Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri Ki Paathshaala

 
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 5 votes, 5.00 average. Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Old
  (#11)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
8th July 2014, 02:16 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
jab zainyji ye reply padengi to shifaa ke liye haad vaid dhund lena..baqi jo dusra item hai , uska address mai de dunga. dont worry.aapko zarurat padegi, haddiyo ka dard door karne ke liye.
ha haaa.... Zidd saab,
ab tak toh bach gaye hai hum.. Aur fikr na kare.n fursat se ghar pe aaiyega dusree item saath me.n baith ke piyenge LOLzz...

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
Hmmmm !!! Very tricky options !! Very intricate and intriguing too !! Mujhe sabhi options meiN maanee ke alag alag nuances lag rahe haiN. Very curious to see ki aap in options meiN se kis combination ko finalize karte haiN !!!

asl me mai ula ko 'kya' se shuru hi nahi karna chahta tha...meri first choice thi 'vo'...magar socha ki sabko zara samjhne me dikkat hogi..waise agar mai ye sher finally kahta to yu kahta.use indifinite chodta, interorrgative me nahi rahne deta...

vo tegh e ulfat abke qayamat si aa bane
hum pahle meherbaa huye daar o rasan liye....


Shaad sahab ki tarah maine bhi lafz "ulfataaN" pehle naheeN dekha hai lekin intuitively aur logically sahi lag raha hai. Aur jis situation meiN ye misre meiN aaya hai, wahaaN is ke alaawa aur koyee substitute lafz bhi khayaal meiN naheeN aa raha hai. Lekin is lafz ka pehle se chalan urdu zubaan meiN hai ki naheeN, is ka ilm naheeN hai mujhe.

actually fit lagta hai magar koi misaal nahi mili mujhe.
jaanaN, butaaN, yaraaN,dushmanaaN...sab animate nouns hai.

shaadaaN , raksaaN.... compound verbing hai, if conjugated.

mujhe 'ulfataaN' , jo inanimate hai , iski misaal nahi mili....kyuki phir mahabattaaN, ashkaaN ko roka nahi jaa sakta...i guess it is wrong.


PS : aap ki "exercises" hamaare liye "lessons" ka kaam kar rahi haiN Zidd sahab

what i did was to provoke a discusssion....ek sehatmand bahs( healthy debate...big Lollz) ke liye.

carry on..u doing yeoman service.

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
Kisko bhala dikhate ho daar o rasan ka khauff
Dil se abhi gayaa hi kaha baankpan ka khauff

==========================
Kya tegh e ulfataaN ke qayamat si aa bane
Kya tegh e ulfat ab ke qayamat si aa bane

Hum pahle zer e daar the daar o rasan liye
Hum pahle meherbaa huye daar o rasan liye
hum khud hi meherbaa huye daar o rasan liye
khud pahle meherbaa huye daar o rasan liye

------------------
practice sher hai isliye sari exercise yaha rakh raha hu zarra sirji.

-------------------

ulfataaN par feedback invited hai
aur Zidd saab,
aapke aane se jaise yeh classroom me.n ravaani aa gayee.. aapse bahot kuch sikhna padhna hai hame.n....

aapke practice sher bhii behad khubsurat hai..

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
"daar-o-rasan" par ek koshish qit'a ki shakl mein ...

hum ko n kuchh bhi farq khizaan-o-bahaar meiN
kaaNte chuna hi karte haiN aksar chaman ke hum
badleN qaza ke khauf se jeene ka kyooN chalan
jeete haiN yooN bhi saaye meiN daar-o-rasan ke hum

-zarraa
Zarrabhai,
waah waah waaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhh....
kya kamaal ka qit'a pesh kiya hai janaab.......



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
 

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com