Main Udasi se bhaag raha hoon.....
Tabhi ton etna shor kar raha hoon.....
Chalo aaj waqt nikal lete hain.....
Aakhir beth kar baat kar lete hain.....
Han ye ek veeran se jageh hai....
Yahan bas main aur tum hai......
Udasi::: Zoron se hans rahi hai.....
Barson bad jo uske paas aayen hain.....
Mene kaha itna bhi kya itrana hai.....
Udasi::: boli aaj aaya tujhe yad mera tikana hai....
Haan main barbaad ho gya hun....
Tumse bhag-bhag kar thak gya hun....
Udasi:::Chalo tumhe ehsas hua hai...
yehi kafi hai....
Mene sankdon eshtriyon se sambandh bnaye .......
tumse nata todne ke leye....
Udasi:::Han tumne har niyam toda khuda ka......
Apni kushi ke leye....
Main sundar se sundar ladki ke sath soya , nasha kiya....
tumse door jane ke leye....
Udasi:::Murkh the tum..... kya parindon ke pas bhi aaye par
Aasman chod jane ke leye......
Mene Kitni dullat lagayi... jashnon main,mehfilon main.....
Tumse bachne ke leye.....
Udasi:::Han mujhe pata tha ... tum daur rahe ho.....
Apne keye gunahon se chipne ke leye.....
Mere pas khoob dullat , shohrat aayi....
Sab man cha paya mene,par sakoon ki wo ghadi na aayi...
Udasi:::Angaron par chalne se bhi kya ....
kabhi kisi ke tan-man main shanti aayi....
Mene naye - naye zismon ko chua.... sabh kuch badla....
par phir bhi thori der bad.... wahi gariyat he hath aayi....
Udasi:::Man har bar naya he chahta hai.....
Chalo tumhe samajh aayi....
Ab main kya karun......
mujhe samajh main nahi aa raha...
Udasi:::Hahahaha! bas ab dorte raho
Ab waqt tumahre hath na raha......
Udasi:::Moorkh tumne mujhe begana samjha......
Jo tumhara apna sayan tha......
Tumne mere pas aana tha......
Mene tujhe har roz swarna tha.....
Mana mere pas rehna bahut mushkil tha....
Par Sona banne ke leye es aag ki bhathi se guzrna tha,,,,,,,
Tumne khuda ko pukarna tha......
Khuda ne tumhe kayi guno se nawzna tha.......
Tune ragraliyan manakar ....sab kuch gwa diya....
Udasi se to tun bach gya....par kimti janam gwa diya.
Moral:
""Udasi ko to apnana hoga.....
Es peeda main he khuda ko pukarna hoga."
Thank's
Parshant