Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
Majid Deobandi
Old
  (#1)
Nasuha Khan
Registered User
Nasuha Khan will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 180
Join Date: Sep 2008
Location: Udupi
Rep Power: 0
Majid Deobandi - 12th March 2009, 07:27 PM

Ab zameen ka badan na ****enge.....yaane hargiz kafan na ****enge
apna imaan hai yahi majid......mar ke bhi hum watan na ****enge

mar ke bhi hum watan na ****enge....

Apni khismat pe khush hua hoga.....aur saza sun ke bhi hasa hoga
wo jo katil hai mulk ka usko......ek din ki saza se kya hoga

Rishta ye khoon tod dala hai......sach ka mazmoon tod dala hai
aaj wo desh bhakt banta hai......jisne kanoon tod dala hai

Saaf zehnoun ki aazmaaish ki.....mulk ke saath mil ke saazish ki
dekhna hai nateeja kya hoga.....chor ne chor ki sifarish ki

Sab ye kirdaar ki badawlat hai.....thokaroun me teri hukumat hai
ek zamanat to mil gayi lekin.....uski baki abi adalat hai

Chahe ye jaan hi chali jaaye.....kuch anaa ke khilaaf mat karna
cheen li jisne aapki pehchaan.....usko hargiz maaf mat karna

Mulk me jo bhi baa kamal hue.....kyun wahi maaile zawaal hue
dil ko hai intzaar aazaadi.....kagazoun per pacchas saal hue

Wo jo mere watan ke dushman hain.....kaash barbaad ho to baat bane
jism aazaad ho gaye lekin....zehen azaad ho to baat bane

Doosroun ko na gam diya karna.....pyar dushman se bhi kiya karna
gher le jab tume pareshani......Aaitalkursi padhliya karna

Desh ko lootne me the masroof.....kehte the saath unki khismat hai
Wo jo kal magn the hawaalaah me.....ab hawaalaat unki khismat hain

Kya gunahoun se bach sakenge bhala.....khasmein jo subho shaam khate hain
un ke chehroun me noor namumkin......wo jo rizke haraam khate hain

Jis jagah rehmatoun ki baarish thi.....us jagah aag ki hawaaein hain
dil ye kehta hai mujhse aai majid ....sab ye kirdaar ki badawlat hain

Us ke chashme ka rang jo hojaye......mere dushman mufeed ban jayein
Ai khuda mere khaum ke bacche.....khalid ibne waleed ban jaayein

Uski nisbat ka taj rakhte hain....har maraz ka ilaaj rakhte hain
khauf kya ho hame azeezoun se....hum husaini mizaaj rakhte hain

Last edited by Nasuha Khan; 12th March 2009 at 07:40 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Tahir kkkhan
A SOUL OF LOVE
Tahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to behold
 
Tahir kkkhan's Avatar
 
Offline
Posts: 698
Join Date: Aug 2008
Location: jaipur
Rep Power: 23
12th March 2009, 09:38 PM

Quote:
Originally Posted by Nasuha Khan View Post
Ab zameen ka badan na payenge.....yaane hargiz kafan na payenge
apna imaan hai yahi majid......mar ke bhi hum watan na payenge

mar ke bhi hum watan na payenge....

Apni khismat pe khush hua hoga.....aur saza sun ke bhi hasa hoga
wo jo katil hai mulk ka usko......ek din ki saza se kya hoga

Rishta ye khoon tod dala hai......sach ka mazmoon tod dala hai
aaj wo desh bhakt banta hai......jisne kanoon tod dala hai

Saaf zehnoun ki aazmaaish ki.....mulk ke saath mil ke saazish ki
dekhna hai nateeja kya hoga.....chor ne chor ki sifarish ki

Sab ye kirdaar ki badawlat hai.....thokaroun me teri hukumat hai
ek zamanat to mil gayi lekin.....uski baki abi adalat hai

Chahe ye jaan hi chali jaaye.....kuch anaa ke khilaaf mat karna
cheen li jisne aapki pehchaan.....usko hargiz maaf mat karna

Mulk me jo bhi baa kamal hue.....kyun wahi maaile zawaal hue
dil ko hai intzaar aazaadi.....kagazoun per pacchas saal hue

Wo jo mere watan ke dushman hain.....kaash barbaad ho to baat bane
jism aazaad ho gaye lekin....zehen azaad ho to baat bane

Doosroun ko na gam diya karna.....pyar dushman se bhi kiya karna
gher le jab tume pareshani......Aaitalkursi padhliya karna

Desh ko lootne me the masroof.....kehte the saath unki khismat hai
Wo jo kal magn the hawaalaah me.....ab hawaalaat unki khismat hain

Kya gunahoun se bach sakenge bhala.....khasmein jo subho shaam khate hain
un ke chehroun me noor namumkin......wo jo rizke haraam khate hain

Jis jagah rehmatoun ki baarish thi.....us jagah aag ki hawaaein hain
dil ye kehta hai mujhse aai majid ....sab ye kirdaar ki badawlat hain

Us ke chashme ka rang jo hojaye......mere dushman mufeed ban jayein
Ai khuda mere khaum ke bacche.....khalid ibne waleed ban jaayein

Uski nisbat ka taj rakhte hain....har maraz ka ilaaj rakhte hain
khauf kya ho hame azeezoun se....hum husaini mizaaj rakhte hain

in stars ki jagah jo word adhoora tha woh meine pura ker diya hai.
inshallah mein samjhta hu ki meine aapki her muskil ko solve ker diya hai.
iske baad bhie koi problem ho toh aap maloom ker sakti hai...
ha ek baat aur hai wakai'atn bahut achchi AZAD shayri post ki hai aapne.
fe amaan allah
khuda haafiz


shayer mit jaate hain jahaa se magar unka qall fanaah nahi hota,
Tanhaai bhie tanha hoti hain magar,TAHIR tanha nahi hota................./
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Nasuha Khan
Registered User
Nasuha Khan will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 180
Join Date: Sep 2008
Location: Udupi
Rep Power: 0
12th March 2009, 09:50 PM

Tahir ji bahot bahot shukriya taareef k liye......
yahi kaafi hai k apko pasand aayi.....
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Some poetry of Majid Deobandi Parwaazz Shayri-e-Mashahoor Shayar 4 1st August 2010 05:07 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com