Khoobsurat Ashaar Se Aarasta ... Dilkash Ghazal .. Shweta Ji !
Mubaaraqbaad !!!
Aise Hii Aati Raha KareN ... AchChhaa Lagtaa Hai Aap Ko Padhnaa !!!
Naresh ji namaste
aapko apni post per dekhkar mujhe bohot khushi hoti hai or mein chahti hun yadi mein kuch ghalti karti hun toh aap unhe theek karein...
aise hi aate rahiye
taecaer
SHWETA
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai
uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai
kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*