|
|
|
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
Karishmaat-e-tasavvur -
10th April 2004, 01:48 PM
Khamoshi, tanhaayi, tasavvur, dard-e-dil sanam
diya hai saath sabne har waqt har dam…
Karishmaat-e-tasavvur
aaj phir kyon intezzar hone laga hai
wo dil-sitan kyon yaad aane laga hai
lamhaat jo humne guzaare bhi nahin
kyon dil unse beqaraar hone laga hai
iss dar se tau wo guzraa bhi nahin
ye dil iss qadar kyon dhadakne laga hai
palakein jo un tak uthhi bhi nahin
wo rafta rafta un mein samaane laga hai
wo waade jo humne kiye bhi nahin
un tute waadon pe kyon ranj hone laga hai
daman jo kabhi haath aaya bhi nahin
uski khushboo se dil mehekane laga hai
vasl-e-yaar tau 'paras' hua bhi nahin
tau gham-e-hijraan kaise hone laga hai….....
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Ek Anjaan Shaks...
Offline
Posts: 497
Join Date: May 2002
Location: London (UK)
Rep Power: 24
|
Adaab Kabool Kijiye... -
10th April 2004, 03:00 PM
Salam Muhtrhama Parasstar ji.....Apne is kubhsuraat se kaalam ke liye is nacheez ki daad kabool farmaiye...Harf ba harf tareef-e-kabil hai ......Mashallah ....Ab is umeed ke sath apse ijazat ke Talaabgaar hain inshallah agey bhi kuch aise kalaam hamare nazr-e-haya ke tajweez hunge...Shukriya...Kudha Hafiz...
EK ANJAAN SA SHAKS...
SALMAN SHAIKH...
Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....
______________________
Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 29
|
Re: Karishmaat-e-tasavvur -
10th April 2004, 06:17 PM
Khamoshi, tanhaayi, tasavvur, dard-e-dil sanam
diya hai saath sabne har waqt har dam…
PARAS
aap ka yeh sher dil par se kuch yun ho kar guzra hai jaise sehra se ho kar hawaon ke bawandar guzar gaye hon....mere paas wo alfaaz nahin hai jinhe mein is sher ki tareef mein saza sakun....aur neeche likhi gazal kuch yun asar kar gayi hai jaise jakhmi dil par yaadon ka marham koi laga gaya ho....jaise mano tanhai ki vedna mein pal do pal ka sukoon koi baksh gaya ho,,,, bahoot khoob....
aaj phir kyon intezzar hone laga hai
wo dil-sitan kyon yaad aane laga hai
lamhaat jo humne guzaare bhi nahin
kyon dil unse beqaraar hone laga hai
iss dar se tau wo guzraa bhi nahin
ye dil iss qadar kyon dhadakne laga hai
palakein jo un tak uthhi bhi nahin
wo rafta rafta un mein samaane laga hai
wo waade jo humne kiye bhi nahin
un tute waadon pe kyon ranj hone laga hai
daman jo kabhi haath aaya bhi nahin
uski khushboo se dil mehekane laga hai
vasl-e-yaar tau 'paras' hua bhi nahin
tau gham-e-hijraan kaise hone laga hai….....
bahoot khooob....aapne jab bhi likha hai seedha dil par asar hua hai,,,,,har sher laajawab hai,,,kisi ek ki tareef duje ke saath naainsafi hogi.....aapki shayri mein ek wo kasak hai jise mehsoos to har koi kar sakta hai magar bayan karna sabke bas ki baat nahin.....meri daad kubool kijiye....aise hi likhte rahiye....is kaarwan mein aapke hamsafar ban kar ham bhi chand ghadi ko sukoon paa jate hai.....hamesha khush rahiye ,,apna khayal rakhiye....
-Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
MriiGchiika
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 29
|
Hi... -
11th April 2004, 07:55 PM
Parastaar....ap kai kalaamo mai har bar ek naya pann mehsus hota hai...iss liye jab bhii padhne ka mauka milta hai...ek naye aehsas se wasTa hota hai....jisse ki apkai kalaam mai har bar dilchsspii banni rahti hai...ye achhe shayr ya shayra ka huunaR hoTa hai...Tahe dil se daad kabul kare....aur bhii aage apse yu hii padhne ko milta rahega iss ummid kai saath...Izazat sanju ko!!
Jindagi se to khair shikvaa tha,
muddato mout ne bhi tarsaaya hame..
.....
|
|
|
|
|
kuch likhne ki koshish
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
|
hi -
12th April 2004, 09:25 PM
are parastaar sahiba
how r u?
ham aik dam thik hain...bas kuch masroof the..isi wajah se aap ko shikayat ka moka mil gya...warna ham dosron kis hikayat karne wale dosron ko yeh moka nahin dete..k woh hmari shikayat karain...lekin...hmari koshish rhai k is doran acha likha hwa zaror parhain...or use reply bhi karain...aaj aap ka likha parha...
acha laga...aik sher to bohat hi acha laga...
vasl-e-yaar tau 'paras' hua bhi nahin
tau gham-e-hijraan kaise hone laga hai….....
tamana...or shikayat ka milap dikha is sher main...acha likha hay
umid hay ainda bhi aise hi likhti rahin gi
banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
14th April 2004, 04:19 AM
paras bahut khoob likha hai bahut pasand aaya par na jaaane kyun laga ki tum ghazal ko adhuuraa sa chod gayi ho aur tum jaanti ki ise pura karne mein mujhe kitna aanand aata hai to aapke aage ke jazbaat kuch yun likhe hai....
phir hua yun bhi ki dil diya bhi nahin
kyon humhe yaar phir ghum sataane laga hai
paa'ey daar is dil ka kona nahin
ek goshah phir dil dukhaane laga hai
guzar gaya jo ism uskaa jaana nahin
ek 'parastaar' yeh dil bataane laga hai
Duaaon ke saath
-Mast
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
18th April 2004, 06:14 AM
Ek Anjaan sa Shakhs hamaare kalaam kee iss tarah se tareef kar jaaye...tau bataayieye aur kya chahiye iss kalam ko...bus phirse tej kar lee hai...kuch likheinge...aap padhiegaa zaroor...
paras
Manoj...
kuch dard kuch sukoon...kuch tau diya humne apne dost ko...daad ke liye shukriyaa...aapko pasand aata hai hamara likhna...shayad yahi sun ne ke liye hum bhi likhe jaate hain...ki manoj kuch iss andaaz se bayaan kar jaayeinge tau hausle aur buland honge...kyon...?
paras
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
18th April 2004, 06:18 AM
Sanjoo...
wahi gham, wahi tanhaayi, wahi ghise pite se jazzbaat...phir bhi aap kehte hain ki hamare har kalaam mein nayapan hota hai...tau hum yoonhi khud ko re-invent karte raheinge...tum padhte rehna plz...
paras
Khan Bhai...
Shukriyaa...aap yoonhi hausla badhaate raheinge tau hum achha likhne kee koshish karte reheinge...
sada muskuraate rahiye...paras
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
18th April 2004, 06:23 AM
Yeh lo Mast Sahib...
ab aap hamare poore kalaam ko adhuura kaheinge tau hum kya karein...lol...lekin haan poore likhe ko bhi aap aur poora kar dein tau bahut achha lagta hai...bhagwan hamein in adhoore kalaamon kee kshamta dein aur aap unhein poora karte rahieygaa...theek hai?
aur poora bhi kiss andaaz se?
phir hua yun bhi ki dil diya bhi nahin
kyon humhe yaar phir ghum sataane laga hai
paa'ey daar is dil ka kona nahin
ek goshah phir dil dukhaane laga hai
guzar gaya jo ism uskaa jaana nahin
ek 'parastaar' yeh dil bataane laga hai
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 638
Join Date: Sep 2003
Location: texas
Rep Power: 22
|
20th April 2004, 02:22 AM
Dear parastaar,
kai se aap ? like manojbhai ki tarah aap bhi legend hai. is shayris mai kai words ka meaning i do not understand. plz can u explain i will appreciate.
1.dil-sitan
2.ranj
3.lamhaat
4.gham-e-hijraan
|
|
|
|
|
raj
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 35
|
20th April 2004, 05:45 PM
Khamoshi, tanhaayi, tasavvur, dard-e-dil sanam
diya hai saath sabne har waqt har dam…
kya baat hai aapa
kasam se kamaal sher hai ye
laga mere dil ki baat apke sher mein hai.
aaj phir kyon intezzar hone laga hai
wo dil-sitan kyon yaad aane laga hai
kya baat hai aapki jitni tarif karun kam hai.
woh jab yaad aye bhut yaad aaye hai na.
aap bhi bhut yaad aate ho kyun aate ho itna yaad
sakhi with lov
कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
21st April 2004, 09:56 AM
Dearest Pappu...
That is kind of taking it too far...lol...a legend...? glad you think that way...gives me himmat to go on...
yeh lo tumhaare liye phir se meanings likh rahi hoon
1.dil-sitan - lover
2.ranj - distress
3.lamhaat - moments
4.gham-e-hijraan - sorrow of separation
paras
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
21st April 2004, 10:01 AM
jee haan sakhi ji...
Gam-e-zi.ndagii ke a.ndhere me.n hamane
chiraag-e-muhabbat jalaae bujhaae
vo jab yaad aaye...bahut yaad aaye...
achha achha banaao nahin...malum hai...tabhi tau itna humse milti ho...kitne logon ke haath mithi bheji...malum hai?
lekin phir bhi tum meri gudiya rahogi...
tumhari aapa
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 143
Join Date: Apr 2004
Location: Delhi
Rep Power: 21
|
Appke Kayal ho gaye -
21st April 2004, 10:37 AM
Dear/Respected paras ji,
I am a new user at Shayri.com . But i m not new in the world of Shayari. I read out your your latest Ghazal Aur main Aapka Kayal Go gaya
Kya Dard hai aapke nagmon mein. kuchch aisa hi dard mere dil mein bhi hai.
I have posted my GHazal "Are Meri Kismat"
please have look at it and plz reply sooonn
Shukriya...........
----Gumnam
Take care to get what you like,
Or you will be forced to like what you get.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 9
Join Date: Apr 2004
Rep Power: 0
|
Dear Paras -
21st April 2004, 10:39 AM
Kya khoob likhte ho. ek ek lafj dil ki gahraiiyo.n me.n utar jaata hai. hume.n shayri itni nahi.n aati lekin jitna samajhte he.n achha lagta hai.
Bago.n me.n saba.n ko justjoo teri hai
Jis phool ko sunghta hu.nboo teri hai
Chehre se to ashna.n nahi.n he.n ankhe.n
Awaaj jaroor suni hui teri hai
her lafj aisa jaise khud-ba-khud bol raha ho. Thanks.
Jaha.n bhi honge, apne liye jagah bana lenge,
Humko aata hai huner dil me utar jane ka.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
Re: Appke Kayal ho gaye -
1st May 2004, 06:16 AM
Quote:
Originally posted by gumnam
Dear/Respected paras ji,
I am a new user at Shayri.com . But i m not new in the world of Shayari. I read out your your latest Ghazal Aur main Aapka Kayal Go gaya
Kya Dard hai aapke nagmon mein. kuchch aisa hi dard mere dil mein bhi hai.
I have posted my GHazal "Are Meri Kismat"
please have look at it and plz reply sooonn
Shukriya...........
|
Dear Gumnaam Sahib...
aap jaise umda shayar yadi hamari shayri ke kaayal ho jaayein tau bataao is naacheez ko aur kya chahiye...chalo hamara likhna safal hua...jii aapki ghazal humne padhi aur hamein bahut hee pasand aayi...
apna khayaal rakhieyga...aur kuucha-e-kalam mein shirkat karte rahieygaa...
paras
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
Re: Dear Paras -
1st May 2004, 06:20 AM
Shukriya tau mujhe aapka karna chahiye...
Bago.n me.n saba.n ko justjoo teri hai
Jis phool ko sunghta hu.nboo teri hai
Chehre se to ashna.n nahi.n he.n ankhe.n
Awaaj jaroor suni hui teri hai
kya andaaz hai daad dene ka bhi...loved it...aap aate rahieyga hamare dard ki pukaar pe...shukriya...
paras
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
ansoon aur muskan....
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
|
hello -
1st May 2004, 05:27 PM
parastrar ji
really a nice and hearttoching ,,creation!sach ha kisi ke intezar mein humey is qader kho jatey hain,,ki kuch yaad hi nahi rehta.
apki is rachna ne hamre dil ko choo liya...
san
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Hybrid Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Similar Threads
|
Thread |
Thread Starter |
Forum |
Replies |
Last Post |
Teraa Tasavvur
|
Rashid_rahil |
Shayri-e-Ishq |
10 |
6th February 2009 03:05 AM |
Tasavvur
|
aldeepkin |
Shayri-e-Dard |
4 |
5th April 2007 01:40 PM |
~*~Tasavvur~*~
|
hassan_bashir |
Aapki Shayri |
2 |
26th January 2005 06:39 PM |
tasavvur
|
vaaiz |
Shayri-e-Dard |
16 |
31st December 2004 10:29 AM |
tasavvur--ek ghazal
|
fersahab |
Ghazal Section |
1 |
31st July 2003 05:15 AM |
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|