Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
badalte dekha
Old
  (#1)
madhegum
Madah-E-gum
madhegum will become famous soon enough
 
madhegum's Avatar
 
Offline
Posts: 147
Join Date: Jun 2003
Rep Power: 21
badalte dekha - 9th November 2003, 10:20 PM

chand taron ko bhi suraj ko bhi dhalte dekha
mujh pe jab waqt pad sabko badalte dekha

tu to insaan hai insaa ki hakikat kya hai
soz e pinha se too patthar bhi pighalte dekha


madhegum

*************************

jo dard mila hai madine se mila hai
allah ka isfan unke ghar se mila hai
jisko bhi mila hai mukaddar sse mila hai
humko to mukaddar bhi unke ghar sse mile hai
  Send a message via Yahoo to madhegum  
Reply With Quote
HI
Old
  (#2)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
HI - 9th November 2003, 10:28 PM

HI MADHEGUM SAHAB
how r u dost?
kahne ko to yeh dirf do shar hain
magar janiye k jo kahani aap ne in do
ashar main sunayi hay woh apne ander
jane kitni hi gazlon ko samoye hwe hain...ykin kije
k bar bar parhne ko dil karta hay...
"chand taron ko bhi suraj ko bhi dhalte dekha
mujh pe jab waqt pad sabko badalte dekha "
kiya kahne sahab
bohat khob..
tarif qabol kije ga
aik banjara''''
abhi bas itna hi''''


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
10th November 2003, 08:11 PM

Bohot hi khubsurat sa kalam hein, mujhe toh bohot hi khubsurat lagi. Keya karu? HUmhe hein yaakin humsa koi nehi!! Aise hi likhte rahiyega. Shukriya. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
11th November 2003, 12:04 AM

madhegum

mein ne ghaliban aap ko pehli baar parha hai.
in do ashaar ko parh ker to mein chaunk sa gaya hoon.
kyaa zabardast ashaar hain, baar baar parha aur behad mauzrat ke saath kahoon gaa ke dil yaqeen naheen kar paa raha hai ke itna khoobsoorat bhi aap likh sakte hain.
magar saheb aap ne likha hai aur bohat khoob likha hai.
khayal ki baareeki, khastgi aur barjastgi, aur tashbih aur istuaaraat ko itni khoobsoorti se samoya hai aap ne in ashaar mein ke dil ash ash ker utha hai.
mein in ashaar ko baar baar parh raha hoon. bohat khoob dost bohat hi khoob.
aap isi tarah likha karen is forum ki raunaq barh jaayee gi aise ashaar se.
" tu to insaan hai insaan ki hakikat kya hai
soz e pinha se too patthar bhi pighalte dekha"

wishing you all the best

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
madhegum
Madah-E-gum
madhegum will become famous soon enough
 
madhegum's Avatar
 
Offline
Posts: 147
Join Date: Jun 2003
Rep Power: 21
3rd December 2003, 11:09 PM

KaDarDanO Ko AadaaB.....

SabSe PahlE MauZraT ChaHuGa InTe DinO Ke BaaD Aap SaBka JaWaB DeNe Ke LiyE....


MujHe BahuT FaKr HoTa Hai. JaB Aap LoGo JaiSe KhooBsuRaT AuR KaBiLeTaReeF AsHaaR LiKhNe WalE HaMaRi TaReeF MeiN KucH AlFaaZ BhiKeRtE Hai.

Aap SaBkA ShUkRiyA ....


madhegum

*************************

jo dard mila hai madine se mila hai
allah ka isfan unke ghar se mila hai
jisko bhi mila hai mukaddar sse mila hai
humko to mukaddar bhi unke ghar sse mile hai
  Send a message via Yahoo to madhegum  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hamne Har Rishta Badalte Dekha...YADAV JI ALKAVIKRAMYADAV Hindi Kavitayen 0 21st December 2009 08:44 PM
humne tumko dekha tumne humko dekha aise...! Dhaval Hindi/Urdu Lyrics 1 8th August 2008 04:38 PM
badalte dost mylovepriyanka Shayri-e-Dard 1 31st January 2008 03:30 PM
badalte log manish_agg2k2 Aapki Shayri 0 17th May 2004 06:01 PM
Badalte rishte sanjoo Aapki Shayri 3 24th July 2003 08:00 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com