Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
duniyaa mazaak meraa uRaatii hi rahegii
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
duniyaa mazaak meraa uRaatii hi rahegii - 6th February 2002, 09:56 AM

Aadaab dosto....

ek nayi ghazal pesh-e-khidmaT hai....apnii salaah zaruur deN...



kambakht aaNkh ashk bahaatii hi rahegii
duniyaa mazaak meraa uRaatii hi rahegii

jab tak haiN phuul chaaNd sitaare jahaan meN
uss mehjabiiN ki yaad sataatii hi rahegii

mehjabiiN = chaaNd se chere vaala

gham teraa jab tak meraa daaman na choDegaa
shabnam merii palkoN ko jalaatii hi rahegii

teraa wajuud gairoN ki jaagiir hai , maanaa
lekin mere khaaboN meN tuu aatii hi rahegii

kuch to bataa ai bewafaa umiid mujhe tuu
kab tak mere dil ko tuu dukhaatii hi rahegii

jab tak hai kalam haaTh meN "maikasH" ke ai jaana
ghazal , terii tasveer banaatii hi rahegii


maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
aadab
Old
  (#2)
tanhadil
Registered User
tanhadil is on a distinguished road
 
tanhadil's Avatar
 
Offline
Posts: 106
Join Date: Feb 2002
Location: Canada
Rep Power: 23
aadab - 8th February 2002, 03:29 PM

aadab maikash,

muje kuch hi din hue hai shayri.com se jude hue....lekin tum sab ne ise itna accha bana kar rakha hai....very nice job

pehle mai kahi bhi kahi bhi kuch bhi likhta rehta tha....sabko accha lagta tha.....lekin shayad muje kuch technical aspects sikhne hai.....

will u teach me please???

see i write on shayri down....just try to correct it on ur wish....

ok i wrote this when i was chatting with one of my close frnd on msn...she was very tired with work and told me that she wanna sleep a lot and i wrote this one for her....

"so ja is tara ki zindagi ajnabi ban jaaye...teri khushiya tere gam ko tere sapno be boon is tarah ki phir kabhi na uthne ki tamanna rahe"

people like this and appreciate...but i think theres some missing...

thanks

tanhadil
  Send a message via Yahoo to tanhadil  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pyarali Rajan
Registered User
Pyarali Rajan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 403
Join Date: Oct 2001
Location: Copenhagen, Denmark
Rep Power: 23
8th February 2002, 06:05 PM

MaikasHji,

Janab aapko ham kya salah dey saktey hai-Aap tu yeh field mai expert ho- aur yeh ghazal aapki likhi huyee one of the best ghazal hai- Mai khud likhtey huwey ghabra raha hun, kyoonkey mujhey patta hai key mai sahee likhney nahin paata. Lekin mai aapki aur dusrey doston ki ghazals aur shayari padhney mai bahot interest rakhta hun. Please keep writing!!


teraa wajuud gairoN ki jaagiir hai , maanaa
lekin mere khaaboN meN tuu aatii hi rahegii

kuch to bataa ai bewafaa umiid mujhe tuu
kab tak mere dil ko tuu dukhaatii hi rahegii

Wah!

Rajan


cool
   
Reply With Quote
kambakht aaNkh ashk bahaatii hi rahegii
Old
  (#4)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
kambakht aaNkh ashk bahaatii hi rahegii - 9th February 2002, 09:21 AM

maikash saahab

aadaab

aap kii ghazal paDhii, bahut pasaNd aayii, mubaarakbaad qubuul ho. ek achha raNg liiye huey hai. jo baateiN maiN arz karnaa chaahtaa huN, wo kuchh yuN haiN...........

1
kambakht aaNkh ashk bahaatii hi rahegii
duniyaa mazaak meraa uRaatii hi rahegii
>................... achaa sher hai....... mazaak = mazaaq. kambakhat = kambaKht

2.
jab tak haiN phuul chaaNd sitaare jahaan meN
uss mehjabiiN ki yaad sataatii hi rahegii
mehjabiiN = chaaNd se chere vaala
>.............mahjabiiN = chaaNd se "maathey" waalaa.
ek aur achhaa sher hai..... bahut achhey. yuN hii rahaa nahiiN gayaa, is liiye ye kahnaa chaahtaa huN, ke phuul chaaNd sitaarey qaainaat kaa hissa to haiN, jahaan kaa hissaaaa....kahnaa kuchh khaTktaa hai. waise bhiii mahjabiiN(chaaNd jaise maathey waalii) kii yaad to aasmaan kii chiizoN ko dekh kar hii aanii chaahiye
wo chaaNd pas e abr chamktaa hii rahegaa.
us mahjabiiN kii yaad sataatii hii rahegii.
(ye sirf merii haqiir raai hai, ye aap kii koii Ghaltii nahiiN hai)

gham teraa jab tak meraa daaman na choDegaa
shabnam merii palkoN ko jalaatii hi rahegii
>..........achhaa sher hai magar...is sher meiN do baateiN haiN wo yeh ke pahley misrey meiN tak ko talak honaa chaahiiye (bahr ke lihaaz se) aur duusrey yeh ke, shabnam lafz kaa istemaal kuchh mujhey theek nahiiN lag rahaa..... kyuNkey sher meiN kahiiN raat kaa , chaaNd sitaaroN , subho waGheraa kaa ziqr nahiiN hai is liiye. aap koii aur lafz DhuuND liijiiyegaa.

teraa wajuud gairoN ki jaagiir hai , maanaa
lekin mere khaaboN meN tuu aatii hi rahegii
>.........bahut achaa hai, is meiN gairoN kii bajaai Ghair (note the spellings) hii bahut hai. aur khaab = Khaab

kuch to bataa ai bewafaa umiid mujhe tuu
kab tak mere dil ko tuu dukhaatii hi rahegii
>.........ek aur achhaa sher hai, lekin alfaaz ke inteKhaab meiN kuchh behtarii darkaar hai. "bewafaa" ummiid kuchh jamtaa nahiiN. aur "kuchh" bataaney kii bajaai "itnaa" to bataa kahiiye.

jab tak hai kalam haaTh meN "maikasH" ke ai jaana
ghazal , terii tasveer banaatii hi rahegii
>.........sher kaa bunyaadii Khyaal achha hai lekin duusraa misraa bahr meiN nahiiN hai. lafz tasviir kii bajaai agar kuchh fasaanaa sunaatii rahegii waGheraa kaa istemaal kar ke dekhiiye. kalam = qalam.

ummiid hai merii haqiir sii raai aap ke kisii kaam aayegii.

Feroz
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*Ye Duniyaa.......** Shimul Hindi/Urdu Lyrics 0 27th September 2008 01:25 AM
Rooh ko ziNdagii se baGaavat raheGii......! Dhaval Shayri-e-Ishq 36 7th May 2007 09:49 AM
Duniyaa love86 Shayri-e-Dard 0 26th December 2005 10:41 PM
Maa Teri Duniyaa NiGhTwAlKeR Shayri-e-Dard 0 28th August 2004 01:54 AM
kambakht aaNkh ashk bahaatii hi rahegii maikasH Shayri-e-Dard 4 3rd June 2002 04:18 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com