
3. Sabse ahem baat, aapko yeh ehtiyaat baratni hogi ki likhi hui ghazal aapki apni ho
4. Beh'r ho to accha nahi ho paaye to bhi apne khayaalon ko is bazm se mehroom na rakhiyeGaa

Ibteda ke liye janaab Qateel shifai ji ki ek ghazal se shuruaat karta hoon

Samet le ya meri zaat jabja kar de
Gham e hayat ki marzi hy jo ata kar de

Mein ashk ban k teri aankh se nikalta hon
Tu hath se mujhe rukhsaar par fana kar de

Mein us ki yaad se ik pal nikal k jee paon
Mere khuda mujhe itna to bewafa kar de

Aey ishq zaad mere kuch to ho ba naam e wafa
Jo ashk rooth chale hein mujhe mana kar de

Kisi k qurb mein jeene ko jee tarasta hy
Hisaar e jaan mein mujhe shehr e dil basa kar de

Usi gali mein jawani kahin pari ho gi
Mein jeena chahta hon, ja dhoond mujh ko la kar de

Rehn e zulmat e shab hein taman khwab mere
Makeen e kaun o makaan, ik diya ata kar de

Fareb e raah guzar raftagaan ki kismat thi
Tu un k naqsh mita, rasta naya kar de

Ana ki dhoop mein Qateel jhulse jate hein
Mere khayal mere dil k hamnawa kar de !

Jald haazir hota hoon is bazm mein pehli kahaani lekar....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Story 1 - Pyaar ka Mausam Part 1
Old
  (#2)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Story 1 - Pyaar ka Mausam Part 1 - 11th November 2014, 11:38 PM

Mujhe Badi Shikayat thi,Maine to bhaiya usse keh diya,
Tumhari aankhein baatein bahut karti hai,Bak Bak Bak Bak Bak Bak.
Wo kehti-Jyada Mat bolo,Jis din aankhein rooth gayi,tumse katti kar li,us din pata chalega.

Pyar ke din the,Pyar ki dophare,Pyar ka Monsoon
Pyar ka january,Pyar ki Sardiyaan.

Yaar,Kabhi Kabhi lagta hai jaise yeh sardiyaan bas aashiqon ke liye bani hai,.
Wo shaul me lipti,kajal se saji aankhon se mujhe ek-tak dekhti.
Thand me kap-kapati ungliyon se garam chai ka pyala aur zor se pakadti.
Hawa ke har jhonke par thithurti,
Sard kaapte hothon se garam dhuan nikalti.
Purani khidki pe khade hoke der tak meri raah dekhti.

Monalisa se kam kaha thi wo,
Hasi majak,chedd ke din,Ab guzar gaye the.
Ab hum hanger se ladayi nai karte the,
Ab hum dosto ke sath baith ke,
Mej ke neeche chori se paer ke anghuthe chuaane ki koshish nai karte the.
Ek dusre ko ULLU keh ke dhakka nahi dete the.

Lagta tha jaise ki achanak hum bade ho gaye the.
Main achanak uske sharmeele haathon ki chuan padhne laga tha.
Mai achanak yeh jaanne laga tha ki,
Bata ke canvas shoes pehan ke mere darwaaje par sehmi sehmi dastake kiska pata poochti hai.
Main achanak uski baatuni aankho ki khoobsoorat khamoshiyan padhne laga tha.

Jaruri bhi tha,aakhir wo khud kuch kehti hi kaha thi.

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
12th November 2014, 12:19 AM

wahhhhh Mast bhai....aapne to kamaal ka thread post kiya, muje kahani padkar bada majja aaya...ab es khoobsurat kahani par jo gazaleN aayeNgi, umeed hai bahut jabardast hoNgi

best wishes

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#4)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
12th November 2014, 03:05 PM

Anu bhai

Bahot khoob....aik alag hi soch ke saath haazir huye aap...khushi hui..

Aapka

Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
23rd November 2014, 01:44 AM

Doston,

Aapki ghazlon ke liye yeh bazm besabr hai..

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th November 2014, 08:06 PM

mast bhai bahot acchii pahel ki hai aapne........ mujhe ummeed hai hamaare readers isme jald se jald apni ghazlon ke sath shamil honge.....

bahot bahot mubaarakbaad aapko...........

chalte chalte ek sher sun lijiye....

ye aankheN haiN ya jheel koi, dil meraa doobta jaataa hai,
labb aapke hain khamosh bahot aur kajra boltaa jaataa hai....

Shaad....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
26th November 2014, 09:10 PM

Tamaam senior khwateen o hazraat ko mera namaskar, adaab, sat sri akaal.
Dosto, iss bazm mein ek dum naya hu.n lekin shayari ka thoda shauq rakhta hu.n..
Tamaam dosto.n ki ghazliyaat aur nazmaat padhne ka mauqa mila, bohot umda shayaro.n ki yeh mehfil, iss se khud ko waqif karna chahta hu.n...
Ummeed hai aap sab rehbari karogae.

Aapka khair khwah
Sagar Aashna.
   
Reply With Quote
Ibtida-e-sukhn
Old
  (#8)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Smile Ibtida-e-sukhn - 26th November 2014, 10:00 PM

Arz kiya hai:

Tere iss sheher ka andaaz he kuchh aisa hai
Jahan rishte, pyar, mohabbat aur dosti bhi paisa hai

Ek shakhs jo iss bazm ki tanhaiyo'n mein kho gaya
maazi ke aaine mein dekha, lagey woh apna sa hai

Jiss khwab ko sanwaarne mein sarf kar di zindagi
uss khwab ki taa'bir ka dhancha bhi ab dhundla sa hai

Phir uthi maghroor lehrein 'aashna' ke dil mein aaj
Chali hain rijhaane usko sadiyo'n se jo pyasa hai..!!

SAGAR AASHNA

Last edited by Sagar Aashna; 26th November 2014 at 10:50 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
27th November 2014, 09:42 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Arz kiya hai:

Tere iss sheher ka andaaz he kuchh aisa hai
Jahan rishte, pyar, mohabbat aur dosti bhi paisa hai

Ek shakhs jo iss bazm ki tanhaiyo'n mein kho gaya
maazi ke aaine mein dekha, lagey woh apna sa hai

Jiss khwab ko sanwaarne mein sarf kar di zindagi
uss khwab ki taa'bir ka dhancha bhi ab dhundla sa hai

Phir uthi maghroor lehrein 'aashna' ke dil mein aaj
Chali hain rijhaane usko sadiyo'n se jo pyasa hai..!!

SAGAR AASHNA

waaaahhhhhhhhhhhhhhhh kya baat hai saagar saahab..... bhaot hi khoob.... bazm me aapka tahe dil se istaqbaall karta hoon............ salaamat raheN

Shaad.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
29th November 2014, 11:32 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
mast bhai bahot acchii pahel ki hai aapne........ mujhe ummeed hai hamaare readers isme jald se jald apni ghazlon ke sath shamil honge.....

bahot bahot mubaarakbaad aapko...........

chalte chalte ek sher sun lijiye....

ye aankheN haiN ya jheel koi, dil meraa doobta jaataa hai,
labb aapke hain khamosh bahot aur kajra boltaa jaataa hai....

Shaad....
Shaad bhai shukriyaa Jaanab is mehfil mein aapki shirkat behad sahi waqt par huyi hai...aapka sher behad umdaa hai aur umeed hai aapki ghazal bhi yahaN jaldi padhne ko mileGii

aapki ghazal ka talabgaar

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
29th November 2014, 11:39 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Arz kiya hai:

Tere iss sheher ka andaaz he kuchh aisa hai
Jahan rishte, pyar, mohabbat aur dosti bhi paisa hai

Ek shakhs jo iss bazm ki tanhaiyo'n mein kho gaya
maazi ke aaine mein dekha, lagey woh apna sa hai

Jiss khwab ko sanwaarne mein sarf kar di zindagi
uss khwab ki taa'bir ka dhancha bhi ab dhundla sa hai

Phir uthi maghroor lehrein 'aashna' ke dil mein aaj
Chali hain rijhaane usko sadiyo'n se jo pyasa hai..!!

SAGAR AASHNA
Sagar ji,

Aapka is mehfil mein tahe dil se swaagat hai behad khoob jazbaat hai aapke aur shukrguzaar hoon ki aapne is kahaani ko apne alfaazon se kalamband kiya hai....

aapki yeh rachnaa ghazal ki technicalities se thodi hat kar hai...aapse guzaarish hai ki aap kafiyee aur radeef ko dhayaan mein rakh kar agar is rachnaa ko thoda aur waqt de to yeh ek bahut hi behtareen ghazal ka roop le paayeGii..

Gustaakhi ke liye maaufi chaungaa par umeed karta hooN aap phirse ise ghazal ki baarikiYoN ko dhaayaan mein rakhte hue pesh karenGe..

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
29th November 2014, 08:50 PM

Shaad sahib aur Mast sahib,
sab se pehle aapka shukriya hausla afzayi keliye.
jahan tak ghazal ka sawal hai, to muntazar tha aapke comments ka, aur yeh b jaanta tha k kaafiya, radeef aur beh'r se duur hai meri yeh rachna. Achha laga aapne apna qeemti waqt nikaal kar meri rehbari ki.
Phir se aapka shukriya.
Koshish karunga kaafiye aur radeef ko madde nazar rakh kar likha jaaye, abhi mujhe seekhna hai aap logo'n se. Bas thoda urdu ka knowledge hai aur Kaafi seekhna hai, technicalities to forum se seekhunga.
Dil mein bhadaas thi bas nikaalni thi...
baaki aap log correct karte rahiye, mashkoor rahunga.
shukriya.
SAGAR AASHNA

Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
30th November 2014, 01:51 PM

Tamaam dosto'n ko mera adaab, namaskar, satsriakaal.
Meri upar likhi gayi post k baad maine dekha k iska door door tak ghazal k structure se koi rishta nahi hai, aur kaafiye aur radeef ka matalya kar k phir se ek koshish ki hai, ummeed hai aap logo'n ko kuchh pasand aayegi. Phir bhi rehbari ka muntizar rahunga, bilkhusoos moderators, Mast saahab, Shaad saahab aur deegar hazraat jo apna qeemti waqt nikaal kar naye members ki rehbari kar sakein, bahut masarrat hogi:

Pesh kar raha hu'n aap sab ki nazar, ek aur koshish:

Yu'n zindagi mein andhera nahi hota
pehle he tu agar mera nahi hota

Kiya barbaad tere waado'n ne mujh ko
kaash intezaar mujhe tera nahi hota

Asma'n ko chhune ki slahiyat thi mujh mein
gaysuo'n ne tere gar ghera nahi hota

Raasta he bas manzil thi apne safar ki
shart ke humsafar ne muh phera nahi hota

Qaul thae ke 'aashna' milengae kal magar
taareeki musalsal hai savera nahi hota
.......
SAGAR AASHNA

Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
2nd December 2014, 07:09 PM

Sagar Sahab,

Behad khushi huyi se jaan kar ki aapne mere aur shaad bhai ki kahi baat ko padha hi nahi par unpar gaur kiya aur ek taaza ghazal lekar mehfil mein haazir huye...

aapki nayi ghazal par rukh karte hue main is baat se shuruaat karna chahungaa aapki daad mein is sher se..

Kya adaa thi khoob unka dil behlaane ki
woh bhi hua unka jo kabhi mera nahi hota...

behad khoob bhai aapne yakeenan ek kaamyaab koshish ki hai..Ghazal ke daay're mein likhnaa aur woh bhi ek qisse par asaan nahi hota...

Daad qubool farmaye aur yunhi mehfil mein bane rahiYeGaa..

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#15)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
2nd December 2014, 09:11 PM

Uski khamosh nighaheiN mujh se kuch kehti hai,
Deewanani tere prem ki tere dil mein rehti hai.

Bolti ho bahut kabhi tau chup bhi ho jaya karo,
Kaun jane ab kyon vo itna khamosh rehti hai.

Kabhi mil baith kar sajaya tha sapno ka shehar,
Ab vo sapne na rahe aur neend kahan rehti hai.

Door haiN jismon se hum dono ek duje se magar,
Yaad tau sehra pe hardam milti rehti hai.

Mana humari mohabbat parvan na chari lekin ,
Apne pyar ki shamma tau ab bhi jalti rehti hai.

Log tau bewajah tanz kasa karte haiN aksar,
Ashiqon ke zakhmon mein tees kahaN rehti hai.

Vo jo hus hus ke pyar mein char gaye the sooli,
Un chiragon per ye duniya bhi fida rehti hai.

Ab tere hothoN pe na sajti haiN garam sanseiN,
Unmein toh bus ek thandi si aah chipi rehti hai.

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Qasid; 4th December 2014 at 11:16 PM.. Reason: on request
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
3rd December 2014, 12:56 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Uski khamosh nighaheiN mujh se kuch kehti hai,
Deewanani tere prem ki tere dil mein rehti hai.

Door haiN jismon se hum dono ek duje se magar,
Yaad tau sehra pe hardam milti rehti hai.

Mana humari mohabbat parvan na chari lekin ,
Apne pyar ki shamma tau ab bhi jalti rehti hai.

Log tau bewajah tanz kasa karte haiN aksar,
Ashiqon ke zahmon mein tees kahaN rehti hai.

Vi jo hus hus pyar mein char gaye the sooli,
Un chiragon per duniya bhi fida rehti hai.

Ab tere hothoN pe na sajti haiN garam sanseiN,
Unmein toh ek thandi aah si chipi rehti hai.
Sanjay ji,

Mashallah janaab !!

Aapki ghazal aur ehsaas kya khoob hai aur behad pur khuloos tarah se diye hue qisse ki sachaai ko jhalkaa raheiN hai

Ghazal ki technicalities ki baat karein to agar Maktaa mil jaaye to kya baat ho...gustaakhi maauf aapke aakhiri sher ki marammat kar raha hooN makte ka khayaal rakhte hue..

Ab tere hothoN pe na sajti haiN 'humdam' sanseiN,
Unmein toh ek thandi aah si chipi rehti hai

Aap sahi samjhe to ise istemaal karein...

ek baar phir meri taraf se aapki is ghazal ko salaam...yunhi mehfil mein shirkat karte rahiYeGaa aur apna khayaal rakhiYeGaa

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#17)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
4th December 2014, 05:17 PM

Bahot bahot shukriya Mast saahab nawazish keliye. Daad qubool karta hooN.
Mazeed technical advice ka muntazir rahunga. Rehbari karte rahiyega.
@Hamdam saahab, kya khoob likhte hain aap. Dil se daad qubool karein.

SAAGAR AASHNA

Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
4th December 2014, 11:19 PM

Doston,

Kahaani ki agli kisht 10 December ko post ki jaaYeGii..tab tak aapki aur Ghazlon ke intezaar meiN...

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#19)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th December 2014, 11:54 AM

sanjay saahab aur Saagar saahab... aap donoo ki ghazal ne bas qahar dhaa diyaa hai mahfil aake naam huii.......

cheeerssss

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
7th December 2014, 11:10 AM

Nawazish keliye ek baar phir se tahe dil se shukriya Shaad saahab.
Aur Hamdam saahab, kya khoob ghazal kahi hai.. Dil se daad qubool karein.

Aapka khair khwah

SAGAR AASHNA

Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
7th December 2014, 11:14 AM

Bohot khoob gazal kahi aap hazraat ne....
Sehgal ji....kya kehna apke andaj-e-bayan par to fida ho gaye.
Sagar ji....behad khoobsurat peshkash....
meri taraf se beshumar daad aap donnoo ki nazar.

Aapka apna
Bhushan

Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
7th December 2014, 11:49 AM

Mast ji namaskar,
Aapne shirkat ke paimane bohot unchee rakhe hain aur khaksaar ko gazalon ki jyada pehchan nahi.......
Kuch alfaz bikhere hain........hazraat se iltaja hai ki dil bada karke kuch na kuch ahsaas dhoond lijiyega.....

Juda uski yadoon se hokar mai jee pata
Kash uski sharbati aankho ko bhool pata

Oodh kar chadar thand me nikalna uska.
Dhooan udati garm sansoo ko bhool pata

Gulab se oothon par titliyon se alfaz uske
Kash uski bholi batoon ko bhool pata

Kuch to izhaar uski nazar ne bhi kiya tha.
Kash mai bhi apni ulzhan ko bhool pata.

Dar tha ek dost kho na doon pyar me
Bohot masoom tha vo kya meri khata ko bhool pata

Bachpana kehna use.. ab bura lagta nahi.
Bachpan ki kash mai us pari ko bhool pata

Khelte the bachpan me hum bhi chupan-chupai
Chupne ki mai kash us jagah ko bhool pata

Dekha sari umr jise panapte kali se gulab tak
Gulabi fizaoon ki kash us zhalak ko bhool pata.

Bhoolta nahi uske sath gujra koi lamha muzhe
Kash un lamhoo ki taseer bhool pata

Pata hai sab use bhi..ulfat bhala chupi hai
Kash vo bhi meri doosti ko bhool pata.

Vo aateen hai milne aapne humsafar ke sath
Kash mai bhi apne mazi ko bhool pata

Basaya tha uske sang kabhi jo khwaboon me
Khushiyoon ke kash mai us shaher ko bhool pata

Bhushan Joshi

Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
7th December 2014, 12:09 PM

Waaah Joshi Sahib kya samay bandha aapne ...bahut achi ghazal.

aap ne mere wali galti dohrai, makte mein takhulass nahiN dala..

aapki last line modify kar deta huN.......
Bhushan khushiyooN ka vo shaher bhool pata

Sanjay Sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
7th December 2014, 12:41 PM

Sehgal ji .........tarif ka bohot bohot shukriya......

Galti to hui hai....lekin pata nahi kyoon muzhe makhte me takhulass ..chand pe daag se lagte hain....waise aapki ray bohot durust hai....aur modification bohot acha laga

Aapka apna
Bhushan

Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
9th December 2014, 10:33 PM

Quote:
Originally Posted by bhushan View Post
Mast ji namaskar,
Aapne shirkat ke paimane bohot unchee rakhe hain aur khaksaar ko gazalon ki jyada pehchan nahi.......
Kuch alfaz bikhere hain........hazraat se iltaja hai ki dil bada karke kuch na kuch ahsaas dhoond lijiyega.....

Juda uski yadoon se hokar mai jee pata
Kash uski sharbati aankho ko bhool pata

Oodh kar chadar thand me nikalna uska.
Dhooan udati garm sansoo ko bhool pata

Gulab se oothon par titliyon se alfaz uske
Kash uski bholi batoon ko bhool pata

Kuch to izhaar uski nazar ne bhi kiya tha.
Kash mai bhi apni ulzhan ko bhool pata.

Dar tha ek dost kho na doon pyar me
Bohot masoom tha vo kya meri khata ko bhool pata

Bachpana kehna use.. ab bura lagta nahi.
Bachpan ki kash mai us pari ko bhool pata

Khelte the bachpan me hum bhi chupan-chupai
Chupne ki mai kash us jagah ko bhool pata

Dekha sari umr jise panapte kali se gulab tak
Gulabi fizaoon ki kash us zhalak ko bhool pata.

Bhoolta nahi uske sath gujra koi lamha muzhe
Kash un lamhoo ki taseer bhool pata

Pata hai sab use bhi..ulfat bhala chupi hai
Kash vo bhi meri doosti ko bhool pata.

Vo aateen hai milne aapne humsafar ke sath
Kash mai bhi apne mazi ko bhool pata

Basaya tha uske sang kabhi jo khwaboon me
Khushiyoon ke kash mai us shaher ko bhool pata

Bhushan Joshi
Bahut umdaa ehsaas Bhushan ji aapne jo kar gaye is ghazal meiN sirf ek baat ki kehna chahungaa

Kya baat Kya baat Kyaa baat !!!!

alfaaz kam pad jaayeinge bataane ke liye ki kitni baar wah nikli is ghazal ko padh kar

Yunhi is bazm ko roshan rakhiYeGaa

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#26)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
10th December 2014, 11:02 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Bahut umdaa ehsaas Bhushan ji aapne jo kar gaye is ghazal meiN sirf ek baat ki kehna chahungaa

Kya baat Kya baat Kyaa baat !!!!

alfaaz kam pad jaayeinge bataane ke liye ki kitni baar wah nikli is ghazal ko padh kar

Yunhi is bazm ko roshan rakhiYeGaa
Mast ji bohot bohot shukriya..
Aapko ye peshkash pasand aai ye aap ki dariyadili aur....uparwale ka karam hai...

Tahe dil se shukriya

Aapka apna
Bhushan

Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Story 1 - Pyaar ka Mausam Part 2
Old
  (#27)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Story 1 - Pyaar ka Mausam Part 2 - 11th December 2014, 10:38 PM

Din guzarte gaye,Dil ka rasta lamba tha,to padav bhi badhte gaye.
Do musafir milte the,
Kabhi greeting card ki dukan pe,
Kabhi lote wale ke yaha dahi-jalebi khaate huye,
Kabhi post-office me stamps lene ke bahane,
Kabhi raashan ki dukan pe,cheeni lene ke bahane,
Kabhi black me ticket leke vishal theatre me,balcony ki seat pe.

Film ke beech me,ek din mere kandhe pe sir rakh ke wo rone lagi,
Boli phir se ek rishta aaya hai.
Main sunta raha.
Interval me maine kaha-Yaar ek bewkoofi bhara idea hai,
Usne sir utha ke aansuo me nam aankhon se mujhe dekhte huye kaha-
Tumhre saare ideas bewkoofi ke hi hote hai.

Maine kaha-Bhaag ke Shaadi kar le,
Wo kuch second mujhe dekhti rahi.
Peeche campa-cola wala order ka intezaar kar raha tha.
Boli-Tumhara yeh aaj tak ka sabse bewkoofi bhara idea hai.

Boli-Kaathgodaam ki bus 5 baje jaati hai,
Aur waha se Delhi ki train saade nau(9 30) baje
.

PURI FILM BHI NAHI DEKHNE DI USNE

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#28)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
12th December 2014, 02:04 AM

Tere baba se tera haath manga tha
Maine zindagi bhar ka sath manga tha

Diya tha aapne pyar ka vasta bhi unko.
Maine Khol ke saare jasbaat manga tha

Vada kiya tha tuzhe palkon pe bithaunga
Rakhoonga samazh kar sougaat.. manga tha.

Bhaga to leta, tuzhe bedaag kaise rakhta mai
Maine bagawat nahi..inqilaab manga tha

Nahi tha shayad kisi surat tere kabil
Chakoori ne jaise maahtaab manga tha

Khuda bhi hota agar vo bhi na deta muzhe.
Sharab nahi maine aab-e-hayat manga tha

Tere baba se tera hath manga tha.

Bhushan Joshi

Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
5th January 2015, 08:39 PM

Bhushan bhai - behad khoob.

Maaufi chahta hoon sabse ki bahut dino tak site par nahi aa pa raha tha, par ab waapas hooN.

Is bazm ko yunhi roshan rakhiye..guzarish hai ki aakhri likhi kahaani par aur log bhi apni ghazalon ko wajah de.

Agli kahaani Jan 11th ko di jaayegi..

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#30)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
7th January 2015, 03:34 PM

ahaaN... waaaah.. kia nayaab sisila shuru kiya hy Mast jee..
aur kia baat hy.. dostoN ny kia khoob meHfil jamaayi hy.......
aik se bhad kar aik ......

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Story 2 - Humare Jhagde Part 1
Old
  (#31)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Story 2 - Humare Jhagde Part 1 - 13th January 2015, 11:10 PM

DostoN,

Do din deri se aaya hun par kahaani ki agli kisht ke saath..

Shaadi ho gayi,Na uske mummy papa shaadi me aaye,Na mere.
Baat dil todne waali thi,unke liye bhi,aur hamare liye bhi.
Raato-Raat jaise kisi pahuche huye karigar ne,
Hum sab ke ird-gird dard ki deeware khadi kar di ho.
Kaash!! Deewar nahi hoti,
Kaash!! Dard ka koi aaena hota,
Kaash!! Hum doosre ke dil ki takleef bhi utni hi shiddat se samajh sakte,
Jitni apni.

Shaadi ka reception ded hajaar(1,500) rupaiye mahine wale,
1 room apartment me 6 dosto ke saath huya.
Zari wali Banarasi Saaree pehne na koi chachi thi,na maami.
Na gusse me tamtamaate huye papa yeh kehte ki-Abhi Tak Tent Wala Kyu Nahi Aaya?
Na badi badi Dulha-Dulhan ki kursiyaan.
Na Sangeet,Na Dholak,Na Shehnaayi.
Aur boss,Catering ke naam pe Bas dher saari Biryaani,Shahi Paneer aur Coca-Cola.

Sharab me happy drunk ek yaar ne kaha-GURU,Teri Life ka Fixed Deposit to ho gaya,
Mera to Abtak account hi nahi khula.

2 saal beet gaye,Hamare account me bhi kuch paise aa gaye the,
Maruti le li.
Promotion huya,Mobile phone bhi mil gaya daftar se.
Phir ek chota sa-khoobsoorat sa-apna sa ghar khareed liya.

Diwali pe greh-pravesh huya.
Mummy papa ki kami bahut mehsoos huyi,
Par phone utha ke wo ek number dial nahi kar paya.
Gusse me,Gusse me hum kitne battameej ho jate hai,Nahi.
Aur Naraajgi aur Ego,Rishtoo ke sabse bade dushman hote hai Na.

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#32)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
20th January 2015, 11:48 AM

Lagta hai nayi kahaani kisi ko pasand nahiN aayi..janaab kaha hai aap sab is mehfil ke noor, jald hi aapki ghazlon ke intezaar mein.

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#33)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Thumbs up 21st January 2015, 11:56 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
DostoN,

Do din deri se aaya hun par kahaani ki agli kisht ke saath..

Shaadi ho gayi,Na uske mummy papa shaadi me aaye,Na mere.
Baat dil todne waali thi,unke liye bhi,aur hamare liye bhi.
Raato-Raat jaise kisi pahuche huye karigar ne,
Hum sab ke ird-gird dard ki deeware khadi kar di ho.
Kaash!! Deewar nahi hoti,
Kaash!! Dard ka koi aaena hota,
Kaash!! Hum doosre ke dil ki takleef bhi utni hi shiddat se samajh sakte,
Jitni apni.

Shaadi ka reception ded hajaar(1,500) rupaiye mahine wale,
1 room apartment me 6 dosto ke saath huya.
Zari wali Banarasi Saaree pehne na koi chachi thi,na maami.
Na gusse me tamtamaate huye papa yeh kehte ki-Abhi Tak Tent Wala Kyu Nahi Aaya?
Na badi badi Dulha-Dulhan ki kursiyaan.
Na Sangeet,Na Dholak,Na Shehnaayi.
Aur boss,Catering ke naam pe Bas dher saari Biryaani,Shahi Paneer aur Coca-Cola.

Sharab me happy drunk ek yaar ne kaha-GURU,Teri Life ka Fixed Deposit to ho gaya,
Mera to Abtak account hi nahi khula.

2 saal beet gaye,Hamare account me bhi kuch paise aa gaye the,
Maruti le li.
Promotion huya,Mobile phone bhi mil gaya daftar se.
Phir ek chota sa-khoobsoorat sa-apna sa ghar khareed liya.

Diwali pe greh-pravesh huya.
Mummy papa ki kami bahut mehsoos huyi,
Par phone utha ke wo ek number dial nahi kar paya.
Gusse me,Gusse me hum kitne battameej ho jate hai,Nahi.
Aur Naraajgi aur Ego,Rishtoo ke sabse bade dushman hote hai Na.
bohat khoob mast jee...... keep going ..

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com