Ki jii jaanataa hai... -
13th May 2001, 06:27 PM
Lutf vo ishq mein paaye hain ki ji jadnata hai
Ranj bhi itane uthaaye hain ki ji jaanata hai
Jo zamaane ke sitam hain vo zamaanaa jaane
Toone dil itane dukhaaye hain ki ji jaanataa hai
Tum nahin janate ab tak ye tumhare andaaz
Vo mere dil mein samaaye hain ki ji jaanata hai
Inhi qadamon ne tumhaare inhi qadamon kii qasam
Khaak mein itane milaaye hain ki ji jaanataa hai
Dosti mein teri darapardaa hamaare dushman
Is qadar apane paraaye hain ki ji jaanata hai
By
Daag Dehlvi
Subodh Gupta
I have learned, Joy is not in things, it is in us.
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?&threadid=104
|