Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ek Gazal, Afsan(Banno) ke naam
Old
  (#1)
Arnab
Mauj Jamshedpuri
Arnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Jan 2003
Location: Kolkata, India
Rep Power: 24
Post Ek Gazal, Afsan(Banno) ke naam - 9th July 2003, 01:15 PM

This Gazal is for Afsan, who inspired me amongst the boredome of my office work...

Qya nazar tumko hai, yaroon se to kahiye
gar honthoon se nahi, isharo se to kahiye

Khhabar na ho jaye Zamaane ko kanhi
Kahiye na lakhoon se, hazaroon se to kahiye

Beganoon mein ruswaa manzoor hai gar
Apno se nahi, gairoon se to kahiye

Woh dil se door jaa baithe hain raatoen mein
To har Jugnu se nahi to sitaroen se to kahiye

Be-dil log nakarenge mohabbat ko rafaqat
Kahena hain agar ishq ke maro se to kahiye


Arnab Goswami
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
9th July 2003, 01:35 PM

Dil me chhipi ek hasrat si hai,
Aankhon me kahin ebaarat si hai.

Hua jab zaahir haal e dil apna,
Chehron par apno ke hairat si hai.

Dete sab dilaasa lafzon se magar,
Nazaron me kahin jasaarat si hai.

Yun mayuusi gawaara nahi hume,
Naumeedi se nafrat si hai.

Is ulfat me kya haar, kya jeet,
Har maat me bhi nusrat si hai.

Dost mere, hum sab kehte hain,
Ab to ye zaroorat si hai.


Wah! Arnab ji, Behad khubsoorat kalaam likha hai aapne!!.. Magar ise likhne ke liye humne aapko inspire kiya, ye maanna zara mushkil hai!.. Chaliye, kum se kum ab aap office bore to nahi honge....

Itni izzat bakshne ke liye hum jitna shukria ada karein, kum hoga.. magar phir bhi, apka tahe dil se shukria..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Arnab
Mauj Jamshedpuri
Arnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Jan 2003
Location: Kolkata, India
Rep Power: 24
9th July 2003, 02:40 PM

Afsan, Ek tum hi ho, Jo meri shayri pad ke 'reply' deti ho,
Isiliye likhta hoo aur Is site mein post karta hoon. Varna
Hum bhi kis kabil ke mehfil mein shaama jala sake
By the way Gazal bahut achi hain.
Regards
Arnab


Arnab Goswami
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
9th July 2003, 02:44 PM

Arnab, tumhari kabiliyat tumhare kalaam bataate hain.. phir koi uspar reply kare ya na kare, isse kuchh zyada fark nahi paRna chahiye.. Shayri gar karo to khud ke jazbaat zaahir karne ke liye karo.. ho sakta hai log tumhare ehasa mehsus na kar sake.. tumhaare jazbaat samajh na sake. Lekin iska matlab ye nahi ke tumhaare ehsaas o jazbaat khubsoorat nahi..

Humare khayaal se to tum bohat achhi shayri karte ho.. Aise hi likhte raho, aur bazm sajaate raho..

PS; Ghazal pasand karne ka shukria.. after all, one good ghazal deserves another!..

Take care..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
9th July 2003, 06:48 PM

Arnab Dost ..

Lafzo me ghazal ke mayne chahe jo ho .. Magar hakikatan ghazal vo shay hai jo dil ko sukoN pauchati hai jise kahne ya sunne ke baad apne akele pan ka ehsaas khatam ho jata hai ..

Dost har aadmi apni zindgi me kabhi na kabhi ghazal likhta hai vo isliye ki kabhi na kabhi duniya ki har shay apne aap ko tanha mahsos karti hai ..

Afsan, Ek tum hi ho, Jo meri shayri pad ke 'reply' deti ho,
Isiliye likhta hoo aur Is site mein post karta hoon. Varna
Hum bhi kis kabil ke mehfil mein shaama jala sake

Aap shikayat pe utre to maine safai dena zarori samjhi ki aapki ghazal bahut gaur se padhi jati hai bhale uska javab post na kiya jaye .. Dost kayi baar insaan javab dene ke kabil nahi hota to aap iss shikayat ko dil se nikal di jiye aur issi khosorati ke saath likhte rahiye ..

Arnab, tumhari kabiliyat tumhare kalaam bataate hain.. phir koi uspar reply kare ya na kare, isse kuchh zyada fark nahi paRna chahiye.. Shayri gar karo to khud ke jazbaat zaahir karne ke liye karo ..

Mera bhi yahi kahna hai arnab .. Ummid hai ki aap ka shikva abhi tak door ho chuka hoga ..

khush rahne ki dua ke .. sath
Aapka dost ..


andaaz
   
Reply With Quote
khub
Old
  (#6)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
khub - 9th July 2003, 08:17 PM

arnabji,
sari gajal taarif ki haqdaar hai... khas kar muje yah pasand aaya-
Beganoon mein ruswaa manzoor hai gar
Apno se nahi, gairoon se to kahiye
aur banno kuchh kahe agar to woh to oose pata hi hai k muje kitna pasand aata hai.
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Rahee
Registered User
Rahee is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 32
Join Date: Mar 2003
Location: Panjab
Rep Power: 0
9th July 2003, 08:40 PM

Arnab dost apki diwangi hume bhagayi bahut hi khubsurti se apne hale dil bayan kiya,dost yo hi likte raho aor dil ke karib jate raho!Rahee
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Arnab
Mauj Jamshedpuri
Arnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Jan 2003
Location: Kolkata, India
Rep Power: 24
10th July 2003, 12:06 PM

Thanks everybody...

Cholo is baat pe ek sher arz hai...jo abhi abhi dimaag pe aya..

Yaroon se thori si gila kar li humne
Isi bahane unse mila kar li humne


Thanks LUV & Lots of care

--Arnab


Arnab Goswami
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
11th July 2003, 03:34 PM

Arnab bhai hum bhi aap ki shayari ke qadardaan hai.aap acha likhte hai Bano ji ke kalaam bhi qabile tareef hai.likhte rahiye aur shayari ki khusboo phailate rahiye...


ko_ii dost hai na raqiib hai
teraa shahar kitanaa ajiib hai

vo jo ishq thaa vo junuun thaa
ye jo hijr hai ye nasiib hai

yahaan kis kaa cheharaa padhaa karuun
yahaan kaun itanaa qariib hai

main kise kahuun mere saath chal
yahaan sab ke sar pe saliib hai

-Manoj Kureel
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
ek gazal..puraane doston ke naam prashant vasl Aapki Shayri 1 1st June 2009 04:58 PM
Aik Sher Banno K Naam<<<< banjara'''' Shayri-e-Dard 12 7th February 2004 11:59 AM
Banno Ke Naam .....! Love me not Shayri-e-Dard 3 24th July 2003 12:10 PM
Ek Gazal :- Gazal Ke Naam. shyam Shayri-e-Dard 6 21st May 2003 04:25 PM
Ek Gazal Mehfil ke naam Arnab Shayri-e-Dard 1 15th May 2003 11:59 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com