Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Wo Khaamosh NigaheiN
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Sad Wo Khaamosh NigaheiN - 23rd July 2004, 05:29 PM

Wo Khaamosh NigaheiN

Umr…aahista aahista gujarti hai or aahista aahista…naye adhyaay khulte jaate haiN jindgi ki kitaab ke…or kuchh puraani si kaahaaNiyaN dhundhlane lagti hai jindgi ki kitaab me…

Eisa hi ek waaqya hai ye bhi…baat un dinoN ki hai jab mai collage me parha karta tha…uff wo mastiyaaN…wo josh kuchh bhi bhulaaye nahi bholta…kuchh thaan liya paane ka to bas thaan liya..

Or apna saara group jaanta tha…ke Rakesh…sabse alag…or choices bhi kuchh eisi hi…sabse alag…(hahaha)…Aakash ne to mazaak hi bana diya tha…uska. Aksar kehta…ab iske liye to koi aasmaan se utarne waali hai… jo baat baat per khilkhilaaati na ho…har ek se batiyaati na ho…nazreiN eisi ke har ek pe uthti na ho…or sab haNs padte…ek mazaak ban gaya tha mai..apne group me, or mai tha ke aksar kehta…dekh lena ek roj tum sab ko dikha dooNga…or tab mai haNsuNga.

Waqt gujarta raha….Phir ek roj Bus me ek naya chehra dekhne ko mila…
Saket se bas me chadhi..are ye kya… meri to nigaaheiN hi atak gai uspar..uff ek ajeeb si bhaavshunya khaamoshi uske chehre me…lagbhag mujh sa hi kad…ek lambi si choti or ek ek baal badi khobsoorti se guntha hua us choti per..perfect..! …”yahi to hai wo”…(bheeter se ek aawaaj aai)… yahi to hai wo…or ek paanch rupyee ka note conductor ki taraf barha diya…or chup chaap khadi ho gai jeise ke koi But ho…meine Aakash ko ishara kiya…dekho..(wo bola)…mili kya..? (or Hansne laga)

Or phir roj uska us bas me aana jaana hone laga…roj meri nigaaheiN us bas stand per atak jaati wo bas me charhti ..wahi 5 Rupeye ka note or wahi khaamoshi…seat milti to baith jaati…warna…khadi hi rehti…per kehti na wo kisi se, mai hairaan tha…kyoNki lagbhag ek maheene tak maine use dekha maine or wo hai ke…kuchh bolti hi nahi thi..kisi se bhi nahi..abtak mai uske wyaktitva se puri tareh se aakarshit ho chuka bas laga ke ab yahi hai meri manzil..chaahe kuchh bhi ho mai iski jubaaN khulva kar hi rahooNga…or us.se nazdikiyaaN barhane ki khaatir mai usi bus me roj jaane laga..or dostoN ke saath collage jaana tak band kar diya..ab tak use bhi kuchh andaaza ho chala tha shaayad…ke mai use notice karta hooN..

Din gujarte rahe par koi raah na ban paati thi us.se baat karne ki…or wo thi ke…kuchh mauka bhi na deti thi…phir ek din eisa bhi aaya…aaj wo phir apne hi samay par bas me charhi..per kuchh alag hua aaj…usne khamoshi se 100 rupeye ka note condector ki taraf barha diya…condector ne note waapas karte huve…khule peise dene ko kaha…or..wo use dekhne lagi..mai wahi baitha tha bhala ye mauka keise haath se jaane deta..or meine apni jeb se 5 rupeye ka ek note nikala or uski taraf barha diya…ye kehte huve ke kal de dena…mai roj isi bas me aata hooN…usne meri tara dekha..or khaamoshi se ise sweekar liya…aaj mai bahut khush tha
Or agle din phir wahi silsila…mujhe ummeed thi ke aaj baat ho jaaye shaayad…wo aai..or khushkismati se..mere bagal wali seat khaali thi..wo baithi or halke se muskuraate huve…mujhe wo 5 rupeye ka note lauta diya..mai naa na keh saka…pehli baar us.se kuchh mil raha tha jo uska tha…..(ghar jaate hi us note ko dekha..jeise koi khajana mil gaya ho… uspar apna naam likhkar..date daal di..)..ab ye Note mai kisi ko na dooNga..or use purse me rakh diya.


Or phir wahi sab…wahi roj ka sa routine.. ek baat jaroor badli thi ke mujhe dekh leti to muskura deti thi..bas…mera sabr dheere dheere jhuNjhulahat me badalne laga tha…us upar waale ne mila to di meri pasand per wo to kuchh bolti hi na thi …bolna to door koi mauka hi na deti thi baat karne ka, or phir ek roj meine ye thaana ke mujhe hi shuruwaat karni padegi…or us roj shaam jab wo bas se utri…to mai bhi utar gaya…or use use rukne ko kaha per wo na ruki…eise jeise suna hi na ho…mujhe ye baat chubhi..phir bhi mai uske saamne gaya…or us.se is berukhi ki vejeh poochhi…wo usi tarah khaamosh rahi..ab ye to tauheen hi ho gai thi meri…or mai kuchh bhi kehta wo chup hi rehti…mai jhuNjhla utha…or bina soche samjhe jaane kya kya keh gaya…(bada hurt hua tha mai…ab itna bhi ghamand kya ke koi aapki baat per react hi na kare…) or jab kuchh samajh na paaya to purse se wahi 5 rupeye ka note nikala or uske haath me thama diya…bahut sambhala ise sochta tha kisi ko na dooNga..per ab na rakh paauNga…uska chehra abtak…kuchh laal ho chuka tha…nigaahoN me ek ajeeb sa thehraav nazar aaya..or mai wahaaN se chal diya..kuchh door jaakar muda to wo abtak waheeN khadi thi..ek apraadhi ki taraah…us roj thes lagi thi shaayad mere ahem ko ye asafalta…bardasht nahi ho rahi thi mujhse…per ye tey the ke usne mujhe thukraya tha..or phir mai kabhi us Bus me safar karne ka hausla na bana saka…kuchh toot sa gaya tha…shaayad…per kisi ladki ko itna bhi ghamand na ho apne roop sondrya ka…beshaq bahut khoobsoorat thi wo..per jubaaN se bhi to kuchh keh deti..kya kami thi mujhme..bas yahi sochta.

Is baat ko 2 saal or beet gaye..ab wo baat itna satati na thi…or ek roj jab mai office se waapsi per tha…to phir wahi chehra nigaahoN ke saamne aa gaya..phir wahi sab baatieN..dard taza ho gaya…per kuchh badli si thi aaj wo..shaadi ho gai thi uski…Wo saari me bhi utni hi khoobsoorat dikhti thi…whi khoobsoorti se bandhe baal..kuchh na badla tha…siwaay us mangalsootr ke jo kuchh khatak sa raha tha nigaahoN ko..itne me ek bujurg mahila uthi or us.se poochh beith..ye kon si jagaah hai beti..wo kuchh na boli..or uska stop bhi aa gaya tha so wo utarne lagi..or ye sab dekhkar mujhe jhunjhlahat si ho gai ( mooh se achanak hi nikal pada)…Ghamandi..itna bhi nahi bata sakti kya..paas beithe ek bujurg ne mujhe dekha or kaha ..ke kisko kehte ho…meine kaha..wo jo utar rahi hai bus se…itna bhi nahi bata sakti kya.. Bujurg ne mujhe phir dekha..or kaha beta wo GooNgi or Behri hai..wo kya bolegi…Mai choNk utha…!…GooNgi or Behri…(uski khaamoshi samajh aa gai ek hi pal me…wo khaamosh nigaahaiN..ek ek baat..sab saaf ho gai)…mai turant utha..or dauda..bus kuchh aage nikal chuki thi…bus rukwaai..or peeche ki taraf daudne laga…kuchh paloN me wo mere saamne thi…wo ruk gai..or khamoshi se mujhe dekhne lagi…Mai kuchh haaNf raha tha…saanseiN kuchh dheemee hui..per kehne ko kuchh na tha mere paas..or kehta bhi kya or kya wo sunti…meri aaNkheiN bhar aai…stubdh..bas mooH se ek shabd hi keh paya…sorry…mujhe maaloom…(usne mera haath thaam liya) or mere haath me kuchh thama diya..kuchh muskuraai or chal di…mai waheeN khada reh gaya, use jaate dekhta raha…or phir apni hatheli ko dekha to toot kar reh gaya ye wahi 5 rupeye ka note tha..haaN wahi Note usper mere sign or wo date bhi thi..palat kar dekha to uske doosri taraf…uska naam likha tha…Shalini or wahi date… jab mai uspar bigda tha.. mai kuchh khaamosh yooN laga jaise kuchh kho diya kuchh eisa jo paakar bhi kho diya.…kab bus stop tak pahuNch gaya…pata hi na chala..or kuchh der me dusri bus aa gai or mai ek bhaari mann liye usper charh gaya.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
24th July 2004, 07:50 AM

mere chaand,

kaash.. yaha kuchh tumhari rachna k baare maie baat kar paati is wakt.............
par nahi........
meri 'oona' ki yaad ke siva kuchh mahesoos bhi to nahi kar paati hu is wakt....
'oonamika' ko bhi kya koi rakesh samaj nahi paayega?
maafi chahti hu.... tumhari rachna k baare maie kuchh nahi kah paayi...
fir kabhi........ jaroor kahungi.

tumhari meena
   
Reply With Quote
Shukriya Meena ji.
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya Meena ji. - 24th July 2004, 11:56 AM

Meena ji....Onamika...ji....samajh sakta hooN...ise parhkar aapko uska khayaal aana laazmi tha...Maa jo ho...bachchho ka dard maa hi behter samajh sakti hai...khaas kar jab wo Onamika si bachchi ho....sahi hai aapka ye dar bhi...is duniya mai Rakesh se paatr hote haiN...jo sift shabdoN ki bhasha samajhte haiN....

per phir bhi yahi kahooNga...ke kuchh eise bhi hote hain jo...shabdoN se bhi uper rehte haiN...wo Rakesh nahi hote...or wo mileiNge ...aapki Onamika ho...har mod par mileiNge...eisa vishwaas hai mera, dekhiye na Shalini ko bhi to mila eisa hi koi.

Meri duaaeiN in donoN ke saath haiN...
or khushi hai ke aapko meri ye post parhkar...Onamika ka khayaal taza ho gaya.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
30th July 2004, 02:13 PM

hi chaand ji

KASH rakesh ne un nigaahoin ko padaa hota to use who ghamandi naa lagti aur rakesh ko shalini ko samjhne ka mouka milta lekin yaisaa hua nahi kyun ki inshaan ki shoch jab ek taraf ho jaati hai to who usi taraf sochti hai dusri taraf ki sachaai nahi dekhaai deti use .par jab use dusri sachhai pata lagti hai to bhut der ho chuki hoti hai jo apki kahani mein hua chaand ji.

Bhut hi achi aur sachi kahani hai apki.aap yuhi likhte rahe taki hamein jindagi ki kuch sachaaiyoin ka pata lag sake.kyun ki bhut si baar hamaara dimaag sachaai ko jaan nahi pata hai.

sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#5)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 21
17th August 2004, 02:31 PM

Chand ji..
Namaskar...

Aaj mujhe bhi ek kahani likhni thi...isliye is kahani wali site per pahuch gai...aur apki kahani pari nahi to main jaan bhi na pati aap k is dard ko...

Sach me he kehte hai na ki kabhi kabhi ahem sir char kar bolta hai...aur wahi aap k rakesh k saath bhi hua...ziska mujhe lagta hai...dil k kisi kone me rakesh ko hamesha pachhtava rahege.. main khud bhi roz-marra ki zindgi main aise kai mukam dekh chuki hoo, magar shayad maine apne ahem ko kabhi itna havi nahi hone diya...aur dusra ye ki vo daily ki chhoti-choti baatein hoti hai...ziska itna gehra asar nahi parta...magar ye baat to sach hai ki agar ahem ko havi na hone diya jaye to kai nuksan hone se ham khud ko bacha lete hai...magar aap ne dair kar di...sivaye pachhtane k kuch nahi ho sakta....aap ne us shalini ko ghamandi kaha....bura mat manna kintu such to ye tha ki aap ka vo rakesh ghamandi tha jo ahem ko beech me le aaya. mana ki halat aise ho gai the...magar kuchh dil se aur kuchh dimag se kaam lena chahiye...any way...filhal to main umeed karti hoo ki vaqt aapke rakeesh ke is zakhm ko bhar chuka hoga ...agar aisa nahi hai to main uske liye dua karti hoo ki vo zakhm jaldi bhar jai.

UDAS
   
Reply With Quote
Shukriya DostoN
Old
  (#6)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya DostoN - 18th August 2004, 07:06 PM

Sahi kaha Sakhi aapne.....insaan ki soch....insaan aksar sochta hai ke wo behter samajhta hai....or yaheeN wo galati kar jaata hai....kyoNki dusri taraf ka sach weisa nahi hota....jeisa ham use dekhkar uske baare me raay bana lete haiN.....

Rakesh ko afsos is baat ka na tha shaayad ....ke usne kya khoya tha...kyoNki wo shaayad uski hi galatiyaaN thi.

Uska dard shaayad ye tha...ke usne anjaane me ....Shaalini ki bhaavnaaoN ko us waqt bahut chot pahuNchayi thi...kitna dard hua hoga use us waqt.

Khair...aapke is reply ke liye tahe dil se shukriya....

Chaand

UDAS ....aapki baat parhi, aapko jo nazar aaya kahaani ke charitra ke aapne keh diya....isme bura maan.ne ki koi baat nahi.....(per dekhiye kaheeN aap bhi wahi galati to nahi kar raheiN hai jo Rakesh ne ki thi... )....per achchha laga....aapne is kahaani ko parha....samay diya or apni raay di......tahe dil se shukrgujaar hai ye Chaand aapka bhi....

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
22nd September 2004, 02:11 PM

chand shahab....

namaskar kaise hai... chand sahab main kya likhun meri ungliya hi atak gayi hai... par ek hi khayal dimag main aata hai.. ki kash! insan bhi dil nigah ki boli samajh pata... samajh pata ki ki kabhi kabhi juban to bohat kuch bolti hai par ankhen haqeeqat bayan karti hai ... kash us haqeeqat ko insa padh pata... rakesh ji main aansoo bahane ke alawa kuch nahi kar pa raha aapki kahani padne ke bad... aur wo manzar jab aapne us ladki ko wo note wapas diya.... aapki taraf ka bayan humare samne hai ... par kya woh ladki use kabhi bayan kar payegi... aur shayad us din jitni shikayat ki hogi usne khuda se .... shayad kabhi na ki ho... apni jindgi use jahnnum nazar aane lagi hogi.... par aap bhi kya karte ... bat phir wahin sochta hun main ki kash insaan aankon ki bhsaha pad pata... chand shab rula diya aapne kasam se... waise mera ye hal hai aapka kya hua hoga main samajh sakta hun par aap ke dil main woh rahega kyunki aapko uska ek ant to mila jisme shikwe door to hue... aur aapne isko hum sabke sath shere kiya ye mafi hai us ladki se ... jisko anjane main aap saza de baithe.... chand sahab apne dil main piro ke is kahani ko apna khayal rakhiyega...

simte yun ki aahne dab gayi...
hanse yun ki unke gham ka pata na chala..
waqt ne dikhaya kaisa berahm manjar...
de gaye saza kisi ko aur uske gunaho ka pata na chala

//Sacccha_(¯¥¯)_Pyar---»(kunal)

har dil main SACCHA_PYAR hota hai...
phir chup ke kyun KUNAL tu rota hai ...
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Shukriya dost
Old
  (#8)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya dost - 22nd September 2004, 04:36 PM

Shukriya Kunal....ye jo bhaav aapne pesh kiye haiN, mere prati...meri is kahaani ke prati.....ye bahut bada Inaam or dilaasa hai mere liye...yahaaN is jageh hame sirf hausla afzaai hi nahi milti dost.....balki kuchh or bhi milta hai...wo hai apnapan....or wo milna aaj ke daur me jara mushkil hai.

Ye Chaand aapse mili is sahaanubhuti or prem ko hamesha yaad rakhega...or dusri baat har dard ek nayi seekh deta hai...or ye shaayad hame bhi mili hai har mod par jindgi se.

Shukriya tahe dil se Kunal.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
professor
Registered User
professor is on a distinguished road
 
professor's Avatar
 
Offline
Posts: 105
Join Date: Oct 2004
Rep Power: 20
20th October 2004, 05:20 PM

Kul-Mila-Ke Doston........

"JO NAHI MILTI, USEY MUHABBAT KAHTE HAIN"
  Send a message via Yahoo to professor  
Reply With Quote
Old
  (#10)
professor
Registered User
professor is on a distinguished road
 
professor's Avatar
 
Offline
Posts: 105
Join Date: Oct 2004
Rep Power: 20
20th October 2004, 05:22 PM

..................Aur agar Mil Jaaye tow..

Muhabbat Nahi Rahti.
  Send a message via Yahoo to professor  
Reply With Quote
hi
Old
  (#11)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
hi - 20th October 2004, 05:44 PM

hi ..........

kutch kehana chaati hoon ..........per its ok ........

mat pasand karo chupp rehne waali ladki ................
ussee har pal ka pyaar chaaiye hota hai .......jo aap boys nahi de paaoge ,,,,,,,,,,,,,
ek umar se hin wo sachche pyaar ke sapne dekhti hai jo shaadi ke baad tuut ke reh jaati hai kyoun ki aap boys shaadi ke baad keval paise kamaane maine reh jaate ho .......or fir uska dum ghutega kyoun ki aap saath nahi de paaoge jo usse chaahiye ..........


sorry agar jaada bool gayi ..........but its my personal exprience ...........bye tc




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
20th October 2004, 08:20 PM

Professor Saahab ye to hui aapki philosiphy...Weise practically dekha jaaye to...kuchh galat bhi nahi kaha hai aapne...jab tak na mile aajkal to tab tak hi mohobbat rehti hai wo...

Shukriya aap yahaan aaye meri is koshish ko parha...or apne khayaalaat se nawaaza...iske liye aapka tahe dil se shukrgujaar hai ye Chaand.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
professor
Registered User
professor is on a distinguished road
 
professor's Avatar
 
Offline
Posts: 105
Join Date: Oct 2004
Rep Power: 20
20th October 2004, 08:27 PM

Chand Bhai , chota aadmi hoon shayad bahut badi baat bol gaya maafi chahoonga, Hum bhi aapki Shukaguzari ka shukriya ada karte hain..

waise dost... meri philosiphy, Milne ke baad Shuru hoti hai...


  Send a message via Yahoo to professor  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
20th October 2004, 08:33 PM

Chandsi ji ..Aap kuchh kehna Chaahti thi..per shaayad nahi kaha...weise aap keh sakti haiN...or ham dostoN ke saath apne vichaar baaNt sakti haiN.

mat pasand karo chupp rehne waali ladki ...............

per kisi ko pasand karna ...kisi ke bas me thode hi hota hai..kyoN..mai sahi hooN na.

Pyar kise nahi chaahiye...kam ya jiyada bolne waale sabhi to chaahte hai Pyar...Sachchha pyar...ji...agar aap shaadi ke baad parivarik jim.mevariyoN ko dooriyaaN banana kehti haiN...to ...mai yahi kahooNga..ke wo bhi pyar hai...jo ab jim.mevaari ke roop le leta hai...Ye jindgi film nahi hai Chandsi ji....Hope aap meri baat ka bura nahi maaneiNgi....ladke kya sochte haiN...ye nahi jaanta..per ye Chaand kya sochta hai...wo aapke saamne rakh diya hai...ye kuchh laaine likhhi haiN aapka reply parhne ke baad...shaayad kisi pyar karne waale dil ki hi daastaan ho....



Guzaara to Roti ke bin bhi na tha
So, kuchh faasla banaana hi pada,
Wo samjhe...hamne bhula di wo mohobbat
Is mohobbat ko nibhaane ke khaatir
Per hamko kamana bhi pada.


Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
20th October 2004, 08:37 PM

Professor Saahab....Chhota Aadmi.....hi aksar pate ki baat kar jaata hai....So hame is Chhote Aadmi ki baat bhi pasanad aayi hai.

Or hamaari Philosiphy bin mile bhi shuru ho jaati hai...

Kya kareiN ..ham bhi aadat se mazboor haiN.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
professor
Registered User
professor is on a distinguished road
 
professor's Avatar
 
Offline
Posts: 105
Join Date: Oct 2004
Rep Power: 20
20th October 2004, 08:45 PM

Wo, Hawa ke jhonke ki tarah Paas se Guzar jaate hain

Aur der tak Waqt ki Raftar thami rah jaati hai...
  Send a message via Yahoo to professor  
Reply With Quote
Old
  (#17)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
30th September 2005, 12:23 PM

mere chaand,

aaj fir maan idhar ka huaa... fir ise padha...

onaa ki yaad aani hi thi...


tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
30th September 2005, 04:53 PM

khamoshi aisi hi hoti hai.. ise samajhane ke liye bahoot bada dil chahiye......



Garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#19)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
30th September 2005, 09:05 PM

Dear Chand ji,

Tumhari kahani Dil ko chhu gayi... ab mein kya kahu, kuch keh nahi sakt..... kuch khamoshi aaisi hoti hai, jo bina kuch kahe sab kuch keh jaati hai, aur hum hi kabhi samajh nahi paate. Your experience was totally different and I like the way you explained it. hope you feel better, and always be happy!

Take care!



   
Reply With Quote
Hope You are well :)
Old
  (#20)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Hope You are well :) - 1st October 2005, 06:11 PM

Dear Chaand Jee, Phir Se "Wo Khaamosh Nigahein" Parha...**Haan, Wo Bol Nahin Sakti Thi~Par Iss Duniya Mein Aisa Bhi Hota Hain Jab Zuban Hoti Hain Par Bol Nahin Sakta Hain~Kabhi Socha Kisi Ne?
Kuchh Baatein Aisi Hoti Hain_Kuchh Aise Dukh Hote Hain
JinKa Na Baatanaa Hi Theek Hota Hain_Muskourana Hi Theek Hota Hain **
Baas Mukhtasar Si Baat Thi...Par Keya Koii Samajh Sakta Hain...?
KashMaKash Mein Dal Diya Hain...? I Don't Think So Jee~Just A Thought And It's True~But I Know It's Not Easy To Understand...!
Aap Ko Parhna Dil Ko Hamesha Hi Achchha Lagta Hain...Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher Dher Sare Phoul_Shukriya Aur Daad Quboul Kijiyega... **Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**Take Care...**God bless You.


Plz Smile **


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Khaamosh Reh Kar qasim jaan Shayri-e-Dard 1 25th February 2007 02:27 PM
Yun Milli Jo Nigahein . . . . . cute_ashu Shayri-e-Ishq 2 6th February 2006 10:05 PM
nigahein aapki pehchaan hai hamari land_cruiser Shayri-e-Ishq 0 26th April 2005 08:36 AM
~~* Nigahein na moodna love_shoaib Shayri-e-Ishq 2 12th July 2004 08:41 PM
Nigahein mohit Shayri-e-Ishq 18 12th March 2004 09:42 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com