Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
** MrigTrishna **....Ek Sachhi..lekin adhoori kahani...
Old
  (#1)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
** MrigTrishna **....Ek Sachhi..lekin adhoori kahani... - 25th September 2005, 09:53 PM

Aaaj pata nahi mann me kya aa raha hai jo main ye kahaani likhne baith gayi hu.. bilkul sachhi lekin adhhori.. apne ant ki talaash me hai ye kahaani… bahut hi shokh… chulbule aur naazuk se pyaar se shuru hui ye kahaani apne aap me ek dard lekar ek aise mod per ruk gayi hai.. ki is kahaani ke ek ahem kirdaar ko soojh nahi raha ki kya kare.main pehli baar koi kahaanilikh rahi hu… isliye shayad vo dhang vo way na aa paaye.. maaf kijiyega …is kahaani ke ahem kirdaar hain sonali aur rohit. Sonali ek bahut hi swaabhimaani ladki hai..lekin abhi umar ka kachha sa daur hai.. college me nayi nayi… lekin dher saare sapno ke saath.. sonali ek IAS officer banna chahti hai… gazzab ka aatmvishwaas uska aur josh usko sapno ko maano saakaaar karne ke liye laalaayit ho.. ek din kuchh documents attest karne ke liye usse secretriat office jana pada. Saloni ke paas original documents nahi the.. lekin fir bhi vo soch ke gayi thi ki karwa ke hi rahegi.. usne koshish ki aur jaisa ki hona tha..nahi huye… tab ek aadmi ne usse kaha ki saamne ek officer hain, unse karwa lo jaake. Vo wahaan gayi to dekhti hai ki
Ek bahut elegant personality bahut logo se ghiri hui thi…bahut achha kad kaathi… chehre per aatmvishwaas .. jis tareh se vo kuchh logo ko samjha raha tha… uska bolne ka dhang…. Uske dimmaag per chha gaya jaise… jaise hi vo kuchh free hua vo pahunch gayi uske paas…
“excuse me sir!”
“yes”
“sir, I ve to get some of my documents attested”…”
“ ya sure.. shw me originals”
“tht I don’t hav”
“sry mam, thn its nt possible”
aur vo chala gaya…
vo fir se neeche offce me pahunch gayi.
Wahaan unhone usse taalne ki garaz se ek room bataya aur kaha ki us room me chale jana wahaan jo officer honge vo attest kar denge….
She left… chali gayi office me… lekin wahaan jaake may I come in to bol deti hai but wht she saw ki he is d same person jisne abhi abhi mana kiya tha… vo usse andar aane ke liye kehta hai.. us time vo baat kar raha tha kisi se.. she waied for 15 min. vo chala gaya..
Then he called her..
Poochha
“mam aapke paas originals nahi hain..hum aise kaise attest kar de”
“aap isse kar dijiye… inme koi prob nahi hai..i just forgot to bring d documents.. directly coming from college”
“hmmm theek hai..kar denge..lekin ek shart per”
uski ye baat sunke saloni ke maano kaan khade ho gaye ho…ki uski intentions theek nahi..pata nahi kya keh de
usne kaha..
” dekhiye sir, shart virt koi nahi… aapko karne hain to kar dijiye.,… nahi to main kahin aur se karwa lungi”
ye sunke vo hansa..
“arey arey… aap to galat samjh rahi hain.. main aapse sirf itna keh raha hu ki aap hamaari dost ban jaaiye.. aur chaai pijiye”
saloni ko ye sunke bahut ajeeb laga ki ek distt magistrate usse chaai ke liye offer kar raha hai.. dosti ke liye… ek ladki jo maamooli si dikhti hai/…. 1st yr me padhne waali..
she just smiled ..ki theek hai..
chaai aayi.. unhone kuchh baate kari… saloni ne kuchh apne bare me bataya.. bahut thoda sa… she gave her phone no. to him. Aur halki fulki bate.. Us officer ne documents attest kiye aur vo ghar chali aayi…. Ghar aaker vo bahut excited thi.. ki jo usne chaha vo kar liya.. aur sabse badi baat ek officer ke saath tea time.. dosti ke liye khud kahe vo… she told abt it to her family.. lekin sirf chai ke bare me.. dosti ke proposal ke bare me nahi… vo sochti rahi is bare me raat ko bhi… uski personality uske dimaag per chha gayi ho jaise.. lekin abhi dil tak baat nahi gayi thi.. sirf ek impression tha ye…

to be continued….


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...

Last edited by pallavi_here; 25th September 2005 at 09:57 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
25th September 2005, 11:49 PM

hmmmmmmmmmm.........
Pallavi... kuch kahoon???

Kehne ki zaroorat nahi shayad... samjh gayi hogi...

Take Care
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
26th September 2005, 12:16 AM

rohin


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
26th September 2005, 12:17 AM

College ka agla din.. normal gaya saloni ke liye…. Sham ko ghar aayi lunch karke baithi hi thi bass ki phone ki ring baji… bass yu hi just by chance she picked up the phone…
From tht side,…
“hello, who is there”
“jee aapko kisse baat karni hai”
“aap?”
“……….”
“hello”
“…..”
“saloni ji se baat kar sakta hu?”
“haanji..bol rahi hu”
“rohit this side, kal mile the humm.. agar aaj aap free hain to aapse milna chahunga… near to ur home… the corner sweet shop..hope to c u there at 4 today”
aur ph. Rakh diya…
saloni samajh nahi paayi ki kya kare aur ye tha kya aakhir….
Vo bass pashopesh me uljhi rahi…
Jaaye to jaaye kaise.. aur chali bhi jaaye to kya ye theek hoga… aajtak to kisi se aise baat nahi ki.. fir ye qq? Mann me kai khayaal aa aur ja rahe the… aur aakhir usne milne ki sochi… ghar me bahana banaya ki pooja ke ghar jana hai..imp notes lene hain…
She left for a meet... sochti hui… he was waiting there… he opened d window… vo car me baith gayi.. mann itna jaada vichlit ho raha tha.. lekin sab apne aap hota ja raha ho jaise…
Bass vo drive karta raha..kuchh baate hui… she felt comfortable…icecream khaayi…. Usse ye dosti waali feeling pehli baar ho rahi thi ki isme buraayi bhi to kuchh nahi.. sab kuchh kitna l;aag , kitna khaas hai… 1 ghante baad he dropped her back to d same place… ghar lautne ke baad khayaalo se tarbatar thi vo…..
Lekin dheere jaise aam baat ho gayi.. har Friday & Sunday..weekends per milna sure hona.. long drives.. ghar per 1000 bahaane… bura bhi lagta tha saloni ko.. lekin jo feel thi vo shayad is burepan ki bhaawna ko overcome kar leti thi.. usper rohit ka khud officer hona.. jo vo banna chahti thi.. sab kuchh usse theek lagta.. koi buraayi nazar na aati…
Waqt guzarta raha…dost ban gaye.. 7 mahine ho gaye.. ek din vo sheher se kuchh door the
Chaai pi ek jageh ruk ke.. ki achanak baithe baithe.. rohit kissed her on her cheek softly.. she ws shocked… ki ye kya hai achanak….

to be continued...


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
friendnidhi
Registered User
friendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to behold
 
friendnidhi's Avatar
 
Offline
Posts: 962
Join Date: Jul 2004
Location: Delhi
Rep Power: 28
26th September 2005, 03:09 AM

Hi Pallavi,

Its seeming a gr8 story waiting for the other parts to come in...


Regards Nidhi


Na Chaho kisi ko itna ~ ~ ki chahat tumhari majboori ban jaye ~ ~ chaho kisi ko itna ki ~ ~ tumhara pyar us ke liye zaroori ban jaye...............


Friend Nidhi - A Silent Tear

"Shedding a Tear When You are Lonely - So Peaceful yet so Painful...."
  Send a message via Yahoo to friendnidhi  
Reply With Quote
Old
  (#6)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
26th September 2005, 04:29 PM

Saloni rohit ki is harkat ko dekh kar samajh nahi paayi kuchh… she just got blank… & started crying badly.. rohit ko laga jaise usne bahut badi galti kar di… vo ekdam ghabra gaya.. saloni chup hone ka naam na le… vo wahaan se chal diye… car me saloni sirf roti rahi.. rohit apne aapko bahut guilty feel kar raha tha ki ye kya kar diya… ½ ghante baad saloni kuchh shaant hui to… rohit said sry to her… ek jageh car roki.. araam se baat ki.. sry kaha bahut baar…
“sry saloni… I didn’t mean to hurt u .. bass pyaar aaya tumpe aur kiss kar baitha.. plz I m sry”
“…….(sob …sob..sobb)”
“plzz dekho aise mat karo… “
“……….”
“Dekho tumhe meri kisi bhi tareh jarurat ho… to I m always there to serve u ..”kuchhh bhi….”
Ye sunte hi saloni ki aankho me hairaani..nafrat ke bhaav aa gaye…
Ki ye kaisi baat kahi…..kuchh bhi… ye chahta kya hai mujhse… iski intentions ab saamne aa rahi hain…… ye sab ek pal me soch gayi vo….
“ kuchhh bhi….????? Matlab kya hai aapka…. Kya karna chahte hain aap…. Wht u can do.. for wht u ‘ll serve…????maine kabhi apne parents se kisi tareh ki help ko expect nahi kiya..i can do everything myself… fir aapne ye baat kaise bol di??? Wht I need from u … kya jarurat hai merii???? Telll me…tell me right nw……. kya samjha hai mujhe????”
“nahi saloni ..tum ye sab kya bol rahi ho….. wht I ve said……..”
“ wht u ve said….. I knw wht u mean…”plzzz……”
“wht plzz… kya samjha hai aapne mujhe… “
dekho cool down plzz….. chalo ghar chalet hain… mera ye matlab nahi tha…”
vo gusse aur dukh ki wajeh se fir rone lagi…
he dropped her back to her home…
saloni ke mann ke , dimaag ke khumaar ko ek tezjhatka laga tha aaj ki baat se…. jaise ek kadwi hakeekat saamne aa gayi ho…. Vo saari raat bass yahi sochti rahi ki maano impure si ho gayi hai…. Ye baat uske dil-o-dimaag se ja nahi rahi thi..
bahut baar ghar me missed call thi.. saloni samajhti thi ki ye kon kar raha hai…lekin…….
kuchh din college me jaane se dimaag halka ho gaya.. lekin soch nahi nikli.. haan usne kuchh softly sochna shuru kiya… ekdam se ye changes….. jaise kli rohit ne ye kiya fir q yad aaa rahi hai uski… vo samajh nahi pa rahi thi… kuchh dino baad… uski ek saheli pooja ke saath vo ek free lecture me ghoom rahi thi …
“pooja…ek baat bataayegi?”
“haan ,,pooch na”
“agar koi kisi ko hug kare to buri baat hai na?” ( usne jaanboojh ke kiss nahi bola…..)
“hmmm… dekh saloni… agar vo hug kisi buri niyat se ki jaati hai to achhi nahi hoti.. lekin hum dost hain.. aksar hug bhi kar lete hain .. hum dono bhi to kar lete hain na… pata bhi nahi chalta kab ki… khush hote hain to bhi kar lete hain… dosto me to ye sab saaf mann se hota hai..tab galat nahi hota…this is just expression of love & affection … isme kya galat……”
“hmmm.. lekin agar koi ladka kare too??”
“to bhi kya hua…. Agar dost hai.. to kuchh nahi hota… hum usse jaante ho… to agar ladki express kar sakti hai to ladka q nahi?”
“hmmm…”
“q poochha tune ye?”
“nahi bass yu hi…mind me aa gayi ye bat..isliye…hehehehhee”
saloni ghar aa gayi.. ab vo doosre nazarie se sochne lagi .ki rohit ne bhi kya pata thoda express hi kar diya ho.. isme galta bhi kya tha… usne usse yu hi itna galat samajh liya.. ache dost easily nahi milte… haaan.. main hi galat thi… mujhe itna hyper nahi hona chahiye tha…. Mujhe samajhna chahiye tha… aur usne ye bol diya ki kisi baat ki jarurat ho to… dost to kehte hi hain… maine q galat sense me liya is baat ko…. …bass isi soch me raat nikal gayi…
agle din college se aane ke baad vo luch karke kahin ja hi rahi thi ki…..

to be continued……..


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
26th September 2005, 10:51 PM

very interesting story dear.... please continue... wants to read ahead too...


take care and keep smiling...

   
Reply With Quote
Old
  (#8)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
27th September 2005, 12:32 AM

Pallavi ...

kahaniyoN ke mamle maiN mai jara kaccha huN .. dhang se likhna to nahi janta .. par han acchi kahaniyaN padhne main intrest rakhta hun.... aur umeed hai ye kahaNi bhi ek dilchasp kahani hogi.. aage ki kahani ka intzaar rahega ... par ye ladkiyan itna drama kyun karti hai ...

aapka apna

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#9)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
27th September 2005, 12:07 PM

Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
Pallavi ...

kahaniyoN ke mamle maiN mai jara kaccha huN .. dhang se likhna to nahi janta .. par han acchi kahaniyaN padhne main intrest rakhta hun.... aur umeed hai ye kahaNi bhi ek dilchasp kahani hogi.. aage ki kahani ka intzaar rahega ... par ye ladkiyan itna drama kyun karti hai ...

aapka apna

kunal
thanx kunal.... lolzzz. ladkiyo.n ka drama.. lekin kunal ji vo ek chhote se sheher ki bahut traditional family ki ladki hai.. jahaan ladke se baat karna bhi theek nahi samjha jaata... hope u 'lll be with me in d whole journey of this story apne aap pata chal jaayega... ki ye ladki kitni bold aur strong bhi banti hai
c u soon
take care


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
27th September 2005, 12:10 PM

Quote:
Originally posted by friendnidhi
Hi Pallavi,

Its seeming a gr8 story waiting for the other parts to come in...


Regards Nidhi
thanx dear
ummeed hai saath rahega end tak
take care


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
27th September 2005, 12:15 PM

phone ki ghnati baji. Aaspaas koi tha nahi to usne hi utha liya.
Saloni…”hello”
“hello “
“haanji”
“is tht saloni?”
“hmm..ya”
“how r u?”
“hmm..fine & u ?”
“me too fine”
“…………..”
“………..”
“……………..”
“…………….”
“ek lambi saans….”
“will u meet me?”
“hmm…ok”
“c u there at 4…. Take care…”
saloni 4 baje ki wait karne lagi… yu to unko ek doosre ko jaante huye 7 mahone ho chuke the lekin aaj milne me q ek ajeeb si jhijhak ho rahi thi. Jab tak wahaan pahunchi usse rohit kahin nahi dikha… mann ki ghabraahat kuchh aur badh gayi.. abhi 5 min hi huye the ki rohit aa gaya.. vo baithi car me & they left for a drive as usual
“sry saloni.. someone came at office..”
“its ok” she smiled
“kaisi ho”
“me fine”
fir dono ke beech ek lambi chuppi….. tab rohit ne isse toda..
“saloni us din ke liye I m realy sry… I didn’t mean anything wrong”
she smiled… “its ok”
bass chaai pi unhone, kuchh der ghoome aur wapas ghar chale aaye.. next day milne ko kehkar.
Waqt guzarta raha.. vo baat shayad mulaqaato.n me hi kahin gum ho gayi. 5-6 baar milne ke baad vo log normal pehle ki tareh hi baate karne lage…. Saloni ke 1st yr ke final exam najdeek aa rahe the.. practicals were going on.. ghar se ye bol ke nikalna ki practical ki practice hai….. aaj ye file poori karni hai… aaaj practical karte karte late ho gaye.. 4 baje tak ghar aane waali saloni ab 7 baja deti.. ghar waalo ko kabhi shaq hi na hua.. qki saloni apne ghar ki sabse tezdimaag aur samajhdaar ladki maani jaati thi. Kya mazaal jo koi ladka uski taraf aankh uthaake bhi dekh le. College uski bahut teekhi repo thi. Wahi saloni ab 100 jhooth bolne ;lagi thi.. aksar socha karti thi ki kya ye sahi kar rahi hu.. tab sochti ki yu to koi bhi maa baap apni ladki ko allow nahi karenge.. dosti hi to hai.. main koi galat kadam nahi utha rahi…
rohit uski inspration tha.. usko hardam support karne wala.. vo sirf dosti ki baate nahi .. aksar bahut achhi discussions kiya karte the.. dheere dheere saloni ko rohit ke bare me pata chala to usne paaya ki he is brilliant.. har subject me flair tha uska… apne aapko hamesha “aaj” se update rakhne wala… usse kuchh bhi discuss karte huye saloni ko lagta jaise vo apni manjil ki taraf , apne aim ki taraf badhti ja rahi hai.. vo dono ek doosre ko jaante rahe…..
1 saal guzar jaane ke baad bhi kabhi saloni ki itni himmat na hui ki vo rohit se poochhe ki uski family me kon kon hain.. ek din…
“aaapki wife bhi aap hi ki tareh kaafi brilliant hongi na?”
he laughed “ arey jab hai hi nahi abhi to main kaise kahu uske baare me”
“ohhhhh”
lekin iske aage vo kuchh aur pooch nahi paayi aur rohit ne bhi kabhi bataane ki jarurat nahi samjhi..waqt guzarta raha…
saloni ke liye wo waqt maano uski life ka sabse sunehra waqt tha.. jisme sirf hansi, pyaar, affection & kisi ka saath tha jo kabhi usne socha bhi nahi tha ki ek ladke ki vo sabse achhi dost ban jaayegi. Uske mann me kabhi love ki feeling nahi aayi. Sirf aur sirf bahut achhi dosti thi ye.. rohit ne har tareh se uska saath diya.. rohit ke saath rehte rehte saloni ka modern thoughts se saamna hua… vo kuchh khul gayi.. uske thoughts me ek maturity, ek khulapan aa gaya.. isi tareh ek doosre ko jaante huye 2 saal aur nikal gaye…
saloni apni graduation ke last yr me thi.. aur isi saal usne civils ke exam ko pehli baar likha. Ye uski khuskismati ki uska prelim clear ho gaya.. ab uska confidence saatwe aasmaan per tha… usse apni manzil kareeb aati lag rahi thi…vo mains ki tayyari me jut gayi aur waqt aane per usne apne mains ko likha.. graduation ke end tak civils ke mains ka result aa gaya…she couldn’t clear her mains.. usse ek jhatka laga jaise kisi ne utha ke usse milo.n peeche fenk diya ho.. ab ye agle 1 ½ saal per tak gaya tha.. usne himmat nahi haari.. aur MSc me admission le liya apne hi shehar me.. lekin ab uska main aim sirf aur sirf IAS officer banna tha…. Usse apne mains exam ke clear na hone ka reason samajh aaya.. vo delhi jana chahti thi… usne koshish ki apni mummy se baat karne ki… lekin mana kar diya gaya. Vo bahut royi gudgidaayi… mahino tak roz yahi baat karti ki mujhe jaane do.. mujhe coaching ki jarurat hai.. lekin ghar me koi nahi maan raha tha.. usse apna future dhoondhla nazar aane laga.. apne sapne doobte nazar aane lage…
lekin fir bhi usne himmat na haari.. vo rozyahi baat kartii.. apne papa se vo darti thi.. unki business family thi… ek chhota bhaayi .. aur usse chhoti behen.. aur ladkiyon ki tareh uski bhi kuchh din me shaadi ho jaaayegi aur vo ghar ke choolhe chauke tak reh jaayegi…nahiii….i ‘ll be an officer…. ye soch soch ke vo apne aapko himmat deti aur fir se koshish karti apni mummy se baat karne ki… but all in vain….
Ek din college se usse pata chala ki….

To be continued…..


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
hi!
Old
  (#12)
komal5
Eyes and Dreams..
komal5 will become famous soon enoughkomal5 will become famous soon enough
 
komal5's Avatar
 
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
hi! - 27th September 2005, 12:34 PM

Pallavi...it seems a very intresting story!...and ur casual way of writing has made it very very realistic...seems one can feel it infront of his eyes! My gudwishes r wid u...i m sure while writing ahead u'd find the answer of the questions 4 which u initiated writing it... waiting 4 the next part.

tc
komal


~a tender touch~
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
28th September 2005, 06:35 PM

Ek din college se usse pata chala ki…. Agar vo koshish kare to usse shayad scholarship mil sakti hai apni coaching ke liye.. vo usi lecture ke baad apne head of deptt se mili.. unhe saari baat bataayi. Apne aim ke bare me bataya.. apni prob ke bare me.. saloni ka confidence, uski lagan dekh kar head hairaan reh gaye.. unhe laga ki agar isko rok diya ya support na kiya to shayad ek bahut badi galti hogi unke liye.. unki hi ek student ek officer banna chahti hai.. jisse ek chhote se sheher ka , unke college ka bhi naam hota,, aur sabse badi baat us bachhi ke future ka sawaal tha…unhone usse poori tareh se finance karne ka decision liya usi waqt… within a week she got d scholarship of rs 2 lakh frm her college.. uske parents bhi man gaye jab unhone dekha ki uske coll waale,, gair log uska itna support kar rahe hain to uske apne ki maa baap q nahi… saloni ki khushi ki seema nahi thi… usko maano ek rah mil gayi ho… rohit ko usne jaaker saari baat bataayi.. rohit ki bhi khushi ka thikana nahi tha… rohit ne uski poori help ki delhi ke best institute me admission lene me.. usse bataya.. saloni ne delhi jaane ki tayaari kar li.. wahaan saloni ki coaching strt ho gayi.. usse apne college ki taraf se poora support tha. Friday ko vo aa jaati aur college attnd kar leti.. aur Monday ko half day attnd karke wapis delhi chali jaati.. 4 ghante ka safar tai karke har week vo aane jaane lagi… uski life bahut busy ho gayi thi.. lekin usne himmat nahi haari aur bass lagi rahi apne sapne ko poora karne me… rohit se aksar mulakaat hoti.. rohit ke liye delhi aana mushkil baat nahi thi…
Delhi aakar saloni ka ek naye roop me maansik vikaas hua.. usse naye dost mile. Bahut bold ladki thi saloni, gazzab ki intelligent… gazzab ka confidence..chehre per ek alag tez jhalakta tha uske…abhi kuchh hi din huye the delhi me aaye usse. Usne mobile liya… lekin hansi ki baat ye ki usse sirf no. dial karna aata tha.. ek hara button,, aur ek laal button.. bass isse jaada usne mobile ke saath chhedchhaaad nahi ki…
Ek din rohit ka ph. Aaya aur usne poochha.. “
“Saloni, msg mila? Tumne reply nahi kiya?”
“Msg? Kon sa msg? Kaisa? Kahaan? Sry main pehle ph. Utha nahi saki.. “
“arey… main call waale msg ki baat nahi kar raha… tumhe cell pe sms kiya hai”
“sms? Oh k .. dekhti hu… abhi batati hu”
call disconnected
saloni ne bol to diya ki dekhti hu.. lekin usse dekhna nahi aata tha.. usne socha ki rohit ko kya kehti ki mujhe sms nahi dekhna aata.. usne lene shuru kiye ph. Ke saath pange… ½ ki mashakkat ke baad usse achanak inbox jaisa kuchh dikha.. uspe ok kiya to msg dikha… vo khush ho gayi… uspe click kiya to msg bhi dikha.. lekin usse kuchh samajh nahi aaya…
usne rohit ko call ko kiya…
“ bahut pyaara msg tha aapka.. lekin vo aadha satha ..mujhe samajh nahi aaaya..”
“aadha? Kya padha tumne”
saloni ne msg sunaya
“arey aage bhi padho na…
“aage?kahaan hai?”
“arey baba usse scroll down karke dekho..aage bhi hai..poora padho usko”
phone disconnctd..
saloni ko khud pe hansi aa rahi thi ki msg to poora tha lekin usse scroll down karne ka hi pata nahi tha.. khair isi tareh usse dheere sab pata chalta raha.. delhi ki diverse, professional aur tezi se bhaagti hui life ko vo samajhne lagi… rohit har kadam pe uske saath tha.. vo cheese vo soch bhi nahi sakti thi vo sab usne uske saath enjoy kari.. bade se bade hotels me dinner , lunch, achhi se achhi jageh ghoomna…. Ye sab baate usne nahi sochi thi.. saloni ke MSc ke exam najdeek aa gaye.. aur uski coaching bhi khatan hone ko aayi.. delhi me rehte huye usse 8 mahine ho chuke the.. bahut khush thi vo delhi kilife se… usse beshak apne shehar aur delhi tak bahut bhaagdaud karni padti thi..lekin life har kadam per usse kuchh naya sikha rahi thi..
saloni rohit ko kabhi naam se nahi bulaati thi.. vo usse”saab” bolti thi…bahut pyaara lagta tha usse ye bolna..unki masti… unka khulapan shayad hi aise koi baat rahi ho jo unhone doscuss na ki ho.. kisi baat ki koi hesitation nahi…. Vo rohit ko apna best frnd samajhti…
uske saath long drives per vo aksar jaati.. door tak niakl jaate to… jagjeet singh ki gazlo ka vo time drive per, usse bahut yaad aata… vo pyaar bhari baate, vo hansi mazaak.. delhi me aake ye sab kam ho gaya tha./.. lekin rohit jab aata to vo log outing ke liye nikal jaate aksar.. kabhi jaipur, kabhi aagra, kabhi gurgaon…. Us waqt saloni sab kuchh bhool jaati aur poori tareh se apne time ko aur apne dost ki company ko enjoy karti…
saloni ki coaching ek subject ki complete ho chuki thi… usse shift karna pada delhi me hi doosri jageh per… wahaan pehle hi din uski mulakaat ek ;ladke se hui…vishal..vo aagra se tha..pehle hi din dono bahut achhi tareh ghul mil gaye.. saaath saath rehne lage, saloni ko ek achha dost laga vo… jiske saath vo apni studies ke bare me regulaer discuss kar sakti thi… vishal ko saloni bahut jaada achhi lagi.. dheere dheere kuchh dino me hi vishaal ke mann saloni ke liye pyaar ke bhaav aane lage.. saloni in baato se bekhabar thi… unke rooms kuchh jaada door nahi the… vo log saath institute aate.. saath jaate.. saath hi khaate…. Saloni ne rohit ke bare me vishal ko bataya ki uska dost hai vo bahut achha .jiske vo bahut kareeb hai…vishal ko jhatka laga maano.. lekin fir usne socha ki ek aam dost hoga.. kuchh dino baad hi saloni ko institute me hi ek ladki mili..uski hi classmate..sanjana… bahut dari sehmi si… bass yu hi baat chali to usse pata laga ki vo uske paas ke sheher se hai.. saloni sunke bahut khush hui.. aur sanjana bhi..
sanjana ka ghar institute ke paas hi tha.. usne vishal aur saloni ko apna ghar dikhaya.. vo log dost ban gaye… sanjana ek din jab saloni se milne uske room per gayi to vishaal aur saloni dono usse bus stop per lene aaye… wahaan room per jaakar sanjana ko feel hua maano vo log bahut pehle se jaante hain ek doosre ko aur bahut jaada intimacy hai dono me… lekin jab usse pata laga ki inhe mile huye 10-15 din hi huye hain to usse ajeeb si hairaani hui… isi tareh kuchh aur waqt guzar gaya.. vishal ka saloni ki life me aana ek mod le aaya uski life me… vishal ke mann me saloni ke liye pyaar aane laga tha… lekin saloni aisa kuchh nahi soch rahi thi.. vo rohit ko hi apna achha dost maanti thi aur vishal usse maano ek aur achha dost mil gaya ho.. lekin dheere dheere usse lagne laga ki vishaaal ke mann me kya hai.. vo is baat ko nahi chahti thi.. vo ape career ke bare me soch rahi thi… usne rohit ki hi baat ki har baar vishaal ke saamne.. vishal ko lagne laga ki saloni rohit se pyaar karti hai.. ajeeb si kashamkash chal rahi thi.. kuchh aisa hone laga ki vishaal ki baato se saloni ko lagne laga ki vo shayad rohit se pyaar hi karti hai.. aajtak usne is baat ko socha hi nahi.. vo to usse bahut achha dost samjhti rahi… uski ye bhool uski zindgi ki sabse badi bhool sabit hui jiska anzaam usse aage jaake dekhna pada…sanjana se uski achhi dosti ho gayi thi.. uski class me sab log yahi sochte ki saloni aur vishaal ke beech affair chal raha hai.. jisse saloni ko bahut takleef hoti aur vishaal ko khushi.. saloni ghut rahi thi… usse vishaal ka saath ab gawaara nahi hota tha..vishal apne mann ki khundak nikaalne ke liye aksar keh deta tha sabke saamne ki saloni to kisi aur se pyaar karti hai… saloni kuchh nahi keh paati thi.. bass kasmasa ke reh jaati thi…

to be continued….


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
28th September 2005, 08:01 PM

Hmm aa hi gaya kahani maiN twist... dekhte hai kya hota hai aage ....

likhti raho yuN hi

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#15)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
29th September 2005, 04:26 PM

dea parul & komal.. thanx for liking up to this part hope i 'll c u here till end
take care

kunal ji.. hmm.. dekhiye kya hota hai aage.. ummeed hai saath rahenge aap
c u soon


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
29th September 2005, 04:28 PM

Jab bhi class me jaaye.n sabka saloni aur vishal ki taraf dekh kar muskurana, dabi juban me unke bare me baat karna.. saloni ko bahut akharta… din-b-din saloni ko is baat se ghutan hoti ja rahi thi.. vo aksar sanjana se share karti.. sanjana ko jab is baat ka ehsaas hua ki saloni vishaal ke bare me aisa kuchh bhi nahi sochti hai to usse bahut hairaani hui…
“saloni, in sab baato me tumhaari galti hai”
“meri?” maine kya kiya hai?”
“2 din pehle mile ek ladke ke saath tum itni frank ho jao, to vo to yahi sochega ki tum bhi usse pasand karti ho.. jab main tumhaare room per aayi thi. I just thought u ve a soft corner for him too.. aur isi wajeh se meri tareh baaki log bhi yahi sochte hain.. “
“lekin mere mann me aisi koi baat nahi thi.. maine usse as a frnd liya hamesha”
“ its ok.. ho gaya ab… tum usse samjhaane ki koshish karo…”
“ he wishs to marry me”
“whtttttttttt????”
“ya… vishal ki baate ab mujhe stress dene lagi hai sanjana.. main yahaan padhne ke liye aayi hu… main in sab musibato.n me nahi padhna chahti”
“dekho saloni.. itna stress mat lo.. vo tumhaari marzi ke bina kuchh nahi kar sakta… usse samjhaane ki koshish karo.. if he don’t.. then simply ignore him”
“hmmm…”
“don’t get stressed saloni… just concentrate in ur studies… don’t care.. now cheer up…. Hehehehehe..”
“ yaarrr..tum naa…..hehehhee”
saloni ne vishaal ko ignore karna shuru kiya.. vishal ko ye baat digest nahi ho rahi thi..usne frustrate hoker sabse kehna shuru kiya ki saloni has played with his feelings.. pehle itna close aayi aur ab usse main pasand nahi aaya… aursaath ye bhi kehne laga ki vo mere liye duniya ki sabse achhi ladki hai… main ski bahut izzat karta hu… class me jo in dono ko jaante the vo vishaal se sympathy rakhne lage.. kyonki unhone ne bhi saloni ki vishal ke liye ignorance dekhi thi.. isliye vo saloni ko samjhaane aate.. usse sawaal karte ki kya hua hai tum dono ke beech.. saloni in sab baato ke beech pisne lagi.. usse bass ek sanjana dikhti thi jo sab baato ko samajhti thi…ek din vishal ne apne kuchh classmates ke aage ye kaha..ki saloni aur main to ek saath ek hi plate me khaate the.. itna pyaar tha hum dono me.. aaj vo mujhse q door ho gayi hai… jab ye baat kisi ne saloni ko kahi ki tum q kar rahi ho aise to saloni ke gusse ki saari hadd paar hui.. usne sabke saamne vishal ke sir ka bhoot utara.. institute ke baahar achha khaasa tamasha ho gaya.. lekin saloni chup hone ka naam nahi le rahi thi.. maano itne dino ki ghutan ko baahar nikaal dena chahti ho.. jis tareh se vo boli , to classmates jo realize ho gaya ki galat kon tha…vishal ne saloni ke khule behaviour ko itn galat samjha ki usse pyaar hi maan baitha .. aur uske baad laakh saloni ke samjhaane ke baad bhi uske upper pyaar ka dabaaw…aur na maanne per frustrate hona.. mann ka saara gubaar nikaal kar saloni wahaan se chali aayi aur saath saath vishaal ko sakhti se ye bol ke ki meri taraf dekhne aur mere bare me kisi se baat karne ki bhi himmat na kare… vishaal but ki tareh khada sunta raha.. usne socha bhi nahi tha ki ye sab ho jaayega… sanjana us din class me a nahi paayi thi kisi wajeh se.. usse is tufaan ki koi khabar nahi thi…
khair, vishaal se saloni ka peechha kahatm hua.. vo kabhi kabhi uske dosto se pooccta ki saloni theek hai na? Aur saloni ko jab ye pata lagta to vo hansti bass… ki isse abhi bhi kuchh chahiye kya? Rohit ko is bare me usne jaada nahi bataya… aur jitna bataya rohit ne bahut hi normal, cool way me ye kaha ki kisi ko apna itna control dene ki jarurat nahi saloni… rohit ka har baat ko itna araam se lena saloni ko hairat me daalta tha.. aur achha bhi lagta tha..ki isko kisi baat ki fikr nahi..iski life me koi complexity nahi.. lekin.. ab uske mann me nayi baat aa gayi thi..
ki shayad usse rohit se pyaar hai.. ab vo rohit ke behaviour ko aksar note karti aur bhaampne ki koshish karti ki uske mann me kya hai..? lekin vo kabhi kuchh decide nahi kar paayi.. na uski kabhi itni himmat hui ki vo rohit se poochhe..bass ghoomna.. discuss karna.. ek pyaari si romantic outing… baaki dino se kuchh change… agar bahut intimate moments hote bhi to rohit ye kehta..” I like u ,,, & I can do anything for u “
saloni khush ho jaati…
kabhi sanjana se is bare me baat hoti to vo poochhti, saloni ka jawaab kuchh na hota.. vo samajh nahi paayi ki rohit ke mann me kya hai… lekin vo usse chahne lagi thi… aur koi uske mann me aa hi nahi sakta tha ab.. sanjana usse klehti ki tumhe rohit ke behaviour se to kuchh lagta hoga.. tum log baahar jaate ho.. outing karte ho..kuchh soch ke hi to… ek ladki ka is tareh ghar se nite out per jana kya theek hai…? Isliye rohit ne kuchh socha hoga .. vo tumhaare bare me bhi sochta hi hoga kya theek hai aur kya galat… ek din saloni aur sanjana , dono sanajana ke room per baithe baate kar rahe the.. ki saloni ka cell baja… rohit ki call thi… vo baahar chali gayii…
kuchh der baad aayi to bahut khush thi… usne bataya ki agle din hum jaipur ja rahe hain.. rohit ka 2 din ka off hai.. sanjana aur saloni ke liye hi ye koi nayi baat nahi thi.. vo aksar chale jaate the.. sanjana ke kaha ki chalo nice… u ‘ll hav some change… enjoy ur time/…
next day rohit ne usse pick up kiya ghar se & they left for jaipur……

to be continued……


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
29th September 2005, 08:46 PM

I will be with you till end, please continue... take care!

   
Reply With Quote
Old
  (#18)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
30th September 2005, 07:55 PM

saloni aur rohit jaipur ki taraf ja rahe the.. behad khoobsoorat mausam tha… vo dono gazals aur halki bearish me chale ja rahe the..ye koi nayi baat nahi thi ki saloni aur rohit kahin baahar gaye ho.. har baar unka safar alag rang liye huye tha.. kuchh khatti meethi yaade har safar ke saath judi hui thi…raaste me unki baate hui.. saloni ne apni coaching ke bare me bataya..kuchh general topics per discussions hui..saloni rohit ki is baat ko bahut pasand karti thi ki vo apne aapko bilkul update rakhta tha..rohit ne kuchh apne bare me kaha.. kuchh rozmarra me hone waali baate… deptt ki kuchh baate… aur safar kaise kat gaya pata bhi na chala..vo log shaam tak jaipur pahunch gaye..
vo log kabhi bhi kahin bhi baahar gaye..they enjoyed d place & time at d fullest… is baar bhi behad khoobsoorat jageh thi ye..highway se kuchh door ek mehel jaisa ye hotel.. chhoti chhoti pahadiyon se ghira hua… maano mount aabu me hi aa gaye ho… vo log fresh huye… baahar balkoni me baithkar baate karne lage… coffee mangwaayi.. bass baate chalti rahi..meethe se pal unke aksar ho jaate the.. ek romantic touch rohit ki baato me kabhi kabhi aa jaata tha.. lekin saloni ne isse kabhi galat nahi samjha… baato hi baato me.. rohit ne saloni se kaha
“ahmm..ahmm.. I wish to say something”
“haanji…”
“saloni… I love u…”
“heheheheh.. o really?”
aur vo dono jorse hans pade… maano koi serious baat kahi hi na gayi ho… lekin mann me saloni ko ek meethi si feeling ho jaati…uska ehsaas vo rohit ko hone nahi deti thi.. raat ko bahut achha dinner kiya.. baate.. behad aalishaan dining hall tha vo… achha lag raha tha.. vo aksar mann me sochti ki kya vo rohit ke bina ye sab dekh paati? Kya uska kabhi itna achha waqt hota? Kya vo itni develop ho paato aaj ke zaamne ke acc..? raat ko room me aaye to saloni ne change kiya.. unka ek hi room lena koi nayi baat nahi thi qki kabhi aaj tak kaabil-e-aitraaz kuchh hua hi nahi.. aur vo rohit per is bare me bahut bharosa bhi karti thi..vo dono sone ki koshish me baate karte rahe.. baato baato me hi kab vo itne kareeb aaye ki kisi baat ki doori na rahi…shayad jis hadd tak vo ruke huye the… ya waqt ne unhe roka hua tha.. vo hadd pighal chuki thi….rohit so gaya tha..der raat saloni jaag rahi thi..neend uski aakho se koso.n door thi.. Saloni ko shayad is baat ka itna
afsos nahi tha.. qki vo bhi utni hi involved thi jitna rohit.. vo rohit ko galat nahi keh sakti thi… usne aapko aapko tasalli di.. apne aapko aashwaashan diya ki galat nahi hu main.. un lamho ka usse nahi pata tha…aur ab vo kuchh bhi nahi kar sakti thi.. usne apne aapko kamjor nahi banaya aur aur ye sab accept kar liya… shayad aage kuchh pane ki ummeed me… shayad uski kismat me kya tha .. ye usse nahi pata tha…ye sab sochte sochte saloni ki aankh kab lag gayi pata na chala..


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...

Last edited by prasaxena; 5th October 2005 at 05:18 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
2nd October 2005, 06:14 PM

wapasi ka safar rohit aur saloni ke liye is baar kuchh naye rango ke saath tha…. kuchh aur nayi baato ke saath khatam hua ye pyaara sa safar… in sab baato ko alag rakh ke saloni ab apne exam ki tayaari me lag gayi… rohit ki rank kuchh aur high ho gayi thi.. vo thoda aur busy ho gaya…saloni ke papa ki tabiyat kuchh theek nahi chal rahi thi.. idhar naya saal bhi aane wala tha.. papa ki tabiyat theek na hone ki wajeh se saloni ko ab ghar ke chakkar jaada lagaane padte… waqt apni raftaar se chal raha tha… saloni aur sanjana jab bhi saath hote.. naye saal ko ek saath celebrate karne ke plans banaate.. kabhi kisi hill station ka, kabhi delhi ke aas paas hi.. kabhi kisi bade hotel ki new year party decide hoti to kabhi ghar pe hi masti… aur hanste rehte.. sanjana ko pata tha ko new yr to rohit ke saath hi manaayegi saloni… vo tease karti saloni ko…bass waqt milte hi khilkhilaaate rehte dono..saloni ne us raat ke bare me kabhi sanjana ko nahi bataya....naya saal aa bhi gaya… bass 2 din hi bache the 1st of jan ko..saloni ko lag raha tha jaise is baar rohit uske saath nahi reh paayega .. bahut busy tha vo.. lekin kisi tareh rohit ne waqt nikala aur 30th ko saloni ko ph. Kiya ki vo 31st evning aa raha hai… vo ready rahe… saloni ne sanjana ko bataya… usne bahut tease kiya usse… masti ki… 31st ko saloni tayaar hui.. safed sauit aur rohit ke hi gifted laal jaipuri duappte me vo bahut khoobsoorat lag rahi thi..sanjana ne usse apni halki gulaabi shawl di qki shaam ko thand badh jaati thi..usme vo aur jaada khoobsoorat lagi… uske kamar se neeche tak lambe baalusse aur pyaari look de rahe the/.. khushi uske chehre se tapak rahi thi…usne kuchh red roses liye… rohit ko ye sab formalities pasand nahi thi.. fir bhi naye saal per usne liye….
Saloni ne wapas sanjana ke paas hi aana tha.. vo agli subeh jaldi aane ko keh kar rohit ke saath chali gayi…subeh 10 baje tak jab saloni ka koi ph. Nahi aaya to sanjana ne saloni ko phone karne shuru kiye.. but she ws nt picking up… 12 baje ke aas paas saloni ka ph. Aaya..
“kahaan hai tu? Sharm ne aati tujhe… itne ph. Kiye.. kab se wait kar rahi hu… bata to deti kam se kam.. msg hi kar deti.. ph. Tak pick nahi kiya…” sanjana bass bolti chal;I gayi..
“hehehehehhe….. wish u a very happy newwww yearrrrrrrrrrrr”
“hehehehe.. idiottt.. same to u .. lekin tum log ho kahaan?”
“bass sadko per…”
“kya matlabbb???”
arey mastiii…. Ghoom rahe hain….”
“how ws new yr nite?”
“ bahut achhiii… fantastic hotel.. bahut achhi party…. Dance, mastiiii… tht count down at new yr… wowwww sanjana..it ws greatttt”
“okkkkk..heheheh ghar kab aana hai…”
“jaldi hi aati hu bass thodi der me….”
“Ok….m waiting..”
“bye…”
lekin shaam tak saloni ka koi pata nahi… sanjana ko laga ki vo dinner time tak aa jaayegi.. usne uska dinner banwaya.. wait ki bahut..lekin 9 baje tak bhi koi khabar nahi… usne ph.. try kiya to vo bhi switched off….. vo pareshaan si ho gayi… lekin ye soch ke ki rohit saath hai… usne sochna chhod diya…
kareeb 11 baje saloni ka ph. Aaya.. uski awaaj sunkar sanjana ghabra gayi.. bahut buri tareh kaamp rahi thi awaaj uski… usne sirf itna kaha ki sanjana darwaja kholo.. m coming…
sanjana ke dimaag me ek saath 1000 sawaal sir uthaane lage..
vo neechhee gayi to dekhti hai ki sanjana ki ro roke haalat kharaab hai… vo room per aayi.. aur bahut buri tareh rone lagi.. chup hone ka naam nahi le rahi thi.. sanjana ne saloni ko pehli baar rote huye dekha .. vo bhi is tareh.. subeh tak to bahut khush thi.. achanak kya ho gaya…vo kuchh samajh nahi pa rahi thi…saloni roti rahi… sanajan usse chup karwaane ki koshish karti rahi…jab uske mann ka gubaar nikal gaya to sanjana ne poochha
“kya hua …”
vo fir se rone lagi….
“saloni plzzz… aise kaise kaam chalega yaar.. tu kuchh bata to sahi.. hua kya hai…”
“sanjana………………………………. He denied….”
Aur vo fir fafak fafak ke rone lagi…
“arey baba… tumne ekdam se kya pooch liya usse… aur usme itna rone waali kya baat hai… achanak usne bhi expect nahi kiya hoga kuchh”
“nahi sanjana… he denied clearly.. usne saaf saaf mana kar diya hai….”
“tumne kya kaha usse?”
“yahi ki shaadi ke baare me kya socha hai aapne”
“to?”
“usne kaha ki usse shaadi nahi karni.. aur uska koi iraada bhi nahi hai… vo dost hai bahut achha.. very close… & he can do anything for me.. but marriage… he said no…”
“dekho..tum itni jaldi ye sab mat sochoo… give him some time… usne bhi to expect nahi kiya hoga saloni.. ki tum usse achanak pooch logi ye..”
“ lekin sanjana.. vo shayad ab mujhse kabhi baat na kare….”ye keh ke saloni fir se rone lagi… sanajana se dekha nahi ja raha tha… saloni jaisi bold ladki is tareh se kamjor pad rahi hai…
“saloni..plzzz.. suno… use thoda time do,…. Ro mat is tareh.. vo bhi ghar jaake is bare me sochega… aur ye mat socho ki vo tumse baat nahi karega ab kabhi.. tum 5 saalo se saath ho.. itni achhi aur puraani dosti ek din me kaise toot jaayegi…. He understands u .. tumhaari haalat bhi usse pata hogi… vo is tareh nahi chhodega tumhe.. tum fikr mat karo.. kal tak uska ph. Aa jaayega.. u don’t wry”
kisi tareh saloni kuchh relax hui.. lekin usse bahut bada shock laga tha.. kis baat ko vo soch rahi thi.. sanjana isse bekhabar thi… lekin saloni reh rehke apne aapko sambhaalne ki koshish kar rahi thi…vo baar baar sanjana se keh rahi thi mujhe ghar jaana hai.. abhi jana hai.. vo apne hosh hawaas me na ho jaise… usne rote jaagte apni raat nikaali.. agli subeh 5 baje vo ghar ke liye nikal gayi….jahaan zindgi ka ek aur teekha waar uska intzaar kar raha tha…

to be continued....


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...

Last edited by pallavi_here; 2nd October 2005 at 06:16 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
friendnidhi
Registered User
friendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to behold
 
friendnidhi's Avatar
 
Offline
Posts: 962
Join Date: Jul 2004
Location: Delhi
Rep Power: 28
2nd October 2005, 10:57 PM

Hi Pallavi..
The story is really going on finer and it is awesom..from the dayu have posted it i never missed even one part. i am a continus reader but i dont get time to reply..please keep it up...waiting for the other parts to come..

Take Care

Regards Nidhi


Na Chaho kisi ko itna ~ ~ ki chahat tumhari majboori ban jaye ~ ~ chaho kisi ko itna ki ~ ~ tumhara pyar us ke liye zaroori ban jaye...............


Friend Nidhi - A Silent Tear

"Shedding a Tear When You are Lonely - So Peaceful yet so Painful...."
  Send a message via Yahoo to friendnidhi  
Reply With Quote
Old
  (#21)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
5th October 2005, 12:49 PM

Quote:
Originally posted by friendnidhi
Hi Pallavi..
The story is really going on finer and it is awesom..from the dayu have posted it i never missed even one part. i am a continus reader but i dont get time to reply..please keep it up...waiting for the other parts to come..

Take Care

Regards Nidhi
dear nidhi...
tum saath ho itna kaafi hai.. thanx dear fir ur cop... & encouragement
take care


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
5th October 2005, 12:50 PM

saloni ghar chali gayi aur yahaan sanjana apne exam ki tayaari me jut gayi…aksar saloni 3rd day wapis delhi aa jaati thi.. lekin is baar 10 din guzar jaane per bhi saloni ki koi khabar nahi thi.. sanjana ne bahut baar usse call bhi kiya lekin no answer…she didn’t pick up.. saloni ki yahaan classes bhi miss ho rahi thi aur uski koi khabar bhi nahi thi.. class ke students bhi poochhne lage the..vo khud na pata hone ki baat bol deti thi..sanjana ka dil tareh tareh ke andesho.n se darr raha tha kli pata nahi kya hua hai ki vo call bhi nahi kar rahi… aakhir 15th day saloni ki call aayi…
“hello saloni…. Yaarr thak gayi teri wait karte karte aur call karke… koi prob to nahi hai?”
“ tu kaisi hai..?”
“main achhi hu.. u tell me. Sab theek hai na?”
“ya ..theek hai..”
“yahaan kab aa rahi hai?”
“kal subeh”
“saloni why u sound so down…?”
“nahi kuchh nahi.. kal milte hain”
she disconnected….
Saloni ko ek ajeeb sa darr lag raha tha..next day saloni 11 baje tak aa gayi.. 3 baje unhe class ke liye nikalna hota tha.. saloni ko jab dekha to uske chehre perduniya bhar ki udaasi nazar aayi usse..
“saloni… uncle theek hain na?”
ye sunke saloni bahut buri tareh ro padi…
sanjana samajh gayi …
“papa is no more sanjana….”
Sanjana ke mann me reh reh ke kaafi dino se ye baat aa rahi thi.. lekin vo apne khayaal ko jhatak deti thi ki nahi itna bura nahi sochte… saloni roti ja rahi thi…. Sanjana soch rahi thi ki saloni ke upper ekdam se itne dukh.. usse apna dil bhaari hota hua mehsoos hua maano uske dukh ko poori tareh samet le… vo kuchh nahi boli.. saloni roti rahi aur vo usko sirf ek sahara de sakti thi.. ek mental support.. lekin vo khud jaanti thi ki isse saloni ka dukh kam nahi hoga… ekdam vo saari baate soch gayi… ki ab saloni ka delhi rehna kitna mushkil hai.. aage padhaayi karna… ab uski shaadi jald se jald karne ki koshish karenge… ye sab baate jab sanajan ke dimaag me aayi to usse saloni ka future bilkul blurred lagne laga… vo jaanti thi ki usse pehle saloni ke mind me sab baate aa chuki hongi…saloni thoda relax hui...lekin uske dukh ko sanjana samajh sakti thi…class over hone per sab saloni se poochhne lage ki kya hua.. usne kisi ko kuchh nahi bataya bass tabiyat kharaab hone ke bare me bola… saloni ko sympathy pasand nahi thi…shaam ko saloni ki baat hui sanjana se…
“papa ki tabiyat bahut baar kharaab hui hai sanjana lekin is baar bilkul theek hone ke baad bhi achanak ye ho jaayega kisi ne nahi socha tha… raat din hospital me….aur ye relatives..shayad is waqt me humme bhool hi gaye the…”
“saloni plzz… main samajh sakti hu..lekin ab tum mat socho ye sab.. tum badi ho sabse ghar me… aunty aur bhaayi behen tumhaare support pe hain… tum jo karo , soch samajh ke karna..”
“sanjana…vo log ab shaadi kar dena chahte hain jaldi se jaldi…”
“hmmm.. main jaanti hu aisa vo sochenge..lekin tum aunty se baat karo.. vo tumhaari jarur sunengi…”
“haan sanjana… mummy mujhe samajhti hain… unhone kaha hai ki tum exam do apne theek se… ;lekin fir bhi ab delhi me rehna nahi ho paayega.. mujhe ab ek bahana chahiye.. ek job.. shayad mera khud hi mann na mane delhi me bina job ke rehne ka…”
“hmmm.. to try karo saloni…mil jaayegi…”
“saloni…
“haan..”
“rohit ka call aaya tha?”
“hmm.. aaya tha sanajna ..aaj jab aa rahi thi bass me thi to aaya tha…”
“tumne bataya uncle ke bare me?”
“nahi..usne poochha tha.. I said theek hain vo”
“ab?”
“shayad mile mujhse kal vo.. lekin sanjana main milna nahi chah rahi…”
saloni ki sanjana samajhti thi… uske saamne ab shaadi ki mushkil khadi ho gayi thi.. vo rohit ke siwa kisi aur ke bare me nahi soch sakti thi.. rohit ke mana karne ke baad bhi shayad uske mann me ek ummeed thi… vo usse milna bhi chahti thi aur nahi bhi…
agle din subeh rohit ne call kiya to saloni uske saath chali gayi.. shaam ko 3 baje class bhi thi… vo class attnd karne ke baare me keh ke chali gayi ki class ke time tak aa jaayegi…

to be continued….


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
13th October 2005, 03:05 PM

dear frndz... ab tak mere saath rehne ke liye aap sabhi ka bahut bahut shukriya.. maafi chaaungi itne lambe break ke liye... aur khaastaur per shukriya ada karungi meena dii ka aur praveen ji ka... jo mere saath hain.. aur main unki bahut izzat karti hu har baat ke liye... aur mujhse bade hone ke naate unhi salaah mere saath hone ke liye...
ab aage ki kahaani ko continue karti hu... thanx to all for being with me ...


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
13th October 2005, 03:16 PM

Raaste me rohit aur saloni bahut der tak chupchaap baithe rahe…koi baat na hui… saloni ke mann me kai aandhiyaan si chal rahi thi.. usne sanjana ko q nahi bataya ki rohit se uski baat hui thi kai baar jab vo ghar pe thi aur papa hospital me the… sab uske dimaaag me ek movie ki tareh aane laga…rohit ka kai baar call karna… uska papa ko lekar pareshaan rehna… ek darr mann me hona… kisi relative ka koi support na hona… sab kuchh usse bebas bana rahe the un dino…aur rohit ka har baar call karke ye kehna.. ki saloni meri koi jarurat ho to plz batana mujhe…uski baato me se kahin na kahin ye indication milti thi ki agar saloni ko financial support ki jarurat hai to he can give… lekin saloni ko is tareh ki koi jarurat nahi thi…vo ek ghutan feel karti thi uski is indication se..
Us din bahut akeli feel kar rahi thi vo… ekdam helpless, down, hopeless….
Tabhi rohit ki call aayi…
“haanji”
“tabiyat kaisi hai papa ki saloni?”
“bahut critical hai…..samajh nahi aa raha kuchh”
“tum PGI me q nahi try karti…”
“ haan ..main bhi wahi soch rahi hu …lekin..”
“dekho…meri koi jarurat ho to…”
aur vo toot si gayi…….
“rohit….i need u “
“haan saloni…kaho na….tum papa ko PGI refer karo”
“lekin.. wahaan koi aise consider nahi karta rohit… aap agar ho sakta hai to kuchh kijiye… agar kisi ki reference de sakte ho to… if possible…”bahut dabi si jubaan me kaha saloni ne.. usne aaj tak rohit se koi kaam nahi kaha tha.. aur aaj kehte huye bhi ajeeb lag raha tha… lekin uski is baat ne..”koi jarurat ho to plzz kehna” aaj himmat de di thi…
“saloni.. tumhaare wahaan ek MLA hain…(usne naam bataya, jo usko bahut kareeb se jaante the aur ache dost bhi the) tum unko keh ke dekho..he will help u “
“aapse ho sakta hai to…”
“kya tumhaare ghar me se koi baat nahi kar sakta unse?” rohit ne is baat ne tod diya usse… ki kitne toote diye dil se aise keh diya… aaj usse jab jarurat padi to….. lekin usne kuchh jaahir nahi hone diya…
“no its ok… main dekh lungi…”
“dekho…. Agar tum kaho to.. main aaa bhi sakta hu.. agar jaruri hai to….” Is baat ne rahi sahi kasar ko poora kar diya… maano usne bahut hi bujhe huye dil se kaha ho.. uski lehze me ek ajeeb si formality saaf nazar aa rahi thi….bahut bhaari sa lagne laga usse maahaul…vo baat nahi kar paayi aage…
“koi baat nahi rohit… abhi papa ke paas jana hai.. baad me baat karti hu…”
“bataati rehna mujhe…”
“jee” ye kehke ph. Rakh diya…. Saloni bahut thaki hui si feel kar rahi thi… aur is baat ke 3 din baad hi papa nahi rahe…………

“saloni” achanak jaga diya hai jaise rohit ki awaaz ne…
“haan”
gaadi rok li thi rohit ne… & suddenly usne saloni ko gale laga liya…
vo rok nahi paayi apne aapko.. aur foot foot ke ro padi… bahut der tak roti rahi… usne abhi tak rohit ko nahi batya tha ki papa nahi rahe ab… lekin rohit samajh chuka tha shayad..…
fir vo chal pade…
“saloni akhil ke saath bahut bura hua” (akhil uska dost tha.. lekin bahut khaas nahi.. sirf jaan pehchaan…kabhi kabhi naam liya karte the rohit uska…”
“kya hua usse”
“his father expired”
“ohh m so sry…. Bahut bura hua”
lekin saloni mann me soch rahi thi.. ki kya uske saath bura nahi hua? Rohit usse apne sabse kareeb hone ka dawa karta hai… to usse uske dukh ka ehsaas nahi…? Aur jisse sirf kabhi kabhaar baat hoti hai.. nahi bhi hoti… vo uske bare me itna dukhi hai… uske ghar dilasa dene ja sakta hai… mujhse 2 bol nahi bol saka…. Har pal saloni toot si rahi thi.. rohit ne raaste me kai baar akhil ka jikr kiya aur vo behad afsos karta raha…aur saloni chup rahi….maano uska dimaag burf ki tareh jamta ja raha hai…
saloni ko khaane ki ichha nahi thi.. lekin fir bhi he got her food packed…
uski class miss ho chuki thi…saloni ko jarurat thi rohit ki… vo saath rehna chahti thi uske… shayad uska dost, premi, hamdard…. Sab kuchh jaante huye bhi wahi nazar aata tha… lekin fir bhi uska ye bhram toot raha tha… lekin vo kuchh pal rohit ke saath biatna chahti thi.. apna dard halka karna chah rahi thi… udhar rohit maano usse door bhaag raha ho… vo usse jabardasti hi chhod dena chahta ho ki ab tum ghar jao…usne kaam hone ki baat kahi..ki bahut jaruri hai… aur usse drop kar diya ghar pe…

sanjana wait karti rahi.. fir kuch sochke class chali gayi… shaam ko ghar aayi sanjana to.. saloni usse room per hi mili… vo bilkul chup thi…sanjana sab jaanti thi.. shayad sawaal the uske mann me.. aur shayad un sabke jawaab bhi the uske paas… vo saloni ko is tareh jaane lagi thi maano ussi ka hissa ho vo….yu hi din guzarte rahe…rohit se baat nahi hoti thi tab bhi saloni roti thi.. aur jab uska phone aa jaata tha.. baat hoti thi.. uske baad bhi vo roti thi… ab saloni aur rohit jab bhi milte .. unki shaadi ko leke baat hoti thi.. aur fir se ek stress aa jaata tha dono ke beech… rohit ke mann me kya hai , saloni nahi jaan pa rahi thi.. lekin usse is rishte ka koi sira nahi nazar aa raha tha…ek din sanjana padh rahi thi shaam ko….tabhi phone ghanghana utha

to be continued…


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
friendnidhi
Registered User
friendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to behold
 
friendnidhi's Avatar
 
Offline
Posts: 962
Join Date: Jul 2004
Location: Delhi
Rep Power: 28
14th October 2005, 02:57 PM

Hi Pallavi,

Pls post the next part soon...


Regards Nidhi


Na Chaho kisi ko itna ~ ~ ki chahat tumhari majboori ban jaye ~ ~ chaho kisi ko itna ki ~ ~ tumhara pyar us ke liye zaroori ban jaye...............


Friend Nidhi - A Silent Tear

"Shedding a Tear When You are Lonely - So Peaceful yet so Painful...."
  Send a message via Yahoo to friendnidhi  
Reply With Quote
Old
  (#26)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
14th October 2005, 08:04 PM

saloni ki call thi ye…
“sanjana…sun mujhe tujhse baat karni hai.. its urgent”
“haan… bol na”
“nahi …milna hai..”
“kal class me milte hain fir”
“nahi abhi.. u come to main mkt”
“hmm..ok..coming”
sanajana ussi time chal padi… 10 min me vo chalet chalet mkt phaunchi to dekha ki unke fav bhelpuri waali shop ke paas saloni baithi thi…
“hiiiiiii..”
“hello…how r u ?”
“fine baba.. kya hua hai… suddenly… wht happnd?”
“yaar…”
“haanji .. bolo”
“meri rohit se baat hui aaj”
“ohhhhh myyy godddddddddd…. Itni badi baat thi ye……hehehehehehe”
“chuppppp.. hans matt….”
“arey yaarr..to rohit se baat hona koi nayi baat hai kya”
“come on sanjana….sun plzz”
“ok madam..sunao”
“I ws talking to him… he ws on the way to home..”
“hmmm..to?”
“vo ghar pahunch gaya…. Aur mujhe bye bola……”
“ohhhhhhhhhhhhhhhhh..usne bye bolaaaaa…itni badi baat……”
“sanjanaaaaaaaa…..yaarrr plzz”
“saloni dear..mujhe koi baat nahi nazar aayi…kya special hai isme….”
“sanjana..ghar ke darwaaze tak pahunchte hi usne bye bol a…. lekin shayad ph. Disconnct nahi hua usse… aur maine bhi nahi kiya bass yu hi.. aur chalta raha phone…”
“hmmm”
“to wahaan se kisi aur ki bhi awaaz aayi….”
“means.. rohit to akela hai na saloni…”
“haan sanjana… but it ws a baby… koi 3- 4 saal ka lag raha tha.. aur rohit usse jis tareh se pamper kar raha tha.. like my betaa… u had dinner… & all.. & vo baby gussa sa ho raha tha… bhaag raha tha idhar udhar….”
“ohhh goddd.. saloni… u mean…..”
“sanjana.. main aisa kuchh nahi sochna chahti….lekin….”
“yaar.. koi relative aa sakta hai ghar me…kisi ka hoga vo bachha”
“nahi sanjana… aise kaise yaar… aur jis tareh se vo bachhe ke saath treat kar raha tha… us tareh se koi sirf apne bachhe se hi kar sakta hai…”
“yaar.. wht to say now… no comment… main abhi bhi yahi kahungi ki koi relative aaye honge rohit ke yahaan…”
“hmm.. kaash aisa hi ho.. lekin I knw rohit akele hi rehte hain.. aur relative koi nahi aata uske yahaan… as far as I knw… I have doubt… wellll….mera dimaag jhanjhana raha hai sanjana….”
“hmmm…u don’t wry plz… abhi se itna kuchh mat socho tum.. better u ask him”
“yaar.. I cant…”
“why sooo… why u cant….?”
“pata nahi dekhte hain….”
“hmmm..but u just try to ask saloni”
“ya sure ..i ‘ll try to find it out…”
fir un dono ne baat badal di aur kuchh discuss karne lage… saloni apne room per aa gayi.. roz ek nayi baat uske saamne aa rahi thi… aaj usse samajh aa raha tha ki rohit uske itna kareeb hote huye bhi door q rehne ki koshish karta hai… q shaadi ke naam se bhaagta hai vo.. ek saath kai sawaal aur kai jawaab dimaag me ghoom gaye… fir bhi vo jhatak rahi thi ki nahi… vo uska bachha na ho…
agle din saloni aur sanjana class ke baad fir mile to baate karne lage…
“rohit se baat hui saloni?”
“haan.. lekin maine us bare me kuchh poochha nahi.. it ws normal..”
“saloni.. agar vo uska baby hota to uski wife bhi hogi it means… aur apni wife ke hote huye koi tumse itna frequently kaise mil sakta hai… kya apni family ko chhod ke new year vo tumhaare saath celebrate karega? Tell me… aur bhi bahut baate hain saloni…”
“hmmm.. main bhi yahi sab soch rahi hu sanjana… lekin….. ye bhi to possible hai ki uski wife na ho…koi prob ho.. aur sirf bachha uske paas hai..sanjana maine rohit se kitni hi baar baat ki hai.. aksar bachho ke naam pe vo ukhad sa jaata hai ki I don’t like kids.. & all….lekin vo jis tareh se us baby ko mana raha tha…..”
“yaarr.. aise to kitni hi baate ban sakti hain.. dekho tum usse pooch lo…yahi sabse theek rahega”
“main koshish karungi sanjana… lekin hamaari baat hoti thi…. Jab main uski life me aayi thi.. when we met.. he ws nt married I m sure…. Aur agar is beech in 4 saalo me aisa kuchh ho gaya hai to he has cheated me…aur uske baad bhi…. Aur mujhe pata tak na chale… baby tooo… I m…..i….wht to do….…”
“ohh plzz saloni.. mat socho tum itnaa…. Dekho u ask him”
kuchh der aur saath rehne ke baad vo log fir apne apne rooms per chale gaye… bass last ki classes hi chal rahi thi.. aur kuchh hi dino me sab free hone waale the… saloni ghar jaane ka mann bana chuki thi… ya fir shayad ab majboori thi…aursanjana delhi me hi rehke exam dene ki soch rahi thi…
ek din ph. Pe hi baat karte karte saloni ne pooch bhi liya rohit se… bina ye bataaye ki usne aisa kuchh suna tha aur ph.. disconnct nahi hua tha…….

To be continued….


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
25th October 2005, 10:56 AM

Ek naakaam si koshish thi saloni ki, baat shuru kar di usne rohit se ki usse kuchh poochhna hai… something personal… lekin vo pooch bhi to na paayi.. q aaj tak uski koi himmat nahi hui? Rohit bhi in baato ki taraf jaada dhyaan nahi deta tha.. usne kabhi saloni ko kisi baat ke liye force nahi kiya… aur ek koshish ke baad fir ye baat saloni ke dil me kahin dafan ho gayi..exam ho chukka tha.. sanjana aur saloni apne apne ghar wapis chale gaye… lekin sanjana ne kuchh dino baad wapis aana tha delhi.. kuchh din tak dono beech koi baat na hui… fir saloni aur sanjana kuchh mahine baad fir mile.. isi beech saloni rohit se bhi 2- 3 baar mili.. aur hamesha ki tareh kuchh pyaar , kuchh taqraar chali… lekin ab ye rishta utna sukoon nahi deta tha… deta tha to sirf ek bojh, ek takleef, aur bahut saare sawaal. Rohit in sab sawaalo se azaad tha.. lekin saloni ne apna sab kuchh rohit ke naam kiya tha.. fir vo in sawaalo se kaise azaad ho paati…sanjana aur saloni ne state civil services ke exam bhi diye the.. sanjana ka vo exam pre clear ho gaya lekin saloni na kar saki.. usse ek dhakka sa laga… mann me ek chot si hui ki jab states na kar saki to IAS se kya ummeed rakhu.. unke IAS exam ka result kisi bhi waqt aa sakta tha..

Saloni aur sanjana ki dosti badhti ja rahi thi.. ek anjana sa apnapan tha un donoke beech ab.. dono bilkul alag thi lekin dono hi kareeb maano ek doosre ko bahut ache se samjhti ho. IAS ke result ka darr dono ke hi mann me tha… aur saloni ke mann kya tha ye shayad sanjana nahi jaanti thi.. saloni ne yahi sochatha ki vo IAS banegi.. kisi bhi haalat me , aur tab rohit ko vo paayegi… usse apne armaan chhor hote nazar aa rahe the ab… sanjana states ke mains exam dene apne ghar chali gayi kuchh dino ke liye.. aur saloni fir se akeli si pad gayi… kitni hi uljhano ke saath… ek anchaahe se darr ke saath…

Aur fir ek din sanjana ke paas call aayi
“ sanajana, aaj result out hoga”
sanjana ke haath se kitaaab gir hi to gayi…
“ohhhhhhh….”
“yaar… darr lag arha hai bahut… yahaan sabhi me halchal si machi hui hai”
“saloni.. main bhi darr gayi hu ab to… apni life, carreer sabhi depend karta hai ispe.. kab out ho raha hai?”
“shaam ko 4 baje…. UPSC hi jana hai”
“…….. main roll..no.bataate huye bhi darr rahi hu saloniiiii”
“ u knw itni tez baarish ho rahi hai yahaan….nikalna bhi mushkil hai”
“ sun tu apna result dekh ke mujhe call kar dena”
“u tell me urs rollno.. na”
“nahiii”
“bata naa….”
Aur sanajana ne bata diya usse… ph. Was disconnected..

4 baje ke aas paas fir call aaya….
“sanjana yahaan itni bhagdad machi hui hai sachh….hehehehe…. sabke face pe hawaaiyaan ud rahi hai”
“obviously yaar…. Ya to aaar ya paar…. Nahi clear hua to agle 2 saal ke liye fir jut jao… kam nahi hote 2 saal…”
“ya true….eyyyyyyyyyy sanjana…….. ooooo my godddd… sun result baahar aa raha hai… u knww kaise 4 log board ko utha ke la rahe hain… chaaro kono se pakad ke kandhe pe….hehehehehe”
“hehehehhe… arthi ki tareh..goddd..pata nahi kitne logo ki mehnat ki arthi hi to uthegi aaj… aur kitne log clear ho jaayenge….. best of luck saloni…call me back soon”
“ya sure….lekin darr lag raha hai bahut..chal main dekhti hu ab result”

kaafi der tak sanjana ke paas call na aayi… vo bhi ghabra rahi thi… khair usne kisi tareh himmat juta ke call kiya… saloni ne call pick ki…
“kya raha result saloni?”
“……………”
“bata ba”
“sun sanjana… site pe aa gaya hoga.. tu dekh le….”
“bata na yaar.. its ok whtever mine… I m ready”
“yaar u see urself na… dekh le site pe abhi”
“saloni plzz.. tell me”
“yaar yahaan to tera roll.no.nahi hai”
sanjana ke andar jaise kuchh toot sa gaya… maano vo mehsoos karsakti ho ki uska dil kahaan hai..kuchh is tareh bhaari ho gaya mann…lekin usne jataya nahi
“arey to kya hua… better next time… achha tu apna bata”
“ mera ho gaya sanjana”
“congratsss saloni…best of luck for mains….ghar call kiya?”
“thanxx…..haan abhi kiya tha call ghar pe… aur rohit ko bhi abhi bataya…
sanjana ko apna behadd dukh tha… aur saloni bhi usse utna hi mehsoos kar rahi thi…
lekin saloni ko ek raasta mil gaya tha.. ek ummeeed…. Uski khushi ka thikanma nahi tha… usse ek ehsaas hua ki gam ke baadal ab hat rahe hain… aur ummeeed ki dhoop halki halki uske chehre per pad rahi hai….

to be continued....


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
26th October 2005, 02:37 PM

Apne pyaar ko pane ki ummeed me aur apne carreer ko leke apne sapne ko soch ke saloni dil se exam ke liye lag gayi. Exam huye bhi ache aur fir vo ghar chali gayi..
Ab uska wapis delhi aana mushkil tha..lekin kabhi kabhi sanjana se milne ke liye aati thi aur rohit se bhi mil leti thi…unka relation din- b din takleefdeh banta ja raha tha.. ab saloni ko bhi bahut ghutan hone lagi thi.. uske mann me aane laga tha ki chhod desab kuchh.. kuchh din sabr karti lekin fir ye yaadein….. kambakht yaadein….. jeene nahi deti thi.. aur fir se uske door jaate kadam rohit ki taraf laut padte the… saloni ka result aa gaya.. lekin maano keher sa toot pada uspe.. uska mains clear na ho saka...arthi si nikal gayi uske armaano ki... fir bhi himmat na haari usne… apne hi sheher me usne ek institute run karne ki sochi jo IAS aspirants ki help kar sake… aur usme usse sabhi ka bahut support mila.. saloni ka mind divert ho raha tha.. vo khush bhi thi.. lekin fir sone se pehle din ki saari baate.. aur tanhaayi.. maano fir se laake un yaado me patak deti thi usse… sirf roti thi vo raat ke andhero me.. ki uske aansu bhi kho jaaye kahin… kisi ko suna bhi nahi paati thi.. sanjana se kabhi kabhi baat kar leti.. mann halka ho jata uska…..
Aur fir ek din saloni delhi aayi.. rohit ka b’day tha agle din… vo shayad milna nahi chahti thi usse.. lekin ek achha din aur special din hone ka soch ke sab bhulaane ki koshish ki… un logo ne jaipur ka hi program banya.. aur saloni aur rohit jaipur ke liye chal pade.. saloni pehle bahut kai baar jaipur gayi thi .. chalet huye uske mann me kai baate aa rahi thi.. wahi puraane din.. jab vo mile the… hanste khelte se.. kisi baat ka gam nahi..
Bahut ache dhang se un logo ne celebrate kiya.. wapis aate huye fir se ek baat ne saloni ko sochne pe majboor kar diya…saloni ne bass kuchh shauk se
Bahut saare balloons room me sajaaye the… aur kuchh uske paas yu hi pade the.. jab jaane lage to rohit ne usse vo sab balloons maange ki ye tum mujhe de dena…. Uski ye baat bahut ajeeb lagi ki rohit ko balloons ki kya jarurat pad gayi… fir delhi aaker vo sanjana se mili kuchh der ko air fir rohit ke saath ghar ke liye nikal padi.. qki rohit ko bhi ussi taraf jana tha..
Fir achanak hi un logo ka program dharmshaala ka bana.. saloni nahi jana cxhahti thi.. ek vehem sa tha uske mann me ..pichhli 2 baar vo jab bhi gayi thi bahut darraar aayi thi unke relation me.. bina baat per taqrraar.. aur ab fir rohit dharmshaala jana chahta tha aur vo mana kar rahi thi… an anjana sa darr khaaye ja raha tha saloni ko

Aur aakhir vo log dharmshaala chale hi gaye.. ek khoobsoorat hill station… lekin mann me itna kasaav..aur saloni ke liye is baar yahaan aana saari umr ki judaayi de gaya rohit se… jo darr tha vo saamne hi aa gaya… us raat saloni ne fir rohit se shaadi ki baat ki.. rohit bahut anmane se mann se apni age ke bare me kehne laga …ki uski umr 40 ke around hai.. kya vo chaahegi apne se 15 saal bade aadmi se shaadi karna.. saloni ko ye baate sirf behlaane ka saamaan lag rahi thi.. q ki ye sab vo pehle se jaanti thi.. himmat karke sab khul ke baate ki.. aur achanak…
“I think… u r married… r u ?”
rohit ka chehra safed ho gaya tha… aankho me uljhan saaf nazar aayi saloni ko…
usne jawaab diya
“NO”
lekin ye kehne ke saath saath uske l;ehze me naagwaari saaf jhalak rahi thi ki vo jhoot bol raha hai…
aur yahin per un dono ka rishta hamesha ke liye toot gaya..
aaj un dono ki nizi zindgi me pehli baar saloni ne ek sawaal kiya tha… aur us sawaal ne hamesha ke liye dono ko alag kar diya… rohit apne jhoot ko chhupaane ki koshish kar raha tha ya khud ko bachaaane ki.. shayad dono hi.. jo dikhawa fwd hone,,, khuli soch hone ,,,, usne saloni ke saamne kiya tha.. vo khokhla sa lag raha tha..… uske jis dikhaawe ne saloni ko ek conservative ladki se, bold bana diya.. wahi rohit aaj apna muh chhupa raha tha.. saloni apne aapko bahut behtar samajh rahi thi usse… lekinn uska rohit door ho gaya tha usse… kiski galti thi ye….??? Subeh usne saloni ko bass per chada diya ghar ke liye… jahaan se dono ke raaste hamesha ke liye alag ho gaye..

bass me chadne ke baad saloni ne khidki se baahar jhaanka… rohit haath hila raha tha.. chehre per uske bhi udaasi thi.. aankho me sharm shayad.. ek dukh hoga shayad usse bhi… vo tab tak haath hilata raha jab tak bass aankho se ojhal nahi ho gayi…. Ye pal saloni kabhi nahi bhool paayi…. Vo aakhiri pal… waqt bhi cheeekh cheekh kar bol raha tha ki ab nahi mil paoge….

Saloni ghar aati hai.. lekin hazaaro tukdo me tooti hui…apne kamre me jaaker lait gayi saloni.. vo kisi se milna nahi chahti thi.. baat nahi karna chahti thi.. bass maa se baat ki aur thaki hone ka kehkar sone chali gayi…raat ko socha kuchh padh lu to mann behel jaayega… kuchh books lekar aayi thi sanjana se… bag se nikaalne lagi…. Aur jo usne dekha to mann cheekh utha uska… vo yakeeen nahi kar paayi ki rohit jaate jaate aisa karke jaayega… bag me se kuchh paise mile usse.. shayad kareeb 20 – 25 hazaar… ye kya keemat lagaayi usne meri ya meri dosti… saloni ke mann me jo raha saha pyaar tha rohit ke.. kuchh bachi izzaat aaj vo bhi mar gayi thi.. ye kaisi mrigtrishna ke peechhe bhaag rahi thi aaj tak.. vo paise usse muh chidaate se lag rahe the.. hazaaro bichhu ek saath dunk maar rahe ho jaise…

To be continued….


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...

Last edited by pallavi_here; 26th October 2005 at 02:42 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
26th October 2005, 02:51 PM

my dear frndz..
ab aapka thoda time lena chaahungi main... ek kahaani ek ahem mod pe aake ruk gayi hai.. jahaan saloni aur rohit hamesha ke liye alag ho chuke hain..fir kabhi na milne ke liye... aur agar jis tareh vo milenge ye aapko aage pata chal jaayega... lekin yahaan main aap logo ki raaye lena chaaahungi ki saloni kya kare ab... aur usse kya karna chahiye... jitne log honge , unke utne hi views.. main sirf ek soch deklhna chahti hu.. ki aisi haalat me insaan kya kare... mere jin frndz ne abhi tak is kahaani ko padha hai.. unhe sab kuchh pata hoga... saloni ki galityon ka bhi aur rohit ki over all persoanlity ka bhi.. saloni ne galtiyaan ki ya bhaawnaayo me behkar usse galtiyaan hui.. ya uski dosti hi ek galti rahi.. kuchh bhi hai.. aap jaante hi hain ab... main sirf ye jaanna chahti hu ki aapke khayal se saloni ab kya kare... qki vo is ghutan me ki koi uske saath aise kaise karsakta hai... uske vishwaas ke saath kaise khel sakta hai... uske swaabhimaan ko ek gehri chot lagi hai... shayad mann me ek badle ki bhaawna bhi aa gayi hai.. chaahe majboori me hi sahi.. anjaane hi sahi.. lekin ye bhaawna shayad saloni ke dil me hai ab..... is kaaahani me ab tak saath rahe aap... tahe dil se shukriya ada karti hu... aur pehli baar likhi hai koi kahaani... isliye perfection na hona laazimi hai... maaf kijiyega..

aap logo ki raaye ke intzaar me..
pallavi


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
komal5
Eyes and Dreams..
komal5 will become famous soon enoughkomal5 will become famous soon enough
 
komal5's Avatar
 
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
26th October 2005, 03:19 PM

Hie..pallavi
i was reading the story regularly...i must say u'v written very wel.
Congrats 4 tht..
Amongst all the chaps, i liked the last one a lot...the way u'v captured the mind of salony n the sequences of the story...really shakes the reader.

Now coming to ur question, wat i feel is salony should forget this nightmare of her life, coz living the past will only harm her, n her growth. Regarding her feelinhs for rohit, i know its diddicult 2 wipe it off comletely but its not imposible, beside is one thinks logically, Love grows after trust grows, N if there no Trust in a relation at all Love cant survive.

Just a simple question Saloni need 2 ask her self, "Will she be able to trust rohit again in life even if he comes back 2 her?" M sure She will get all answers.

gud job pallavi..it was a gud experience reading this post!
tc
komal


~a tender touch~

Last edited by komal5; 26th October 2005 at 03:27 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
26th October 2005, 09:26 PM

Dear Pallavi,

I read the story from begining... saloni ke saath bahut bura huya hai aur saloni ke liye uske past ko bhoolna mushkil hi nahi na-mumkin bhi ho sakta hai. par jiss kadar se usske swaabhimaan ko kuchla gaya hai iss dor se saloni ko apne past ko bhool kar aage aane ki koshish karni chaahiye, ho sakta hai saloni se galti huyi hai par galtiya hi insaan ko sabak sikhaati hai, par saloni iss galti ko phir se dohraaye to usse galti nahi par bewakoofi kaha jaata hai... saloni seems very brave and intellegent girl as you described in story, so she must understand and take a step up on her future. rohit ne jo kiya aur usse badla lene ki bhaavna saloni ke mann mein ho yeh swabhaavik hai par jaroori nahi, saloni ko inn sab baaton se bahaar nikal ke apne career ke baare mein sochna chaahiye... by the way story was very well written and perfectly explained... take care!!!

   
Reply With Quote
Old
  (#32)
raj fir se solo
Registered User
raj fir se solo is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Oct 2005
Location: pune
Rep Power: 0
Thumbs up 26th October 2005, 09:38 PM

pallo..... bahut hi simple way me bahut hi sulhji hui kahani bayaan kiya hai tumne, n fabulous use of words, isliye bahut asani hoti hai yaad karne me poori kahani, jaise aankhon ke saamne aajati hai ek sath. main sirf apne suggestions de raha hu saloni ke baare me, (yehi sochke ki agar main hota saloni ke jagah pe). saloni ki aashayein to bahut bade hai, pehle se hi, aur unko paane ki jo struggle hai, vo bhi bahut brave hai, lekin saloni ki jo paana hai apna aim, shayad kuch time keliye uske aankhon ke saamne se fade hua tha, shayd rohit ke aane se, aur bahut kuch badh bhi gaya tha rohit ke aane se, dono hi reasons hai rohit ke uske life me aane se. aur saloni ka jo aim hai(tha isliye nahi keh raha hu ki abhi bhi vo koshish jaari hai) agar rohit na hota to ab tak poori bhi ho chuki hoti, lekin, uski anjaane me hui thodi si galatiyan n thoda sa depend rohit pe hona, n expecteation rakhna,(shayad achhe dosti ka, us se aage achhe pyar ka, n sath sath apne aim poora karne me rohit ke sath ka),in teeno me kho si gayi vo ek time me, isliye saloni ko apna jo lakshya(aim) thoda sa fade hota hua nazar aaya. ab saloni ko pehle jo usne pehle socha tha shuru me, us se kahi jaada aage jaake apna lakshya kaayam karna hoga, ek apne self respect keliye , aur doosra rohit ko uske galatiyon keliye. ( main saja nahi kahunga, kyun ki shayad saloni bhi un galatiyon me shamil thi kahi na kahi, shayad uska expectation) agar sach me apne jakhmo ko bharna chahti hai saloni, to apne aap ko bhut jaada majboot karna hi hoga, kais bhi kar ke( haan main bhi jaanta hoon ki vo bhi ek insaan hi hai, jitna asaani se main keh raha hoon, utna asaan bhi nahi uskeliye, ya kisi keliye bhi) l lekin, yeh bhi utna hi sach hai ki jab tak apne jhakmon ko apna hatiyaar nahi banaayegi saloni, tab tak apna lakshya bhi uske liye ek asaan nahi hai,(agar main hota to shayd mera yehi step hota), hope saloni apni ye khud se shuru hui struggle aage bhi jaari rakhegi, n vo apne is aim me kaamyaab bhi hogi, my heartly wishes r wid her, n god bless her.......


a loyal stranger!
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
28th October 2005, 05:22 PM

Pallavi,

Kya Kahoon?
Apne vichar likhna nahi chahta...
Kyunki Rohit se ghrina ho rahi hai...

Saloni ke liye to mann mein yehi khayal aa raha hai...

Mein chahunga woh is dukh se ubhre... zindagi mein aage badhe... aur har mushkil ka samna kare... woh IAS officer banne.. aur is pureh incident mein ek baat yaad rakhe... usne koi galti nahi ki... to usse sazaa apne aap ko nahi deni chahiye.... kyunki usne aisa kuch nahi kiya jiska usse apsos hona chahiye....

Jab kabhi zindagi mein Rohit Saloni ko dekhega.. aur agar Saloni ki aankhon mein sankalp dekhega.. to uski aankhein khud sharam se jhuk jaayengi... aur woh Saloni ke samne khada nahi ho paayega...
Saloni se kaho ki usse apne sapno ko pura karna chahiye...

Aur jo 20-25 hazaar rupaiye Rohit ne diye the Sambhaal kar rakhe... kyunki woh har pal usse yaad dilayega ki kitna gir sakta hai koi insaan... aur woh phir kabhi apne zindagi mein dagmagayegi nahi....

Rahi baat Rohit ki.. to Saloni jaanti hai Rohit kya hai...
Agar ho sake to Rohit ki Patni ko bhi bata de Rohit kya hai...
Kyunki Rohit nahi na kahin uski bhi zindagi barbaad kar raha hai...
N.jaane aur kitno ki karega...
Yeh sab karne ke liye Saloni ko himmat aur saahas ki zaroorat hai... ummed hai woh himmat jutayegi....

Hum sab dost hai uska saath dene ke liye... magar til til ke marna galat baat hai... jaanta hoon dukhi ho rahi hai... bahut udaas bhi hogi... magar usne galat kuch nahi kiya... isliye usse yeh sazaa apne aap ko nahi deni chahiye...

Baaki to upar waale ke haath mein hai... jisne bura kiya hai.. woh bhuktega... aur zaroor bhuktega... varna shayad jo mera bacha kucha vishwaas hai bhagwan par... woh bhi khatam ho jaayega...

Pallavi... itni bhav purn kahani (Isse kahani kehna acha to nahi lag raha kyunki yeh ek kahani se kaafi jyada hai) humare samne laane ke liye shukriya.... tahe dil se aabhari rahoonga Saloni se milane ka.... Saloni ko kehna hum sab uske saath hai....

Take Care
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts

Last edited by Rohin; 28th October 2005 at 05:27 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
28th October 2005, 07:00 PM

Hi Partner,

Must say.. a really beautiful effort....Started reading it.. just cud not stop myself form reading till the last chapter posetd.....!

Really loved it... looking forward to read more.... thanks for letting me know abt this.... Do keep writing.. TC


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#35)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
28th October 2005, 07:14 PM

Partner,

Rohit, obviously was wrong.. He did cheat Saloni, played with her. Saloni ki bhi galti thhi... She shud have realised that Rohit is that elder to him, shud have know more about him. Spending 5 years in a relationship without knowing much about the person...

Agreed, the age in which she met Rohit, was the age where one gets fascinated and inspired easily. Rohit very smartly kept on influencing her.

Saloni, now has to move on in life. She shud make herself busy in her institute, its management. Ther's no point pondering over what has happened and keep crying. One shud always be positive, Things cud have been worse... What if her family and relatives came to know about Rohit... Things wud have been really really bad...

Regarding the money, she shud throw it back to Rohit. She's a girl who has lived with her self-respect and if she accepts this, it wud always keep on pinching her somewhere....When she didnt accept the money when her father was sick.. why sud she take it now?

Saloni shud move on, taking it s a lesson, leaving evrything behind... Kisi aise insaan ke liye zindagi rukni nahi chaahiye.... She shud learn t live happily....Coz that wud be the best answer to Rohit.... Why shud she ruin her life bcoz of him? Its her life... She has to live it in her way..... That wud be the best revenge....

She shud simply forget him... I think agar aapke mann me duhsmani ke bhi ehsaas hain.... ehsaas to hain naa... if she simply tries to forget all he has done... Thats wud be the biggest slap on his face....He will naver be able to look into her eyes or hsi own eyes for that reason.


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai

Last edited by Pulkit_gupta; 28th October 2005 at 07:17 PM..
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#36)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
29th October 2005, 12:25 AM

dear komal, parul, raj, rohin & partner
aap sabhi ke replies dekh kar aur aapka views dekh kar sach me laga ki saloni akeli nahi hai... aur main bhi akeli nahi yahaan...aapko alag alag jawaab dena chahungi... thoda waqt dijiye mujhe... lekin aap sabhi ka bahut bahut shukriya bass yu hi saath rahiye.... abhi is kahaani ke agle padaaw ko shuru karte hain... aap logo ke views ka hamesha intzaar rahega... kyonki main yahi jaanna chahti hu ki kon kis nazariye se sochta hai...taaki sab mil ke saloni ki perfectly help kar sake...
aap sabhi ko diwaali ki dher saari shubhkaamnaaye de rahi hu... wish this diwaali brings all the happiness & prosperity to your life..just enjoy this diwali & its beautiful glowing nite wth ur family & frnds...is padaaw ke shuruaati 2 parts likhne ke baad next diwaali ke baad hi post kar paungi.. maaf kijiyega...
aur fir se tahe dil se shukriya aap sabhi ka jo log visible saath hain unka bhi.. aur jo log invisible mode me hain..unka bhi
aapki
pallavi


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#37)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
29th October 2005, 12:27 AM

Saloni kuchh din tak khud ko is gam se ubaarne ki koshish karti rahi. Rohit ki rahi sahi izat bhi usko aankho se hat chuki thi.lekin fir kyon? Kyon yaad aate the vo sunehre pal.. shayad insaani dimaag ichhaao se kitna majboor hota hai. Reh reh ke khoobsoorat lamhe usse yaad aate hain, ye jaante huye bhi ki fir kabhi laut kar nahi aayenge ye pal.. yaad kehte hain inko..sirf yaad karne ke liye aur fir uske diye gamo ko compare karne ke liye.. aur fir zaar zaar rone ke liye… bass yahi reh gaya tha saloni ki zindgi me jaise.. lekin ab rohit ke liye kam se kam pyaar nahi tha.. sirf nafrat thi kahin…aur shayad ye nafrat hi reh reh ke yaad dilaati thi uski…shayad apne is jakhm ko vo khud hi bharna nahi chah rahi thi..ki uske dard uski gehrayi ka ehsaas hota rahe usse… saloni ko in dino sanjana ki bahut yaad a rahi thi…kuchh books lene ke liye vo 1 mahine baad delhi aayi to usse mili.. aisa nahi tah ki unki bat hi nahi hoti thi.. aksar ph. Pe baat hua karti thi… aur saloni aur sanjana hamesha ek baat pe hansa karte the… saloni kai baar ph. Karti aur sanjana ke ph. Receive karte hi basss… rone lagti..non stop… aur fir sanjana usse kya kya keh ke samjhaati.. usko boost karti… fir saloni chup hoti bahut der baad.. relax hoti… sanjana relax hoti thi khud saloni ko relax dekh ke.. vo samjhti thi uske dukh ko bahut behtar..shayad koi aur nahi jaanta tha ye sab…
Saloni sanjana se mili… kuchh halki fulki baate hui… fir…
“tumne rohit se baat ki?”
“rohit se ab kabhi baat nahi hogi sanjana”
“sach kya us din itna seriously break up hua saloni?”
“haan…everything is over…. But”
“but what?”
“but he left many questions sanajna.. mujhe aj tak nahi pata whther he is married or not. I knw he is.. but still I want to knw everything.. I m feeling like exposing him..tht wht he has done to me.. & if he is married.. he is cheating his wife too..”
“hmmm….uska ph. Nahi aaya uske baad?”
“uska kuchh saamaan tha mere paas… vo bhej dya maine…”
then saloni told her about the money he dropped… sanjana ki aankho me duniya bhar ki nafrat a gayi. Ye sunte hi….
“how dare heeeee????? Vo itna cheap hoga..i didn’t think even saloni…. Ohh goddd… kis baat ke paise dekar gaya hai vo?”
“sanjana.. maine vo bhej diye hain usse”
“kaise?”
“courier”
“whtttt???? Tum paagal to nahi ho gayi saloni.. tumne courier se bheje? Bewkoof ladki.. fir to pahunch gaye vo paise uske paas…”

“well…. Pahunch gaye hain sanjana aur waise bhi usko maine ek local courier ke through bheja hai… achhi taeh se packed..lagta nahi usme paise honge.. & other thing uske upper ek officer ka official address hai… its confidential.. courier waale hi kaha tha ki ye confidential hai…nobody was going to open that. … aur fir kuchh din baad ghar ke ph. Pe rohit ki calls aayi thi.. some blank calls.. I knew it ws rohit only… usse vo mil chuke hain.. tabhi usne call kiya.. otherwise usne kabhi call nahi karna tha ab.”
“hmmm…may be but saloni…. Kya tum rohit ko bhool gayi ho? Ya bhool paogi?”

“kabhi nahi sanjana… its not possible for me…chaahe kuchh bhi ho.. ek achha waqt bhi saath guzara hai humne.. usne jo kiya .. vo bahut bura kiya.. uske liye kabhi maaf nahi kar sakti usse main…maine usse nahi khoya.. usne mujhe khoya hai.. uski jo age hai… aur agar uski wife nahi hai.. to it was me who was ready to marry.. who loved him like anything…. He wont get any other gal… mujhe to bahut ladke mil jaayenge sanjana.. aur shayad rohit se kahin jaada behtar.. loyal…jo khoya hai usne khoya hai… maine nahi… lekin sirf ek baat chahti hu main.. ki usse realize ho.. ki usne galat kiya hai.. he is wrong…vo kehta hai..kuchh galat nahi hua… he did nothing wrong… sanjana.. main sirf usse realize karwana chahti thi.. main uske bare me 6 saal me apna banaake ke pooch nahi paayi.. sirf ye sochke ki vo mera apna hai.. bharosa tha uspe.. lekin ab by hook & crook.. I just want to know everything about him..”

“hope u come to about him soon.. lekin saloni koshish karo ki bhool jao sab kuchh.. sirf ape carreer per dhyaan do..”
“ya I ‘ll..”
kucchh masti ki unhone.. baahar ghoomne gaye thodi der aur fir agle din saloni wapis ghar chali aayi..
yahaan salni institute ko bahut achhi tareh se run kar rahi thi.. lekin sayad mushkilo ne uska daaman na chhodne ki kasam kha li ho..ussi ka ek colleague .. jo kabhi uske saath padha tha.. aakaash… ek IIT engg… bahut talented…brilliant…salni ki bahut madad ki usne.. institute ka base banaane me aakaash uska right hand tha… aur saloni ka institute bhi aakaash ke instiute me hi run kar raha tha… IITian hote hote bhi aakaash us chhote se sheher me entrance ko coaching deta tha… ye saloni kabhi samajh nahi paayi..lekin ek ehsaas tha saloni ko ki aakaash usse pyaar karta hai… bahut pehle… jab rohit se break up nahi tha.. to usne kuchh indication di thi aakaash ko ki vo kisi aur ko pasand karti hai.. vo ek officer hai… bass itna hi.. saloni jaanti thi ki aakaash itna brilliant aur determined hai ki vo IAS clear kar sakta hai saloni ko pane ke liye… lekin vo isi baat pe rahi ki vo kisi aur ko pasand karti hai…
aur ab jab saloni ghar wapis aa gayi.. uska institute chal gaya.. classes start hi hui thi bass ki aakaash usse ab roz kehne laga …shaadi ke liye
saloni abhi ek gam se ubar nahi paayi aur ab doosri musibat…
aisa nahi ki aakaash achha ladka nahi tha.. lekin vo usse us nazar se kabhi dekhti hi nahi thi… aur usse shaadi ke bare me bhi nahi socha kabhi usne…lekin dheere dheere aaakaash ki harkate saloni ki jaan lene lagi…vo har waqt bass ek hin dhun me rehta ki shaadi karni hai.. prob kya hai.. agar parents maan jaaye to koi prob nahi… saloni ka jeena dushwaar sa ho gaya…
ye waqt kaise imtihaan le raha hai uske…. Ab saloni aakaash ko bilkul naapasand karne lagi… aur usse saaf saaf mana kar diya ki vo usse shaadi karna hi nahi chahti aur na hi karegi… is bare me aakaash kabhi na soche aur na hi baat kare…..
lekin us din shaam ko jo hua.. saloni usse ek baar fir toot gayi…

to be continued…


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#38)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
29th October 2005, 01:43 PM

Quote:
Originally posted by komal5
Hie..pallavi
i was reading the story regularly...i must say u'v written very wel.
Congrats 4 tht..
Amongst all the chaps, i liked the last one a lot...the way u'v captured the mind of salony n the sequences of the story...really shakes the reader.

Now coming to ur question, wat i feel is salony should forget this nightmare of her life, coz living the past will only harm her, n her growth. Regarding her feelinhs for rohit, i know its diddicult 2 wipe it off comletely but its not imposible, beside is one thinks logically, Love grows after trust grows, N if there no Trust in a relation at all Love cant survive.

Just a simple question Saloni need 2 ask her self, "Will she be able to trust rohit again in life even if he comes back 2 her?" M sure She will get all answers.

gud job pallavi..it was a gud experience reading this post!
tc
komal
]

dear komal...
u knw wht.. i just asked for the views & a few mins later .. i got ur reply.. it was great to c ur reply dear.. gave me a new enthu..
& ya u r very rt komal.. saloni will get her ans herslf. if rohit comes bak to her.. will she be able to accept him? & by reading this story everybody knws her ans... & ur words were relaxing. su[pporting dear luvd to c u with saloni hope i 'll c u in future too

take care


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#39)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
29th October 2005, 01:46 PM

Quote:
Originally posted by Parul
Dear Pallavi,

I read the story from begining... saloni ke saath bahut bura huya hai aur saloni ke liye uske past ko bhoolna mushkil hi nahi na-mumkin bhi ho sakta hai. par jiss kadar se usske swaabhimaan ko kuchla gaya hai iss dor se saloni ko apne past ko bhool kar aage aane ki koshish karni chaahiye, ho sakta hai saloni se galti huyi hai par galtiya hi insaan ko sabak sikhaati hai, par saloni iss galti ko phir se dohraaye to usse galti nahi par bewakoofi kaha jaata hai... saloni seems very brave and intellegent girl as you described in story, so she must understand and take a step up on her future. rohit ne jo kiya aur usse badla lene ki bhaavna saloni ke mann mein ho yeh swabhaavik hai par jaroori nahi, saloni ko inn sab baaton se bahaar nikal ke apne career ke baare mein sochna chaahiye... by the way story was very well written and perfectly explained... take care!!!

ya u r very rt dear parul .. she is quite brave & intelligent.. aur usse achha sabak bhi mila hai.. lekin abhi bhi keh nahi sakte ki ye uski galti thi.. ya bhaawnaayo ka zor....aur tum bilkul sahi ho ..usse agar apne future ke baare me socha hai to vo sab bhoolna hi padega... ek bure sapne ki tareh...& thanx for liking the story dear
umeed hai agle padaaw me bhi saath hogi tum mere
khayaal rakhna apna


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#40)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
29th October 2005, 01:49 PM

Quote:
Originally posted by raj fir se solo
pallo..... bahut hi simple way me bahut hi sulhji hui kahani bayaan kiya hai tumne, n fabulous use of words, isliye bahut asani hoti hai yaad karne me poori kahani, jaise aankhon ke saamne aajati hai ek sath. main sirf apne suggestions de raha hu saloni ke baare me, (yehi sochke ki agar main hota saloni ke jagah pe). saloni ki aashayein to bahut bade hai, pehle se hi, aur unko paane ki jo struggle hai, vo bhi bahut brave hai, lekin saloni ki jo paana hai apna aim, shayad kuch time keliye uske aankhon ke saamne se fade hua tha, shayd rohit ke aane se, aur bahut kuch badh bhi gaya tha rohit ke aane se, dono hi reasons hai rohit ke uske life me aane se. aur saloni ka jo aim hai(tha isliye nahi keh raha hu ki abhi bhi vo koshish jaari hai) agar rohit na hota to ab tak poori bhi ho chuki hoti, lekin, uski anjaane me hui thodi si galatiyan n thoda sa depend rohit pe hona, n expecteation rakhna,(shayad achhe dosti ka, us se aage achhe pyar ka, n sath sath apne aim poora karne me rohit ke sath ka),in teeno me kho si gayi vo ek time me, isliye saloni ko apna jo lakshya(aim) thoda sa fade hota hua nazar aaya. ab saloni ko pehle jo usne pehle socha tha shuru me, us se kahi jaada aage jaake apna lakshya kaayam karna hoga, ek apne self respect keliye , aur doosra rohit ko uske galatiyon keliye. ( main saja nahi kahunga, kyun ki shayad saloni bhi un galatiyon me shamil thi kahi na kahi, shayad uska expectation) agar sach me apne jakhmo ko bharna chahti hai saloni, to apne aap ko bhut jaada majboot karna hi hoga, kais bhi kar ke( haan main bhi jaanta hoon ki vo bhi ek insaan hi hai, jitna asaani se main keh raha hoon, utna asaan bhi nahi uskeliye, ya kisi keliye bhi) l lekin, yeh bhi utna hi sach hai ki jab tak apne jhakmon ko apna hatiyaar nahi banaayegi saloni, tab tak apna lakshya bhi uske liye ek asaan nahi hai,(agar main hota to shayd mera yehi step hota), hope saloni apni ye khud se shuru hui struggle aage bhi jaari rakhegi, n vo apne is aim me kaamyaab bhi hogi, my heartly wishes r wid her, n god bless her.......
dear raj..
jis tareh se aapne reply kiya hai.. aisa laga jaise aapne bahut soch samajh ke.. gehraayi se apna view diya hai.. itna concernd hoker... realy nice to c such a support& valuable viewpt..
& thanx for ur wishes raj... kahaani ko pasamnd karne ke liye bhi behad shukriya.. aage bhi apko dekhna chahungi...
dhyaan rakhiyega apna


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
humari adhoori kahani flirtz.amit Shayri-e-Dard 0 9th September 2008 03:56 PM
humari adhoori kahani flirtz.amit Shayri-e-Dard 0 9th September 2008 03:53 PM
humari adhoori kahani flirtz.amit Shayri-e-Dard 0 8th September 2008 11:36 AM
Adhoori Kahani!!!! karthik Shayri-e-Dard 8 4th October 2005 07:17 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com