Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 10 votes, 5.00 average. Display Modes
A Tribute To Ahmad faraz.....A Legend Of Urdu Poetry!!!
Old
  (#1)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
A Tribute To Ahmad faraz.....A Legend Of Urdu Poetry!!! - 28th August 2008, 11:05 PM

Aap sab ke ilm me ye baat to aahi chuki hai ke hum apne daur k ek azeem aur maayaye naaz shayer AHMAD FARAZ ko kho chuke hain….woh ab hamare saath nahi hain.

Inna Lilla hi wa Inna Ilaiy hi rajeoun

Hum unki maghfiarat ki dua karte hain…Allah unke darjaat buland kare…Ameen!

Ye thread hum Ahmad faraz ko tribute kar rahe hain….
Yahan Aap zyada se zyada unki Poetry Nazm Gazal Post Karen…..
Agar chahen to unke bare me har chhoti se chhoti baat jo aap jante hon, aap ke Ilm me ho yahan share Karen…..



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
28th August 2008, 11:06 PM

Mai bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamm'oN ke saath
Aur kuchh lamhe thehar...E Zindigi...E Zindigi

Jab talak zinda hain Ankhon ke Furdah Taqche
Neelgon honthon se phutegi sadaa ki Raushni
Jism ki girti huyi deewar ko thaame huye
Mom ke but aatishiN chehre sulagti murti
Meri beenayi ki ye Makhlooq Zinda hai abhi

Aur kuchh Lamhe thehar....E Zindigi....E Zindigi

Ho to jane de mere lafzon ke maani se tahii
meri tehreereN, Dhuyen ki rengti parchhayiyaN
Jinke paikar apni awazon se khali belahu!
Mehav ho jane to de yaadon se khwabon ki tarha
Ruk to jayen aakhri sanson ki wehshi Andhiyaan
Phir haat lena m,ere maathey se tu apna haath
Mai bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamo ke saath

Aur kuchh Lamhe thehar....E Zindigi....E Zindigi!!!



~Ahmad Faraz~



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
28th August 2008, 11:08 PM

aa ki vaabasta hain us husn ki yaadeN tujhse
jisne is dil ko pariiKhaana banaa rakhaa thaa
jiski ulfat meN bhula rakhii thii duniaa hamne
dahar ko dahar ka afsaana banaa rakhaa thaa

aashnaa haiN tere qadmoN se voh raheN jin par
uskii mad’hosh javaani ne inaayat kii hai
karvaaN guzre haiN jinse isii ra’anaaii ke
jiskii in aankhoN ne be-suud ibaadat kii hai

tujh se khelii haiN voh mahbuub havaayeN jin meN
uske malbuus kii afsurda mahak baaqii hai
tujh pe bhii barsaa hai us baam se mehtaab ka nuur
jis meN biitii hu’ii raatoN ki kasak baaqii hai

tuune dekhii hai voh peshaani, voh rukhsaar, voh hont
zindgi jinke tasavvur meN luTaa di hamne
tujh pe uThi haiN voh kho’ii kho’ii saahir aankheN
tujh ko ma’aluum hai kyoN umr ganvaa dii hamne

ham pe mushtarak haiN ehsaan Gham-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginvaauuN to ginvaa na sakuuN
hamne is ishq meN kya khoyaa hai kyaa siikhaa hai
juz tere aur ko samjhaauN to samjhaa na sakuN



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya

Last edited by Mayank; 29th August 2008 at 03:10 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
29th August 2008, 02:30 PM

Ahmed Faraz saheb ko aur unki shayri ko mera shat shat parnaam.....unki yaad mein unki yeh gazal es mahfil ke naam.

baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa

baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#5)
islam anu
Registered User
islam anu will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 40
Join Date: Jul 2008
Location: Farrukhabad (uttar pradesh) INDIA
Rep Power: 0
31st August 2008, 03:39 PM

Quote:
Originally Posted by Diya_Jale View Post
aa ki vaabasta hain us husn ki yaadeN tujhse
jisne is dil ko pariiKhaana banaa rakhaa thaa
jiski ulfat meN bhula rakhii thii duniaa hamne
dahar ko dahar ka afsaana banaa rakhaa thaa

aashnaa haiN tere qadmoN se voh raheN jin par
uskii mad’hosh javaani ne inaayat kii hai
karvaaN guzre haiN jinse isii ra’anaaii ke
jiskii in aankhoN ne be-suud ibaadat kii hai

tujh se khelii haiN voh mahbuub havaayeN jin meN
uske malbuus kii afsurda mahak baaqii hai
tujh pe bhii barsaa hai us baam se mehtaab ka nuur
jis meN biitii hu’ii raatoN ki kasak baaqii hai

tuune dekhii hai voh peshaani, voh rukhsaar, voh hont
zindgi jinke tasavvur meN luTaa di hamne
tujh pe uThi haiN voh kho’ii kho’ii saahir aankheN
tujh ko ma’aluum hai kyoN umr ganvaa dii hamne

ham pe mushtarak haiN ehsaan Gham-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginvaauuN to ginvaa na sakuuN
hamne is ishq meN kya khoyaa hai kyaa siikhaa hai
juz tere aur ko samjhaauN to samjhaa na sakuN
mujhe aapki ye ghazal jo ahmad sahab ki composing hai kaafi pasand aayi
   
Reply With Quote
Sukriya Islam ji
Old
  (#6)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
Sukriya Islam ji - 1st September 2008, 12:57 PM

kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii
zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se

ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se

nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho
jo dil me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us se

'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dost ban kar bhi nahi-- Ahmad faraz acharya_mj Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 18th October 2008 05:48 PM
Ahmad Faraz inteqal kar gaye!! dheer Shayri-e-Dard 14 30th August 2008 02:14 PM
Koi Aur Hai ... Ahmad Faraz zishan107 Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 21st April 2008 10:59 PM
one more by ahmad faraz sagar29in Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 20th November 2001 08:07 PM
Ra.njish hii sahii..(by Ahmad faraz) shumaila Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 20th November 2001 04:29 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com