Har koi bas door se rasta dikha deta hai... -
26th July 2006, 01:10 PM
Koi dekhe to zara kaisi saza deta hai,
Mera dushman mujhe jeene ki dua deta hai...
Hakim-e-waqt bhi haalaat se aajiz aakar,
Waqt ke saamne sir apna jhuka deta hai...
Kiya hua tune jo gurbat me chudaya daaman,
Aise haalaat me har koi daga deta hai...
Lutf aata nahi hokar bhi shikam sair tumhe,
Hum faqiro ko to faqa bhi maza deta hai...
Kis liye haath phailao jaha ke aage,
Roti do waqt ki jab mujh ko khuda deta hai...
Tez gadi na chala ai haseen surat wale,
Hadsa chehre ki pehchan mita deta hai...
Koi manzil pe nahi chodta le jake '' Irfan'',
Har koi door se bas raah dikha deta hai......!!!!!
---------------------------
Ek PaTThar ki bhi taQdeer saNwaR sAkti hai,
SharT yE hAi kE SaleKe sE TaRaShA JaYe...!!!!
---------------------------
|