Quote:
Originally Posted by Rashid_rahil
Doston ye jo ghazal main pesh karne jaa rahaa hoon. ye maine bahut early days mein likhi thi. Baad mein edit karne ka man nahi kartaa, kyonki inmein mere lahmein qaid hai. Ummid hai aapko pasand nahi aayegi, but phir bhi post kar rahaa hoon.
Jab Tasavvur mein tu samaati hai
Apni har saans se teri khushbu aati hai
Zulfien Chehre par giraa kar aankhon se ghaayal karnaa
Teri ye adaa mujhko deewaana banaati hai
Har baar ajnabi ki tarah milna teraa
Ye baat dil ko pareshaan kar jaati hai
Bahut koshish kartaa hoon bhulne ki tujhko
Masoom si teri soorat bhulaayi nahi jaati hai
Mumkin nahi ab milnaa ki paraayi ho tum
Kaise sambhaloon dil ko tishnagi badhti jaati hai
Kyaa ye hi anjaam hai ek taraf mohabbat ka "Rashid"
Dil se sukoon aur aankhon se neend kho jaati hai.
Rashid
|
Rashid ji namaskaar...............aapke ahsaas hume acche lage aur aapne sahi kaha ki kuch purane ahsaas edit karne ka dil nahi hota, un mein technically beshaq kitni bhi galtiyaN kyuN na ho, phir bhi woh bahut aziz hote haiN, kyuNki un ahsaaso.n ke saath bahut yaadeN judi hoti haiN.....agree with u.....purani yaado.n ko phir se jeene ka yehi tareeka hai ki un ahsaaso.n ko phir se pad lijiye.....purani diary ke page phir se palat lijiye....!
aapne apne ahsaas share kiye hume accha laga.
god bless u