Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 10 votes, 5.00 average. Display Modes
Shikwa - By Iqbal
Old
  (#1)
gjgjgj
Guest
 
Posts: n/a
Thumbs up Shikwa - By Iqbal - 8th October 2001, 06:16 AM

Pyaare doston,

This is the seminal work by Iqbal. "Shikwa" . This was followed by another beautiful piece by him called "Jawab-e-Shikwa"
In this poem he is complaining about his lot to the almighty.
In Jawab, he gets all his replies. This stuff is real good and i was looking for this for the past 2 months.. Finally found it . So here it is .......




kyoN ziaN-kar banooN, sood faramosh rahooN?
fikr-i farda na karooN, mehv-i gham-i dosh rahooN?

ziaN=loss; sood=benefit; farda=tomorrow; mehv=preoccupied.

naalay bulbul kay sunooN, aur humhatan gosh rahooN?
humnava! meiN bhi koee gul hooN kay khamosh rahooN?

naala=complaint; humhatan=totally; gosh=ears; humhatan gosh=all ears

jurr'at aamoz meri taab-i sukhan hai mujh ko
shikvah allah se "khaakum badahan" hai mujh ko

aamoz=one who or that which teaches; khaakum badahan=meray mooN meiN khaak.

hai baja shaivah-i tasleem meiN mashhoor haiN hum
qissa-i dard sunaataiN haiN keh majboor haiN hum

saaz-i khamosh haiN, faryaad say ma'moor haiN hum
naala aata hai agar lab pay, tto ma'zoor haiN hum

saaz=mus. instrument; ma'moor=replete, full; naala=faryaad, complaint.

ai khuda! shikvah-i arbaab-i wafa bhi sun lay
khoo-gar-i hamd say thoRa sa gilla bhi sun lay

arbaab=plural of rab--owner; khoo=habit.

thee tto maujood azal say hee teri zaat-i qadeem
phool tthay zaib-i chaman, par na paraishaN tthee shameem!

azal=eternity; shameem=khushboo.

shartt insaaf hai ai sahib-i altaf-i 'ameem
boo-i gul phailti kis tarah jo hoti na naseem?

altaf=plural of lutf; naseem=gentle wind of the preceding night; ameem=sub ko
g-hairnay vaala.

hum ko jamiat-i khatir yeh pareshaani tthee
varna ummat tteray mehboob (SAW) ki, devaani tthee?

khatir=heart.

hum say pehlay tha 'ajab tteray jahaaN ka manzar
kaheeN masjood tthay pathar, kaheeN ma'bood shajar

masjood=one who is worshipped; ma'bood=one who is worshipped.

khoo-gar-i paykar-i mehsoos tthee insaaN ki nazar
maanta phir koee un-daikhay khuda ko kyoN-kar?

khoo=habit; paykar=face

tujh ko maa'loom hai laita ttha koee naam ttera?
qoowat-i baazo-i muslim nay kiya kaam ttera!

bus rahay tthay yaheen saljooq bhi, ttoorani bhi
ahl-i cheeN cheen meiN, iran meiN sasaani bhi

is ma'mooray meiN aabad tthay unaani bhi
issi dunya meiN yahoodi bhi tthay, nasraani bhi

ma'moora=dunya; nasraani=Christians.

par teray naam pay talwar uThai kis nay?
baat jo bigRi tthee, vo banaaee kis nay?

tthay hameeN aik tteray maa'rkah-aaraoN meiN
khushkiyon meiN kabhi laRtay, kabhi maidaanoN meiN

aara=suffix for one who sustains.

deeN azaanaiN kabhi europe kay kaleesaoN mein
kabhi afreeqa kay ttaptay hua sehraaoN mein

kaleesa=church.

shaan aankhoN meiN na jachti tthee jahaaN-daaroN ki
kalma paRhtay tthay hum chhaaoN meiN talwaaroN ki

jahaaN-daar=king.

hum jo jeetay tthay, tto jangoN ki museebat kay liyay
aur martay tthay teray naam ki azmat kay liyay

tthee na kuchh taigh-zani apni hukoomat kay liyay
sar-ba-kuff phirtay tthay kya dehr meiN daulat kay liyay?

taigh=sword; taigh-zani=battle; sar-ba-kuff=head on hand, i.e., ready to die;
dehr=time, this world.

qaum apni jo zar-o maal-i jahaaN par marti
butt-faroshi kay 'aivuz butt-shikani kyoN karti?

farosh=suffix for seller, butt-shikan=iconoclast (literally).

Tull na suktay tthay, agar jang meiN aR jaatay tthay
paaoN sheroN kay bhi maidaaN say ukhaR jaatay tthay

sher=Richard, The Lion Heart? :-)

tujh say sarkash hua koi tto bigaR jaatay tthay
taigh kya cheez hai, hum tto ttop say laR jaatay tthay

taigh=sword.

naqsh tauheed ka har dil pay biThaaya hum nay
zair-i khanjar bhi yeh paighaam sunaaya hum nay

ttoo hee keh dday keh ukhaRa dar-i khaibar kis nay?
shehr qaisar ka jo tha uss ko kiya sar kis nay?

ttoRay makhlooq-i khuda-vand kay paykar kis nay?
kaaT kar rakh diyay kuffaar kay lashkar kis nay?

paykar=face, meaning idol.

kis nay ThanDa kiya aatish-kadah-i iraN ko?
kis nay phir zinda kiya tazkira-i yazdaaN ko?

aatish-kadah=Zoroastrian temple, yazdaaN=God

kaon see qaum faqat teri talab-gar huee?
aur teray liyay zehmat-kash-i paykar huee?

kis ki shamsheer jahaaN-geer, jahaaN-daar huee?
kis ki takbeer say dunya tteri bay-ddaar huee?

shamsheer=sword, jahaaN-gir=conqueror of the world, jahaaN-dar=king

kis ki haibat say sanam sehmay huay rehtay tthay!
mooN kay bal gir kay "ho-allah-ul ahad" kehtay tthay

aa gaya 'ain laRaee agar waqt-i namaaz
qibla roo ho kay zameeN-bos huee qaum-i hijaaz

zameeN-bos=in sijda; hijaaz=part of Arabia

aik hee saff maiN khaRay ho gayay mehmood-o ayaaz
na koee banda raha na koee banda-nawaaz

banda=slave; banda-nawaaz=master

banda-o saahab-o muhtaaj-o ghani aik huay
teri sarkar meiN puhNchay tto subhee aik huay


mehfil-i kon-o makaaN meiN sehr-o shaam phiray
mai'-i ttauheed ko lay kar sifat-i jaam phiray

kon-o makaaN=dunya; mai'=wine; jaam=cup, goblet.

koh meiN, dasht meiN, lay kar tera paighaam phiray
aur maa'loom hai tujh ko kabhi na-kaam phiray?

koh=mountain; dasht=desert.

dasht tto dasht haiN, darya bhi na choRay hum nay
behr-i zulmaat meiN dauRa diyay ghoRay hum nay

behr-i zulmaat=Atlantic Ocean, reference is to the conqueror of Morocco,
who took his horses to the beaches of the Atlantic ocean.

safha-i dehr say baatil ko miTaaya hum nay
nau'-i insaaN ko ghulaami say chhoRaaya hum nay

baatil=evil; nau'=kind; nau'-i insaaN=mankind.

tteray ka'bay ko jabeenoN se basaaya hum nay
tteray qur'an ko seenoN say lagaaya hum nay

jabeen=forehead.

phir bhi hum say gilla hai kay wafaa-ddar naheeN
hum tto wafaa-ddar naheeN, ttoo bhi tto ddil-ddar naheeN

dil-ddar=one who consoles.

ummataiN aur bhi haiN, un maiN gunah-gaar bhi haiN
ijz valay bhi haiN, must-i mai'-i pindaar bhi haiN

ijz=modesty; mai'=wine; pindaar=pride, conceit.

un meiN kaahil bhi haiN, ghafil bhi haiN, hushyaar bhi haiN
saikRoN haiN keh tteray naam say bay-zaar bhi haiN

rehmataiN haiN teri aghyaar kay kashanoN par
barq girti hai tto bay-chaaray musulmaanoN par

aghyaar=pl. of ghair, others; kashana=abode; barq=lightning.

butt sanam-khaanoN meiN kehtay haiN musulmaan gayay
hai khushi un ko kay ka'bay kay nigehbaan gayay

sanam-khaana=temple.

manzil-i dehr say ooNtoN kay hadi-khwaan gayay
apni baghloN meiN dabayay huay qur'an gayay

hadi=song of Arab camel drivers.

khandah-zan kufr hai, ehsaas ttujhay hai keh naheeN?
apni tauheed ka kuchh paas ttujhay hai kay naheeN?

khanda=laughter; paas=care.

yeh shikayaat naheeN, haiN un kay khazaanay maa'moor
naheeN mehfil meiN jinhaiN baat bhi karnay ka sha'oor

ma'moor=overflowing; sha'oor=understanding.

qehr tto yeh hai keh kaafir ko milaiN hoor-o qasoor
aur bay-chaaray musulmaaN ko faqat vaadah-i hoor

hoor=beautiful woman (of heaven); qasoor=pl. of qasr, palaces.

ab vo altaf naheeN, hum pay 'inayaat naheeN
baat yeh kya hai keh pehli see madaaraat naheeN?

altaf=pl. of lutf; madaaraat=favors;

kyoN musulmaanoN meiN hai daulat-i dunya nayaab?
tteri qudrat tto hai voh jis ki na hadd hai na hisaab

nayaab=uncommon, rare.

ttoo jo chahay tto uThay seena-i sehra say hubaab
rehroo-i dasht ho seeli-zada-i mauj-i saraab

sehra=desert; hubaab=bubble of water; rehroo=traveller; dasht=desert;
seeli=slap; saraab=mirage.

tta'an-i aghyaar hai, rusvaaee hai, na-ddaari hai
kya tteray naam pay marnay ka 'aivaz khwaari hai?

tta'an=sarcasm; aghyaar=others; nadaari=poverty; 'aivaz=reward;

bani aghyaar ki ab chahnay vaali dunya
reh gaee apnay liyay ik khayaali dunya

hum tto rukhsat huay, auroN nay sunbhaali dunya
phir na kehna huee ttauheed say khaali dunya

hum tto jeetay haiN keh dunya meiN ttera naam rahay
kaheeN mumkin hai keh saaqi na rahay, jaam rahay?

saaqi=one who serves wine; jaam=wine.

teri mehfil bhi gaee, teray chahnay-vaalay bhi gayay
shab ki aahaiN bhi gaeeN, subh kay naalay bhi gayay

dil ttujhay dday bhi gayay, apna silla lay bhi gayay
aa kay baiThay bhi na tthay, nikaalay bhi gayay

silla=reward;

aayay ashshaaq, gayay waadah-i farda lay kar
ab unhaiN doonDh chiraagh-i rukh-i zaiba lay kar

ashshaaq=lovers; farda=tomorrow; zaiba=beautiful.

dard-i laila bhi vohee, qais ka pehloo bhi vohee
najd kay dasht-o jabal meiN rum-i aahoo bhi vohee

qais=majnooN; najd=part of Arabia; jabal=mountain; rum=fear; aahoo=harm.

ishq ka dil bhi vohee, husn ka jadoo bhi vohee
ummat-i ahmed-i (SAW) mursil bhi vohee, ttoo bhi vohee

mursil=prophet, rasool is from the same root.

phir yeh azurdgi-i ghair-i sabab kya maa'ni?
apnay sheedoN pay yeh chashm-i ghazab kya maa'ni?

azurda=unsatisfied; sabab=cause; sheeda=lover; chashm=eye; ghazab=calamity,
anger.

tujh ko chhoRa keh rasool-i arabi ko chhoRa?
butt-gari paisha kiya? butt-shikani choRa?

ishq ko, ishq ki ashufta-sari ko choRa?
rasm-i salman-o avais-i qarni ko choRa?

ashufta-sari=deevaan-gi; rasm=rite.

aag takbeer ki seenoN meiN dabi rakhtay haiN
zindagi misl-i bilaal-i habshi rakhtay haiN

misl=example; habshi=negro.

ishq ki khair, voh pehli see addaa bhi na sahee
jaadah paimaee tasleem-o razaa bhi na sahee

jaadah=way, path;

muztarib dil sifat-i qibla-numa bhi na sahee
aur pabandi-i aaeen-i wafaa bhi na sahee

muztarib=restless; numa=dikhaanay vaala.

kabhi hum say kabhi ghairoN say shanaasaaee hai
baat kehnay ki naheeN ttoo bhi tto harjaaee hai

shanaasaaee=friendship; harjaaee=unfaithful.

sar-i faraaN pay kiya deen ko kaamil ttoo nay
ik ishaaray meiN hazaaroN kay liyay dil ttoo nay

aatish-andoz kiya ishq ka haasil ttoo nay
phooNk ddee garmi-i rukhsaar say mehfil ttoo nay

aatish-andoz=destroyed by fire; rukhsaar=cheek; mehfil=beauty.

aaj kyoN seenay meiN hamaaray sharar abaad naheeN?
hum vohee sokhta samaaN haiN tujhay yaad naheeN?

sharar=fire; sokhta=burnt.

vaadi-i najd meiN voh shor-i salaasil na raha
qais devaana-i nazzaara-i mahmil na raha

najd=part of Arabia; salaasil=pl. of silsila; mahmil=carriage on a camel
(Laila's).

hoslay voh na rahay, hum na rahay, ddil na raha
ghar yeh ujRa hai keh ttoo raunaq-i mehfil na raha

ai khush-aaN roz keh aaee-o basad naaz aaee ???????
bay-hijaabana soo-i mehfil-i mabaaz aaee ???????


baada-kash ghair haiN gulshan maiN lub-i joo baiThay
suntay haiN jaam ba-kuff naghma-i kookoo baiThay

baada=wine; kash=suffix for drinking; lub=lip; joo=stream; jaam=goblet;
kuff=palm; kookoo=song of the dove.

ddoor hungaama-i gulzaar say yuk-soo baiThay
tteray deevanay bhi haiN muntazir-i hoo baiThay

gulzaar=garden; yuk-soo=on one side, ostracized; hoo=God (in sufi terminology).

apnay parvaanoN ko phir zauq-i khud-afrozi dday
barq-i ddaireena ko farmaan-i jigar-sozi dday

afroz=bright, shining; barq=lightning; ddairaina=erstwhile; farmaan=imperial
command; soz=suffix for fire.

qaum-i aavara 'inaaN-ttaab hai phir soo-i hijaaz
lay uRa bulbul-i bay-par ko mazaaq-i parvaaz

'inaan=rein; ttaab=shining; soo=direction; hijaaz=part of Arabia;
mazaaq=saleeqa.

muztarib baagh kay har ghunchay meiN hai boo-i niyaaz
ttoo zara chhaiR tto dday, tishna-i mizraab hai saaz

muztarib=restless; ghuncha=flowerbud; niyaaz=wish; tishna=thirsty; mizraab=ring
for plucking a sitaar; saaz=musical instrument.

naghmay bay-ttaab haiN taaroN say nikalnay kay liyay
ttoor muztar hai issi aag meiN jalnay kay liyay

ttoor=mountain; muztar=in anguish; restless.

mushkilaiN ummat-i marhoom ki aasaaN kar dday
mor-i bay-maaya ko hum-dosh-i sulaimaN (PBUH) kar day

bay-maaya=poor, destitute; dosh=shoulder.

jins-i nayaab-i muhabbat ko phir arzaaN kar dday
hindd kay dair-nasheenoN ko musulmaaN kar dday

jins=kind, category; nayaab=uncommon, rare; arzaaN=cheap; dair-nasheeN=temple
worshipper, probably the Indian muslim.

joo-i khooN mee chakad az hasrat-i ddaireena-i maa
mee ttapadd naalah ba-nishtar-kada-i seena-i maa!

Persian. joo=stream; ddaireena=erstwhile; nishtar=lancet; I don't understand it.

boo-i gul lay kay gaee bairoon-i chaman, raaz-i chaman
kya qayamat hai keh khud phool haiN ghummaaz-i chaman

bairoon=outside, exterior; chaman=garden; ghummaaz=backbiter.

'ahed-i gul khatm hua, TooT gaya saaz-i chaman
uR gayay DaalioN say zamzama-pardaaz-i chaman

saaz=mus. instrument; zamzama=song; pardaaz=suffix for one who nourishes.

aik bulbul hai keh hai mehv-i tarunnum ab ttuk
iss kay seenay meiN hai naghmoN ka talaatum ab tak

mehv=preoccupied, agog; tarunnum=melody; talaatum=storm.

qumriyaaN shaakh-i sanobar say guraizaaN bhi hueeN
pattiaaN phool ki jhaR jhaR kay paraishaaN bhi hueeN

qumri=dove; sanobar=pinenut tree; guraizaaN=running away.

voh puraani ruvishaiN baagh ki veeraaN bhi hueeN
DaaliaN pairhun-i barg say 'uryaaN bhi hueeN

ruvish=ttareeqa, way; pairhan=clothes; barg=leaf; 'uryaaN=naked.

qaid-i mausam say tabi'at rahi aazaad uss ki
kaash gulshan meiN samajhta koee faryaad uss ki

faryaad=complaint; tabi'at=disposition.

lutf marnay maiN hai baaqi, na mazaa jeenay meiN
kuchh mazaa hai tto yahee khoon-i jigar peenay meiN

kittnay bay-ttaab haiN johar meray aaeenay meiN
kis qadar julvay taRaptay haiN meray seenay meiN

iss gulistan meiN magar ddaikhnay-vaala hee naheeN
daagh jo seena meiN rakhtay hooN voh lalay hee naheeN

lala=flower with a dark center.

chaak iss bulbul-i ttanha ki navaa say dil hoN
jaagnay-vaalay issi baang-i ddara say dil hoN
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*Sir. Mohammad Allama Iqbal Jee** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 19th June 2008 05:23 AM
Iqbal Sb nusrat_07 Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 21st January 2006 11:41 AM
Mohammed Iqbal ka Sher gjgjgj Anjuman-e-Shayri 2 3rd December 2005 08:08 AM
allama IQBAL ka ek kalaam sayedzakir Shayri-e-Ishq 0 19th January 2004 04:24 PM
English Translation of Shikwa & Jawab-E-Shikwa gjgjgj Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 25th May 2001 11:18 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com