Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
yeh kis gunaah ki sazaa de rahe ho
Old
  (#1)
Zeba
Registered User
Zeba has a spectacular aura aboutZeba has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
yeh kis gunaah ki sazaa de rahe ho - 3rd July 2008, 05:54 AM

yeh kis gunaah ki sazaa de rahe ho
ke jeenay ki mujh ko dua de rahe ho

dil azaad mera, qaid me soonch hai
tum kehte ho mujhko, duniya de rahe ho

kabhi sang-di-lee se kahbi bay-ruqi se
yeh tum kis tarha ka aasraa de rahe ho

mai bewajah tumhari zindagi me aayi
zabardasti tum dil me jagaa de rahe ho

zeba likhti rehegi..................
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
3rd July 2008, 02:15 PM

Aslam u alaikum ,

Sabse Pehle to mein app ko (SDC ) periwaar mein dobara aane per khush amdeed kehta hon

Ab kuch appka kalam perhta hoon
Quote:
yeh kis gunaah ki sazaa de rahe ho
ke jeenay ki mujh ko dua de rahe ho
Lajwab sawal laga mujhe
Quote:
dil azaad mera, qaid me soonch hai
tum kehte ho mujhko, duniya de rahe ho
Typing mistake hai shayad "Sooch"
Yeh sher bhi bahut umda raha ...
Quote:
kabhi sang-di-lee se kahbi bay-ruqi se
yeh tum kis tarha ka aasraa de rahe ho
Typing mistake hai shayad ...
sang dili , be-rukhi
yeh sitam bhi appne khoob nibhaaya hai
Quote:
mai bewajah tumhari zindagi me aayi
zabardasti tum dil me jagaa de rahe ho
Behtreen

Quote:
zeba likhti rehegi..................
Yeh to bahut achi baat hai


Sach kahon to behad maza aya yeh ghazal perh ker ...bus aik baat kehna chahon ga ghazal mein 5 sher hote hain kam az kam ... to app se guzarish kerta ho jhat pat aik or sher bhi likh daaliye


Aapke agle kalam ka intezaar rahe ga
Khush Rahien
Abad rahien

Duago
Mujeeb

Last edited by Mujeeb; 3rd July 2008 at 02:23 PM.. Reason: Editing
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#3)
Hussain
Registered User
Hussain is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 3
Join Date: Jun 2008
Rep Power: 0
3rd July 2008, 06:37 PM

Hi
Mohabbat Har Kise Ko Azmati Hai
Kisise Ruth Jati Hai Kisi Pay Mit Jati Hai
Mohabat Khel Hi Aisa Hai> Kisika Kuch Nahi Jata
Or Kisika Jaan Chali Jati Hai
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Zeba
Registered User
Zeba has a spectacular aura aboutZeba has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
4th July 2008, 02:42 AM

thanks mujeeb,hussain sahab, dard baantne ka dil karta hai to chale aate hain.
zeba
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
4th July 2008, 02:20 PM

Zeba ji...........aapne apne dil ki baat behad salikey se bayaaN ki hai....bahut accha laga aapko padna.....yoon hi aati rahiye aur likhti rahiye.

kush rahiye


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#6)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
6th July 2008, 05:20 PM

bahut khoob likha he apne,ye do sher bahut hi khuub rahe

yeh kis gunaah ki sazaa de rahe ho
ke jeenay ki mujh ko dua de rahe ho

dil azaad mera, qaid me soonch hai
tum kehte ho mujhko, duniya de rahe ho


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#7)
samkhan
Registered User
samkhan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 1
Join Date: Jul 2008
Rep Power: 0
14th July 2008, 02:03 PM

JEENE KE MATLAB MAI NE MOHABBAT SE PALIYA
JISKA BHI GAM HUA USE APNA LIYA
AAP RO KAR BHI GAM KO HALKA NA KAR SAKE
MAI NE HASI KI AAD MEI HAR GAM KO CHUPALIYA……………………….
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Sd.Syed
Registered User
Sd.Syed is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 15
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 0
13th September 2008, 01:50 AM

Zeba ji jawab nahi aapki ghazal ka aur jazbaato ko zahir karne ka . Kuch kehne ki koshish hai is share ke zariye arz hai....

Hamare aashiyan ke tho they chaar tinke, chaman udh gaya aandhiya aate aate
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
13th September 2008, 10:19 AM

Quote:
yeh kis gunaah ki sazaa de rahe ho
ke jeenay ki mujh ko dua de rahe ho
waah! waah!khuubsuurat matla... samjho to bahut kuchh hai aur na-samjho to kuchh bhii nahii.n.. dil se nikli huii daad haazir hai!

dil azaad mera, qaid me soonch hai
tum kehte ho mujhko, duniya de rahe ho

waah! waah! yeh sher bhi khuub hai! daad!
Quote:
kabhi sang-di-lee se kahbi bay-ruqi se
yeh tum kis tarha ka aasraa de rahe ho
kya kahane!


Zeba jee kya kahane aap ke! bahuut hii dil fareb sher aap ne arz kiya hai.paDh kar dil se khud-ba-khud waah! waah! kiii aawaaz aa rahi hai.. shaayad pahli baar aap ki paDhne ka mauqa mila hai, aur jab aap kisii ko pahli baar paDhte ho aur pursur hota hai to khushi aur bhi baRh jaati hai... ab to lagta hai aap par nigaah rakhni hi paDegii aap yuu.n hi likhti rahe.n.. ham paDhte rahe.nge...

Mayank

Last edited by Mayank; 13th September 2008 at 11:16 AM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#10)
vikas_vrm0
Vicky
vikas_vrm0 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 0
13th September 2008, 11:59 AM

yeh kis gunaah ki sazaa de rahe ho
ke jeenay ki mujh ko dua de rahe ho


Tarif ke kabil he ap ki soch

Bahot umda






kuch hum bhi kahna chahte he



Mat socho ki kisi gunah ki saza mili he
Shukar karo jeeney ki wajah mil rahi he
kami tumhare hi pyar me rahi hogi shayad
PURI KAR LO WO KAMI
jeeney ki jo usne dua di he
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Gunaah...... kaayan Shayri-e-Dard 1 6th February 2008 01:09 PM
gunaah deshakshi Shayri-e-Ishq 1 27th May 2005 01:33 PM
Meri her saans gunaah thee,meri her saans gunaah hai karan q Anjuman-e-Shayri 2 17th March 2005 11:57 PM
gunaah... shumaila Shayri-e-Sharaab 2 2nd January 2002 05:14 PM
Ek Gunaah! Hemant Shayri-e-Ishq 0 5th July 2001 06:15 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com