in aankhon ki masti ne humein jina sikha diya
hum sharabi kab the humein peena sikha diya
dekha hai jo in aankhon mein to nasha hai umar bhar ka
ik hasen qatil ne humein peena sikha diya
din ho ya raat ho eak ajab sa surur hai
sab kehte hai ye teri aankhon ka kasoor hai
aab gira do palkon ke chilman kahi masroor na ho jaun
doob kar teri aankhon mein khud se bhi door na ho jau
ye aankhen nahi do payale hai sharab ke
isme shabnam ki bunde milaya na karo
teri aankhon se pee to nasha hai qayamat tak shakir
mujhe koi aour jaam dikhaya na karo