Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
saNbhaal saqii mujhko ,dagmagaa gaya huuN maiN
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
saNbhaal saqii mujhko ,dagmagaa gaya huuN maiN - 14th August 2002, 03:32 PM

saNbhaal saqii mujhko ,dagmagaa gaya huuN maiN
bas zaraa sii pii hai ,ladkhadaa gaya huuN maiN

maanaa ke do hi din ke the unse taa'lluqaat
do din meiN umr bhar ka mazaa pa gaya huuN maiN

shaana-b-shaana saath chaleN , maiN jidhar chaluuN
kuch is junuuN se raNj-o-gham ko bhaa gaya huuN maiN

shaana-b-shaana = shoulder by shoulder

ab na aaNkh lagey bas ye duaa maaNg raha huuN
khwaab voh dekhaa hai ke ghabraa gaya huuN maiN

"maikasH" karo na mujhse zikr-e-shahr-e-mohabbat
jaauNgaa udhar ab na, kasam khaa gaya huuN maiN



maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 15th August 2002 at 01:17 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
20th August 2002, 04:04 AM

Adaab maikash ji.....

saNbhaal saqii mujhko ,dagmagaa gaya huuN maiN
bas zaraa sii pii hai ,ladkhadaa gaya huuN maiN

....ah-haa.....saNbhaal saqii mujhko ,dagmagaa gaya huuN maiN....bas zaraa sii pii hai ,ladkhadaa gaya huuN maiN....wah ji wah!!.....

maanaa ke do hi din ke the unse taa'lluqaat
do din meiN umr bhar ka mazaa pa gaya huuN maiN

....hume yeh ashaar bahut pasand aaya..shayad kyunki hum is se relate kar sakte hain....bahut khoob....

shaana-b-shaana saath chaleN , maiN jidhar chaluuN
kuch is junuuN se raNj-o-gham ko bhaa gaya huuN maiN

....wah wah.....

ab na aaNkh lagey bas ye duaa maaNg raha huuN
khwaab voh dekhaa hai ke ghabraa gaya huuN maiN

...wah kya baat hain.... us darr ka khyaal kaafi achche se illustrate kiya hain....

"maikasH" karo na mujhse zikr-e-shahr-e-mohabbat
jaauNgaa udhar ab na, kasam khaa gaya huuN maiN

.....bahut khoob........bahut achchi koshish hain......aapko anamika ka salaam.....


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
24th August 2002, 03:16 AM

maikash sahab

aadaab...

aap kii ghazal paDhii aur koshish par mubaarakbaad bhi qubuul ho.. maiN is gahzal par apnii tafsiilii rai dene se qabl aap se puuchnaa chaahtaa huuN ki aap ne ye ghazal kis bahr meiN kahii hai.. kyuNkey mujhey bahr samajhney meiN diqqat aa rahii hai....
kisii kisii misrey meiN mujhey ye ghazal khumaar barabankvii kii is ghazal kii hum-bahr lag rahii hai
ik pal meiN ik khushii ka mazaa um se puuchiye..
do din kii zindagii kaa mazaa hum se puuchchiye.

zaraa wazaahat farmaayiyegaa.

Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Bahut khoob..!!
Old
  (#4)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up Bahut khoob..!! - 26th August 2002, 01:34 AM

Wah Wah maikasH ji...aaj baDe dino baad aapka koi naya kalaam parhne ko mila aur kya baat hai ghazal to bilkul aapke takhallus se mel kha rahi hai Sabhi ashaar bahut acche haiN magar in ashaar ka kehna hi kya..wahhhhh...

maanaa ke do hi din ke the unse taa'lluqaat
do din meiN umr bhar ka mazaa pa gaya huuN maiN

ab na aaNkh lagey bas ye duaa maaNg raha huuN
khwaab voh dekhaa hai ke ghabraa gaya huuN maiN

"maikasH" karo na mujhse zikr-e-shahr-e-mohabbat
jaauNgaa udhar ab na, kasam khaa gaya huuN maiN

BAhut hi khoob!!!

Zor-e-qalam aur ziyaada!!

Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
6th September 2002, 02:56 AM

anamika ji

aadaab

aapko khaaksaar ki koshish achchii lagi uske liye bohat shukurguzaar huuN aapka.......ummiid hai aap yuuN hi hausla-afzaa'i karti raheNgii.....


maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#6)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
6th September 2002, 03:08 AM

zarasuniye ji

aadaab kabuul kijiye

aapka sha'iraana jawaab paDhaa.....be'had pasaNd aaya......is inaayat ke liye badaa mashkoor huuN jee aapka....

ghazal agar bah'r meiN hoti to chaar chaaNd lag jaate....haalaNke meri apni ghazal bah'r meiN nahiiN hai isliye mera haq nahiiN banta aapko nasiihat karne ka


ba-har-haal jawaab ka shukriya ......ummiid hai aapka saath milta rahega

maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#7)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
6th September 2002, 03:19 AM

ustaad-e-mohtaram janaab feroz sahab

aadaab

aapka shaq bilkul durust hai .....ghazal bah'r meiN nahiiN hai aur ghazal khumaar sahab ki usii ghazal ki humvaar bah'r meiN hai jiska ki aapne zikr kiya......darasl baat ye hai ke ye ghazal kuch bad'havaasi ki si haalat meiN likh kar maine haath-ke-haath post kar di jo ki ek badii hi ghair-zimmedaarana harqat thi.....muaaf kijiyega ..... maine bah'r durust karne ki koshish to ki thi lekin haalat aise the ke koshish muqaam na pa saki......aap agar apne qeemati waqt meiN kuch lamhe nikaal paayeN to apni rae se zaroor nawaaziyega mujhe badii shiddat se iNtezaar rahega.......


aapka khaadim
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#8)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
6th September 2002, 03:22 AM

shumaila jee

aadaab

aapko ghazal qaabil-e-daad lagi.....mera dil reh gaya

bohat shukria.....!!

maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#9)
ZaraSuniye
Umda Shayara
ZaraSuniye is on a distinguished road
 
ZaraSuniye's Avatar
 
Offline
Posts: 34
Join Date: Dec 2001
Location: AZ, USA
Rep Power: 0
Shukriya - 15th September 2002, 04:44 AM

Maikashi ji:

Shukriya ke aapne hamare jawaab par nazar to daali. Varna hame to kabhie umeed bhie na thi ki aap kabhie hamari kahi baat ka is kadar sab ke saamne jawaab bhie denge.

Hamara saath to hamesha ke liye ab aap hi ke saath hai.

Zara Suniye


Khushk maidaan mein yeh kashtiyaan yuhi to nahi
Yakeenan yaha koi sailaab aaya hoga
  Send a message via Yahoo to ZaraSuniye Send a message via AIM to ZaraSuniye  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Sab ke dil se utar gya huun main, Mohammad Kashif Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 1st November 2008 11:23 PM
tum jise main sochta huun baagi Hindi Kavitayen 2 15th August 2008 11:48 AM
ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN clicksahil Shayri-e-Dard 1 11th July 2008 01:34 PM
Mujhko kya ho gaya hai Sandhya1 Shayri-e-Ishq 11 11th January 2007 06:36 PM
Aaj Bhi kuch Main Dhoondti huun sukanya Shayri-e-Dard 0 22nd November 2004 01:35 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com