 |
|
|
|
|
 |
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
Nazm: Nihaayat hee chhote beh'r meiN -
9th September 2006, 11:39 AM
kya hai pyaar
kaarobaar?
dil hai yeH
be-qaraar
bewafaa
mera yaar
Khoya huuN
sab qaraar
Maange tuu
mujh se pyaar
mai.n huaa
SharmShaar
teer hai
Aar paar
aur dil
taar taar
diloN me.n
hai daraar
aaNkheN hai
aShkbaar
kyuN kiya
maine pyaar
sochataa
baar baar
chehre haiN
aabdaar
dil maiN tau
Hai Gubaar
haiN hasiiN
aur hazaar
par nahiiN
un se pyaar
rehna tum
hoShiyaar
ishq kaa
huuN Shikaar
daaman ab
daaG daar
KhwaaHisheN
be-shumaar
-Mayank
Last edited by Mayank; 4th August 2008 at 11:35 AM..
|
|
|
|
|
Adhoori Aas
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 32
|
Re: Nazm: Nihaayat hee chhote beh'r meiN -
9th September 2006, 03:16 PM
Quote:
Originally posted by Anjana Rahi
[color=royal blue]Kya hai pyaar,
Kaarobaar..
Dil hai ek,
Beqaraar..
bewafaa
mera yaar..
Khoya huuN,
sab qaraar..
maangay tuu
ham se pyaar?.
MaiN huaa
Sharmshaar..
teer hai..
dil ke paar..
aur dil,
taar taar..
DiloN maiN,
hai daRaar
aaNkheN hai,
Ashkbaar..
Sochataa,
baar baar
KyuN kiya,
maine pyaar
kyaa karuuN,
ab maiN yaar,
Dil maiN tau,
Hai gubaar..
haiN hasiin
aur hazaar
par nahiiN
un se pyaar..
rehna hai,
HoShiyaar..
ishq meiN,
HuuN Shikaar..
daaman ab,
daaG daar
KhwaaHiSheN,
be-shumaar
-Mayank[/color]
|
Absolutely great.................... bahut badiya.........
mayank sahab
mujhe lagta hai ye apne aap main ab tak ki asi ek maatra gazal hogi jo sirf rediff per likhi gayi hai.. itne kam shawado main redeef ko maintain kiya gya hai............
ye aap jaisa bada shayar hi kar sakta hai......... bahut badiya.
aap jaise bade shayar ko daad dena mere bas ki baat to nahi per jab aapki ye gazal padi to apne aap ko rok nahi paaya. or sach kahta hoo.n ki mere paas shawad bhi nahi hai.n ki kaise main iski tarif karoo.n............. per mujhe maloom hai aap khud samajh lenge....... bilkul dil se daad kabool kigiyega aapki is gazal per ...
hamesha esa hi umda padne ko milega isi ummeed main
ek begana sa dost
dilip
" Dilip " -Ek Adhoora khwab
Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
|
|
|
|
|
Mai shayar to nahi
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 22
|
9th September 2006, 04:15 PM
kya kehne aapke mayank ji,bahut khoob.itniiii choti beher mai itneeee gehre ehsaas likh daalna har kisi ke bas mai nahi.bahut acha laga padhkar.
likhte rahiye.
yun bin bulaaye milne chala aata hai,
gham ko mujh se yeh unsiyat kaisi??
--akelijaan--
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
|
Re: Nazm: Nihaayat hee chhote beh'r meiN -
9th September 2006, 04:29 PM
Quote:
Originally posted by Anjana Rahi
[color=royal blue]Kya hai pyaar,
Kaarobaar..
Dil hai ek,
Beqaraar..
bewafaa
mera yaar..
Khoya huuN,
sab qaraar..
maangay tuu
ham se pyaar?.
MaiN huaa
Sharmshaar..
teer hai..
dil ke paar..
aur dil,
taar taar..
DiloN maiN,
hai daRaar
aaNkheN hai,
Ashkbaar..
Sochataa,
baar baar
KyuN kiya,
maine pyaar
kyaa karuuN,
ab maiN yaar,
Dil maiN tau,
Hai gubaar..
haiN hasiin
aur hazaar
par nahiiN
un se pyaar..
rehna hai,
HoShiyaar..
ishq meiN,
HuuN Shikaar..
daaman ab,
daaG daar
KhwaaHiSheN,
be-shumaar
-Mayank[/color]
|
Namaskar Mayank ji
Itni chotti beher mein likhna apney aap mein hi kabil-e-tareef hay...itni khoobsurti se itney chotti beher mein likhney ke liye hamare mubarakbaad kabul kijeyega.....
waise to poori ghazal is absolutely fine but 2 shers should be edited...bcoz the first line is not going with second line in those 2 shers...
the first one :
Khoya huuN,
sab qaraar..
it should be
Khoya hai
sab qaraar
the second sher:
ishq meiN,
HuuN Shikaar..
it should be
ishq ka
Huun Shikaar
hope so u would not mind the suggestion given to make this poetry perfect...ek baar phir itni khoobsurat ghazal ke liye hamare daad kabul kijeyega...
Regards
|
|
|
|
|
Shayri.com Moderator
Offline
Posts: 10,555
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 60
|
9th September 2006, 04:51 PM
hi mayank
dost aapki peshkas achhi lagi hame , thodi alag aur padhne me achhi lagi isiliye muhe bahot pasand ayai ye aapki peshkas wake hi bahot umda hai
aapka dost dhaval
*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 34
|
9th September 2006, 10:19 PM
Mayank ji..
Sach me bahut hi achi nazm pesh ki hai aapne.. itne kam shabdon me kaafiye ko banaaye rakha aur saath hi apne dil ka haal bhi bayaan kiya..
bahut khoob..
daad kubool farmaaiyega..
~Priya
"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 34
|
Re: Nazm: Nihaayat hee chhote beh'r meiN -
9th September 2006, 10:52 PM
Quote:
Originally posted by Anjana Rahi
[color=royal blue]Kya hai pyaar,
Kaarobaar..
Dil hai ek,
Beqaraar..
bewafaa
mera yaar..
Khoya huuN,
sab qaraar..
maangay tuu
ham se pyaar?.
MaiN huaa
Sharmshaar..
teer hai..
dil ke paar..
aur dil,
taar taar..
DiloN maiN,
hai daRaar
aaNkheN hai,
Ashkbaar..
Sochataa,
baar baar
KyuN kiya,
maine pyaar
kyaa karuuN,
ab maiN yaar,
Dil maiN tau,
Hai gubaar..
haiN hasiin
aur hazaar
par nahiiN
un se pyaar..
rehna hai,
HoShiyaar..
ishq meiN,
HuuN Shikaar..
daaman ab,
daaG daar
KhwaaHiSheN,
be-shumaar
-Mayank[/color]
|
hi mayank ji kaise hai aap.
aaj apka ye kalaam read kiya. ajeeb laga lekin bahot achha bhi laga.
chaliye ji koi baat nahi aapne bhi khoob likha hai
daaaman ab daag daar, khwaahishen be-shumaar bahot khoob.
likhte rahiye unhi yahi ummid hai
aapki dost
pooja
===========Deepika=========== Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
|
|
|
|
|
Tanhaa Raahi
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 55
|
11th September 2006, 06:00 PM
Hamein bhi aap ki yaha shayri bahout pasand aayi, Mayank Ji...!
Waise aap ke har lekh tareef-e-kaabil hai...!
Sukanya ji ki suggestion is acceptable without any doubt...!
Do keep flowing your feelings among us, ok...?
Take care of yourself

Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai
|
|
|
|
|
"Taish meN hai Taish"
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 49
|
11th September 2006, 08:53 PM
kya kehne bhai jaan,itni choti beher. aap jaante hain beher me abhi main 6th 7 th class me pahuncha hi hun...
par maan gaye aapko,ek bahut hi ahchi peshkash aur kosish ki hai aapne,ek hum hain jo beher ki shuruat seekhne me hi mare jaa rahe hain aur aap nayi nayi beheron me lih rahe hain.
pata nahi mera no. kab aayega..
bas yunhi likhte rahiye bhai jaan.guzarish itni si hai.aap logon ko hi padh kar seekhne ko milta hai aur jyada seekhne ki lalak v jaagti hai.bas likhte rahiye yunhi....
Last edited by Taish; 11th September 2006 at 09:00 PM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 25
|
12th September 2006, 03:48 PM
wah wah bahut hi khoob mayanK jee...itni mukhtasir behr mein likhna koi asaan kaam nahi magar aap ne ye kaam ba asaani kar dikhaaya hai..bahut si daad pesh hai ....likhte rahiye..zor-e-qalam aur ziyaada!!
Shumaila
kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
|
|
|
|
|
Zakhm-e-Rooh
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 34
|
12th September 2006, 03:59 PM
Mayank janaab aap ki koshish par dil se daad kabool kareN par, izs ghazal apr ham age bhi bahas kar chukeN haiN
mai sukanya ji ne jo kaha us se bilkul hi sahmat hu<aur is baare mai aage bhi ham baat kar chuke hai
agar aap ko chhota munh badi baat lagi ho to maaufi chahta hu,aap ki shaan mai yun kahna gustaakhi hogi
yunhi likhte rahiyega
aap ka dost
manu
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,779
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 31
|
hi -
12th September 2006, 06:51 PM
Mayank ji,
ek naye andaaj mein padha aapko..
achchha laga...
Akant...
*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 28
|
12th September 2006, 09:34 PM
Arre waah Mayank...
kya baat hai! Kaise damdaar likha hai...aur wo bhi nihaayat hee choti beh'r mein...WoW...maan gaye aapko Janaab...keep it up...keep exploring new mediums of expressing...aur haan iske baad tau wo taraahi misra kuchh bhi nahin...come on give it your best shot...i know you can do it...
iss dillagi mein haal jo dil ka hua, hua
kya poochate hain aap, tajahul se kya hua
begana thaa tau koyi shikayat na thee hamein
aafat tau yeh huyi ki wo milkar juda hua
( naa samjhi)
aapse bahut kuchh seekhne ko mil raha hai...very good! aur jo tanz main karna chahti thhee sukanya ji ne us or ishaara kar hi diya hai...
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
shayri is my life
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 34
|
hi -
13th September 2006, 03:43 PM
mayank ji deri se aane ke liye maafi chhahta hoon.....appki is koshish pe raj ki daad hazir hai......yu hee likhte rahiye.....take care.......raj........
un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
Re: Re: Nazm: Nihaayat hee chhote beh'r meiN -
14th September 2006, 04:26 PM
Quote:
Originally posted by dilip200
Absolutely great.................... bahut badiya.........
mayank sahab
mujhe lagta hai ye apne aap main ab tak ki asi ek maatra gazal hogi jo sirf rediff per likhi gayi hai.. itne kam shawado main redeef ko maintain kiya gya hai............
ye aap jaisa bada shayar hi kar sakta hai......... bahut badiya.
aap jaise bade shayar ko daad dena mere bas ki baat to nahi per jab aapki ye gazal padi to apne aap ko rok nahi paaya. or sach kahta hoo.n ki mere paas shawad bhi nahi hai.n ki kaise main iski tarif karoo.n............. per mujhe maloom hai aap khud samajh lenge....... bilkul dil se daad kabool kigiyega aapki is gazal per ...
hamesha esa hi umda padne ko milega isi ummeed main
ek begana sa dost
dilip
|
Dilip jee, yeH tau bas ek chhoti sii koShish thee.. aur ess meiN aisi koii khaas baat naheeN sivae yeh kee yeh sirf 5 matra meiN likhi huii hai.. aur aap ne sahii kaha yeh ek meri ek matra Ghazal hai jo sirf qaafiye par hai.. Par aakhiRi nahiiN.. ab jald hee ek aur gair-muradaff Ghazal pesH karuNga.. aap kii daad hame dil se qubool hai aur aap ka yeh reply paRh kar behad khuShi huii..apna Khayaal raKhiye..
Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
14th September 2006, 04:37 PM
Quote:
Originally posted by akelijaan
kya kehne aapke mayank ji,bahut khoob.itniiii choti beher mai itneeee gehre ehsaas likh daalna har kisi ke bas mai nahi.bahut acha laga padhkar.
likhte rahiye.
|
Akeli jaan jee:
Aap ko yeH koShiSh pasand aaii, jaan kar KhuShi huii.. yuuN hee aati raheN.. apna Khayaal raKheN..
-Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
Re: Re: Nazm: Nihaayat hee chhote beh'r meiN -
14th September 2006, 04:44 PM
Quote:
Originally posted by sukanya
Namaskar Mayank ji
Itni chotti beher mein likhna apney aap mein hi kabil-e-tareef hay...itni khoobsurti se itney chotti beher mein likhney ke liye hamare mubarakbaad kabul kijeyega.....
waise to poori ghazal is absolutely fine but 2 shers should be edited...bcoz the first line is not going with second line in those 2 shers...
the first one :
Khoya huuN,
sab qaraar..
it should be
Khoya hai
sab qaraar
the second sher:
ishq meiN,
HuuN Shikaar..
it should be
ishq ka
Huun Shikaar
hope so u would not mind the suggestion given to make this poetry perfect...ek baar phir itni khoobsurat ghazal ke liye hamare daad kabul kijeyega...
Regards
|
ShukriYa Sukanya jee:
Aap ne ess nazm ko itne gaur se paRha jaan kae behad achchha laga.. aap ke dili daad aur mubaarak baad ke liye maiN aap ka Shukr-guzaar huuN... Aap ne jo 2 Sher edit kiye haiN..
Khoya hai
sab qaraar
ishq ka
Huun Shikaar
ess meiN jo pahla Sher haiN ka pahla line jo hai 'Khoya hai' yeh ess beh'r meiN naheeN chalega.. aap khud pure nazm ko paRh kar deKhiye aap jab paRheNgii 'khoya hai, sab qaraar' rawaani meiN ek kamii sii mehsoos hogii.. aur duusra sujhaab sahii hai..  ess tarh usay likha jaa sakta hai maiN aap ka Shukr guzaar huuN jo aap ne khule dil se apni raa'ey dii..
-Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
14th September 2006, 08:21 PM
Quote:
Originally posted by dhavalrami4you
hi mayank
dost aapki peshkas achhi lagi hame , thodi alag aur padhne me achhi lagi isiliye muhe bahot pasand ayai ye aapki peshkas wake hi bahot umda hai
aapka dost dhaval
|
Shukriya huzoor,
aap ne itna pasand kiya, maiN aap ka mamnuun huuN.. yuuN hee aate raheN..
-Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
14th September 2006, 08:27 PM
Quote:
Originally posted by chaahat123
Mayank ji..
Sach me bahut hi achi nazm pesh ki hai aapne.. itne kam shabdon me kaafiye ko banaaye rakha aur saath hi apne dil ka haal bhi bayaan kiya..
bahut khoob..
daad kubool farmaaiyega..
~Priya
|
Priya...
Aap ko nazm pasand aaii jaan kar KhuShi huii..  aur ess kalaam meiN qaafiye ke sivaa hai hee kyaa  bas ek koShish kee kam lafzoN meiN likhne ke.. aap bataaiye kee kaisi haiN aap? Apna Khayaal raKHiye.. Yuun hee aati raheN
-Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
Re: Re: Nazm: Nihaayat hee chhote beh'r meiN -
14th September 2006, 08:31 PM
Quote:
Originally posted by pooja4588
hi mayank ji kaise hai aap.
aaj apka ye kalaam read kiya. ajeeb laga lekin bahot achha bhi laga.
chaliye ji koi baat nahi aapne bhi khoob likha hai
daaaman ab daag daar, khwaahishen be-shumaar bahot khoob.
likhte rahiye unhi yahi ummid hai
aapki dost
pooja
|
Hello Puuja jee:
Aap ka swaagat hai ess bazm meiN.. aur shaayad pehli baar maiN aap se muKhaatib ho raha huuN.. Aap ko yeH nazm pasand aaii jaan kar khushi huii.. par aap ko ajeeb saa kyUN laga,yeh hairat kee baat hai..  Aap waqt nikaal kar nazm par apni raa'ey dii, ess ke liye Shukriya.. ummeed hai aap se rabt bani rahegii..
-Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
14th September 2006, 08:33 PM
Quote:
Originally posted by Mushkil
Hamein bhi aap ki yaha shayri bahout pasand aayi, Mayank Ji...!
Waise aap ke har lekh tareef-e-kaabil hai...!
Sukanya ji ki suggestion is acceptable without any doubt...!
Do keep flowing your feelings among us, ok...?
Take care of yourself
|
Aman bhaai..
aap ne jo ijjat bakshi hai us ke liye Shukriya kahna kam hoga.. ek achchhe shaayar ko kalaam pasand aana qaafi maaene raKhta hai.. Sukanya jee ke suggestion achchhe haiN.. thanks to her.. aap apna Khayaal raKhiye. yuuN hee aate raheN.. aur hame bhee paRhne ka mauqa dete raheN...
-Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
14th September 2006, 08:40 PM
Hello lucky,
oh tau ab taum 6th , 7th meiN ho. sahii hai.. achchhi se paRhaai karo aur jald se jald improve karo.. Yeh tau ek shaadi sii koShish hee hai.. bazm ke ehbaaboN ne pasand kiya yeh tau baRappan sab ka.. aur chhote beh'r meiN likhna hame behad pasand hai..
ApnaKhayaal raKhana. aur yeH tumhaara 'Avtaar' bohat funny saa lag raha hai.,. aise lag raha hai jaise 'Ghaayal' ka mazaaq uRa raha hai..  Take care
-Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
14th September 2006, 08:52 PM
Quote:
Originally posted by shumaila
wah wah bahut hi khoob mayanK jee...itni mukhtasir behr mein likhna koi asaan kaam nahi magar aap ne ye kaam ba asaani kar dikhaaya hai..bahut si daad pesh hai ....likhte rahiye..zor-e-qalam aur ziyaada!! 
Shumaila
|
Shumaila jee:
Aadaab arz hai
Aap ko yahaaN par deKh kar aur Khaas taur mere post par dekh kar bohat Khushi huii... kyoN kee ek umdaah Shaayar kee raa;ey bhe eumdaah hoti hai, Hai na ?  MuKhtaser behar par ess liye likha hai kyON kee baRe beh'r meiN, maiN nahiiN likh sakta.. so, muKhtasar meiN hee kaam chala leta huuN..
Aap kii daad sar-maathe.. yuuN hee aati raheN.. aap ko yahaaN deKh kar aur paRh kar achcha laga.. apna Khayaal raKhiye..
-Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
15th September 2006, 08:06 PM
Quote:
Originally posted by acharya_mj
Mayank janaab aap ki koshish par dil se daad kabool kareN par, izs ghazal apr ham age bhi bahas kar chukeN haiN
mai sukanya ji ne jo kaha us se bilkul hi sahmat hu<aur is baare mai aage bhi ham baat kar chuke hai
agar aap ko chhota munh badi baat lagi ho to maaufi chahta hu,aap ki shaan mai yun kahna gustaakhi hogi
yunhi likhte rahiyega
aap ka dost
manu
|
Manu:
Aap ke daad ke dil se Shukr guzaar huuN.. aur aap kii koii baatmujeh buri nahiiN agi. so-be fikr ho kar apnii raa'ey dete raheN.. take care, best wishes,
Mayank
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
16th September 2006, 10:13 AM
kya hai pyaar?
kaarobaar?
dil hai yeH,
be-qaraar.
bewafaa,
mera yaar.
Khoya huuN,
sab qaraar.
Maange tuu,
ham se pyaar?
maiN huaa,
SharmShaar.
teer hai,
Aar paar.
aur dil,
taar taar.
diloN maiN,
hai daraar.
aaNkheN hai,
aShkbaar.
kyuN kiya,
maine pyaar.
sochataa,
baar baar.
chehre haiN,
aabdaar.
dil maiN tau,
Hai Gubaar.
haiN hasiiN,
aur hazaar.
par nahiiN,
un se pyaar.
rehna tum,
hoShiyaar.
ishq meiN,
huuN Shikaar.
daaman ab,
daaG daar.
KhwaaHisheN,
be-shumaar.
Mayank bhai,
Meri dile se daad kubool karna is nayaab ghazal ko likhne ke liye.... Itne kam shabdon me to aksar mujha jaise ek sher hi keh apate hain aaur aapne ek poori ghzal keh di... woh bhi pur-asar... Dilkhush ho gaya aapki yeh ghzal padh... yun hi likhte rahiyega,,, apna khayal rakhiye 
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
3rd November 2006, 12:17 PM
Quote:
Originally Posted by akant
Mayank ji,
ek naye andaaj mein padha aapko..
achchha laga...
Akant...
|
Akant bhaa'i,
aap ne meri is chhoti si koShish ko pasand kiya aur waqt nikaal kar hausala-afzaayi kiya yeH jaan kar bohat KhuShi huii.. Akant bhaa'ii, chuuN kee aap Khud ek chchhe Shaa'ir haiN, ess liye aap ki pasandagii mere liye khaash maai'ne raKhti hai.. yuuN hii aage bhi apni raa'ey dete raheN..
-Mayank
Last edited by Mayank; 3rd November 2006 at 12:25 PM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
5th November 2006, 03:54 PM
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
5th November 2006, 03:58 PM
Quote:
Originally Posted by rajveeer
mayank ji deri se aane ke liye maafi chhahta hoon.....appki is koshish pe raj ki daad hazir hai......yu hee likhte rahiye.....take care.......raj........
|
Rajveer jii: aap meri ess KOSHISH ko saraaha aur hausala afzaaii kii ess ke liye MAYANK aap ka Shukr-guzaar hai..agar aap isi tarah se hausilaa-afzaa'ii karte raheN ge to maiN yuuN hi liKhata rahuNgaa..Take care..Mayank
Last edited by Mayank; 10th August 2007 at 11:51 AM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
10th August 2007, 11:52 AM
Quote:
Originally Posted by Pulkit_gupta
kya hai pyaar?
kaarobaar?
dil hai yeH,
be-qaraar.
bewafaa,
mera yaar.
Khoya huuN,
sab qaraar.
Maange tuu,
ham se pyaar?
maiN huaa,
SharmShaar.
teer hai,
Aar paar.
aur dil,
taar taar.
diloN maiN,
hai daraar.
aaNkheN hai,
aShkbaar.
kyuN kiya,
maine pyaar.
sochataa,
baar baar.
chehre haiN,
aabdaar.
dil maiN tau,
Hai Gubaar.
haiN hasiiN,
aur hazaar.
par nahiiN,
un se pyaar.
rehna tum,
hoShiyaar.
ishq meiN,
huuN Shikaar.
daaman ab,
daaG daar.
KhwaaHisheN,
be-shumaar.
Mayank bhai,
Meri dile se daad kubool karna is nayaab ghazal ko likhne ke liye.... Itne kam shabdon me to aksar mujha jaise ek sher hi keh apate hain aaur aapne ek poori ghzal keh di... woh bhi pur-asar... Dilkhush ho gaya aapki yeh ghzal padh... yun hi likhte rahiyega,,, apna khayal rakhiye 
|
Pulkit bhaa'ii,
Aap ka dili daad hame dil se qubool hai huzoor.. hai kaun ess bazm meiN jise aap ki daad qubool na ho par yeH ek chhoti sii halki-fulki koShiSh hai..Phir bhi aap ne saaraaha ess ke liye khaas tah-e-dil se Shukriya..
Aap ko ek raaz ki baat bataata huuN.. meri aksar GhazaleN kam lafzoN meiN hoti hai.. aur yehi meri koii Khaasiyat nahiiN hai, ek kamzori hai kyoN ki zeyaadah lafzoN meiN, maiN kuchh liKh nahiiN paata.. ess liye mann maar kar kam lafzoN meiN hi likhna paRta hai.. aur aap ne ess nazm par itne bharpoor daad diye haiN kii dil baaGh-baaGh ho gaya hai.. Shukriya.. apna Khayaal raKhiye..
Mayank
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |