Karishmaat-e-tasavvur -
10th April 2004, 01:48 PM
Khamoshi, tanhaayi, tasavvur, dard-e-dil sanam
diya hai saath sabne har waqt har dam…
Karishmaat-e-tasavvur
aaj phir kyon intezzar hone laga hai
wo dil-sitan kyon yaad aane laga hai
lamhaat jo humne guzaare bhi nahin
kyon dil unse beqaraar hone laga hai
iss dar se tau wo guzraa bhi nahin
ye dil iss qadar kyon dhadakne laga hai
palakein jo un tak uthhi bhi nahin
wo rafta rafta un mein samaane laga hai
wo waade jo humne kiye bhi nahin
un tute waadon pe kyon ranj hone laga hai
daman jo kabhi haath aaya bhi nahin
uski khushboo se dil mehekane laga hai
vasl-e-yaar tau 'paras' hua bhi nahin
tau gham-e-hijraan kaise hone laga hai….....
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|